SHAWORDS

udaas udaas tabiat jo thi bahalne lagi — Azhar Inayati

HomeAzhar InayatiGhazal
"udaas udaas tabiat jo thi bahalne lagi abhi main ro hi rahaa thaa ki rut badalne lagi paDos vaalo! darichon ko mat khulaa chhoDo tumhaare ghar se bahut raushni nikalne lagi zaraa thame the ki phir ho gae ravaan aansu jo ruk gai thi vo gham ki baraat chalne lagi bhalaa ho shahr ke logon ki khush-libaasi kaa ki be-kasi bhi miraa pairahan badalne lagi Thahar gai hai kahaan aa ke Dhalte Dhalte raat miri nazar bhi charaaghon ke saath jalne lagi nazar uThi to andheraa thaa jab qadam uTThe shuaa-e-mahr mire saath saath chalne lagi sitam-zarifi-e-fitrat to dekhiye 'azhar' shabaab aayaa ghazal par to umr Dhalne lagi"
Urdu

اداس اداس طبیعت جو تھی بہلنے لگی ابھی میں رو ہی رہا تھا کہ رت بدلنے لگی پڑوس والو! دریچوں کو مت کھلا چھوڑو تمہارے گھر سے بہت روشنی نکلنے لگی ذرا تھمے تھے کہ پھر ہو گئے رواں آنسو جو رک گئی تھی وہ غم کی برات چلنے لگی بھلا ہو شہر کے لوگوں کی خوش لباسی کا کہ بے کسی بھی مرا پیرہن بدلنے لگی ٹھہر گئی ہے کہاں آ کے ڈھلتے ڈھلتے رات مری نظر بھی چراغوں کے ساتھ جلنے لگی نظر اٹھی تو اندھیرا تھا جب قدم اٹھے شعاع مہر مرے ساتھ ساتھ چلنے لگی ستم ظریفیٔ فطرت تو دیکھیے اظہرؔ شباب آیا غزل پر تو عمر ڈھلنے لگی

Hindi

उदास उदास तबीअ'त जो थी बहलने लगी अभी मैं रो ही रहा था कि रुत बदलने लगी पड़ोस वालो! दरीचों को मत खुला छोड़ो तुम्हारे घर से बहुत रौशनी निकलने लगी ज़रा थमे थे कि फिर हो गए रवाँ आँसू जो रुक गई थी वो ग़म की बरात चलने लगी भला हो शहर के लोगों की ख़ुश-लिबासी का कि बे-कसी भी मिरा पैरहन बदलने लगी ठहर गई है कहाँ आ के ढलते ढलते रात मिरी नज़र भी चराग़ों के साथ जलने लगी नज़र उठी तो अँधेरा था जब क़दम उठ्ठे शुआ-ए-महर मिरे साथ साथ चलने लगी सितम-ज़रीफ़ी-ए-फ़ितरत तो देखिए 'अज़हर' शबाब आया ग़ज़ल पर तो उम्र ढलने लगी

udaas udaas tabī.at jo thī bahalne lagī
Azhar Inayati
Azhar Inayati
Azhar Inayati
poet91 quotes

More by Azhar Inayati

View all →
Quote
"qayaamat aaegi maanaa ye haadisa hogaa magar chhupaa huaa manzar to runumaa hogaa musaahibon mein ghire honge zill-e-subhaani ghanim shahr ko taaraaj kar rahaa hogaa abhi fazaa mein thi ik tez raushni ki lakir na jaane TuuT ke taaraa kahaan giraa hogaa aziiz mujh se thaa inaam mere sar kaa use raiis ek hi shab mein vo ho gayaa hogaa hui jo baat to vo aam aadmi niklaa gumaan thaa ki nae rukh se sochtaa hogaa rahegaa saamne kab tak ye nilgun manzar ye aasmaan kahin khatm to huaa hogaa ajab safar hai mujhe bhi pataa nahin 'azhar' ki agle moD pe kirdaar meraa kyaa hogaa"
Azhar InayatiAzhar Inayati
Quote
"abhi bichhDaa hai vo kuchh roz to yaad aaegaa naqsh raushan hai magar naqsh hai dhundlaaegaa ghar se kis tarah main niklun ki ye maddham saa charaagh main nahin hungaa to tanhaai mein bujh jaaegaa ab mire baad koi sar bhi nahin hogaa tulua ab kisi samt se patthar bhi nahin aaegaa meri qismat to yahi hai ki bhaTaknaa hai mujhe raaste tu mire hamraah kidhar jaaegaa apne zehnon mein rachaa lijiye is daur kaa rang koi tasvir banegi to ye kaam aaegaa itne din ho gae bichhDe hue us se 'azhar' mil bhi jaaegaa to pahchaan nahin paaegaa"
Azhar InayatiAzhar Inayati
Quote
"kyaa kyaa navaah-e-chashm ki raanaaiyaan gaiin mausam gayaa gulaab gae titliyaan gaiin jhuTi siyaahiyon se hain shajre likhe hue ab ke hasab-nasab ki bhi sachchaaiyaan gaiin kis zehn se ye saare mahaazon pe jang thi kyaa fath ho gayaa ki saf-aaraaiyaan gaiin karne ko raushni ke taaaqub kaa tajraba kuchh duur mere saath bhi parchhaaiyaan gaiin aage to be-charaagh gharon kaa hai silsila mere yahaan se jaane kahaan aandhiyaan gaiin 'azhar' miri ghazal ke sabab ab ke shahr mein kitni nai puraani shanaasaaiyaan gaiin"
Azhar InayatiAzhar Inayati
Quote
"diyon se aag jo lagti rahi makaanon ko mah o nujum jalaa dein na aasmaanon ko mire qabile mein kyaa shahr bhar se mil dekho koi bhi tiir nahin detaa be-kamaanon ko shikastagi ne giraa diin saron pe divaarein mukhaasimat thi makinon se kyaa makaanon ko ye sochtaa huun vo kyaa husn-kaar tesha thaa jo aaise naqsh ataa kar gayaa chaTaanon ko yahi karegi kisi samt kaa taayyun bhi isi havaa ne to kholaa hai baadbaanon ko jahaan zidein kiyaa kartaa thaa bachpanaa meraa kahaan se laaun khilaunon ki un dukaanon ko"
Azhar InayatiAzhar Inayati

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri