SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byZeb Ghauri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"koi ghaTaa baalaa-e-baam si lagti hai shaam nahin hai lekin shaam si lagti hai dekhte hi aankhon mein aa jaataa hai surur hinaa tire haathon mein jaam si lagti hai mausam-e-gul bhi baad-e-sabaa bhi hai lekin nikhat-e-gesu mere naam si lagti hai ab main is ko kis gham se taa'bir karun ye shab bhi mujh ko be-naam si lagti hai 'ajab asiri 'ajab hai ye aazaadi bhi khuli fazaa hai lekin daam si lagti hai 'zeb' kivaaDein jab barson ke baa'd khulein taaza havaa bhi ik in'aam si lagti hai"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"kaundh uTThi kabhi bijli kabhi baadal chamkaa khalvat-e-husn kaa har gosha musalsal chamkaa jagmagaati rahi jalvon se tire bazm-e-nigaah kabhi gesu kabhi 'aariz kabhi aanchal chamkaa phuuT nikli kabhi honThon se koi shokh kiran kabhi palkon ki ghani chhaanv mein kaajal chamkaa sail-e-naghmaat mein shab teri sadaa kaa sho'la kabhi ojhal huaa ik pal kabhi ik pal chamkaa gesu-e-shab ke mahakte hue saae ke tale misl-e-aaina tiraa jism jhalaa-jhal chamkaa 'zeb' naghmon ke charaaghaan mein kise hosh thaa kal ik sitaara miri mizhgaan pe musalsal chamkaa"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"raah-guzar ke patthar paani lagne lage lutf-e-safar kyaa jab aasaani lagne lage arz-o-samaa ki gardish soch ke Dar jaaun paanv jamaa luun main vo ravaani lagne lage main ne jidhar bhi us ke havaale se dekhaa saare manzar us ki nishaani lagne lage ik ik harf itnaa dohraayaa phulon ne us ke rang-o-bu ki kahaani lagne lage ek kiran us ke aavezon se phuTi aur dariyaa saahil sab dhaani lagne lage jhaank kar us ki aankhon mein dekhun to mujhe kabhi bahaar kabhi viraani lagne lage kaise chhupaaun dil ke zakhmon ko us se aisi rafaaqat kyaa ki giraani lagne lage itni baasi nazron se mat dekh ki 'zeb' do din mein har chiiz puraani lagne lage"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"hai bahut taaq vo bedaad mein Dar hai ye bhi jaan salaamat na bachaa laaun khatar hai ye bhi dil ki lau phir usi Thahraao pe aa jaaegi ik zaraa der havaaon kaa asar hai ye bhi ju-e-paayaab-e-mohabbat mein javaahir mat DhunDh kisi patthar ko samajh le ki guhar hai ye bhi justuju gauhar-e-maani ki ziyaan vaqt kaa hai kyaa parakhtaa hai unhein sarf-e-nazar hai ye bhi manzilein khatm huiin tark o taalluq ki tamaam ab kisi samt nikal jaa ki safar hai ye bhi ab salaamat kahaan rah paaegaa ye naqsh-e-vafaa kuchh lahu dil kaa bachaa le ki hunar hai ye bhi dasht o dar mein vahi surkhi vahi peDon pe chamak zard phulon ko na dekho to sahar hai ye bhi aage chal ke to kaDe kos hain tanhaai ke aur kuchh duur talak lutf-e-safar hai ye bhi kyaa hai main jis ke tajassus mein pareshaan bhi huun 'zeb' kuchh haath na aaegaa khabar hai ye bhi"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"jhuke hue peDon ke tanon par chhaap hai chanchal dhaare ki haule haule Dol rahi hai ghaas nadi ke kinaare ki kasi hui mirdang saa paani havaa ki thaap se bajtaa hai lahar tarang se uThti hai jhankaar kisi ektaare ki khuli fazaa mein nikle to zang-e-yaksaani duur huaa ek havaa ke jhonke ne rangat badli angaare ki abr ki tah mein bijli chamki us kaa tabassum thaa magar aur lafzon mein pahchaan na paae thi jo baat ishaare ki dekh rahaa huun band khudaa ki muTThi hone vaali hai subh ke moti par ab bhi hai dhimi aanch sitaare ki sakht chaTaanein shisha paani gul-buTe sab zaaea the sang-o-shajar ko maani de gai taan kisi banjaare ki"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"main aks-e-aarzu thaa havaa le gai mujhe zindaan-e-aab-o-gil se chhuDaa le gai mujhe kyaa bach rahaa thaa jis kaa tamaashaa vo dekhtaa daaman mein apne khaak chhupaa le gai mujhe kuchh duur tak to chamki thi mere lahu ki dhaar phir raat apne saath bahaa le gai mujhe juz tirgi na haath lagaa us kaa kuchh suraagh kin manzilon se gard-e-navaa le gai mujhe kis ko gumaan thaa ki kahaan jaa rahaa huun main ik shaam aai aur bulaa le gai mujhe parvaaz ki havas ne asir-e-falak rakhaa rukhsat hui to daam mein Daale gai mujhe saakit khaDaa thaa vaqt magar tesha-zan havaa patthar ki tah se 'zeb' nikaale gai mujhe"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"haath jab us ne charaagh-e-aatishin par rakh diyaa saanp ne phailaa ke phan apnaa zamin par rakh diyaa us ki aankhon se na paDh paayaa main us ke dil kaa haal shab ne daaman us ki chashm-e-sharmgin par rakh diyaa us ki bu-e-zulf har taa'bir par ghaalib rahi us ne kyaa ehsaan mire khvaab-e-hasin par rakh diyaa mere siine mein jalaa kar us ne ik sham'-e-vafaa koi guldasta mire taaq-e-yaqin par rakh diyaa us ke dar par meraa sar to khud hi jhuk jaataa magar koi baar-e-qarz saa us ne jabin par rakh diyaa"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"dasht-e-navaa kaa rah-rau huun main baad-e-sabaa hai mere saath khud hi apni khaak uDaataa kaun chalaa hai mere saath tu bhi hai tasvir-e-tamannaa naqsh ki surat uDtaa jaa main bhi lahu ki mauj-e-ravaan huun rang-e-hinaa hai mere saath rafta-rafta shaam ke saae gahre hote jaate hain dhire-dhire saaraa manzar duub rahaa hai mere saath main to samajhtaa thaa ki main tanhaa leTaa huun aankhein khole koi aur bhi mere andar jaag rahaa hai mere saath vo jo miraa qaatil thaa mujh mein us ko kis ne qatl kiyaa 'zeb' mire hi khuun mein lithDaa vo bhi paDaa hai mere saath"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"bahte hue patte par bichchhu ghuum rahaa hai apni taraf baDhte ik haath ko chuum rahaa hai vo laa-'ilm hai aur dariyaa chori chori us ke chaandi se pairon ko chuum rahaa hai laa-faani hone ki havas mein ik lamha us ke zahr bhare honThon ko chuum rahaa hai aangan biich mire bachpan kaa saathi niim barson baa'd mujhe dekhaa to jhuum rahaa hai kankar patthar jaan ke kyon Thukraaun main in lafzon kaa bhi koi mafhum rahaa hai jangal ke suune raste si vo aankhein meraa bichhaD jaanaa us ko maa'lum rahaa hai vo chaTTaanon saa khaamosh us kaa chehra jaise sadiyon ke dukh se maghmum rahaa hai kis kaa shikva karun main kis kaa shukr karun 'zeb' na-jaane kyaa meraa maqsum rahaa hai"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"subh chaman mein jaanaa meraa aur fazaa mein bikhar jaanaa shaakh-e-gul ke saath lachaknaa sabaa ke saath guzar jaanaa sehr-bhari do aankhein meraa pichhaa karti rahti hain naagin kaa vo muD kar dekhnaa phir vaadi mein utar jaanaa zakhm hi teraa muqaddar hain dil tujh ko kaun sanbhaalegaa ai mere bachpan ke saathi mere saath hi mar jaanaa suraj ki in aakhiri maddham kirnon ko gin sakte hain din kaa vo moti saa chamaknaa phir paani mein utar jaanaa yahin kahin sahraa mein Thahar jaa dam lene ki baat nahin khaak sivaa rakkhaa hi kyaa hai yahaan se aur kidhar jaanaa us se ab dasht-e-imkaan ke safar-hazar kaa puchhnaa kyaa jis ne raah-guzar ke ghane peDon ko bhi dard-e-sar jaanaa ek nihaan-khaane ke taaq par aaina rakkhaa thaa 'zeb' ek jhalak si apni dekhnaa aur vo meraa Dar jaanaa"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"dil khil uThtaa hai kisi ki guftugu karte hue dekhnaa sabze ko baarish mein numu karte hue khush bhi ho letaa huun main naqsh-e-navaa ko dekh kar dard bhi hotaa hai kuchh dil ko lahu karte hue kitnaa shaatir hai kisi pahchaan mein aataa nahin rakh gayaa aaina khud ko ru-baru karte hue main kahaan huun us se puchhun ji mein aataa hai magar sharm bhi aati hai apni aarzu karte hue roz dariyaa ke kinaare khud ko vo paanaa miraa Duub jaanaa phir guhar ki justuju karte hue raat main ne ek khirqa-posh ko dekhaa hai 'zeb' apne chehre ke ujaale mein rafu karte hue"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"mere vujud ki tanhaai mein khile hain tere mo'attar haath jaise jhiil pe raqs-kunaan hon nil-kamal ke munavvar haath us ke husn mein Duub ke dekho to ye lagtaa hai jaise aankhon ke andar hain aankhein aur haathon ke bhitar haath khaaliq kaa apni takhliq se saath nahin chhuTtaa hai kabhi jaise khud patthar ke sanam mein rah jaate hain Dhal kar haath baazaaron mein kaisaa-kaisaa mushk chhupaae phirtaa huun bas jaate hain jab khushbu mein teri zulf ko chhu kar haath meraa apnaa hi to lahu hai koi inhein qaatil na kahe laa mere zakhmon par rakh de yaar apne ye sitamgar haath ye be-nur aankhon saa kaaghaz kab se hai viraan paDaa band nuzul-e-she'r-o-sukhan hai afsurda hain payambar haath mere fan ko parakhne vaalo pahle kalaam mein Duubo to saahil-e-bahr pe DhunDhe se kab 'zeb' aataa hai gauhar haath"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"ek guhar aansu kaa na chhoDaa dil ki jot jagaane ko yaad kisi ki khaali kar gai raaton raat khazaane ko uD jaati hai giit sunaa kar jab mujh ko koi chiDiyaa main bhi saath chalaa jaataa huun duur talak pahunchaane ko apni jagah har lafz 'alaamat-e-she’r ke taar-o-pud mein hai alag alag kar ke mat dekho ik ik taane baane ko patte patte buuTe buuTe par likkhaa hai naam us kaa main bhi chau-raste par khaDaa huun apnaa pata bataane ko main to rone hansne vaalaa ek tamaashaai huun bas mujh se aur ta'alluq kyaa hai 'zeb' mire afsaane ko"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"bahaar kaun si tujh mein jamaal-e-yaar na thi mushaahida thaa tiraa sair-e-laala-zaar na thi mahakti zulfon se khoshe gulon ke chhuT gire kuchh aur jaise ki gunjaaish-e-bahaar na thi ham apne dil hi ko rote the lekin is ke liye jahaan mein kaun si shai thi jo be-qaraar na thi talaash ek bahaana thaa khaak uDaane kaa pata chalaa ki hamein justuju-e-yaar na thi jhukaa hai qadmon mein tere vo sar ki jis ke liye koi jagah bhi munaasib sivaae daar na thi na jaane 'zeb' dil-e-zaar kyuun taDap uTThaa havaa-e-subh thi khushbu-e-zulf-e-yaar na thi"
Zeb GhauriZeb Ghauri