SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAmjad Islam Amjad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye havaa rakhnaa raushan diyaa raat jab tak rahe ai mire ham-navaa rakhnaa raushan diyaa raushni kaa vazifa nahin vo chale raasta dekh kar vo to aazaad hai misl-e-mauj-e-sabaa rakhnaa raushan diyaa raat kaisi bhi ho khauf ke chor ki ghaat kaisi bhi ho apni ummid kaa apne vishvaas kaa rakhnaa raushan diyaa shab ki be-ant zulmat se laD sakti hai ek nannhi si lau raah bhule huon ko hai baang-e-daraa rakhnaa raushan diyaa aashnaa ki sadaa ghup-andhere mein ban jaati hai raushni is shab-e-taar mein apni aavaaz kaa rakhnaa raushan diyaa raushni ki shariat mein roz-e-azal se yahi darj hai jot se jot jalti rahegi sadaa rakhnaa raushan diyaa mujh se 'amjad' kahaa jhilmilaate hue akhtar-e-shaam ne us ko aanaa hi hai vo zarur aaegaa rakhnaa raushan diyaa"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"auron kaa thaa bayaan to mauj sadaa rahe khud umr bhar asir-e-lab-e-muddaaa rahe misl-e-habaab bahr-e-gham-e-haadsaat mein ham zer-e-baar-e-minnat-e-aab-o-havaa rahe ham us se apni baat kaa maangein agar javaab lahron kaa pech-o-kham vo khaDaa dekhtaa rahe aayaa to apni aankh bhi apni na ban saki ham sochte the us se kabhi saamnaa rahe gulshan mein the to raunaq-e-rang-e-chaman bane jangal mein ham amaanat-e-baad-e-sabaa rahe surkhi bane to khun-e-shahidaan kaa rang the raushan hue to mashal-e-raah-e-baqaa rahe 'amjad' dar-e-nigaar pe dastak hi dijiye is be-karaan sukut mein kuchh ghalghala rahe"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"dar-e-kaaenaat jo vaa kare usi aagahi ki talaash hai mujhe raushni ki talaash thi mujhe raushni ki talaash hai gham-e-zindagi ke fishaar mein tiri aarzu ke ghubaar mein isi be-hisi ke hisaar mein mujhe zindagi ki talaash hai ye jo sarsari si nashaat hai ye to chand lamhon ki baat hai miri ruuh tak jo utar sake mujhe us khushi ki talaash hai ye jo aag si hai dabi dabi nahin dosto mire kaam ki vo jo ek aan mein phunk de usi shoalagi ki talaash hai ye jo saakhta se hain qahqahe mire dil ko lagte hain bojh se vo jo apne aap mein mast hon mujhe us hansi ki talaash hai ye jo mel-jol ki baat hai ye jo majlisi si hayaat hai mujhe us se koi gharaz nahin mujhe dosti ki talaash hai"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"tashhir apne dard ki har su karaaiye ji chaahtaa hai minnat-e-tiflaan uThaaiye khushbu kaa haath thaam ke kiije talaash-e-rang paanv ke naqsh dekh ke rasta banaaiye phir aaj pattharon se mulaaqaat kijiye phir aaj sath-e-aab pe chehre banaaiye har inkishaaf dard ke parde mein aaegaa gar ho sake to khud se bhi khud ko chhupaae phulon kaa raasta nahin yaaro miraa safar paanv aziiz hain to abhi luuT jaaiye kab tak hinaa ke naam pe dete rahein lahu kab tak nigaar-e-dard ko dulhan banaaiye 'amjad' mataa-e-umr zaraa dekh-bhaal ke aisaa na ho ki baad mein aansu bahaaiye"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"duriyaan simaTne mein der kuchh to lagti hai ranjishon ke miTne mein der kuchh to lagti hai hijr ke doraahe par ek pal na Thahraa vo raaste badalne mein der kuchh to lagti hai aankh se na haTnaa tum aankh ke jhapakne tak aankh ke jhapakne mein der kuchh to lagti hai haadisa bhi hone mein vaqt kuchh to letaa hai bakht ke bigaDne mein der kuchh to lagti hai khushk bhi na ho paai raushnaai harfon ki jaan-e-man mukarne mein der kuchh to lagti hai fard ki nahin hai ye baat hai qabile ki gir ke phir sambhalne mein der kuchh to lagti hai dard ki kahaani ko ishq ke fasaane ko daastaan banne mein der kuchh to lagti hai dastakein bhi dene par dar agar na khultaa ho siDhiyaan utarne mein der kuchh to lagti hai khvaahishein parindon se laakh milti-julti hon dost par nikalne mein der kuchh to lagti hai umr-bhar ki mohlat to vaqt hai taaaruf kaa zindagi samajhne mein der kuchh to lagti hai rang yuun to hote hain baadalon ke andar hi par dhanak ke banne mein der kuchh to lagti hai un ki aur phulon ki ek si ridaaein hain titliyaan pakaDne mein der kuchh to lagti hai zalzale ki surat mein ishq vaar kartaa hai sochne samajhne mein der kuchh to lagti hai bhiiD vaqt leti hai rahnumaa parakhne mein kaarvaan banne mein der kuchh to lagti hai ho chaman ke phulon kaa yaa kisi pari-vash kaa husn ke sanvarne mein der kuchh to lagti hai mustaqil nahin 'amjad' ye dhuaan muqaddar kaa lakDiyaan sulagne mein der kuchh to lagti hai"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"kabhi raqs-e-shaam-e-bahaar mein use dekhte kabhi khvaahishon ke ghubaar mein use dekhte magar ek najm-e-sahar-numaa kahin jaagtaa tire hijr ki shab-e-taar mein use dekhte vo thaa ek aks-e-gurez-paa so nahin rukaa kaTi umr dasht o dayaar mein use dekhte vo jo bazm mein rahaa be-khabar koi aur thaa shab-e-vasl mere kanaar mein use dekhte jo azal ki lauh pe naqsh thaa vahi aks thaa kabhi aap qarya-e-daar mein use dekhte vo jo kaaenaat kaa nuur thaa nahin duur thaa magar apne qurb-o-javaar mein use dekhte yahi ab jo hai yahaan naghma-khvaan yahi khush-bayaan kisi shaam ku-e-nigaar mein use dekhte"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"band thaa darvaaza bhi aur agar mein bhi tanhaa thaa main vahm thaa jaane miraa yaa aap hi bolaa thaa mein yaad hai ab tak mujhe vo bad-havaasi kaa samaan tere pahle khat ko ghanTon chumtaa rahtaa thaa main raaston par tirgi ki ye faraavaani na thi is se pahle bhi tumhaare shahr mein aayaa thaa main meri ungli par hain ab tak mere daanton ke nishaan khvaab hi lagtaa hai phir bhi jis jagah baiThaa thaa main aaj 'amjad' vahm hai mere liye jis kaa vajud kal usi kaa haath thaame ghumtaa phirtaa thaa main"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"daam-e-khushbu mein giraftaar sabaa hai kab se lafz izhaar ki uljhan mein paDaa hai kab se ai kaDi chup ke dar o baam sajaane vaale muntazir koi sar-e-koh-e-nidaa hai kab se chaand bhi meri tarah husn-shanaasaa niklaa us ki divaar pe hairaan khaDaa hai kab se baat kartaa huun to lafzon se mahak aati hai koi anfaas ke parde mein chhupaa hai kab se shobada-baazi-e-aaina-e-ehsaas na puchh hairat-e-chashm vahi shokh qabaa hai kab se dekhiye khuun ki barsaat kahaan hoti hai shahr par chhaai hui surkh ghaTaa hai kab se kor-chashmon ke liye aaina-khaana maalum varna har zarra tiraa aks-numaa hai kab se khoj mein kis ki bharaa shahr lagaa hai 'amjad' DhunDti kis ko sar-e-dasht havaa hai kab se"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"apne hone ki tab-o-taab se baahar na hue ham hain vo siip jo aazaada-e-gauhar na hue harf-e-be-saut ki maanind rahe duniyaa mein dasht-e-imkaan mein khule naqsh-e-musavvir na hue phuul ke rang sar-e-shaakh-e-khizaan bhi chamke qaidi-e-rasm-e-chaman khaak ke jauhar na hue thak ke girte bhi nahin ghar ko palaTte bhi nahin najm-e-aflaak hue aas ke taair na hue us ki galiyon mein rahe gard-e-safar ki surat sang-e-manzil na bane raah kaa patthar na hue apni naakaam umidon ke kham-o-pech mein gum abr-e-kam-aab the ham rizq-e-samundar na hue"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"palkon ki dahliz pe chamkaa ek sitaaraa thaa saahil ki is bhiiD mein jaane kaun hamaaraa thaa kohsaaron ki guunj ki surat phail gayaa hai vo main ne apne-aap mein chhup kar jise pukaaraa thaa sar se guzarti har ik mauj ko aise dekhte hain jaise is girdaab-e-fanaa mein yahi sahaaraa thaa hijr ki shab vo niili aankhein aur bhi niili thiin jaise us ne apne sar se bojh utaaraa thaa jis ki jhilmiltaa mein tum ne mujh ko qatl kiyaa patjhaD ki us raat vo sab se raushan taaraa thaa tark-e-vafaa ke baad milaa to jab maalum huaa is mein kitne rang the us ke kaun hamaaraa thaa kaun kahaan par jhuTaa niklaa kyaa batlaate ham duniyaa ki tafrih thi is mein hamein khasaaraa thaa jo manzil bhi raah mein aai dil kaa bojh bani vo us ki taabir na thi jo khvaab hamaaraa thaa ye kaisi aavaaz hai jis ki zinda guunj huun main subh-e-azal mein kis ne 'amjad' mujhe pukaaraa thaa"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"jab bhi aankhon mein tire vasl kaa lamha chamkaa chashm-e-be-aab ki dahliz pe dariyaa chamkaa fasl-e-gul aai khule baagh mein khushbu ke alam dil ke saahil pe tire naam kaa taaraa chamkaa 'aks be-naqsh hue aaine dhundlaane lage dard kaa chaand sar-e-baam-e-tamannaa chamkaa rang aazaad hue gul ki girah khulte hi ek lamhe mein 'ajab baagh kaa chehraa chamkaa pairahan mein bhi tiraa husn na thaa hashr se kam jab khule band-e-qabaa aur hi naqsha chamkaa dil ki divaar pe uDte rahe malbus ke rang der tak un mein tiri yaad kaa saayaa chamkaa ruuh ki aankh chakaa-chaund hui jaati hai kis ki aahaT kaa mire kaan mein naghma chamkaa lahrein uTh uTh ke magar us kaa badan chumti thiin vo jo paani mein gayaa khuub hi dariyaa chamkaa hijr panpaa na tiraa vasl hamein raas aayaa kisi maidaan mein taaraa na hamaaraa chamkaa jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaan 'amjad' aankh jab khushk hui aur vo chehraa chamkaa"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"na aasmaan se na dushman ke zor o zar se huaa ye mo'jiza to mire dast-e-be-hunar se huaa qadam uThaa hai to paanv tale zamin hi nahin safar kaa ranj hamein khvaahish-e-safar se huaa main bhiig bhiig gayaa aarzu ki baarish mein vo 'aks 'aks mein taqsim chashm-e-tar se huaa siyaahi shab ki na chehron pe aa gai ho kahin sahar kaa khauf hamein aainon ke Dar se huaa koi chale to zamin saath saath chalti hai ye raaz ham pe 'ayaan gard-e-rahguzar se huaa tire badan ki mahak hi na thi to kyaa rukte guzar hamaaraa kai baar yuun to ghar se huaa kahaan pe soe the 'amjad' kahaan khulin aankhein gumaan qafas kaa hamein apne baam-o-dar se huaa"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"aankhon se ik khvaab guzarne vaalaa hai khiDki se mahtaab guzarne vaalaa hai sadiyon ke in khvaab-gazida shahron se mahr-e-aalam-taab guzarne vaalaa hai jaadugar ki qaid mein the jab shahzaade qisse kaa vo baab guzarne vaalaa hai sannaaTe ki dahshat baDhti jaati hai basti se sailaab guzarne vaalaa hai dariyaaon mein ret uDegi sahraa ki sahraa se girdaab guzarne vaalaa hai maulaa jaane kab dekheinge aankhon se jo mausam shaadaab guzarne vaalaa hai hasti 'amjad' divaane kaa khvaab sahi ab to ye bhi khvaab guzarne vaalaa hai"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"dar-e-kaaenaat jo vaa kare usi aagahi ki talaash hai mujhe raushni ki talaash thi mujhe raushni ki talaash hai gham-e-zindagi ke fishaar mein tiri aarzu ke ghubaar mein isi be-hisi ke hisaar mein mujhe zindagi ki talaash hai ye jo sarsari si nashaat hai ye to chand lamhon ki baat hai miri ruuh tak jo utar sake mujhe us khushi ki talaash hai ye jo aag si hai dabi dabi nahin dosto mire kaam ki vo jo ek aan mein phunk de usi shoalagi ki talaash hai ye jo saakhta se hain qahqahe mire dil ko lagte hain bojh se vo jo apne aap mein mast ho mujhe us hansi ki talaash hai ye jo mel-jol ki baat hai ye jo majlisi si hayaat hai mujhe is se koi gharaz nahin mujhe dosti ki talaash hai"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"shaam Dhale jab basti vaale lauT ke ghar ko aate hain aahaT aahaT dastak dastak kyaa kyaa ham ghabraate hain ahl-e-junun to dil ki sadaa par jaan se apni jaa bhi chuke ahl-e-khirad ab jaane ham ko kyaa samjhaane aate hain jaise rail ki har khiDki ki apni apni duniyaa hai kuchh manzar to ban nahin paate kuchh pichhe rah jaate hain jis ki har ik iinT mein jazb hain un ke apne hi aansu vaae ki ab vo ahl-e-duaa hi is mehraab ko Dhaate hain aaj ki shab to kaT hi chali hai khvaabon aur saraabon mein aane vaale din ab dekhein kyaa manzar dikhlaate hain saari umr hi dil se apnaa aisaa kuchh bartaav rahaa jaise khel mein haarne vaale bachche ko bahlaate hain naa-mumkin ko mumkin 'amjad' ahl-e-vafaa kar sakte hain paani aur havaa par dekho kyaa kyaa naqsh banaate hain"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad
Quote
"agarche koi bhi andhaa nahin thaa likhaa divaar kaa paDhtaa nahin thaa kuchh aisi barf thi us ki nazar mein guzarne ke liye rasta nahin thaa tumhi ne kaun si achchhaai ki hai chalo maanaa ki main achchhaa nahin thaa khuli aankhon se saari umr dekhaa ik aisaa khvaab jo apnaa nahin thaa main us ki anjuman mein thaa akelaa kisi ne bhi mujhe dekhaa nahin thaa sahar ke vaqt kaise chhoD jaataa tumhaari yaad thi sapnaa nahin thaa khaDi thi raat khiDki ke sirhaane dariche mein vo chaand utraa nahin thaa dilon mein girne vaale ashk chuntaa kahin ik jauhari aisaa nahin thaa kuchh aisi dhuup thi un ke saron par khudaa jaise gharibon kaa nahin thaa abhi harfon mein rang aate kahaan se abhi main ne use likkhaa nahin thaa thi puuri shakl us ki yaad mujh ko magar main ne use dekhaa nahin thaa barahna khvaab the suraj ke niche kisi ummid kaa pardaa nahin thaa hai 'amjad' aaj tak vo shakhs dil mein ki jo us vaqt bhi meraa nahin thaa"
Amjad Islam AmjadAmjad Islam Amjad