SHAWORDS

uruj-e-aadam-e-khaaki kahaan kaa qissa hai — Farooq Argali

HomeFarooq ArgaliGhazal
"uruj-e-aadam-e-khaaki kahaan kaa qissa hai mahz daraazi-e-kaar-e-jahaan kaa qissa hai siyaah raat thi neza-ba-kaf kamaa-bar-dosh tulu-e-subh luTe kaarvaan kaa qissa hai husul-e-maal-e-ghanimat ki daastaan-e-latif dar-asl vaadi-e-aah-o-fughaan kaa qissa hai ghanim-e-hirs-o-havas ham-kanaar-e-fath-o-zafar zarur ye mire hindostaan kaa qissa hai vo rang-o-nur kaa dariyaa vo husn-o-hosh-rubaa nahin kuchh aur ye urdu zabaan kaa qissa hai"
Urdu

عروج آدم خاکی کہاں کا قصہ ہے محض درازیٔ کار جہاں کا قصہ ہے سیاہ رات تھی نیزہ بکف کما بر دوش طلوع صبح لٹے کارواں کا قصہ ہے حصول مال غنیمت کی داستان لطیف دراصل وادیٔ آہ و فغاں کا قصہ ہے غنیم حرص و ہوس ہمکنار فتح و ظفر ضرور یہ مرے ہندوستان کا قصہ ہے وہ رنگ و نور کا دریا وہ حسن و ہوش ربا نہیں کچھ اور یہ اردو زباں کا قصہ ہے

Hindi

उरूज-ए-आदम-ए-ख़ाकी कहाँ का क़िस्सा है महज़ दराज़ी-ए-कार-ए-जहाँ का क़िस्सा है सियाह रात थी नेज़ा-ब-कफ़ कमा-बर-दोश तुलू-ए-सुब्ह लुटे कारवाँ का क़िस्सा है हुसूल-ए-माल-ए-ग़नीमत की दास्तान-ए-लतीफ़ दर-अस्ल वादी-ए-आह-ओ-फ़ुग़ाँ का क़िस्सा है ग़नीम-ए-हिर्स-ओ-हवस हम-कनार-ए-फ़त्ह-ओ-ज़फ़र ज़रूर ये मिरे हिन्दोस्तान का क़िस्सा है वो रंग-ओ-नूर का दरिया वो हुस्न-ओ-होश-रुबा नहीं कुछ और ये उर्दू ज़बाँ का क़िस्सा है

urūj-e-ādam-e-ḳhākī kahāñ kā qissa hai
Farooq Argali
Farooq Argali
Farooq Argali
poet12 quotes

More by Farooq Argali

View all →
Quote
"bahaa kar khuun bhi rozi mayassar kyon nahin hoti ijaara-daariyon ki had muqarrar kyon nahin hoti siyaasat ne badal Daale sabhi mafhum lafzon ke sharaafat ab daghaa-baazi se behtar kyon nahin hoti apaahij baap to kahtaa hai ghar ki raushni us ko vo ghar ki raushni har raat ghar par kyon nahin hoti gulon ki zakhm-kaari kaa 'amal jaari hai muddat se tabi'at narm-khu kaanTon ki khugar kyon nahin hoti bas is tibbi haqiqat par amir-e-shahr hairaan hai ki rickshaw khinchne vaale ko sugar kyon nahin hoti mizaajon kaa taghayyur hai ki mausam mein hai tabdili vo pahli si khushi ab tum se mil kar kyon nahin hoti"
Farooq ArgaliFarooq Argali
Quote
"ye 'ahd-e-nau ho mubaarak tujhe magar saaqi nizaam-e-maikada abtar hai ghaur kar saaqi uDaan tez hai itni ki tham gae manzar rukaa rukaa saa hai lamhaat kaa safar saaqi fazaa mein tair rahe hain qazaa ke jarsume base hain dasht mein baarud ke nagar saaqi jhulas rahaa hai ta'assub ki aag mein gulshan qayaamatein hain qayaamat se peshtar saaqi paDe hain khaak pe behosh aadmi-zaade khudaai karte hain mahlon mein jaanvar saaqi vo dekh jahal-o-zalaalat ki masnad-aaraai faraaz-e-daar pe laTke hain dida-var saaqi kahaan vo rind vo paimaane aur vo sahbaa gae zamaanon ki baatein na yaad kar saaqi mujhe khabar hai tire khum mein mai nahin baaqi mire hi khuun se ab meraa jaam bhar saaqi"
Farooq ArgaliFarooq Argali
Quote
"ba-naam-e-harf-e-sadaaqat sukhan-vari karnaa shikam-puri ke liye mir-jaa'fri karnaa hamaare 'ahd ne ham ko diyaa hai ye mansab khud apne qatl mein qaatil ki rahbari karnaa baDaa hai vo to phir apni baDaai bhi rakkhe ki chhoTaa siikh na jaae baraabari karnaa gham-e-hayaat se Dar jaanaa buz-dilon ki tarah phir apni zaat se izhaar-e-bartari karnaa ghubaar-e-raah ko saahib ye fan bhi aataa hai havaa mein uDnaa sitaaron ki hamsari karnaa ghulaam ho ke bhi vo baadshaah hotaa hai likhaa ho jis ke muqaddar mein qambari karnaa"
Farooq ArgaliFarooq Argali
Quote
"main gir kar shaakh se uDne lagaa huun achaanak kitnaa unchaa ho gayaa huun sitam sah kar bhi chup rahne lagaa huun mujhe lagtaa hai shaayad mar gayaa huun kahun kaise ki vo meraa nahin hai jise sau baar apnaa kah chukaa huun mujhe shaayad khudaa kaa Dar nahin hai khudi mahfuz rakhnaa chaahtaa huun mire baare mein vo kyaa sochtaa hai yahi ik baat aksar sochtaa huun usulon ki 'imaarat gir chuki hai main khud apne hi malbe mein dabaa huun mujhe 'faaruq' koi note kar le kai anjaan galiyon kaa pataa huun"
Farooq ArgaliFarooq Argali
Quote
"dayaar-e-ahl-e-karam kaa tavaaf apni jagah ubhar rahaa hai kahin inhiraaf apni jagah basiratein to havaa ke khilaaf chalti hain huaa kare ye zamaana khilaaf apni jagah miri kitaab kaa bainassutur hai kuchh aur baDaaiyon kaa tiri e'tiraaf apni jagah hasin chehron ki be-chehragi hai ek taraf nazar pe husn-e-nazar kaa ghilaaf apni jagah hello ki hi ki tahzib hai bulandi par khulus-o-mehr kaa girtaa graph apni jagah vo roj T v pe taajaa khabar sunaaegaa sanbhaale baiThe raho shiin qaaf apni jagah unhi ko miltaa hai e'zaaz dur-bini kaa jinhein dikhaai na de saaf saaf apni jagah hayaat-o-maut hain aqdaar-e-mushtarak faaruq khudaa ke baab mein har ikhtilaaf apni jagah"
Farooq ArgaliFarooq Argali

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri