SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAazim Kohli(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khayaal-e-yaar kaa jalva yahaan bhi thaa vahaan bhi thaa zamin par paanv the mere nazar mein aasmaan bhi thaa diye raushan the har jaanib andheraa thaa magar dil mein bahut tanhaa thaa main lekin sharik-e-kaarvaan bhi thaa chune tinke bahut main ne banaayaa aashiyaan apnaa azal se ik musaafir huun mujhe is kaa gumaan bhi thaa udhar jaanaa bhi thaa laazim idhar majbur thi sohni ghaDaa kachchaa thaa haathon mein udhar dariyaa javaan bhi thaa sabhi shaamil the yaaro yuun to gulshan ki tabaahi mein ab itnaa saaf kyaa kahiye ki un mein baaghbaan bhi thaa mire har zakhm par ik daastaan thi us ke zulmon ki mire khun-baar dil par us ke haathon kaa nishaan bhi thaa mukartaa thaa vo apne tiir se to ik taraf 'aazim' udhar thaame hue ik haath mein zaalim kamaan bhi thaa"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"ik ishq hai ki jis ki gali jaa rahaa huun main aur dil ki dhaDkanon se bhi ghabraa rahaa huun main kar degaa vo muaaf mire har gunaah ko ye soch kar gunaah kiye jaa rahaa huun main chhoDaa kahin kaa mujh ko na duniyaa ke dard ne phir bhi tiraa karam ki jiye jaa rahaa huun main raah-e-vafaa mein miT gae jab faasle sabhi phir kyuun nigaah-e-yaar se sharmaa rahaa huun main phir ho rahi hain pyaar ki sab hasratein javaan phir dil usi ki yaad se bahlaa rahaa huun main ik din chukaa hi dungaa zamaane kaa bhi hisaab kuchh baat hai jo zabt kiye jaa rahaa huun main ulfat ki raah par tujhe mil jaaegaa khudaa is be-qaraar dil ko ye samjhaa rahaa huun main vo shokh ik nigaah mein sab saaf kah gayaa muddat se jis ko kahne se katraa rahaa huun main 'aazim' yaqin nahin use kyuun meri baat par kyaa kam hai ye ki us ki qasam khaa rahaa huun main"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"kidhar kaa thaa kidhar kaa ho gayaa huun musaafir kis safar kaa ho gayaa huun khudaa us ko sadaa pur-nur rakkhe main taaraa jis nazar kaa ho gayaa huun dhare jaaeinge sab ilzaam mujh par main hissa har khabar kaa ho gayaa huun mujhe ayyaariyaan sab aa gai hain main ab tere nagar kaa ho gayaa huun tiri nazron ke ik farmaan hi se main qaidi umr bhar kaa ho gayaa huun mujhe ab ishq miTTi se nahin hai main aashiq maal-o-zar kaa ho gayaa huun rivaayat chhoD baiThaa huun main apni main dushman apne ghar kaa ho gayaa huun vo jis ko shaaeri kahte hain 'aazim' main ghaayal us hunar kaa ho gayaa huun"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"jo hogaa sab Thiik hi hogaa hone do jo honaa hai munh dekhe ki baatein hain sab kis ne kis ko ronaa hai dil kis se dukh baanTe apnaa kis se apni baat kahe dil hi hai ik jis ne yaaro dard mukammal Dhonaa hai ham bhi miTTi tum bhi miTTi putle hain sab miTTi ke avval miTTi aakhir miTTi miTTi hi mein sonaa hai mil kar baiThein nafrat chhoDein pyaar vafaa ki baat karein baagh-e-vafaa mein ham ne yaaro biij ulfat kaa bonaa hai aisaa kaam karein kyuun 'aazim' jis ko kar ke pachhtaaein pahle daagh lagaaein kyuun ham jab ashkon se dhonaa hai"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"thi yaad kis dayaar ki jo aa ke yuun rulaa gai bas ek pal mein jaise zindagi bhi Dagmagaa gai gumaan thaa ye ki dab gaiin vo hasraton ki bijliyaan ye kaun si nai chamak bujhe diye jalaa gai giraain shaakh shaakh se khizaan ne phuul pattiyaan uDe jo biij har taraf to phir bahaar aa gai khulaa nigaah-e-yaar kaa jo mai-kada to yuun lagaa ki pyaas ek umar ki bas ik nazar bujhaa gai khudaa-qasam main bach gayaa khataa ki tez dhaar se junun ki ik adaa thi jo mujhe yuun aazmaa gai ye kyaa huaa ki ab tujhi se bad-gumaan main ho gayaa main sochtaa thaa zindagi tu mujh ko raas aa gai mili hai 'aazim'-e-sukhan ye kaisi tirgi tujhe tire khayaal mein jo itni raushni baDhaa gai"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"miri yaadein bhalaa tum kis tarah dil se miTaaoge bhulaa kar to zaraa dekho mujhe kaise bhulaaoge mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge karoge yaad tum guzre zamaanon ki sabhi baatein kabhi itraa ke hans doge kabhi aansu bahaaoge guzar jaate hain jo lamhe kabhi vaapas nahin aate to biite pal mohabbat ke kahaan se le ke aaoge judaa apnon se ho kar TuuT jaataa hai koi kaise jo bichhDoge kabhi mujh se to khud hi jaan jaaoge baDhaa loge agar tum faasle mujh se kabhi 'aazim' to rudaad-e-dil-e-naashaad phir kis ko sunaaoge"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"silsile sab ruk gae dil haath se jaataa rahaa hijr ki dahliz par ik dard lahraataa rahaa qalb kaa daaman junun mein bhi na chhoDaa 'aql ne dhaDkanon ki chaap sun kar mujh ko khauf aataa rahaa masala us ki anaa kaa thaa ki shohrat ki talab us kaa har ehsaan mujh par nekiyaan Dhaataa rahaa main rahaa be-khvaab khvaabon ke tilismi jaal mein vo miri nindein churaa kar loriyaan gaataa rahaa sabr ki takraar thi josh o junun-e-ishq se zindagi bhar dil mujhe main dil ko samjhaataa rahaa roz aa kar meri khiDki mein mire bachpan kaa chaand rakh ke sar ik niim ki Tahni pe so jaataa rahaa hijr ke baadal chhaTe jab dhuup chamki 'ishq ki vasl ke aangan mein bhanvraa gul pe manDlaataa rahaa zindagi bebaak ho kar tujh se aage baDh gai aur 'aazim' tu lakiron par hi itraataa rahaa"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"subu uThaa mire saaqi ki raat jaati hai nazar milaa mire saaqi ki raat jaati hai ki tu manaae mujhe is liye main ruThaa huun mujhe manaa mire saaqi ki raat jaati hai hai meri jaan miri jaan tire tabassum mein tu muskuraa mire saaqi ki raat jaati hai shab-e-visaal ki khushbu fazaa ki rangini kahin se laa mire saaqi ki raat jaati hai kisi bahaar kaa naghma koi suhaani ghazal tu gungunaa mire saaqi ki raat jaati hai phir ik fareb mein ye shab guzar na jaae kahin qasam na khaa mire saaqi ki raat jaati hai qarib ho ke bhi 'aazim' ke tu qarib nahin palaT ke aa mire saaqi ki raat jaati hai"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"doston ki bazm mein saaghar uThaae jaaeinge chaandni raaton ke qisse phir sunaae jaaeinge aaj maqtal mein lagaa hai sar-phiron kaa ik hujum phir kisi qaatil ke jauhar aazmaae jaaeinge zikr phir guzre zamaanon kaa vahaan chhiD jaaegaa vaqt ke chehre se phir parde uThaae jaaeinge chal paDegaa phir bayaan ik chaand se rukhsaar kaa yaad phir zulfon ke pech-o-kham dilaae jaaeinge baat chal niklegi phir iqraar ki inkaar ki phir vahi bachpan ke bhule giit gaae jaaeinge yaad aaeinge fasaane yuun to sab ko bazm mein kuchh kaheinge aur kuchh bas muskuraae jaaeinge jo andhere DhunDhte hain munh chhupaane ke liye raushni ke ru-ba-ru ik din vo laae jaaeinge maut ne har bazm ki surat badal Daali yahaan rah gae kuchh yaar so vo bhi uThaae jaaeinge aa chalein 'aazim' puraane doston ke darmiyaan yaad ki basti mein phir kuchh gul khilaae jaaeinge"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"ehsaas ke sukhe patte bhi armaanon ki chingaari bhi ik dil siine mein TuuTaa saa aur fitrat mein dildaari bhi mast umangon ke jhonke aur faaqa masti kaa aalam hasrat ki tez havaaein bhi ummid ki aatish-baari bhi dil par khole uDne ke liye uDne kaa magar imkaan kahaan rokein pairon ki zanjirein pinjre ki chaar-divaari bhi dekhaa na tujhe ai rab ham ne haan duniyaa teri dekhi hai saDkon par bhuke bachche bhi koThe par abla naari bhi behaal na ho yuun naadaan dil har haal mein jiinaa hai laazim hai raste mein aasaani bhi majburi bhi dushvaari bhi ik khel musalsal gardish kaa dekhaa hai ham ne gulshan mein phulon kaa khil kar murjhaanaa aur kaliyon ki kilkaari bhi manzil pe na pahunchaa jab koi ilzaam usi par kyuun aae rah-rav ke bhaTakne mein hai kuchh rahbar ki zimme-daari bhi 'aazim' teri barbaadi mein sab ne mil-jul kar kaam kiyaa kuchh khel lakiron kaa bhi hai kuchh vaqt ki kaar-guzaari bhi"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"zarf hai kis mein ki vo saaraa jahaan le kar chale ham to duniyaa se faqat ik dard-e-jaan le kar chale aadmi ko chaahiye taufiq chalne ki faqat kuchh nahin to guzre vaqton kaa dhuaan le kar chale jab bahaarein bevafaa niklein to kis ummid par intizaar-e-gul ki hasrat baaghbaan le kar chale kab muqaddar kaa kahaan kaisaa koi manzar bane ham hatheli par lakiron ke makaan le kar chale rahbari kaa kuchh saliqa hai na manzil ki khabar kaun si jaanib ye mir-e-kaarvaan le kar chale dekhte hain zindagi ko apne hi andaaz se ham jidhar ko chal paDe ik daastaan le kar chale zulmatein taarik shab ki duur karne ke liye baadalon se ham ai 'aazim' bijliyaan le kar chale"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"duur hai manzil to kyaa rasta to hai ik nazar us ne mujhe dekhaa to hai chaand haathon mein nahin to kyaa huaa aasmaan par hi sahi dikhtaa to hai khush agar ghairon mein hai to khush rahe vo kahin bhi ho chalo achchhaa to hai kuchh nahin hai aur to gham hi sahi is bhari duniyaa mein kuchh apnaa to hai aaj vo yuun hi nahin mujh se khafaa kuchh gila to hai koi shikvaa to hai kiyaa bharosa us ke vaade kaa magar dil ke khush rakhne ko ik vaada to hai us ne rakkhaa hai takalluf kaa bharam ab adaavat par koi parda to hai aa rahaa hai vo bhi aakhir raah par sun ke meraa zikr kuchh kahtaa to hai dil nahin 'aazim' chalo jaan hi sahi khair us ne mujh se kuchh maangaa to hai"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"ho sitam kaisaa bhi ab haalaat ki shamshir kaa vaqt badlegaa kisi din rukh miri tasvir kaa jaan-levaa hai tumhaaraa be-niyaazi kaa chalan hashr dekhe hi banegaa ab dil-e-dil-gir kaa baiThti hai kaun si karvaT ye baazi ishq ki gardishon ke haath mein hai faisla taqdir kaa kaun baandhegaa miri bikhri hui ummid ko khul rahaa hai ab to har halqa miri zanjir kaa lutf lete ho kamaan se chhoD kar jis ko ab aap kaash koi mujh se puchhe kyaa huaa us tiir kaa rekhta se ishq 'aazim'? vo bhi aise daur mein dekhnaa kyaa haal hotaa hai tiri tahrir kaa"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"aa ki chaahat vasl ki phir se baDi pur-zor hai aa ki dil mein hasraton ne phir machaayaa shor hai aa ki ab to duur tak khushbu ki chaadar bichh gai aa ki rukh baad-e-sabaa kaa apne ghar ki or hai aa ki phir se chaand par dilkash javaani aa gai aa ki phir se aaj-kal angDaaiyon kaa zor hai aa ki kaliyon ke chaTakhne kaa vo mausam aa gayaa aa ki dil mein dhaDkanon kaa ik anokhaa shor hai aa ki jugnu kar rahe raaton mein tikhi raushni aa ki phir se raqs mein kaali ghaTaa ghanghor hai aa ki phir baadal tire aane ki dete hain khabar aa ki phir ab mastiyon mein apne man kaa mor hai aa ki ab to dam bhi hai jaise labon tak aa gayaa aa ki tere haath mein ab zindagi ki Dor hai aa ki mausam kaa asar 'aazim' pe ab hone lagaa aa ki taaqat zabt ki ab ho chali kamzor hai"
Aazim KohliAazim Kohli
Quote
"niilaa ambar chaand sitaare bachchon ki jaagirein hain apni duniyaa mein to bas divaarein hain zanjirein hain rishte hain parchhaain jaise ummidein hain saraabon si banti hain miTti hain pal pal ye kaisi tasvirein hain baDh kar hain shaitaanon se bhi insaanon ke kaam yahaan honTon par phulon si baatein haathon mein shamshirein hain ye kaisaa insaaf hai yaarab kaisaa khel hai qismat kaa kuchh haathon mein rang-e-hinaa hai kuchh mein sirf lakirein hain 'aazim' pyaar ki nagri se kuchh khvaab churaa kar le aao us nagri mein sunte hain kuchh raanjhe hain kuchh hirein hain"
Aazim KohliAazim Kohli