SHAWORDS

sar-e-firaaq bhi tark-e-anaa nahin hoti — Balmohan Panday

"sar-e-firaaq bhi tark-e-anaa nahin hoti ki TuuT jaati hai divaar vaa nahin hoti mere alaava use khud se bhi mohabbat hai aur aisaa karne se vo bevafaa nahin hoti jab apne log mire tab hamein samajh aaya ki maut saare dukhon ki davaa nahin hoti ziyaada sochne se bachnaa chaahiye 'mohan' khayaali zakhmon ki koi davaa nahin hoti"
Urdu

سر فراق بھی ترک انا نہیں ہوتی کہ ٹوٹ جاتی ہے دیوار وا نہیں ہوتی میرے علاوہ اسے خود سے بھی محبت ہے اور ایسا کرنے سے وہ بے وفا نہیں ہوتی جب اپنے لوگ مرے تب ہمیں سمجھ آیا کہ موت سارے دکھوں کی دوا نہیں ہوتی زیادہ سوچنے سے بچنا چاہئے موہنؔ خیالی زخموں کی کوئی دوا نہیں ہوتی

Hindi

सर-ए-फ़िराक़ भी तर्क-ए-अना नहीं होती कि टूट जाती है दीवार वा नहीं होती मेरे अलावा उसे ख़ुद से भी मोहब्बत है और ऐसा करने से वो बेवफ़ा नहीं होती जब अपने लोग मिरे तब हमें समझ आया कि मौत सारे दुखों की दवा नहीं होती ज़ियादा सोचने से बचना चाहिए 'मोहन' ख़याली ज़ख़्मों की कोई दवा नहीं होती

sar-e-firāq bhī tark-e-anā nahīñ hotī
Balmohan Panday
Balmohan Panday
Balmohan panday
poet18 quotes

More by Balmohan Panday

View all →
Quote
"dayaar-e-gham se ham baahar nikal ke sher kahte hain masaail hain bahut se un mein Dhal ke sher kahte hain dahakte aag ke shoalon pe chal ke sher kahte hain hamein pahchaan liije ham ghazal ke sher kahte hain rivaayat ke pujaari is liye naaraaz hain ham se khataa ye hai nae raston pe chal ke sher kahte hain hamein tanhaaiyon kaa shor jab bechain kartaa hai ikaTThi karte hain yaadein ghazal ke sher kahte hain sitaaron ki tarah raushan hain jin ke lafz zehnon mein vo shaayad mom ki surat pighal ke sher kahte hain hamaari shaairi us ko kahin rusvaa na kar Daale so us ke shahr mein thoDaa sambhal ke sher kahte"
Balmohan PandayBalmohan Panday
Quote
"zaayaa huaa tamaam hunar niind aa gai shab ko sajaa rahaa thaa magar niind aa gai main chaahtaa to ye huun kahaani tavil ho phir ye bhi sochtaa huun agar niind aa gai karvaT badal li donon ne ik khaamushi ke baad main ro paDaa aur us ko udhar niind aa gai daftar mein tai kiyaa thaa ki taare gineinge aaj lekin hamein pahunchte hi ghar niind aa gai kuchh doston ne aane se inkaar kar diyaa kuchh doston ko biich safar niind aa gai ik raat umr bhar ki thakan kaa sabab ai dost ham soch hi rahe the magar niind aa gai"
Balmohan PandayBalmohan Panday
Quote
"samay se pahle bhale shaam-e-zindagi aae kisi tarah bhi udaasi kaa ghaav bhar jaae ham ab udaas nahin sar-ba-sar udaasi hain hamein charaagh nahin raushni kahaa jaae jo sher samjhe mujhe daad-vaad detaa rahe gale lagaae jise gham samajh mein aa jaae gae dinon mein koi shauq thaa mohabbat kaa ab is azaab mein ye zehn kaun uljhaae kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-sabaa koi udaas huaa to gulaab murjhaae ye ek dukh hi dabaa rah gayaa hai aankhon mein vo ek misraa jise sher kar nahin paae agar huun ghusse mein phir bhi main chaahtaa ye huun main sirf hijr kahun aur phone kaT jaae"
Balmohan PandayBalmohan Panday

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer