SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKaleem Aajiz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab sabaa aai idhar zikr-e-bahaar aa hi gayaa yaad ham ko inqalaab-e-rozgaar aa hi gayaa kis liye ab jabr ki taklif farmaate hain aap banda-parvar main to zer-e-ikhtiyaar aa hi gayaa laala-o-gul par jo guzri hai guzarne dijiye aap ko to mehrbaan lutf-e-bahaar aa hi gayaa dahr mein rasm-e-vafaa badnaam ho kar hi rahi ham bachaate hi rahe daaman ghubaar aa hi gayaa hans ke bole ab tujhe zanjir ki haajat nahin un ko meri bebasi kaa e'tibaar aa hi gayaa shikva-sanji apni aadat mein nahin daakhil magar dil dukhaa to lab pe harf-e-naagavaar aa hi gayaa"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"zakhmon ke nae phuul khilaane ke liye aa phir mausam-e-gul yaad dilaane ke liye aa masti liye aankhon mein bikhere hue zulfein aa phir mujhe divaana banaane ke liye aa ab lutf isi mein hai mazaa hai to isi mein aa ai mire mahbub sataane ke liye aa aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyaan apni dil baansuri teri hai bajaane ke liye aa haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa maanaa ki mire ghar se adaavat hi tujhe hai rahne ko na aa aag lagaane ke liye aa pyaare tiri surat se bhi achchhi hai jo tasvir main ne tujhe rakkhi hai dikhaane ke liye, aa aashufta kahe hai koi divaana kahe hai main kaun huun duniyaa ko bataane ke liye aa kuchh roz se ham shahr mein rusvaa na hue hain aa phir koi ilzaam lagaane ke liye aa ab ke jo vo aa jaae to 'aajiz' use le kar mahfil mein ghazal apni sunaane ke liye aa"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"yahi bekasi thi tamaam shab usi bekasi mein sahar hui na kabhi chaman mein guzar huaa na kabhi gulon mein basar hui ye pukaar saare chaman mein thi vo sahar hui vo sahar hui mire aashiyaan se dhuaan uThaa to mujhe bhi is ki khabar hui mujhe kyaa agar tire dosh se tiri zulf taa-ba-kamar hui ki main aisaa khaana-kharaab huun kabhi chhaanv mein na basar hui tujhe fakhr apne sitam pe hai ki asaa-e-raah-numaa banaa mujhe naaz apni vafaa pe hai ki charaagh-e-raahguzar hui main tiri balaa se ujaD gayaa tiraa hausla to nikal gayaa ye baDi khushi kaa maqaam hai ki ye iid bhi tire ghar hui"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"judaa jab tak tiri zulfon se pech-o-kham nahin honge sitam duniyaa mein baDhte hi raheinge kam nahin honge Dil-e-pur-gham na honge dida-e-pur-nam nahin honge andheraa hogaa us mahfil mein jis mein ham nahin honge dilaase un ke jo dard-aashnaa-e-gham nahin honge namak hi honge dil ke zakhm par marham nahin honge agar baDhtaa rahaa yunhi ye saudaa-e-sitamgaari tumhi rusvaa sar-e-baazaar hoge ham nahin honge janaab-e-shaikh par afsos hai ham ne to samjhaa thaa haram ke rahne vaale aise naa-mahram nahin honge idhar aao tumhaari zulf ham aaraasta kar dein jo gesu ham sanvaareinge kabhi barham nahin honge agarche 'ishq mein marne kaa khatra hi ziyaada hai magar marne ke Dar se marne vaale kam nahin honge"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"baDi talab thi baDaa intizaar dekho to bahaar laai hai kaisi bahaar dekho to ye kyaa huaa ki salaamat nahin koi daaman chaman mein phuul khile hain ki khaar dekho to lahu dilon kaa charaaghon mein kal bhi jaltaa thaa aur aaj bhi hai vahi kaarobaar dekho to yahaan har ik rasan-o-daar hi dikhaataa hai ajiib shahr ajiib shahryaar dekho to na koi shaana bachaa hai na koi aaina daraaz-dasti-e-gesu-e-yaar dekho to kisi se pyaar nahin phir bhi pyaar hai sab se vo mast-e-husn hai kyaa hoshiyaar dekho to vo chup bhi baiThe hai to aisaa ban ke baiThe hai har ik adaa ye kahe hai pukaar dekho to abhi to khuun kaa sindur hi lagaayaa hai abhi kare hai vo kyaa kyaa singaar dekho to adaa hamin ne sikhaai nazar hamin ne di hamin se aankh churaao ho yaar dekho to asiir kar ke hamein kyaa phire hai itraataa gale mein Daale vo phulon kaa haar dekho to"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"qaaem hai surur-e-mai-e-gulfaam hamaaraa kyaa gham hai agar TuuT gayaa jaam hamaaraa itnaa bhi kisi dost kaa dushman na ho koi taklif hai un ke liye aaraam hamaaraa phulon se mohabbat hai taqaazaa-e-tabiat kaanTon se ulajhnaa to nahin kaam hamaaraa bhule se koi naam vafaa kaa nahin letaa duniyaa ko abhi yaad hai anjaam hamaaraa ghair aa ke bane hain sabab-e-raunaq-e-mahfil ab aap ki mahfil mein hai kyaa kaam hamaaraa mausam ke badalte hi badal jaati hain aankhein yaaraan-e-chaman bhuul gae naam hamaaraa"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"badli si apni aaankhon mein chhaai hui si hai bhuli hui si yaad phir aai hui si hai mat haath rakh sulagte kaleje pe ham-nashin ye aag dekhne mein bujhaai hui si hai letaa huun saans bhi to bhaTaktaa hai tan-badan rag rag mein ek nok samaai hui si hai be-saakhta kahe hai jo dekhe hai zakhm-e-dil ye choT to unhin ki lagaai hui si hai muddat hui jalaai gai shaakh-e-aashiyaan ab tak isi tarah se jalaai hui si hai jo in ki baat hai vahi meri ghazal ki baat lekin zaraa ye baat banaai hui si hai chheDi ghazal jo tum ne to aisaa lagaa 'kalim' khushbu kisi ki zulf ki aai hui si hai"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"zindagi maail-e-fariyaad-o-fughaan aaj bhi hai kal bhi thaa siine pe ik sang-e-giraan aaj bhi hai dil-e-afsurda ko pahlu mein liye baiThe hain bazm mein majmaa-e-khasta-jigaraan aaj bhi hai talkhi-e-koh-kani kal bhi miraa hissa thaa jaam-e-shirin ba-nasib-e-digaraan aaj bhi hai zakhm-e-dil ke nahin aasaar ba-zaahir lekin chaara-gar se gila-e-dard-e-nihaan aaj bhi hai aaj bhi garm hai baazaar jafaa-kaaron kaa kal bhi aaraasta thi un ki dukaan aaj bhi hai gosha-e-amn nahin aaj bhi bulbul ko nasib chashm-e-sayyaad bahar-su nigaraan aaj bhi hai aaj bhi zakhm-e-rag-e-gul se Tapaktaa hai lahu khuun mein Duubi hui kaanTon ki zabaan aaj bhi hai zindagi chaunk ke bedaar hui hai lekin chashm-o-dil par asar-e-khvaab-e-giraan aaj bhi hai is taraf jins-e-vafaa ki vahi arzaani hai us taraf ik nigah-e-lutf-e-giraan aaj bhi hai haif kyuun qismat-e-shaaer pe na aae 'aajiz' kal bhi kam-bakht rahaa marsiyaan-khvaan aaj bhi hai"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"ye sitam ki mahfil-e-naaz hai 'kalim' is ko aur sajaae jaa vo dikhaaein raqs-e-sitamgari tu ghazal kaa saaz bajaae jaa jo akaD ke shaan se jaae hai pyaar se ye bataae jaa ki bulandiyon ki hai aarzu tu dilon mein pahle samaae jaa vo jo zakhm dein so qubul hai tire vaaste vahi phuul hai yahi ahl-e-dil kaa usuul hai vo rulaae jaaein tu gaae jaa tiraa sidhaa saa vo bayaan hai tiri TuTi-phuTi zabaan hai tire paas hain yahi Thekre tu mahal inhin se banaae jaa vo jafaa-shiaar o sitam-adaa tu sukhan-taraaz o ghazal-saraa vo tamaam kaanTe ugaaeinge tu tamaam phuul khilaae jaa koi laakh zohra-jabin hai jise chaahein ham vo hasin hai 'kalim' us saraapaa ghurur ko zaraa aaina to dikhaae jaa"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"vaqt ke dar par bhi hai bahut kuchh vaqt ke dar se aage bhi shaam-o-sahar ke saath bhi chaliye shaam-o-sahar se aage bhi aql-o-khirad ke hangaamon mein shauq kaa daaman chhuT na jaae shauq bashar ko le jaataa hai aql-e-bashar se aage bhi daar-o-rasan ki resha-davaani gardan-o-sar tak rahti hai ahl-e-junun kaa paanv rahaa hai gardan-o-sar se aage bhi mere ghar ko aag lagaa kar ham-saayon ko hansne do shoale baDh kar jaa pahuncheinge mere ghar se aage bhi ishq ne raah-e-vafaa samjhaai samjhaane ke baad kahaa vaqt paDaa to jaanaa hogaa raahguzar se aage bhi shaaer fikr-o-nazar kaa maalik dil kaa sultaan ghar kaa faqir duniyaa kaa paamaal qadam bhi duniyaa bhar se aage bhi aankhein jo kuchh dekh rahi hain us se dhokaa khaaein kyaa dil to 'aajiz' dekh rahaa hai hadd-e-nazar se aage bhi"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"gham-e-dil hi gham-e-dauraan gham-e-jaanaana bantaa hai yahi gham sher bantaa hai yahi afsaana bantaa hai isi se garmi-e-daar-o-rasan hai inqilaabon mein bahaaron mein yahi zulf-o-qad-e-jaanaana bantaa hai saron ke khum suraahi gardanon ki jaam zakhmon ke muhayyaa jab ye ho lete hain tab mai-khaana bantaa hai bigaDtaa kyaa hai parvaane kaa jal kar khaak hone mein ki phir parvaane hi ki khaak se parvaana bantaa hai nigaah-e-kam se meri chaak-daamaani ko mat dekho hazaaron hoshyaaron mein koi divaana bantaa hai kharidaa jaa nahin saktaa hai saaqi zarf rindon kaa bahut shishe pighalte hain to ik paimaana bantaa hai mire hi donon haath aate hain kaam un ke sanvarne mein dikhaataa hai koi aaina koi shaana bantaa hai baDaa sarmaaya hai sab kuchh luTaa denaa mohabbat mein faqiraana libaas aate hain dil shaahaana bantaa hai"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"ye shab unhin zulfon ki karaamaat lage hai sunte the ghazal mein ye vahi raat lage hai patthar ki tarah teri har ik baat lage hai dil toD ke naaseh tujhe kyaa haat lage hai jiinaa hi mohabbat mein karaamaat lage hai ji le hai jo marnaa to use baat lage hai ham ne jo diyaa hai vo hamein jaan rahe hain sarmaaya-e-gham muft kahaan haat lage hai aaraam kahaan ahl-e-vafaa ko kisi karvaT ik aag hai siine mein jo din-raat lage hai auron se mohabbat bhi ta'alluq bhi vafaa bhi ham se to kabhi ki na mulaaqaat lage hai"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"dil se ik pal bhi judaa ho ye gavaaraa hi nahin ham ko ab dard se baDh kar koi pyaaraa hi nahin tere gham ne kiyaa ye haal khushi hai is ki ranj is kaa hai ki ye haal hamaaraa hi nahin ham jo marte hain mohabbat mein to marne diije is mein marne ke 'alaava koi chaaraa hi nahin aaj duniyaa mein baDi baat hai izhaar-e-vafaa kyaa karein ham ko ye tauhin gavaaraa hi nahin ye to ik farz thaa ai gesu-e-dauraan apnaa ham ne ujrat ke liye tujh ko sanvaaraa hi nahin aisaa kuchh lutf milaa 'ishq ki mazduri mein dard kaa bojh kabhi sar se utaaraa hi nahin khuub aagaah taqaazaa-e-junun se ham hain kyaa bataaein abhi mausam kaa ishaaraa hi nahin sharm hogi to khud aaegi palaT kar 'aajiz' ham ne jaati hui duniyaa ko pukaaraa hi nahin"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"kyaa gham hai agar shikva-e-gham aam hai pyaare tu dil ko dukhaa teraa yahi kaam hai pyaare tere hi tabassum kaa sahar naam hai pyaare tu khol de gesu to abhi shaam hai pyaare is vaqt tiraa jaan-e-jahaan naam hai pyaare jo kaam tu kar de vo baDaa kaam hai pyaare jab pyaar kiyaa chain se kyaa kaam hai pyaare is mein to taDapne hi mein aaraam hai pyaare chhuTi hai na chuTegi kabhi pyaar ki aadat main khuub samajhtaa huun jo anjaam hai pyaare ai kaash miri baat samajh mein tiri aae meri jo ghazal hai miraa paighaam hai pyaare main huun jahaan sau fikr mein sau ranj mein sau dard tu hai jahaan aaraam hi aaraam hai pyaare go main ne kabhi apni zabaan par nahin laayaa sab jaan rahe hain tiraa kyaa naam hai pyaare ham dil ko lagaa kar bhi khaTakte hain dilon mein tu dil ko dikhaa kar bhi dil-aaraam hai pyaare kahtaa huun ghazal aur rahaa kartaa huun sarshaar meraa yahi shisha hai yahi jaam hai pyaare"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"haqiqaton kaa jalaal deinge sadaaqaton kaa jamaal deinge tujhe bhi ham ai gham-e-zamaana ghazal ke saanche mein Dhaal deinge tapish patingon ko bakhsh deinge lahu charaaghon mein Dhaal deinge ham un ki mahfil mein rah gae hain to un ki mahfil sambhaal deinge na banda-e-aql-o-hosh deinge na ahl-e-fikr-o-khayaal deinge tumhaari zulfon ko jo daraazi tumhaare aashufta-haal deinge ye aql vaale isi tarah se hamein fareb-e-kamaal deinge junun ke daaman se phuul chun kar khirad ke daaman mein Daal deinge hamaari aashuftagi salaamat sulajh hi jaaegi zulf-e-dauraan jo pech-o-kham rah gayaa hai baaqi vo pech-o-kham bhi nikaal deinge janaab-e-shaikh apni fikr kiije ki ab ye farmaan-e-barhaman hai buton ko sajda nahin karoge to but-kade se nikaal deinge"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"ham ko to khair pahunchnaa thaa jahaan tak pahunche jo hamein rok rahe the vo kahaan tak pahunche fasl-e-gul tak rahe yaa daur-e-khizaan tak pahunche baat jab nikli hai munh se to jahaan tak pahunche mere ashaar mein hai husn-e-maaani ki talaash log ab tak na mire dard-e-nihaan tak pahunche mujh ko rahne do mire dard ki lazzat mein khamosh ye vo afsaana nahin hai jo zabaan tak pahunche teri zulfon ki ghani chhaanv kise milti hai kis ki taqdir-e-rasaa hai ki vahaan tak pahunche manzil-e-daar-o-rasan bhi hai rukh-o-zulf ke baad dekhiye shauq hamein le ke kahaan tak pahunche tarjumaan apnaa banaayaa hai mujhe rindon ne kaash aavaaz miri pir-e-mughaan tak pahunche aap ke mashghalaa-e-sher-o-sukhan se 'aajiz' kaam to kuchh na huaa naam jahaan tak pahunche"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"mat buraa us ko kaho garche vo achchhaa bhi nahin vo na hotaa to ghazal main kabhi kahtaa bhi nahin jaantaa thaa ki sitam-gar hai magar kyaa kijiye dil lagaane ke liye aur koi thaa bhi nahin jaisaa be-dard ho vo phir bhi ye jaisaa mahbub aisaa koi na huaa aur koi hogaa bhi nahin vahi hogaa jo huaa hai jo huaa kartaa hai main ne us pyaar kaa anjaam to sochaa bhi nahin haae kyaa dil hai ki lene ke liye jaataa hai us se paimaan-e-vafaa jis pe bharosa bhi nahin baarhaa guftugu hoti rahi lekin miraa naam us ne puchhaa bhi nahin main ne bataayaa bhi nahin tohfa zakhmon kaa mujhe bhej diyaa kartaa hai mujh se naaraaz hai lekin mujhe bhulaa bhi nahin dosti us ki nibah jaae bahut mushkil hai meraa to vaada hai us kaa to iraada bhi nahin mere ashaar vo sun sun ke maze letaa rahaa main usi se huun mukhaatab vo ye samjhaa bhi nahin mere vo dost mujhe daad-e-sukhan kyaa deinge jin ke dil kaa koi hissa zaraa TuuTaa bhi nahin mujh ko bannaa paDaa shaair ki main adnaa gham-e-dil zabt bhi kar na sakaa phuuT ke royaa bhi nahin shaairi jaisi ho 'aajiz' ki bhali ho ki buri ho aadmi achchhaa hai lekin bahut achchhaa bhi nahin"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"miri shaaeri mein na raqs-e-jaam na mai ki rang-fishaaniyaan vahi dukh-bharon ki hikaayatein vahi dil-jalon ki kahaaniyaan ye jo aah-o-naala-o-dard hain kisi bevafaa ki nishaaniyaan yahi mere din ke rafiq hain yahi meri raat ki raaniyaan ye miri zabaan pe ghazal nahin main sunaa rahaa huun kahaaniyaan ki kisi ke ahd-e-shabaab par miTin kaisi kaisi javaaniyaan kabhi aansuon ko sukhaa gaiin mire soz-e-dil ki haraaratein kabhi dil ki naav Dubo gaiin mire aansuon ki ravaaniyaan abhi us ko is ki khabar kahaan ki qadam kahaan hai nazar kahaan abhi maslahat kaa guzar kahaan ki nai nai hain javaaniyaan ye bayaan-e-haal ye guftugu hai miraa nichoDaa huaa lahu abhi sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaaniyaan"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"main rouun huun ronaa mujhe bhaae hai kisi kaa bhalaa is mein kyaa jaae hai dil aae hai phir dil mein dard aae hai yuun hi baat mein baat baDh jaae hai koi der se haath phailaae hai vo naa-mehrbaan aae hai jaae hai mohabbat mein dil jaae gar jaae hai jo khoe nahin hai vo kyaa paae hai junun sab ishaare mein kah jaae hai magar aql ko kab samajh aae hai pukaarun huun lekin na baaz aae hai ye duniyaa kahaan Dubne jaae hai khamoshi mein har baat ban jaae hai jo bole hai divaana kahlaae hai qayaamat jahaan aaegi aaegi yahaan subh aae hai shaam aae hai junun khatm daar-o-rasan par nahin ye rasta bahut duur tak jaae hai"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"talkhiyaan is mein bahut kuchh hain mazaa kuchh bhi nahin zindagi dard-e-mohabbat ke sivaa kuchh bhi nahin shama khaamosh bhi rahte hue khaamosh kahaan is tarah kah diyaa sab kuchh ki kahaa kuchh bhi nahin ham gadaayaan-e-mohabbat kaa yahi sab kuchh hai garche duniyaa yahi kahti hai vafaa kuchh bhi nahin ye nayaa tarz-e-karam hai tiraa ai fasl-e-bahaar le liyaa paas mein jo kuchh thaa diyaa kuchh bhi nahin ham ko maalum na thaa pahle ye aain-e-jahaan us ko dete hain sazaa jis ki khataa kuchh bhi nahin vahi aahein vahi aansu ke do qatre 'aajiz' kyaa tiri shaairi mein in ke sivaa kuchh bhi nahin"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"tujhe sang-dil ye pata hai kyaa ki dukhe dilon ki sadaa hai kyaa kabhi choT tu ne bhi khaai hai kabhi teraa dil bhi dukhaa hai kyaa tu rais-e-shahr-e-sitam-garaan main gadaa-e-kucha-e-aashiqaan tu amiir hai to bataa mujhe main gharib huun to buraa hai kyaa tu jafaa mein mast hai roz-o-shab main kafan-ba-dosh ghazal-ba-lab tire roab-e-husn se chup hain sab main bhi chup rahun to mazaa hai kyaa ye kahaan se aai hai surkh-ru hai har ek jhonkaa lahu lahu kaTi jis mein gardan-e-aarzu ye usi chaman ki havaa hai kyaa"
Kaleem AajizKaleem Aajiz