Quote
"aaj yuun hasti-e-imkaan-o-gumaan se nikle Duub kar jaise makaan sail-e-ravaan se nikle ratjage bolne lagte hain miri aankhon mein ru-ba-ru harf na jab koi zabaan se nikle shaakh-e-hasti se na uD jaae kahin taair-e-jaan jab talak tiir kisi shokh kamaan se nikle sab gulaab apne hi lagte hain chaman mein lekin koi to apnaa saf-e-laala-rukhaan se nikle khaana-e-dil mein utaaraa to hai suraj 'faakhir' kaun rokegaa agar dhuup makaan se nikle"
A
Ahmad Fakhir






