SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbhishek Shukla(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"abhi to aap hi haail hai raastaa shab kaa qarib aae to dekheinge hausla shab kaa chali to aai thi kuchh duur saath saath mire phir is ke baad khudaa jaane kyaa huaa shab kaa mire khayaal ke vahshat-kade mein aate hi junun ki nok se phuTaa hai aabla shab kaa sahar ki pahli kiran ne use bikher diyaa mujhe sameTne aayaa thaa jab khudaa shab kaa zamin pe aa ke sitaaron ne ye kahaa mujh se tire qarib se guzraa hai qaafila shab kaa sahar kaa lams miri zindagi baDhaa detaa magar garaan thaa bahut mujh pe kaaTnaa shab kaa kabhi kabhi to ye vahshat bhi ham pe guzri hai ki dil ke saath hi dekhaa hai Dubnaa shab kaa chaTakh uThi hai rag-e-jaan to ye khayaal aayaa kisi ki yaad se juDtaa hai silsila shab kaa"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"shahr mein raushaniyaan ghar mein ujaale kam hain jal uThein aa ki bahut hain ye havaale kam hain raah-e-haq pahle se mushkil nazar aati hai hamein khush na ho koi agar paanv mein chhaale kam hain ghar tasavvur mein agar hai to saDak par aa jaa aur vo bol jise bolne vaale kam hain hain udhar vo ki jo zaalim bhi hain shaddaad bhi hain aur idhar vo hain ki jo TuTne vaale kam hain haakim-e-shahr hamein itnaa bhi majbur na kar faisle kar liye ham ne jo vo Taale kam hain itni taarik fazaa pahle kabhi thi hi nahin ham ne jitne bhi charaagh ab ke uchhaale kam hain ai vatan jin ko ye lagtaa hai ki sab Thiik hai vo aur kuchh honge tire chaahne vaale kam hain"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"duaa ke bas kaa nahin bad-duaa ke bas kaa nahin ik aisaa banda huun main jo khudaa ke bas kaa nahin vo sar paTakti hai jhunjhlaati hai mire uupar bas ek tinkaa huun main aur havaa ke bas kaa nahin hujum-e-chaara-garaan dang hai tiraa bimaar kisi bhi zahr kisi bhi davaa ke bas kaa nahin barahna honaa paDegaa tujhe bhi mere saath ki ek lams bhi band-e-qabaa ke bas kaa nahin mujhe to chhoD ki main ik jahaan-e-digar huun miraa khayaal bhi us be-vafaa ke bas kaa nahin khamoshiyo! tumhein meraa bayaan honaa hai vo dukh huun main ki jo saut-o-sadaa ke bas kaa nahin yahi zamin miraa dozakh yahi zamin jannat miraa mizaaj sazaa-o-jazaa ke bas kaa nahin mire vajud mein tu thaa jahaan khalaa hai ab jo tere bas kaa na thaa ab khalaa ke bas kaa nahin"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"khaak par khuun ki tahrir se pahchaane gae tire vahshi tiri zanjir se pahchaane gae apni tasvir se mumkin hi na thi apni shanaakht ham kisi aur ki tasvir se pahchaane gae jin mein raushan thaa tiri diid kaa saudaa vo sar laakh andhere mein bhi shamshir se pahchaane gae kyaa qayaamat hai ki sau baar ke soche hue log saamne aae to taakhir se pahchaane gae dost pahchaane gae apne nishaane se aur ham bhi siine mein lage tiir se pahchaane gae khvaab mein to koi chehra hi nahin thaa un kaa hain kuchh ik gham ki jo taabir se pahchaane gae khaamushi asl mein uslub thi ham jaison kaa ham isi lahja-e-taqrir se pahchaane gae zehn-e-taarik mein be-naam-o-nasab the kuchh dard jo chamak uThne ki tadbir se pahchaane gae"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"ye aur baat tire dil mein ghar nahin karungaa par is maqaam se aage safar nahin karungaa duaaein kyaa duun use zindagi ki itnaa hai main zahr huun magar us par asar nahin karungaa kisi se jhuTi mohabbat kisi se sachchaa bair main kar to saktaa huun ye sab magar nahin karungaa davaam bakhsh to saktaa huun khaamushi ko magar ye kaam main kisi aavaaz par nahin karungaa kiyaa jo vaqt par us kaa maaal dekh chukaa koi bhi kaam main ab vaqt par nahin karungaa guzaar dungaa main apne firaaq mein khud ko khud apne hone ki khud ko khabar nahin karungaa"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"aankhon pe shab raqam bhi nahin kar sakungaa main ai khvaab teraa gham bhi nahin kar sakungaa main ik mustaqil safar hai tiri aarzu mujhe aur khud ko taaza-dam bhi nahin kar sakungaa main us ko khudaa banaane ki zid par aDaa hai tu ai dil jise sanam bhi nahin kar sakungaa main sabza bhi chaahti hain tasavvur ki khaak par vo aankhein jin ko nam bhi nahin kar sakungaa main ik jaan hai jo nazr guzaari na jaaegi ik sar hai jis ko kham bhi nahin kar sakungaa main teri kami mein roz izaafa karegi umr aur is kami ko kam bhi nahin kar sakungaa main"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"khalaa ke jaisaa koi darmiyaan bhi paDtaa phir is safar mein kahin aasmaan bhi paDtaa main choT kar to rahaa huun havaa ke maathe par mazaa to jab thaa ki koi nishaan bhi paDtaa ajiib khvaahishein uThti hain is kharaabe mein guzar rahe hain to apnaa makaan bhi paDtaa hamin jahaan ke pichhe paDe rahein kab tak hamaare pichhe kabhi ye jahaan bhi paDtaa ye ik kami ki jo ab zindagi si lagti hai hamaari dhuup mein vo saaebaan bhi paDtaa har ek roz isi zindagi ki tayyaari so chaahte hain kabhi imtihaan bhi paDtaa"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"safar ke baa'd bhi zauq-e-safar na rah jaae khayaal-o-khvaab mein ab ke bhi ghar na rah jaae main sochtaa huun bahut zindagi ke baare mein ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jaae bas ek khauf mein hoti hai har sahar meri nishaan-e-khvaab kahin aankh par na rah jaae ye be-hisi to miri zid thi mere ajzaa se ki mujh mein apne taaaqub kaa Dar na rah jaae havaa-e-shaam tiraa raqs naa-guzir sahi ye meri khaak tire jism par na rah jaae usi ki shakl liyaa chaahti hai khaak miri so shahr-e-jaan mein koi kuza-gar na rah jaae guzar gayaa ho agar qaafila to dekh aao pas-e-ghubaar kisi ki nazar na rah jaae main ek or khaDaa huun hisaar-e-duniyaa ke vo jis ki zid mein khaDaa huun udhar na rah jaae"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"chalte hue mujh mein kahin Thahraa huaa tu hai rasta nahin manzil nahin achchhaa huaa tu hai taabir tak aate hi tujhe chhunaa paDegaa lagtaa hai ki har khvaab mein dekhaa huaa tu hai mujh jism ki miTTi pe tire naqsh-e-kaf-e-paa aur main bhi baDaa khush ki are kyaa huaa tu hai main yuun hi nahin apni hifaazat mein lagaa huun mujh mein kahin lagtaa hai ki rakkhaa huaa tu hai vo nuur ho aansu ho ki khvaabon ki dhanak ho jo kuchh bhi in aankhon mein ikaTThaa huaa tu hai is ghar mein na ho kar bhi faqat tu hi rahegaa divaar-o-dar-e-jaan mein samaayaa huaa tu hai"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"de uThi lau jo tire saath guzaari hui shaam hujra-e-jaan ki har ik chiiz pe taari hui shaam umr bhar dhuup lapeTe rahe apne tan par ham se pahni na gai us ki utaari hui shaam pahle to mujh se miri zaat kaa matlab puchhaa aur phir apne hi ehsaas se aari hui shaam ai junun puchh isi lamha-e-maujud se puchh lams ye kis kaa uThaayaa hai ki bhaari hui shaam do hi kirdaar numaayaan hain kahaani mein miri be-karaan dasht huaa main to shikaari hui shaam is taraf dasht-e-badan mein koi suraj Duubaa us taraf sina-e-aflaak se jaari hui shaam main nasein kaaT ke suraj mein utar hi jaataa par khayaal aaya tiraa hijr ki maari hui shaam kyaa faqat ham se savaalaat kiye jaaeinge kyaa faqat ham se mukhaatib hai ye haari hui shaam ham ne har shai mein utarte hue dekhaa khud ko yaad aai jo tire qurb pe vaari hui shaam"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"pukaar use ki ab is khaamushi kaa hal nikle javaab aae to mumkin hai baat chal nikle zamaana aag thaa aur ishq lau-lagi rassi hazaar jal ke bhi kab is balaa ke bal nikle main apni khaak pe ik umr tak barastaa rahaa thamaa to dekhaa ki kichaD mein kuchh kamal nikle main jis mein khush bhi thaa zinda bhi thaa tumhaaraa bhi thaa kai zamaane nichoDun to ek pal nikle kuchh ek khvaab vahaan bo rahungaa sochaa hai vo nain agar mire nainon se bhi sajal nikle main apne haathon ko rotaa thaa har duaa ke baa'd khudaa ke haath to mujh se ziyaada shal nikle dayaar-e-ishq mein sab kaa guzar nahin mumkin kai jo pairon pe aae the sar ke bal nikle bahaar jazb hai jis mein use banaate hue tamaam rang mire canvas pe dull nikle jami hui thi miri aankh ik alaav ke gird kuchh ek khvaab to yunhi pighal pighal nikle badal ke rakh hi diyaa mujh ko umr bhar ke liye tiri hi tarah tire gham bhi be-badal nikle jo dil mein aae the aahaT utaar kar apni vo dil se nikle to phir kitnaa pur-khalal nikle"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"ham aise soe bhi kab the hamein jagaa laate kuchh ek khvaab to shab-khun se bachaa laate ziyaan to donon tarah se hai apni miTTi kaa ham aab laate ki apne liye havaa laate pata jo hotaa ki niklegaa chaand jaisaa kuchh ham apne saath sitaaron ko bhi uThaa laate hamein yaqin nahin thaa khud apni rangat par ham is zamin ki hatheli pe rang kyaa laate bas aur kuchh bhi nahin chaahtaa thaa main tum se zaraa si chiiz thi duniyaa kahin chhupaa laate hamaare azm ki shiddat agar samajhni thi to is safar mein koi sakht marhala laate"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"miTTi se mashvara na kar paani kaa bhi kahaa na maan ai aatish-e-darun miri paabandi-e-havaa na maan har ik lughat se maavaraa main huun 'ajab muhaavara meri zabaan mein paDh mujhe duniyaa kaa tarjuma na maan zinda samaa'aton kaa sog sunte kahaan hain ab ye log tu bhi sadaaein detaa rah mujh ko bhi be-sadaa na maan yaa to vo aab ho bahut yaa phir saraab ho bahut miTTi ho jis ke jism mein us ko miraa khudaa na maan TuuTe hain mujh pe qahr bhi main ne piyaa hai zahr bhi meri zabaan-e-talkh kaa itnaa bhi ab buraa na maan bas ek diid bhar kaa hai phir to ye vaqfa-e-hayaat un ke qarib jaa magar aankhon ki iltijaa na maan"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"surkh sahar se hai to bas itnaa saa gila ham logon kaa hijr charaaghon mein phir shab bhar khuun jalaa ham logon kaa ham vahshi the vahshat mein bhi ghar se kabhi baahar na rahe jangal jangal phir bhi kitnaa naam huaa ham logon kaa aur to kuchh nuqsaan huaa ho khvaab mein yaad nahin hai magar ek sitaara zarb-e-sahar se TuuT gayaa ham logon kaa ye jo ham takhliq-e-jahaan-e-nau mein lage hain paagal hain duur se ham ko dekhne vaale haath baTaa ham logon kaa bigDe the bigDe hi rahe aur umr guzaari masti mein duniyaa duniyaa karne se jab kuchh na banaa ham logon kaa khaak ki shohrat dekh ke ham bhi khaak hue the pal bhar ko phir to taaaqub karti rahi ik umr havaa ham logon kaa shab bhar ik aavaaz banaai subh hui to chikh paDe roz kaa ik maamul hai ab to khvaab-zada ham logon kaa"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla
Quote
"fasil-e-jism giraa de makaan-e-jaan se nikal ye intishaar-zada shahr hai yahaan se nikal tiri talaash mein phirte hain aaftaab kai so ab ye farz hai tujh par ki saaebaan se nikal tamaam shahr pe ik khaamushi musallat hai ab aisaa kar ki kisi din miri zabaan se nikal maqaam-e-vasl to arz-o-samaa ke biich mein hai main is zamin se niklun tu aasmaan se nikal main apni zaat mein taarikiyaan sameTe huun tu ik charaagh jalaa aur ab yahaan se nikal kahaa thaa mujh se bhi ik din havaa-e-sahraa ne miri panaah mein aa jaa ghubaar-e-jaan se nikal"
Abhishek ShuklaAbhishek Shukla