Quote
"naa-mukammal hain abhi takmila-e-zaat karein in ko dekhein to khud apne se mulaaqaat karein aap aaein to zaraa aap se kuchh baat karein honT si lein magar aankhon se savaalaat karein gardishon se ye kaho rukh na karein ghar ki taraf ab vo ham se sar-e-mai-khaana mulaaqaat karein aap ke baare mein sochaa to bahut thaa lekin ab ham is soch mein hain aap se kyaa baat karein rukh pe kyaa rang hai kaisi hai in aankhon ki fazaa dil jo Thahre to kuchh andaaza-e-haalaat karein ghar ki tanhaai se kyon itne pareshaan ho 'ziyaa' aao ik but ke havaale se basar raat karein"
A
Abdul Qavi Ziya






