SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Shahid Khan(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"saaraa aalam dhuaan dhuaan kyuun hai har taraf aah aur fughaan kyuun hai band hai aaj kyaa dar-e-rahmat har duaa meri raaegaan kyuun hai pi liyaa kyaa sitam ne aab-e-hayaat khauf se band har zabaan kyuun hai saath chalti hai mere har jaanib is qadar barq mehrbaan kyuun hai aa ke saahil pe kaun Duub gayaa mauj ki har adaa javaan kyuun hai jism hai ruuh mar chuki kab ki marg pe ziist kaa gumaan kyuun hai jab fanaa hi nasib hai sab kaa phir ye hangaama-e-jahaan kyuun hai"
A
Ahmad Shahid Khan
Quote
"duniyaa sabhi baatil ki talabgaar lage hai jis ruuh ko dekho vahi bimaar lage hai jab bhuuk se mar jaataa hai doraahe pe koi basti kaa har ik shakhs gunahgaar lage hai shaayad nai tahzib ki mearaaj yahi hai haq-go hi zamaane mein khataa-kaar lage hai vo teri vafaa ki ho ki duniyaa ki jafaa ki mat chheD koi baat ki talvaar lage hai kyaa zarf hai har zulm pe khaamosh hai duniyaa is daur kaa insaan pur-asraar lage hai jis ne kabhi dariyaa kaa talaatum nahin dekhaa saahil bhi use duur se manjhdaar lage hai"
A
Ahmad Shahid Khan
Quote
"dil ki khvaahish baDhte baDhte tufaan hoti jaati hai zar ki chaahat ab logon kaa imaan hoti jaati hai pyaar mohabbat hamdardi ke rishte the insaanon mein dil vaalon ko ab ye duniyaa zindaan hoti jaati hai marghaT kaa saa sannaaTaa hai ghar kuche baazaaron mein dil ki basti rafta rafta viraan hoti jaati hai insaanon ke khuun ke pyaase aur nahin khud insaan hain aql bichaari dekh ke duniyaa hairaan hoti jaati hai jhuTe vaade sunte sunte sapne chaknaa-chur hue maayusi be-zaari dil mein mehmaan hoti jaati hai"
A
Ahmad Shahid Khan
Quote
"junun ki rasm zamaane mein aam ho na saki havas thi chaah vafaa ki ghulaam ho na saki likhe the daar-o-rasan jis kisi ki qismat mein phir us ki zulf ke saae mein shaam ho na saki miri udaasi kaa baais shab-e-firaaq nahin basar ye raat ba-sad-ehtimaam ho na saki miri nigaah uThi hi rahi su-e-jaanaan tajalliyon mein ghiri ham-kalaam ho na saki ravaa jahaan ko ki majnun ko sangsaar kare qabaa-e-zist junun ki niyaam ho na saki khirad ki baat bhi sunte kahaan mili fursat junun ki baat lahad tak tamaam ho na saki"
A
Ahmad Shahid Khan
Quote
"saaghar kyuun khaali hai miraa ai saaqi tire maikhaane mein phir Daal de ulfat ki nazrein ik baar mire paimaane mein vo ishq nahin hai bul-havasi jo vasl ki chaahat kartaa hai baaqi hai faraasat ab tak bhi itni to tire divaane mein duniyaa ki inaayat hai utni har gaam bichhaati hai kaanTe ham rang-e-hinaa kaise bharte is ulfat ke afsaane mein kyuun khaak mein meri vasf nahin jis se mah-o-anjum sharmaaein har aan ulajhtaa jaataa huun is gutthi ko suljhaane mein phir raaz-e-khudi eazaaz-khudi parvaaz-e-khudi us se puchhein 'iqbaal' saa koi farzaana mil jaae agar anjaane mein"
A
Ahmad Shahid Khan