"tire karam ko tiri be-rukhi ko dekhaa hai mili hai maut kabhi zindagi ko dekhaa hai vo jis mein duub ke rah jaae chaDhtaa suraj bhi rah-e-hayaat mein us tirgi ko dekhaa hai sivaae ruuh ki ik tishnagi ke kuchh na milaa bahut qarib se jab zindagi ko dekhaa hai na jaane kitne diye bujh gae hain tab jaa kar nai sahar ko nai raushni ko dekhaa hai kabhi kisi ki vafaaon pe shak nahin kartaa vo shakhs jis ne miri bebasi ko dekhaa hai ye dair hai vo haram is se kyaa gharaz mujh ko har ek ruup mein main ne usi ko dekhaa hai kabhi kisi ki bhi bechaargi pe mat hansiye ye vo maqaam hai jis par sabhi ko dekhaa hai ham aashnaa hain nazaakat se vaqt ki 'gulshan' ki ham ne chaDhti utarti nadi ko dekhaa hai"
zindagi jitne tire chaahne vaale honge — Gulshan Barelvi
"zindagi jitne tire chaahne vaale honge ik na ik din vo kisi gham ke havaale honge shart ye hai ki koi sham’-e-tamannaa na jale raah-e-masti mein har ik samt ujaale honge jis par ai dost tiri chashm-e-'inaayat hogi us ke andaaz hi duniyaa se niraale honge ham ne sochaa bhi nahin thaa ki bichhaD kar un se raahat-e-jaan to alag jaan ke laale honge us ki nazrein hi bataa sakti hain sachchi qimat jis ne moti tah-e-dariyaa se nikaale honge ham ko maa'lum na thi rasm-e-mohabbat ai dost joDne vaale hi dil toDne vaale honge jin maqaamaat pe ham un se mile the 'gulshan' ik na ik din vahaan taa'mir shivaale honge"
زندگی جتنے ترے چاہنے والے ہوں گے اک نہ اک دن وہ کسی غم کے حوالے ہوں گے شرط یہ ہے کہ کوئی شمع تمنا نہ جلے راہ مستی میں ہر اک سمت اجالے ہوں گے جس پر اے دوست تری چشم عنایت ہوگی اس کے انداز ہی دنیا سے نرالے ہوں گے ہم نے سوچا بھی نہیں تھا کہ بچھڑ کر ان سے راحت جاں تو الگ جان کے لالے ہوں گے اس کی نظریں ہی بتا سکتی ہیں سچی قیمت جس نے موتی تہ دریا سے نکالے ہوں گے ہم کو معلوم نہ تھی رسم محبت اے دوست جوڑنے والے ہی دل توڑنے والے ہوں گے جن مقامات پہ ہم ان سے ملے تھے گلشنؔ اک نہ اک دن وہاں تعمیر شوالے ہوں گے
ज़िंदगी जितने तिरे चाहने वाले होंगे इक न इक दिन वो किसी ग़म के हवाले होंगे शर्त ये है कि कोई शम’-ए-तमन्ना न जले राह-ए-मस्ती में हर इक सम्त उजाले होंगे जिस पर ऐ दोस्त तिरी चश्म-ए-'इनायत होगी उस के अंदाज़ ही दुनिया से निराले होंगे हम ने सोचा भी नहीं था कि बिछड़ कर उन से राहत-ए-जाँ तो अलग जान के लाले होंगे उस की नज़रें ही बता सकती हैं सच्ची क़ीमत जिस ने मोती तह-ए-दरिया से निकाले होंगे हम को मा'लूम न थी रस्म-ए-मोहब्बत ऐ दोस्त जोड़ने वाले ही दिल तोड़ने वाले होंगे जिन मक़ामात पे हम उन से मिले थे 'गुलशन' इक न इक दिन वहाँ ता'मीर शिवाले होंगे

More by Gulshan Barelvi
View all →"sukhon mein chaahe dukhon mein miri hayaat rahe hai aarzu mire haathon mein teraa haath rahe tumhaaraa pyaar jo meraa charaagh-e-raah bane to koi fikr nahin din rahe ki raat rahe anaa ki baat agar hai to koi hal DhunDo tumhaari zid bhi ho puuri miri bhi baat rahe nadi ke jaise kinaare kabhi nahin milte yunhi kuchh apne muqaddar ke kaaghzaat rahe rah-e-hayaat mein kyunkar na pesh pesh mile vo shakhs jis pe tiri chashm-e-iltifaat rahe main un se tark-e-ta'alluq bhalaa karun kaise jo log ranj-o-musibat mein mere saath rahe tiri talaash mein tujh ko to paa sake na magar tamaam 'umr asir-e-tahayyuraat rahe diyaa ik aisaa jalaao ujaale mein jis ke na qaid-e-mazhab-o-millat na zaat-paat rahe khushi na gham se alag hai na gham khushi se alag miri hayaat ke 'gulshan' ye tajrabaat rahe"
"ik sahraa thaa bas paani kahin thaa na havaa thi bin tere hayaat apni baDi sakht sazaa thi ye sham'-e-mohabbat to kabhi bujhti nahin hai main soch rahaa huun ki kahaan meri khataa thi aisaa nahin duniyaa thi hamesha hi se aisi vo daur bhi thaa jis mein mohabbat thi vafaa thi di vaqt ne dastak to mire dar pe kai baar dar jis ne na kholaa vo miri apni anaa thi aasaan na thaa yuun rah-e-hasti se guzarnaa kyaa jaaniye kis kis ki mire saath du'aa thi ham jis ko samajh baiThe the ai dost taghaaful sunte hain ki us shokh ki vo khaas adaa thi yunhi nahin allaah pe laae hain yaqin log insaan ke haathon mein fanaa thi na baqaa thi varna to ye mumkin hi nahin thaa kabhi 'gulshan' lagtaa hai tabaahi mein miri un ki razaa thi"
"hadd-e-nigaah dhuup si bikhri hui lagi tere baghair ek sazaa zindagi lagi sochaa thaa main ne hans ke guzar jaaungaa magar chalne pe raah ziist ki kaanTon bhari lagi duniyaa hasin hai is ki har ik shai hasin magar dil ko bhali lagi to tiri saadgi lagi us kaa vujud ho gayaa mahsus jis ghaDi ghar ki har ek chiiz mahakti hui lagi vo talkhi-e-qazaa ho ki rangini-e-hayaat sab mein tiri nigaah ki jaadugari lagi kahte hain log bevafaa us ko magar mujhe kuchh apne pyaar apni vafaa mein kami lagi jaise ki shab ke saath juDi rahti hai sahar ranj-o-khushi mein bhi yunhi vaabastagi lagi tu yuun basaa huaa hai dil-o-zehn mein mire jis bazm mein gayaa mujhe mahfil tiri lagi nazrein churaa ke jaate use aaj dekh kar qadmon tale zamin sarakti hui lagi aisi hai kyaa ki jaan hi paayaa na main use hasti bas ek khvaab to kyaa khvaab si lagi 'gulshan' vo jis ghaDi se mire ham-safar hue har raah zindagi ki chamakti hui lagi"
"falak pe barq chamakti ki chaandni hoti kisi tarah to mire ghar mein raushni hoti bachaa liyaa hai mujhe khud-kushi se logon ne vagarna shahr mein kal subh sansani hoti main kah rahaa thaa na sonaa uchhaalte chaliye kahaa to maante hargiz na rahzani hoti bigaD gai hai to sab ungliyaan uThaate hain na kahtaa kuchh bhi koi baat agar bani hoti ye taar taar libaada liye hi kyon phirtaa jo mere ghar mein kahin koi algani hoti to main bhi chaandi ke sikkon mein khud ko tulvaataa mujhe jo raah mohabbat ki chhoDni hoti malaal ye hai vo bin baat ruThe baiThe hain vo baat alag thi agar kuchh kahaa suni hoti jo chaahtaa thaa main 'gulshan' vo mil bhi saktaa thaa agar zabaan mein thoDi si chaashni hoti"
"ye zamin achchhi lagi ye aasmaan achchhaa lagaa saath jab tak tum rahe saaraa jahaan achchhaa lagaa thi havaaon mein mahak us ke badan ki har taraf fasl-e-gul achchhi lagi daur-e-khizaan achchhaa lagaa us se milne ki lalak mein ji rahaa huun aaj tak varna be-maqsad safar tanhaa kahaan achchhaa lagaa jo kahaa us ne saraasar jhuuT thaa sach hai magar mutmain main thaa ki andaaz-e-bayaan achchhaa lagaa mukhtalif mulkon se qaumein aaiin aa kar bas gaiin kuchh to hai hi jo unhein hindostaan achchhaa lagaa shaikh masjid mein barahman dair mein main mai-kade subh tak sab the vahaan jis ko jahaan achchhaa lagaa dosto sach sach bataanaa khaak to main ho gayaa kyaa tumhein ghar se mire uThtaa dhuaan achchhaa lagaa dushman-e-jaan us ko kahtaa hai to koi bevafaa jaane kyon 'gulshan' mujhe vo jaan-e-jaan achchhaa lagaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"