SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbhay Kumar Bebak(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kisi ki zulf nahin lab ki garmiyaan bhi nahin gulon pe aaj to aavaara titliyaan bhi nahin abhi ye haal huaa is pe kashtiyaan guzrin vo gaanv jis pe kabhi chhaain badliyaan bhi nahin hamaaraa ghar hai ki divaaron ki numaaish hai koi kivaaD to kyaa is mein khiDkiyaan bhi nahin garaan thi shab to miri subh bhi hiraasaan hai abhi ufuq pe vo pahle si surkhiyaan bhi nahin asir-e-jism hai jaan aur ye badan apnaa kamaal kaa hai qafas jis mein tiliyaan bhi nahin gai hai un pe bhi ab us ki barq-baar nazar darakht jin pe hamaare to aashiyaan bhi nahin suluk us ne mohabbat mein vo kiyaa 'bebaak' huaa jo ham se adaavat ke darmiyaan bhi nahin"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"nazar to aas ki ab ahl-e-aasmaan pe hai du'aa kaa tiir 'abas ajr ki kamaan pe hai zamin nasib kahaan duur ke safar se use vo ek dhuup kaa TukDaa jo saaebaan pe hai jise jatan se rakkhaa dil hi dil mein vaqt-e-junun vo raaz shahr mein har ek ki zabaan pe hai tamaam shauq dhare ke dhare na rah jaaein junun ke shahr mein aafat hamaari jaan pe hai safar mein chain kahaan daur-e-aabla-paai jo haal uThaan pe thaa ab vahi Dhalaan pe hai shikaar mein hain yahaan ek dusre ke sabhi kabhi zamin pe kabhi aadmi machaan pe hai koi to kaaT bataa mujh ko tu mire maazi ki ab ke vaar tiri aan baan shaan pe hai vo shaakh-e-zist pe 'bebaak' lauTtaa hi nahin parind dil kaa jo ab 'arsh ki uDaan pe hai"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"gardish-e-ayyaam ham par mehrbaan kuchh kam nahin ye zamin hai khun-talab to aasmaan kuchh kam nahin der tak jaagi hui aankhon mein simTi raat ko chand khvaabida charaaghon kaa dhuaan kuchh kam nahin apne qadmon ke lahu se hai jo tahrir-e-safar vo bhi to ab kaarvaan-dar-kaarvaan kuchh kam nahin mahfil-e-arbaab-e-fan mein ehtiraaman chup huun main varna goyaai mein meri bhi zabaan kuchh kam nahin aadmi hain ham to hai kis baat kaa itnaa ghurur khubiyon ke saath ham mein khaamiyaan kuchh kam nahin dasht-e-jaan mein aai hai 'bebaak' ik sarkash havaa sham'-e-dil ke pesh-rau dushvaariyaan kuchh kam nahin"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"tavajjoh kaun detaa hai kisi phiki kahaani par ham aise mein karein kyaa baat apni zindagaani par labon par ho tabassum aur aankhon mein na ho paani hamein hairat huaa karti hai aisi shaadmaani par hamein surat badalne kaa bharosaa kis tarah hogaa ragon mein khuun ke badle ravaan kuchh buund paani par nayaa kuchh bhi nahin hotaa ki sab jaate hain duniyaa se magar hairaan bahut hain log teri nauha-khvaani par kisi ke dukh pe us ke qahqahon mein jaan aati hai vo taabinda hai ghairon ke ghamon ki tarjumaani par ham apnaa bhi bhalaa 'bebaak' saahab kar to sakte hain magar sab chhoD dete hain tumhaari mehrbaani par"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"kahaan hai aisi zamin jis pe aasmaan na ho vo kaisaa shahr jahaan ek bhi makaan na ho hamaare dasht ne itnaa to intizaam rakkhaa saron pe dhuup rahe koi saaebaan na ho dil-o-dimaagh ki uljhan mein ye kahaan mumkin ki zehn-o-dil to thakein ruuh ko thakaan na ho khud apni piiTh to ham thapthapaa nahin sakte hamein hai khauf ki bejaa koi gumaan na ho main khvaab dekh rahaa huun is ehtiyaat ke saath itaab-e-subh se sapnaa lahu-luhaan na ho zamin se duur chale aae hain magar 'bebaak' duaa karo ki yahin khatm ye uDaan na ho"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"jalaai gai havaa magar uThaa kahin dhuaan nahin jo bach gae dayaar mein vo apne aashiyaan nahin lahu-lahu zamin hai lahu-lahu hai aasmaan ye naqsh-e-paa-e-dil safar ke aakhiri nishaan nahin kahaan gae hain log sab qaraar-o-qaul bhuul kar talaash mein bhaTak rahe hain ham kahaan kahaan nahin khudaa khudaa kaa shor kyon uThaa mire vajud par main bhiiD mein to huun magar kisi ke darmiyaan nahin har ek lahr khaamushi se phir kinaara kar gai vo mausami nadi thi zindagi kaa kaarvaan nahin ‘anaasir-e-davaan pe hai ye kis nigaah kaa fusun main qaid huun to huun magar qafas mein tiliyaan nahin"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"na rakh-rakhaav sajaavaT na dilrubaai hai ye kis tarah ki havaa-e-ghazal-saraai hai haveliyon ke khanDar daastaan bhi rakhte hain ye agle daur kaa andaaz-e-peshvaai hai kahaan kaa shauq kahaan koi intihaa-e-shauq bas intizaar mein ik zindagi bitaai hai har ek phuul ko chhu kar gai hai baad-e-sabaa ki us ne aag si gulshan mein phir lagaai hai kisi ne puchh liyaa thaa hamaaraa haal-e-dil phir us ke baa'd kahaan khud ki yaad aai hai hamaare khvaab hamein zindagi dikhaate hain ki apni niind sitaaron si jhilmilaai hai ab us kaa naam bhi lenaa muhaal hai 'bebaak' shadid choT kaleje pe jab se khaai hai"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"khub-surat lag rahi hai shaam tujh ko dekh kar chashm-e-dil ko aa gayaa aaraam tujh ko dekh kar yuun bhi tere shahr mein rusvaaiyaan kuchh kam na thiin ho gayaa huun aur main badnaam tujh ko dekh kar bhuul kar bhi main zabaan par us ko laa saktaa nahin aa gayaa hai yaad jo ik kaam tujh ko dekh kar sar pe mere haath rakh kar khaa rahaa hai tu qasam jhuuT mein paidaa huaa ibhaam tujh ko dekh kar qatl to teri nigaahon se hue hain shahr mein le rahe hain apne sar ilzaam tujh ko dekh kar kyaa karungaa dekh kar 'bebaak' 'aalam subh kaa jaane kyaa ho raat kaa anjaam tujh ko dekh kar"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"vo pahle dasht ki aab-o-havaa ko tolegaa hisaab mere tanaffus kaa ab ke jo legaa fazaa mein rang vo kuchh is adaa se gholegaa mire jigar ke lahu se badan bhigo legaa baDhaa ke sab ki zarurat ko ishtihaaron se jahaan vo chaahegaa apni dukaan kholegaa bahut kaThin hai samajhnaa siyaasatein us ki gharaz hui to vo dushman ke saath ho legaa khabar hai garm ki tufaan aane vaalaa hai to kyaa majaal ki pattaa bhi koi Dolegaa har ek shai to hai tahzib ke shikanje mein chahak chahak ke gulistaan mein kaun bolegaa sukhanvari mein nazar aaegi tabhi raunaq tu khun-e-dil mein agar ungliyaan Dubo legaa bikhar rahe hain sar-e-bazm qahqahe jis ke guhar vo ashk ke tanhaaiyon mein ro legaa ravaan hayaat hai khvaabon ki shaah-raahon par abhi sukun se 'bebaak' kaise so legaa"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"havaa hui jo zaraa tez-tar zamaane ki muhim chali hai charaaghon ko phir bujhaane ki bahaar aa ke chaman se udaas lauT gai badal saki na fazaa apne aashiyaane ki shab-e-firaaq ki aankhon mein dekh kar aansu sahar ne khaai hai jaise qasam na aane ki miri khabar na rakhi silsila rakhaa mujh se 'ajib rasm hai rishton ko aazmaane ki khaDaa huun raah mein ik sang-e-mil ki surat sazaa mili hai mujhe raasta dikhaane ki nigaah-e-arsh ko dharti bhi chaand lagti hai to kyaa gharaz hai sitaaron ko munh lagaane ki khirad ki naav hai 'bebaak' bahr-e-dil mein ravaan khayaal-e-yaar ne Thaani hai Duub jaane ki"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"ek tahrir kaa 'unvaan na ho jaaun kahin main kisi aur ki pahchaan na ho jaaun kahin vo kare sab ki masihaai mujhe to bakhshe us ke altaaf pe qurbaan na ho jaaun kahin koi taa'bir muqayyad hai mire khvaabon mein ruuh aur qalb se zindaan na ho jaaun kahin mujh se hogaa na munavvar koi gosha dil kaa main tamannaaon kaa lobaan na ho jaaun kahin zindagi aaj tiri fikr nahin ki lekin kal main tujh hi se pareshaan na ho jaaun kahin she'r kahne kaa saliqa mujhe aae jab tak Dar hai main saahib-e-divaan na ho jaaun kahin meri nazron mein jo manzar hain musalsal raqsaan un ke sur-taal kaa saamaan na ho jaaun kahin saj gae apne dar-o-bast to 'bebaak' magar ab main ghar ke liye mehmaan na ho jaaun kahin"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"furqat se ham-kanaar to tu bhi hai main bhi huun milne ko be-qaraar to tu bhi hai main bhi huun duniyaa mein sar uThaa ke kahaan tak chaleinge ham duniyaa se sharmsaar to tu bhi hai main bhi huun aisaa karein ki baanT lein aapas ke ranj-o-gham haalaat kaa shikaar to tu bhi hai main bhi huun manzil ki aarzu mein bhaTakne kaa shauq rakh ik raah kaa ghubaar to tu bhi hai main bhi huun mahfil mein us ki jaa ke magar kyaa kareinge ham ghairon mein ab shumaar to tu bhi hai main bhi huun jo dil-fareb hain vahi manzar hain dil-nashin kahne ko hoshiyaar to tu bhi hai main bhi huun 'bebaak' rukh pe chhaane lage hain khizaan ke rang go haasil-e-bahaar to tu bhi hai main bhi huun"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"kisi ki raah kaa patthar haTaa rahaa huun abhi safar ko aur bhi mushkil banaa rahaa huun abhi use ye jaan kar achchhaa bahut lagegaa magar main us ki yaad mein sab kuchh bhulaa rahaa huun abhi main saath apne hi saae kaa chhoD duun na kahin ki sar pe dhuup ghamon ki uThaa rahaa huun abhi hayaat tu bhi to dhoke se kam nahin lekin fareb tere liye sab se khaa rahaa huun abhi main aandhiyon se Daraa kab ki aaj ghabraaun to phir diye se diye kyuun jalaa rahaa huun abhi mujhe paDhe to koi kis tarah paDhe 'bebaak' main khud ko aab pe likh kar miTaa rahaa huun abhi"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"guzri giraan jo mujh pe koi raat hi to thi lagti rahi jo dil ko tiri baat hi to thi khud ki talaash hi mein bhaTaktaa phiraa thaa main dhoke mein saari 'umr miri zaat hi to thi jab kaamyaabiyon ko khirad se mili thi shah har pal bisaat-e-dil pe miri maat hi to thi pi kar lahu ke ghunT guzaare the roz-o-shab aise mein zindagi bhi karaamaat hi to thi do pal ki sarkhushi ke guzarne kaa kaisaa gham aakhir vo apne jahl ki saughaat hi to thi dastaar ke baghair bhi rahtaa thaa sar buland vo mere yaar-e-ghaar ki auqaat hi to thi 'bebaak' aansuon se bhari vo shab-e-firaaq kaase mein dil ke 'ishq ki khairaat hi to thi"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"aankhon mein koi raat mukammal guzar gai aai sahar hayaat 'azaabon se bhar gai meri qabaa-e-jaan miraa jism hi to thaa kar ke supurd-e-khaak badan jaan kidhar gai vaadaa kisi se kar na sake zindagi mein ham har baar ruuh vaa’da-khilaafi se Dar gai khoe rahe ham us ke khayaalon mein is tarah hasti hi apni dhyaan se us ke utar gai majburiyon ki aag mein jaltaa rahaa magar taarikh aadmi ki isi mein sanvar gai 'bebaak' ham ne khvaab sajaae to raat-bhar taa'bir zulf-e-yaar si pal mein bikhar gai"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak
Quote
"hamaaraa dil hi dariyaa ki agar manjdhaar ho jaae to kashti khvaahishon ki Duub kar bhi paar ho jaae mile khul kar sabhi se aur phir bezaar ho jaae to jiinaa aise dil ke saath ik aazaar ho jaae hamein raat aur din ki kashmakash achchhi nahin lagti agar ye bhi na ho to zindagi be-kaar ho jaae khamoshi is tarah taari hai apni bastiyon mein ab ki ik patte ki jumbish peD ki guftaar ho jaae amir-e-shahr ki nindein na uD jaaein to tum kahnaa tumhaaraa ek bhi sapnaa agar bedaar ho jaae sabhi se itni lekin qurbatein vo chaahtaa kyon hai ki koi saamne aae to bas takraar ho jaae kisi ki rahbari 'bebaak' ham se kis tarah hogi na jaane kab hamaari fikr khud-mukhtaar ho jaae"
Abhay Kumar BebakAbhay Kumar Bebak