SHAWORDS

shaam-e-vaada kaa Dhal gayaa saaya — Naresh Kumar Shad

"shaam-e-vaada kaa Dhal gayaa saaya aane vaalaa abhi nahin aayaa zindagi ke ghamon ko apnaa kar ham ne dar-asl tum ko apnaayaa justuju hi dilon ki manzil thi ham ne kho kar tujhe, tujhe paayaa zindagi naam hai judaai kaa aap aae to mujh ko yaad aayaa ham ne teri jafaa ke parde mein khud bhi dil par bahut sitam Dhaayaa zindagi se to khair shikva thaa muddaton maut ne bhi tarsaayaa 'shaad' ahhl-e-tarab ko bhi aksar meri afsurdagi pe pyaar aayaa"
Urdu

شام وعدہ کا ڈھل گیا سایہ آنے والا ابھی نہیں آیا زندگی کے غموں کو اپنا کر ہم نے دراصل تم کو اپنایا جستجو ہی دلوں کی منزل تھی ہم نے کھو کر تجھے، تجھے پایا زندگی نام ہے جدائی کا آپ آئے تو مجھ کو یاد آیا ہم نے تیری جفا کے پردے میں خود بھی دل پر بہت ستم ڈھایا زندگی سے تو خیر شکوہ تھا مدتوں موت نے بھی ترسایا شادؔ اہل طرب کو بھی اکثر میری افسردگی پہ پیار آیا

Hindi

शाम-ए-वादा का ढल गया साया आने वाला अभी नहीं आया ज़िंदगी के ग़मों को अपना कर हम ने दर-अस्ल तुम को अपनाया जुस्तुजू ही दिलों की मंज़िल थी हम ने खो कर तुझे, तुझे पाया ज़िंदगी नाम है जुदाई का आप आए तो मुझ को याद आया हम ने तेरी जफ़ा के पर्दे में ख़ुद भी दिल पर बहुत सितम ढाया ज़िंदगी से तो ख़ैर शिकवा था मुद्दतों मौत ने भी तरसाया 'शाद' अहल-ए-तरब को भी अक्सर मेरी अफ़्सुर्दगी पे प्यार आया

shām-e-vāda kā Dhal gayā saaya
Naresh Kumar Shad
Naresh Kumar Shad
Naresh Kumar Shad
poet29 quotes

More by Naresh Kumar Shad

View all →
Quote
"kaun sulagte aansu roke aag ke TukDe kaun chabaae ai ham ko samjhaane vaale koi tujhe kyuun kar samjhaae jivan ke andhiyaare path par jis ne teraa saath diyaa thaa dekh kahin vo komal aashaa aansu ban kar TuuT na jaae is duniyaa ke rahne vaale apnaa apnaa gham khaate hain kaun paraayaa rog kharide kaun paraayaa dukh apnaae haae miri maayus ummidein vaae mire naakaam iraade marne ki tadbir na sujhi jiine ke andaaz na aae is duniyaa ke gham-khaane mein gham se itni fursat kab hai kaun sitaaron kaa munh chume kaun bahaaron mein lahraae zabt bhi kab tak ho saktaa hai sabr ki bhi ik had hoti hai pal bhar chain na paane vaalaa kab tak apnaa rog chhupaae 'shaad' vahi aavaara shaaer jis ne tujh se pyaar kiyaa thaa shahron shahron ghuum rahaa hai armaanon ki laash uThaae"
Naresh Kumar ShadNaresh Kumar Shad
Quote
"kisi ke jaur-o-sitam kaa to ik bahaana thaa hamaare dil ko bahar-haal TuuT jaanaa thaa tiri nazar ne nai ruuh phunk di varna hamaare dard kaa qissa bahut puraanaa thaa hamin ko baar-e-tarab naagavaar thaa lekin hamin ko shiddat-e-gham mein bhi muskuraanaa thaa ye kam-shanaas talaatum kise Daraataa hai vo log Duub gae jin ko Duub jaanaa thaa bajaa ki dair-o-haram bhi qarib the lekin hamaari raah mein haail sharaab-khaana thaa gunaah se hamein raghbat na thi magar yaa-rab tiri nigaah-e-karam ko to munh dikhaanaa thaa"
Naresh Kumar ShadNaresh Kumar Shad
Quote
"Duub kar paar utar gae hain ham log samjhe ki mar gae hain ham ai gham-e-dahr teraa kyaa hogaa ye agar sach hai mar gae hain ham khair-maqdam kiyaa havaadis ne zindagi mein jidhar gae hain ham yaa bigaD kar ujaD gae hain log yaa bigaD kar sanvar gae hain ham maut ko munh dikhaaein kyaa yaa rab zindagi hi mein mar gae hain ham haae kyaa shai hai nashsha-e-mai bhi farsh se arsh par gae hain ham aarzuon ki aag mein jal kar aur bhi kuchh nikhar gae hain ham jab bhi ham ko kiyaa gayaa mahbus misl-e-nikhat bikhar gae hain ham shaadmaani ke rang-mahlon mein 'shaad' baa-chashm-e-tar gae hain ham"
Naresh Kumar ShadNaresh Kumar Shad
Quote
"raunaq baDhegi ru-e-nashaat-e-jamaal ki thoDi si gard Daal do is par malaal ki deti rahi fareb unhein bhi tiri vafaa aaghaaz mein bhi jin ko khabar thi maaal ki ab is maqaam par hai miri zindagi jahaan kaifiyyat ek si hai nashaat o malaal ki allaah-re jazb-e-did ki ahl-e-nigaah se khud husn bhiik maang rahaa hai jamaal ki dil phir bhi aa gayaa gham-e-dauraan ke pher mein har-chand maslahat ne baDi dekh-bhaal ki phulon ki dilkashi ho ki taaron ki raushni parchhaaiyaan hain sab mire husn-e-khayaal ki"
Naresh Kumar ShadNaresh Kumar Shad

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar