"tum ne likkhaa hai likho kaisaa huun main doston ki bhiiD hai tanhaa huun main yaasmin o nastaran meraa pata khushbuon ke jism par likkhaa huun main pahle hi kyaa kam tamaashe the yahaan phir nae manzar uThaa laayaa huun main phir vahi mausam puraane ho gae din Dhale sargoshiyaan suntaa huun main kaun utarti chaDhti saanson kaa amiin saaya-e-divaar se lipTaa huun main tu kabhi is shahr se ho kar guzar raaston ke jaal mein uljhaa huun main vo miri khush-fahmiyaan sab kyaa huiin jaane kab se be-hunar zinda huun main"
silsila ab bhi khvaabon kaa TuuTaa nahin — Aashufta Changezi
"silsila ab bhi khvaabon kaa TuuTaa nahin kuuch kar jaaein kab kuchh bharosaa nahin hain fasilon se uljhe hue sar-phire duur tak koi shahr-e-tamannaa nahin shaam se hi gharon mein paDin kunDiyaan chaand is shahr mein kyuun nikaltaa nahin aag lagne ki khabrein to pahunchin magar koi hairat nahin koi chaunkaa nahin chhin kar mujh se le jaae meraa badan mo'tabar itnaa koi andheraa nahin kyaa yahi milte rahne kaa inaam hai ek khiDki nahin ik jharokaa nahin ek manzar mein lipTe badan ke sivaa sard raaton mein kuchh aur dikhtaa nahin tez ho jaaein is kaa to imkaan hai aandhiyaan ab rukein aisaa lagtaa nahin"
سلسلہ اب بھی خوابوں کا ٹوٹا نہیں کوچ کر جائیں کب کچھ بھروسا نہیں ہیں فصیلوں سے الجھے ہوئے سرپھرے دور تک کوئی شہر تمنا نہیں شام سے ہی گھروں میں پڑیں کنڈیاں چاند اس شہر میں کیوں نکلتا نہیں آگ لگنے کی خبریں تو پہنچیں مگر کوئی حیرت نہیں کوئی چونکا نہیں چھین کر مجھ سے لے جائے میرا بدن معتبر اتنا کوئی اندھیرا نہیں کیا یہی ملتے رہنے کا انعام ہے ایک کھڑکی نہیں اک جھروکا نہیں ایک منظر میں لپٹے بدن کے سوا سرد راتوں میں کچھ اور دکھتا نہیں تیز ہو جائیں اس کا تو امکان ہے آندھیاں اب رکیں ایسا لگتا نہیں
सिलसिला अब भी ख़्वाबों का टूटा नहीं कूच कर जाएँ कब कुछ भरोसा नहीं हैं फ़सीलों से उलझे हुए सर-फिरे दूर तक कोई शहर-ए-तमन्ना नहीं शाम से ही घरों में पड़ीं कुंडियाँ चाँद इस शहर में क्यूँ निकलता नहीं आग लगने की ख़बरें तो पहुँचीं मगर कोई हैरत नहीं कोई चौंका नहीं छीन कर मुझ से ले जाए मेरा बदन मो'तबर इतना कोई अंधेरा नहीं क्या यही मिलते रहने का इनआ'म है एक खिड़की नहीं इक झरोका नहीं एक मंज़र में लिपटे बदन के सिवा सर्द रातों में कुछ और दिखता नहीं तेज़ हो जाएँ इस का तो इम्कान है आँधियाँ अब रुकें ऐसा लगता नहीं

More by Aashufta Changezi
View all →"Thikaane yuun to hazaaron tire jahaan mein the koi sadaa hamein rokegi is gumaan mein the ajiib basti thi chehre to apne jaise the magar sahife kisi ajnabi zabaan mein the bahut khushi hui tarkash ke khaali hone par zaraa jo ghaur kiyaa tiir sab kamaan mein the ilaaj DhunDh nikaaleinge apni vahshat kaa junun-navaaz abhi tak isi gumaan mein the ham ek aisi jagah jaa ke lauT kyuun aae jahaan sunaa hai ki sab aakhiri zamaan mein the"
"ghar ki had mein sahraa hai aage dariyaa bahtaa hai hairat tak mafqud hui itnaa dekhaa-bhaalaa hai jaane kyaa uftaad paDe khvaab mein us ko dekhaa hai aahaT kaisi basti mein kaun ye rasta bhulaa hai raste apne apne hain kaun kisi ko samjhaa hai qaid se vahshi chhuT gae dekhein kyaa gul khiltaa hai uDne vaalaa panchhi kyuun pankh sameTe baiThaa hai"
"guzar gae hain jo mausam kabhi na aaeinge tamaam dariyaa kisi roz Duub jaaeinge safar to pahle bhi kitne kiye magar is baar ye lag rahaa hai ki tujh ko bhi bhuul jaaeinge alaav ThanDe hain logon ne jaagnaa chhoDaa kahaani saath hai lekin kise sunaaeinge sunaa hai aage kahin samtein baanTi jaati hain tum apni raah chuno saath chal na paaeinge duaaein loriyaan maaon ke paas chhoD aae bas ek niind bachi hai kharid laaeinge zarur tujh saa bhi hogaa koi zamaane mein kahaan talak tiri yaadon se ji lagaaeinge"
"gharaunde khvaabon ke suraj ke saath rakh lete paron mein dhuup ke ik kaali raat rakh lete hamein khabar thi zabaan kholte hi kyaa hogaa kahaan kahaan magar aankhon pe haath rakh lete tamaam jangon kaa anjaam mere naam huaa tum apne hisse mein koi to maat rakh lete kahaa thaa tum se ki ye raasta bhi Thiik nahin kabhi to qaafile vaalon ki baat rakh lete ye kyaa kiyaa ki sabhi kuchh ganvaa ke baiTh gae bharam to banda-e-maulaa-sifaat rakh lete main bevafaa huun chalo ye bhi maan letaa huun bhale bure hi sahi tajrabaat rakh lete"
"duur tak phailaa samundar mujh pe saahil ho gayaa lauT kar jaanaa yahaan se aur mushkil ho gayaa daakhila mamnua likkhaa thaa fasil-e-shahr par paDh to main ne bhi liyaa thaa phir bhi daakhil ho gayaa khvaab hi baazaar mein mil jaate hain taabir bhi pahle logon se sunaa thaa aaj qaail ho gayaa is hujum-e-be-karaan se bhaag kar jaataa kahaan tum ne rokaa to bahut thaa main hi shaamil ho gayaa pahle bhi ye sab manaazir rokte the is dafa aisaa kyaa dekhaa ki tujh se aur ghaafil ho gayaa ek mauqa kyaa milaa khush-fahmiyaan baDhne lagin raasta itnaa pasand aayaa ki manzil ho gayaa aur kyaa detaa bhalaa sahraa-navardi kaa khiraaj tu bachaa thaa ab ke tu bhi nazr-e-mahmil ho gayaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"