"maail us but kaa jidhar tir-e-nazar hotaa hai surat-e-qibla-numaa dil bhi udhar hotaa hai dard siine mein kahaan aur kidhar hotaa hai ye to ham kah nahin sakte hain magar hotaa hai mutmain aap rahein khauf ki kuchh baat nahin kahin aashiq ke bhi naalon mein asar hotaa hai dil huaa jaataa hai jaulaan-gah-e-yaas-o-hirmaan dekh kis tarah se viraan tiraa ghar hotaa hai meri tadbir pe hans deti hai taqdir miri naala jis vaqt ki juyaa-e-asar hotaa hai tujh ko Dar kyaa hai miraa qissa-e-gham sun to sahi kahin aashiq ke bayaan mein bhi asar hotaa hai jaaguzin hotaa hai ik dil mein koi parda-nashin yaani ab rashk-e-do-sad kaaba ye ghar hotaa hai rahm kyon aae unhein sun ke hamaaraa naama kab siyah-bakhton ke rone mein asar hotaa hai vaaizo kaaba ki taarif se saabit ye huaa ki sanam-khaana hi allaah kaa ghar hotaa hai barg-haa-e-gul-e-tar kaise bikhar jaate hain girya-e-bulbul-e-naalaan mein asar hotaa hai zaahid-e-gosha-nashin kab use pahchaan sakaa vahi aarif hai jise zauq-e-nazar hotaa hai shab ko sab logon se poshida janaab-e-'bedil' aap kaa jaanaa ye har roz kidhar hotaa hai"
us ko ab ye khabar karein kyunkar — Abdul Mannan Bedil Azimabadi
"us ko ab ye khabar karein kyunkar zindagi ham basar karein kyunkar tu jafaa par bhi to nahin qaaem ham vafaa umr bhar karein kyunkar chal gae hain raqib ke fiqre meri baatein asar karein kyunkar paanv rakhtaa hai ghair bhi is par sajda-e-sang-e-dar karein kyunkar chashm-e-saaqi ke ham hain matvaale jaam-e-mai par nazar karein kyunkar hai nazaakat kaa us ki ham ko khayaal naala-e-baa-asar karein kyunkar naala-e-shab kaa kyaa natija huaa ham duaa-e-sahar karein kyunkar shauq-e-pinhaan ne ham ko maaraa hai ye khabar mushtahar karein kyunkar khauf hai vo na aag ho jaae naala-e-pur-sharar karein kyunkar sajda-e-naqsh-e-paa ravaa lekin us ko paamaal sar karein kyunkar ham nahin bolte hain naaseh se baat ko be-asar karein kyunkar kahin sharmaa ke vo na phir jaaein ham nazar su-e-dar karein kyunkar meraa likkhaa agar vo paDh na sakaa shikva-e-naama-bar karein kyunkar tere shikve bajaa sahi 'bedil' lekin us ko khabar karein kyunkar"
اس کو اب یہ خبر کریں کیوں کر زندگی ہم بسر کریں کیوں کر تو جفا پر بھی تو نہیں قائم ہم وفا عمر بھر کریں کیوں کر چل گئے ہیں رقیب کے فقرے میری باتیں اثر کریں کیوں کر پاؤں رکھتا ہے غیر بھی اس پر سجدۂ سنگ ر کریں کیوں کر چشم ساقی کے ہم ہیں متوالے جام مے پر نظر کریں کیوں کر ہے نزاکت کا اس کی ہم کو خیال نالۂ با اثر کریں کیوں کر نالۂ شب کا کیا نتیجہ ہوا ہم دعائے سحر کریں کیوں کر شوق پنہاں نے ہم کو مارا ہے یہ خبر مشتہر کریں کیوں کر خوف ہے وہ نہ آگ ہو جائے نالۂ پر شرر کریں کیوں کر سجدۂ نقش پا روا لیکن اس کو پامال سر کریں کیوں کر ہم نہیں بولتے ہیں ناصح سے بات کو بے اثر کریں کیوں کر کہیں شرما کے وہ نہ پھر جائیں ہم نظر سوئے در کریں کیوں کر میرا لکھا اگر وہ پڑھ نہ سکا شکوۂ نامہ بر کریں کیوں کر تیرے شکوے بجا سہی بیدلؔ لیکن اس کو خبر کریں کیوں کر
उस को अब ये ख़बर करें क्यूँकर ज़िंदगी हम बसर करें क्यूँकर तू जफ़ा पर भी तो नहीं क़ाएम हम वफ़ा उम्र भर करें क्यूँकर चल गए हैं रक़ीब के फ़िक़रे मेरी बातें असर करें क्यूँकर पाँव रखता है ग़ैर भी इस पर सज्दा-ए-संग-ए-दर करें क्यूँकर चश्म-ए-साक़ी के हम हैं मतवाले जाम-ए-मय पर नज़र करें क्यूँकर है नज़ाकत का उस की हम को ख़याल नाला-ए-बा-असर करें क्यूँकर नाला-ए-शब का क्या नतीजा हुआ हम दुआ-ए-सहर करें क्यूँकर शौक़-ए-पिन्हाँ ने हम को मारा है ये ख़बर मुश्तहर करें क्यूँकर ख़ौफ़ है वो न आग हो जाए नाला-ए-पुर-शरर करें क्यूँकर सज्दा-ए-नक़्श-ए-पा रवा लेकिन उस को पामाल सर करें क्यूँकर हम नहीं बोलते हैं नासेह से बात को बे-असर करें क्यूँकर कहीं शर्मा के वो न फिर जाएँ हम नज़र सू-ए-दर करें क्यूँकर मेरा लिक्खा अगर वो पढ़ न सका शिकवा-ए-नामा-बर करें क्यूँकर तेरे शिकवे बजा सही 'बेदिल' लेकिन उस को ख़बर करें क्यूँकर
More by Abdul Mannan Bedil Azimabadi
View all →"meraa lab-e-khamosh agar iltijaa kare shaayad tiri nigaah-e-karam e'tinaa kare allaah zor-e-be-asari kaa bhalaa kare yaksaan hai koi naala kare yaa duaa kare dil e'timaad-e-vaada-e-sabr-aazmaa kare kaam apnaa teri shokhi-e-taaqat-rubaa kare us kaa shabaab josh pe aae khudaa kare dil zindagi se haath uThaa kar duaa kare gar ho sake to itnaa shahid-e-jafaa kare tegh-e-nigaah-e-yaar ke haq mein duaa kare parvaana daur-e-gard-e-bisaat-e-umid ho dar-parda shama-e-bazm-e-mohabbat jalaa kare izaa-kushi kaa daur bahaar-e-hayaat hai dil apnaa gul-faroshi-e-daagh-e-jafaa kare kuchh ikhtiyaar bhi hai jo majburiyaan hain kuchh is kashmakash mein kahiye to insaan kyaa kare pahunche ye arsh par bhi to parvaa na ho unhein kahiye to naala meraa rasaa ho ke kyaa kare aah-e-falak-rasaa se to kuchh bhi na ho sakaa shaayad ki kuchh bulandi-e-dast-e-duaa kare majburi-e-atam mein hai zor ikhtiyaar kaa jo kaam mujh se ho na sake vo khudaa kare quraan mein likhaa hai jo laa-taqnatu sarih zauq-e-nigaah kahiye to kyunkar khataa kare kyon chheDein shokhiyaan dil-e-shorish-pasand ko kyon baiThe baiThe koi qayaamat bapaa kare phir daam mein phansungaa ki main said-e-shauq huun sayyaad mashq ke liye mujh ko rihaa kare lab aashnaa-e-aarzu-e-dil kabhi na ho aur maajraa-e-ishq kaa qissa huaa kare 'bedil' jo mast ho khabar-e-fasl-e-gul se vo daavaa-e-paarsaai-e-be-sarfa kyaa kare"
"kyon kahaa paas tire aaina-e-dil na rahe kyaa ye khvaahish hai koi teraa muqaabil na rahe taalib-e-dard ko matlub hai saamaan-e-tapish nashtar-e-gham rahe pahlu mein agar dil na rahe un ki ye zid hai niraali ki mire siine mein dil-e-vaarafta rahe aarzu-e-dil na rahe haath bismil ne baDhaayaa hai lipaT jaane ko ki kafan ban ke rahe daaman-e-qaatil na rahe rahrav-e-raah-e-mohabbat ko hidaayat ye hai jaada-paimaai rahe hasrat-e-manzil na rahe khaana-e-dil mein utarne kaa ye matlab Thahraa mehmaan ban ke rahe khanjar-e-qaatil na rahe qatl-e-ushshaaq se qaatil kaa ye matlab to nahin ghaayat-e-ishq-o-vafaa uqda-e-mushkil na rahe de ke jaan is liye letaa huun sukun-e-khaatir daaimi ban ke rahe daulat-e-aajil na rahe kyon khafaa hote ho divaanon ki khvaahish ye hai naghma-e-ishq bane shor-e-salaasil na rahe nazr-e-gham is liye ki jaan-e-hazin 'bedil' ne us ki gardan pe kahin minnat-e-qaatil na rahe"
"saaqi phir aaya saaghar-e-sahbaa liye hue yaa meri zindagi kaa sahaaraa liye hue aankhon mein hain vo chashma-e-sahbaa liye hue yaa aab-e-zindagi ke hain dariyaa liye hue baiThaa huun intizaar mein ik hila-ju ke phir rag-rag mein iztiraab ki duniyaa liye hue tajdid-e-vaada phir hui tamhid-e-iztiraab phir khirman-e-umid hai shoala liye hue nazr-e-nigaah-e-nargis-e-mastaana ho gayaa aaya thaa shaikh khirqa-e-taqvaa liye hue meraa sukut matlab-e-be-lafz ho to ho main aauun aur arz-e-tamannaa liye hue is tarah us ki bazm se dil le chalaa huun main jis tarah koi jaae janaaza liye hue phir kar rahaa huun ghaur vajuhaat-e-ishq par us paikar-e-jamaal kaa naqsha liye hue zaalim kaa har sitam hai tavajjoh ki ik dalil us ki jafaa vafaa kaa hai naqsha liye hue phir jaa rahaa hai 'bedil'-e-afsurda dekhiye ghaarat-gar-e-sukun ki tamanna liye hue"
"doston ko yuun sataanaa chhoD de dushmanon kaa dil baDhaanaa chhoD de tum hi duniyaa bhi miri ho diin bhi kyaa hai gar saaraa zamaana chhoD de haal-e-dil kahnaa jo chaahaa ye kahaa be-sar-o-paa ye fasaana chhoD de bazm-e-dushman mein vo jaa kar luT gae rahzan aur aisaa khazaanaa chhoD de sharm kar ai dil taghaaful us kaa dekh ab bhi haal-e-dil sunaanaa chhoD de taab-e-nazzaara se khud mahrum hain aashiqon se munh chhupaanaa chhoD de us ko main parda-nashin samjhun agar meri nazron mein samaanaa chhoD de tund mai aur saaqiyaa vo shoala-khu aag paani mein lagaanaa chhoD de daagh-e-dil bulbul ko hai rashk-e-bahaar kyon khizaan mein chahchahaanaa chhoD de kyon jiye kyunkar jiye 'bedil' agar mahvashon se dil lagaanaa chhoD de"
"dekhne vaale ye bole chashm-haa-e-yaar ke ye to mastaane hain shaayad khaana-e-khammaar ke dil miraa shaayad hai shaidaaon mein tir-e-yaar ke zakhm-haa-e-dil mushaabah hain lab-e-sofaar ke paar utaaraa bahr-e-naa-paidaa-kanaar-e-ishq se sadqe jaaun kyon na teri tegh-e-langar-daar ke uTh sakaa hargiz kisi surat na teraa naa-tavaan dab gayaa jo niche tere saaya-e-divaar ke kyaa khabar us ko ki kab raat aai aur kab din gayaa roz-o-shab yaksaan hain aage chashm-e-shab-bedaar ke jaan-fazaai gham-rubaai dilkashi farhat-dahi hain khavaas-e-khaas ye khaak-e-dar-e-dildaar ke jo dikhaa de jalva ru-e-shaahid-e-maqsud kaa sadqe saaqi is sharaab-e-aaina-kirdaar ke ishq mein us but ke rahbaan-o-shuyukh-o-barhaman hain ye sab ke sab muqayyad rishta-e-zunnaar ke bole behtar hai husul-e-aarzu se aarzu vaah sadqe jaaiye is pahlu-e-inkaar ke gham uThaanaa zulm sahnaa sabr karnaa yaa ki shukr kaun hai husn-e-amal laaeq tiri sarkaar ke kyon na main samjhun ki mujh ko mil gai daad-e-sukhan vo bahut shaaeq hain ai 'bedil' mire ashaar ke"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"