SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdussalam Asim(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kahne ko ho chukaa huun main faarigh-ba-rozgaar aalaam-e-rozgaar se mumkin nahin faraar jis dil pe sirf meraa hi haq honaa chaahiye vo ab bhi mere paas hai par vaqf-e-intishaar kal bhi thaa aur kal bhi rahegaa bahar-lihaaz raah-e-safar kaa hissa chaman-zaar khaar-zaar mausam hai fasl-e-gul kaa magar dil ke baagh mein hain Tahniyaan udaas to shaakhein hain be-bahaar khaazin huun nazm-o-nasr ke sarmaae kaa magar mumkin nahin hai mujh se kitaabon kaa kaarobaar naqd-o-nazar se letaa hai 'aasim' bhi shaaz kaam rakhtaa nahin kabhi koi saudaa magar udhaar"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim
Quote
"ashaar mein mafhum fasaane mein kahaani mat DhunD ki uljhaate hain alfaaz-o-maaani sad shukr vo taabir se mashrut nahin thiin bachpan mein sunaa karte the jo khvaab kahaani vo zindagi jo paane aur khone se sivaa ho zeb us ko nahin deti kabhi marsiya-khvaani fitrat ke taqaaze pe na kar raah-e-amal band iqbaal ki ye baat kisi ne bhi na maani takmil-e-junun ab bhi hai is misre se mashrut ai chaand mubaarak ho tujhe raat suhaani khush-haaliyaan dehli ki bajaa aaj bhi lekin yaad aati hai kalkatte ki vo shokh javaani pardes mein bas zehn se aabaad hai 'aasim' dil se nahin kar paayaa kabhi naql-e-makaani"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim
Quote
"kisi ke dukh se na kar sukh kashid tauba kar ubhar na vaqt kaa ban kar yazid tauba kar fasil-e-zaat se baahar nikal ki ye duniyaa tire bharam se hai mutlaq baiid tauba kar nigaah-e-shauq ko jalve se yuun na rakh mahrum hai shirk jurat-e-inkaar-e-did tauba kar ki nazm-e-mai-kada rindon ki taab laa na sake baDhaa na tishnagi itni shadid tauba kar jo nazm-o-nasr kaa hai farq us ko qaaem rakh adab ki kar na yuun miTTi palid tauba kar jahaan-e-nau mein ajaaib-gharon ki zinat hain tamaam ghaazi tamaami shahid tauba kar najaat ke liye mohlat bachi hai kam ab aur na kar zamir ki baia-o-kharid tauba kar"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim
Quote
"akhbaar kyaa ki apni bhi khair-o-khabar se duur kuchh roz chal ke rahte hain fikr-o-nazar se duur pahle thiin raatein ghair-zaruri safar se duur ab din guzaarnaa nahin aasaan ghar se duur shab se sahar se shaam se pichhle pahar se duur har justuju hai jaise guzar se basar se duur rakh zehn ko futur se aur dil ko Dar se duur matlub hai shuur ko rakhnaa jo shar se duur har tarah ke gurez hazar aur mafar se duur aa chal ke dekhein ab kisi sidhi Dagar se duur az khud nahin ye saare musakhkhar nazar se duur ham din mein shams aur hain shab mein qamar se duur"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim
Quote
"khaak ho jaanaa hai ik din kise inkaar kabhi zindagi phir bhi nahin mujib-e-aazaar kabhi vaqt ki qaid se hai maavaraa fan ki duniyaa mujh ko marne nahin deinge mire ashaar kabhi chain se jiine ki taufiq jise mil jaae kab vo paDhtaa hai miyaan bhule se akhbaar kabhi ab to bas uDti hain aamaal-e-khirad ki chilein ab kisi sar pe laTakti nahin talvaar kabhi justuju-kesh junun ke liye ai shaikh-e-haram chaahtaa kyaa hai khudaa kab hai ye asraar kabhi do alag chizein hain taamir ki taqsim 'aasim' ek si uThti nahin donon ki divaar kabhi"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim
Quote
"ye maan lene mein aisi bhi kyaa buraai hai samajh mein der se ik achchhi baat aai hai diyaa hai tum ne ba-sad zoam intihaa kaa naam jise vo marhala-e-shauq ibtidaai hai hain tujh se baDh ke yahaan tere saare ham-saae mire khudaa ye tiri kaisi kibriyaai hai vo jin ko kar gayaa be nuur aagahi kaa tilism kahaan in aankhon ko phir subah raas aai hai ba-zid hain vo bhi ki main un hi ki tarah sochun vo jin se duur kaa rishta na aashnaai hai bataaun kyaa use aashob-e-rozgaar 'aasim' jo mere vaaste vajh-e-ghazal-saraai hai"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim
Quote
"haan vo main hi huun ki jis ke hain yahaan pursaan bahut aaina hai dekh kar surat miri hairaan bahut is nadi mein paar utarne ke hain andeshe hazaar aur is mein Duub jaane ke bhi hain imkaan bahut darmiyaan rashk-o-hasad ke aaj bhi uljhe hain log thaa garaan kal bhi ilaaj-e-tishnagi-daamaan bahut jis ghaDi TuuTaa thaa donon ke taalluq kaa tilism aasmaan hairaan huaa thaa aur zamin giryaan bahut har muhaajir ke ilaaj-e-gham ki tarjihaat mein ham-zabaan mil jaanaa bhi hai dard kaa darmaan bahut"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim
Quote
"samajhne se sivaa samjhaane kaa sab ko junun kyon hai labon par tanz ke kalmaat hain aankhon mein khuun kyon hai jo bas zakhm-e-barun ko bharne se rakhte hain dilchaspi unhein ham kaise batlaaein hamein soz-e-darun kyon hai ravaadaari jo sunne ki thi ab vo bhi nahin baaqi mire siine mein jo taklif hai kaise kahun kyon hai isi tafhim se mahrumi kaa haasil hai ye manzar mujhe bechainiyaan kyon hain tumhein itnaa sukun kyon hai hamaare roz-o-shab jab sab haqiqat hain to phir 'aasim' koi rukh ho hamaari soch kaa mehvar fusun kyon hai"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim
Quote
"jis jagah jo khush-nashin aayaa nazar rahne diyaa ham ne raushan-daan mein chiDiyon kaa ghar rahne diyaa mil ke jo bichhDe unhein jaane se rokaa bhi nahin aur jo saath aae un ko ham-safar rahne diyaa jis ke Dar ki karte phirte hain tijaarat ahl-e-din ham ne us ke khauf se larzida shar rahne diyaa dard-e-dil ko bhi davaaon se hi bahlaate rahe bad-duaaon ko hamesha be-asar rahne diyaa har sahar tujh ko bhulaane ke liye daftar gayaa aur tiri yaadon ko mehmaan raat bhar rahne diyaa jis mein haathon ko mire thaame nazar aate ho tum bas usi tasvir ko divaar par rahne diyaa sab badal kar rakh diyaa ham ne in aankhon ke liye haan magar manzar-ba-manzar chashm-e-tar rahne diyaa"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim
Quote
"baras ke bhi na mire kaam aa saki baarish abhi vo khul hi rahe the ki dhul gai baarish bujhaa saki na kisi taur meri ruuh ki pyaas badan ki had se tajaavuz na kar saki baarish ajab nahin ki jigar tak utar gai hoti hamaare saath agar khud bhi bhigti baarish hai zikr-e-yaar isi iltizaam se rangin mahaktaa jism javaan raat be-khudi baarish hamin fareb-e-nazar kaa shikaar hote rahe havaa ke saath badalti thi samt bhi baarish kabhi to raaz dilon ke TaTolti 'aasim' kabhi to jhaankti aankhon mein sar-phiri baarish"
Abdussalam AsimAbdussalam Asim