SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAasi Faiqi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khaak sahraa mein uDaati hai ye divaani havaa aur bahaaron mein karegi chaak-daamaani havaa peD ukhDe ghar gire aandhi chali chhappar uDe chal paDi jis vaqt aabaadi mein divaani havaa garmiyon mein muztarib the log paani ke liye baadalon ko kar gai barsaat mein paani havaa yuun huaa mahsus patton ke khaDakne se mujhe chupke chupke karti hai auraaq-gardaani havaa raushni hi raushni hoti jahaan mein har taraf gar charaaghon ki kiyaa karti nigahbaani havaa haae phir jazbaat 'aasi' ko havaa dene lage dil ke dariyaa mein kahin laae na tughyaani havaa"
Aasi FaiqiAasi Faiqi
Quote
"aaina-dar-aaina har shai jahaan ki khuub hai zinat-e-aaina-e-dil jalva-e-mahbub hai aaine ko khud hi kar dete hain aksar paash-paash is liye ki saaf-goi talkh hai maa'tub hai jis ke siine se badal jaati hai dil ki kaifiyat mast aankhon mein tumhaari kaunsaa mashrub hai kaun batlaaegaa paimaane mein raaz-e-mai-kashi is mein koi mast hai abdaal hai majzub hai baa-'amal mein hukmraani ki hai har ik daur mein be-'amal jo bhi hai vo mahkum hai maghlub hai saare 'aalam ki zabaan shirin-zabaan urdu rahe khaadim-e-urdu zabaan ko aur kyaa matlub hai taaq-e-nisyaan avvalin takhliq-e-'aasi-faaiqi' qibla 'faaiq' mohtaram ke naam se mansub hai"
Aasi FaiqiAasi Faiqi
Quote
"guftugu jis ki ba-andaaz-e-khirad hoti hai us ki tahrir mohabbat ki sanad hoti hai nigah-e-yaar se bach jaaegaa koi kaise is se baDh kar bhi kahin tegh ki zad hoti hai aaj kal iinT kaa patthar se zaruri hai javaab zulm sahne se bhi zaalim ki madad hoti hai fikr-e-fardaa se sarokaar nahin hai un ko jin ko har roz faqat fikr-e-rasad hoti hai aashnaa apni qazaa se bhi nahin hai koi kaun martaa hai kahaan kis ki lahad hoti hai apni hi aag mein insaan ko jalaati jaae naar-e-dozakh ki tarah khu-e-hasad hoti hai kab talak gham kaa na izhaar karein ham 'aasi' zid mein hansne ki bhi aakhir koi had hoti hai"
Aasi FaiqiAasi Faiqi
Quote
"jalva-numaa hai chaand sitaaro ba-ehtiyaat mahv-e-jamaal-e-yaar nazaaro ba-ehtiyaat zulf-e-vafaa to pahle sanvaaro ba-ehtiyaat phir jazba-haa-e-shauq ubhaaro ba-ehtiyaat naaz-o-niyaaz sehn-e-chaman mein rahein zarur aao ba-sad-niyaaz bahaaro ba-ehtiyaat vaqt-e-sahar duaa ke liye haath uTh gae palkon pe rahnaa gham ke sitaaro ba-ehtiyaat allaah ke huzur mein chalnaa hai shaad-kaam karnaa hai nek kaam jo yaaro ba-ehtiyaat insaan ki khud-sataaiyaan gumraah kar chalin yaaro tum apnaa vaqt guzaaro ba-ehtiyaat 'aasi' vo sab ki suntaa hai parvardigaar hai maango ba-sad-khulus pukaaro ba-ehtiyaat"
Aasi FaiqiAasi Faiqi
Quote
"us shokh se milte hi hui apni nazar tez hai mehr-e-darakhshaan ki shuaaon kaa asar tez vo peD jo tezaab se sairaab huaa thaa us peD kaa hone lagaa har ek samar tez vo manzil-e-maqsud pe pahunchegaa yaqinan jo raah mein chaltaa rahe be-khauf-o-khatar tez detaa hai jidhar un ko mafaad apnaa dikhaai arbaab-e-havas shauq se baDhte hain udhar tez be-nur na kar jaae fasaadaat ki aandhi lau ghar ke charaaghon ki zaraa aur bhi kar tez aasaar qayaamat ke nazar aate hain 'aasi' is daur mein dekhaa gayaa har ek bashar tez"
Aasi FaiqiAasi Faiqi
Quote
"zulfon ki chhaanv chhaanv rukh-e-laa-javaab thaa vo be-naqaab hote hue baa-naqaab thaa mahv-e-khiraam-e-naaz adaaein shabaab thaa vo din havaa hue ki pasina gulaab thaa jalva-numaaiyon mein hui gharq-e-tishnagi aks-e-jamaal-e-yaar ba-jaam-e-sharaab thaa asp-e-ravaan-e-ahd-e-javaani ki manzilein vo meraa ham-rikaab mein paa-ba-rikaab thaa mujh se gham-e-hayaat ki kaifiyyatein na puchh shabnam ki tarah ashk tabassum-maaab thaa main jis ke khvaab dekh rahaa thaa makaan mein vo apne bed-rōm mein khud mahv-e-khvaab thaa naakaamiyon ki nazar na 'aasi' huaa kabhi fankaar apne fan mein bahut kaamyaab thaa"
Aasi FaiqiAasi Faiqi
Quote
"tere gham-khvaar kaa maamul khudaa hi jaane kis qadar rahtaa hai mashghul khudaa hi jaane ham ne ulfat kaa sabaq sikhaa hai divaanon se us kaa baa-qaaedaa schōl khudaa hi jaane jubba-saai dar-e-jaanaan pe kiyaa kartaa huun kis liye kyon miraa maamul khudaa hi jaane ujDe gulshan mein mire dil ke bahaarein aaein daagh-e-dil ban gae kyon phuul khudaa hi jaane aaj-kal ham se vo khaaif hain khilaaf-e-aadat jaane kyaa ham se hui bhuul khudaa hi jaane dekhte dekhte 'aasi' ne hidaayat paa li kis tarah ho gayaa maqbul khudaa hi jaane"
Aasi FaiqiAasi Faiqi
Quote
"puraane log nae kaarobaar dete hain khizaan kharid ke fasl-e-bahaar dete hain zarur un ko mohabbat se vaasta hogaa jo ranj-o-gham ke evaz ham ko pyaar dete hain shab-e-visaal ki lazzat unhein nasib hui jo intizaar ki ghaDiyaan guzaar dete hain hamaare ashk mohabbat mein qimti Thahre gham-e-hayaat ki qismat sanvaar dete hain milan ki rut pe bashar kyaa darakht aur paude sab apni apni qabaaein utaar dete hain hamaari jaan ki qimat chukaa rahe hain vo milaa ke khaak mein musht-e-ghubaar dete hain ham apne aap mein khud baa-vaqaar hain 'aasi' jo be-vaqaar hain apnaa vaqaar dete hain"
Aasi FaiqiAasi Faiqi