SHAWORDS

taskin na mujh ko rahm na lafz-e-du’aa se thi — Kuldeep Kumar

HomeKuldeep KumarGhazal
"taskin na mujh ko rahm na lafz-e-du’aa se thi jo mujh gunaah-gaar ko kaar-e-sazaa se thi us se bichhaD rahaa huun to kyuun ro rahaa huun main is baat ki khabar to mujhe ibtidaa se thi ab ke bachaa saki na miri khaamushi mujhe is baar meri jang mire ham-navaa se thi phir ham ne baar-e-gham ko muqaddar samajh liyaa kuchh roz tak hamein bhi shikaayat khudaa se thi charchaa bahut hai jis ke taghaaful kaa shahr mein apni bhi to muraad usi bevafaa se thi hijr-o-visaal donon hi sharton mein tai thi maut ham the charaagh ham ko mohabbat havaa se thi"
Urdu

تسکیں نہ مجھ کو رحم نہ لفظ دعا سے تھی جو مجھ گناہگار کو کار سزا سے تھی اس سے بچھڑ رہا ہوں تو کیوں رو رہا ہوں میں اس بات کی خبر تو مجھے ابتدا سے تھی اب کے بچا سکی نہ مری خامشی مجھے اس بار میری جنگ مرے ہم نوا سے تھی پھر ہم نے بار غم کو مقدر سمجھ لیا کچھ روز تک ہمیں بھی شکایت خدا سے تھی چرچا بہت ہے جس کے تغافل کا شہر میں اپنی بھی تو مراد اسی بے وفا سے تھی ہجر و وصال دونوں ہی شرطوں میں طے تھی موت ہم تھے چراغ ہم کو محبت ہوا سے تھی

Hindi

तस्कीं न मुझ को रहम न लफ़्ज़-ए-दु’आ से थी जो मुझ गुनाह-गार को कार-ए-सज़ा से थी उस से बिछड़ रहा हूँ तो क्यूँ रो रहा हूँ मैं इस बात की ख़बर तो मुझे इब्तिदा से थी अब के बचा सकी न मिरी ख़ामुशी मुझे इस बार मेरी जंग मिरे हम-नवा से थी फिर हम ने बार-ए-ग़म को मुक़द्दर समझ लिया कुछ रोज़ तक हमें भी शिकायत ख़ुदा से थी चर्चा बहुत है जिस के तग़ाफ़ुल का शहर में अपनी भी तो मुराद उसी बेवफ़ा से थी हिज्र-ओ-विसाल दोनों ही शर्तों में तय थी मौत हम थे चराग़ हम को मोहब्बत हवा से थी

taskīñ na mujh ko rahm na lafz-e-du’ā se thī
Kuldeep Kumar
Kuldeep Kumar
Kuldeep Kumar
poet119 quotes

More by Kuldeep Kumar

View all →
Quote
"kuza-gar main tire kis khvaab kaa chehra ho jaaun sirf ik jism ki mohlat hai main kyaa kyaa ho jaaun tujh mein aur mujh mein bas ik farq vafaa hi kaa hai main agar tark vafaa kar duun to tujh saa ho jaaun mujh ko mere hi andhere ne chhupaa rakkhaa hai jo tiri zaat mein aa jaaun sitaara ho jaaun sochte sab hain kahaani to mukammal ho jaae chaahtaa koi nahin hai ki main us kaa ho jaaun chaar din qaid mein rah kar ye tamannaa bhi gai pahle lagtaa thaa ki ai kaash parinda ho jaaun main to bas ek tasavvur huun vahi rahne de aise bhi soch na mujh ko ki main chehra ho jaaun sab ki aankhon mein khaTakti hai hamaari qurbat shahr kaa shahr lagaa hai ki akelaa ho jaaun ishq mein saaraa kamaal asl mein furqat kaa hai jo bhi ho jaae judaa mujh se main us kaa ho jaaun"
Kuldeep KumarKuldeep Kumar
Quote
"dast-e-vahshat se zaraa aur sanvaareinge tujhe apne andaaz mein ai hijr guzaareinge tujhe gar hamein niind na aai to ye tai hai jaanaan tere darvaaze pe jaaeinge pukaareinge tujhe ai mohabbat tujhe taa-hashr nibhaaeinge ham itni jaldi kahaan palkon se utaareinge tujhe jis bhi lamhe mein tujhe jiine ki hasrat hogi ham usi lamhe ki dahliz pe maareinge tujhe phir se rakkhaa hai tujhe daav pe ai dil ham ne ham ko maa'lum hai is baar bhi haareinge tujhe vaqt-e-aakhir bhi ye jaan tum pe hi aTki hogi honTh jab jab bhi khuleinge to pukaareinge tujhe"
Kuldeep KumarKuldeep Kumar
Quote
"kisi se rang to khushbu kisi se letaa huun udhaar jo bhi mile main khushi se letaa huun vo itni narm ki chhune ki kaun baat kare main us kaa naam bhi shaaistagi se letaa huun bhale ab 'ishq nahin us zahin laDki se magar main mashvare ab bhi usi se letaa huun main lau baDhaataa huun itni ki kuchh dikhaai na de main kaam andhere kaa bhi raushni se letaa huun main chaahtaa huun havaaon ko kuchh pata na chale har ek saans baDi khaamushi se letaa huun main saans rokne lagtaa huun ye jo ghusse mein ik intiqaam hai jo zindagi se letaa huun miraa yaqin jo khud par thaa kab kaa TuuT chukaa main khud ko ab kahaan sanjidgi se letaa huun"
Kuldeep KumarKuldeep Kumar
Quote
"ye karaamaatein bahut bechain karti hain mujhe aap ki baatein bahut bechain karti hain mujhe in charaaghon se kaho soein na mujh ko chhoD kar ye siyah raatein bahut bechain karti hain mujhe ab bhi siine mein koi sahraa sulagtaa hai mire ab bhi barsaatein bahut bechain karti hain mujhe un mulaaqaaton ko main bechain rahtaa huun bahut jo mulaaqaatein bahut bechain karti hain mujhe zindagi se itni raghbat to nahin par jaane kyon maut ki baatein bahut bechain karti hain mujhe"
Kuldeep KumarKuldeep Kumar

More on Hijr

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"ek taarik khalaa us mein chamaktaa havaa main ye kahaan aa gayaa hasti se saraktaa huaa main shola-e-jaan se fanaa hotaa huun qatra qatra apni aankhon se lahu ban ke Tapaktaa huaa main aagahi ne mujhe bakhshi hai ye naar-e-khud-soz ik jahannam ki tarah khud mein bhaDaktaa huaa main muntazir huun ki koi aa ke mukammal kar de chaak par ghumtaa bal khaataa daraktaa huaa main majmaa ahl-e-haram naqsh-ba-divaar udhar aur idhar shor machaataa huaa baktaa huaa main mere hi dam se mili saaat-e-imkaan use vaqt ke jism mein dil ban ke dhaDaktaa huaa main be-niyaazi se miri aate hue tang ye log aur logon ki tavajjoh se bidaktaa huaa main raat ki raat nikal jaataa huun khud se baahar apne khvaabon ke taaaqub mein humaktaa huaa main aisi yakjaai ki miT jaae tamiz-e-man-o-tu mujh mein khiltaa huaa tu tujh mein mahaktaa huaa main ik to vo husn-e-junun-khez hai aalam mein shuhud aur ik husn-e-junun-khez ko taktaa huaa main ek aavaaz paDi thi ki koi saail-e-hijr? aan ki aan mein pahunchaa thaa lapaktaa huaa main hai kashid-e-sukhan-e-khaas vadiat mujh ko ghumtaa phirtaa huun ye itr chhiDaktaa huaa main raaz-e-haq faash huaa mujh pe bhi hote hote khud tak aa hi gayaa 'irfaan' bhaTaktaa huaa main"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dil mubtalaa-e-hijr rifaaqat mein rah gayaa lagtaa hai koi farq mohabbat mein rah gayaa is ghar ke do makin the ik peD aur main ye hijr to kisi ki sharaarat mein rah gayaa ik baar mana karti hui shaam se to puchh jo bhi judaa huaa vo haqiqat mein rah gayaa mumkin thaa tujh ko chhin hi letaa jahaan se lekin main kyaa karun main mohabbat mein rah gayaa ab tu hi meri khaali hatheli ki laaj rakh mujh se to koi farq ibaadat mein rah gayaa tujh par hai koi zoam na khud par yaqin 'nadim' kuchh din kaa ham mein pyaar to aadat mein rah gayaa"
Nadeem BhabhaNadeem Bhabha