SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAisha Ayub(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mujh ko be-rahm tabibon se bachaayaa jaae ab duaa maangne vaalon ko bulaayaa jaae sirf mahsus karein log magar sun na sakein shor kuchh itni khamoshi se machaayaa jaae khaas logon pe jahaan aane ki ho paabandi mujh ko us aam si mahfil mein bulaayaa jaae dard kaa bojh uThaate hue ik umr hui kuchh khushi kaa bhi to ehsaan uThaayaa jaae yuun to har baat pe rone ki hai aadat us ko dil ba-zid hai ke use aaj hansaayaa jaae hai jafaakaar vo jaae to use jaane do kyon bhalaa zakhm ko naasur banaayaa jaae 'aaisha' khud se hi main laDti rahungi kab tak ab mujhe mere muqaabil se haTaayaa jaae"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"ham ek dusre ke is qadar khumaar mein hain bichhaD chuke hain magar phir bhi intizaar mein hain kamaan khinchne vaalo ko is kaa ilm nahin hadaf mein hain hi nahin ham to aar-paar mein hain ye baat sach hai magar ham hi der mein samjhe na us ke aur na ham apne ikhtiyaar mein hain musaafiron ki thakan ye bataa rahi hai hamein unhein khabar hi nahin hai vo kis dayaar mein hain vo ahl-e-zarf the saayaa talaash karte rahe ham ahl-e-kashf hain uDte hue ghubaar mein hain jo khvaab TuuT gae sabr de gae mujh ko jo khvaab bach gae vo chashm-e-ashk-baar mein hain"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"paabandi-e-hisaar se aage nikal gae nafrat ki zid mein pyaar se aage nikal gae is darja ikhtiyaar use khud pe de diyaa ham us ke ikhtiyaar se aage nikal gae apne qadam ko apni hi jaanib baDhaa liyaa duniyaa ki har qataar se aage nikal gae aavaaz di gai hamein taakhir se bahut itni ki ham pukaar se aage nikal gae muD kar bhi dekhne ki ijaazat nahin mili ham bhi rah-e-ghubaar se aage nikal gae jo log kaar-e-ishq mein masruf ho gae vo fikr-e-rozgaar se aage nikal gae jiinaa muhaal shahr mein itnaa huaa ki ham marne ke intizaar se aage nikal gae"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"vo jo apni zaat mein rakhte hain uryaani kaa shor khuld se aae hain le ke ruh-e-yazdaani kaa shor dasht mein rahte hain pyaase aur dariche vaa kiye khush huaa karte hain sun ke duur se paani kaa shor ek laDki chuDiyaan khankaa rahi thi aur tabhi us khanak se uTh rahaa thaa jaise zindaani kaa shor har kisi kaa ek laa-zaahir muqarrab hai magar dushman-e-dauraan-e-duniyaa mein hai burhaani kaa shor mere ghar ke baam-o-dar sab ban gae hain qissa-go hai mohabbat ki khamoshi aur pashemaani kaa shor zabt-e-gham ko tuul de jab ziist ki yaksaaniyat maut ki aavaaz se aataa hai aasaani kaa shor main pari-paikar huun lekin be-zabaan hargiz nahin saari duniyaa ne sunaa hai zarf-e-nisvaani kaa shor vo mujassam khush-badan yuun to sukhanvar hai magar us ke andar gunjtaa hai ramz-e-pinhaani kaa shor sab sitaare jhilmilaae chaand ki aaghosh mein jab andhere mein vo laayaa apni taabaani kaa shor us ne parbat par sadaa di jaa ke mujh ko 'aaisha' aur vahaan se lauT aayaa meri viraani kaa shor"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"mire haathon mein ubhraa hai ye naqsha kis tarah kaa hai miri aankhon mein Thahraa hai ye dariyaa kis tarah kaa hai ye meraa jism hai aazaad lekin ruuh qaidi hai khudaayaa koi batlaae ye pinjraa kis tarah kaa hai miri aahon ko mere qahqahon ne Dhaank rakkhaa hai miri is laash ke uupar ye malba kis tarah kaa hai hai jin mein bojh duniyaa bhar kaa mazhab ke havaalon se mire bachchon ke kaandhe par ye basta kis tarah kaa hai tumhein maalum bhi hai ki vo niyyat ko parakhtaa hai ye kis laalach mein karte ho ye sajda kis tarah kaa hai main khud ko DhunDne nikli thi kuchh bikhre varaq le kar tire andar huun jaa pahunchi ye naqsha kis tarah kaa hai hamein aavaaz denaa hai nabi ko jaanib-e-mahshar khudaa aavaaz de jis ko vo banda kis tarah kaa hai"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"zindagi kaa pata nahin hai koi is ke jaisi balaa nahin hai koi sabr karnaa to soch lenaa tum sabr ki intihaa nahin hai koi zehn par khaamushi musallat hai aur lab par duaa nahin hai koi itni khalvat kaa kyaa kareinge ham zakhm bhi ab haraa nahin hai koi teri duniyaa mein kyaa mire jaisaa aur mere sivaa nahin hai koi ishq kaa Dhong kar rahe hain sab ishq mein mubtalaa nahin hai koi zahr ki shishiyon pe likkhaa hai aur ab raasta nahin hai koi ham-safar to bahut se guzreinge dusri 'aaisha' nahin hai koi"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"din guzraa aur shaam Dhali phir vahshat le kar aai raat jab bhi us kaa hijr manaayaa ham ne vo kahlaai raat us ko rone se pahle kuchh ham ne yuun tayyaari ki kone mein tanhaai rakkhi kamre mein phailaai raat tu ne kaise soch liyaa ki tere tohfe bhuul gae dil ne tere gham ko pahnaa aankhon ko pahnaai raat saavan aayaa lekin sukhi ehsaashon ki hariyaali banjar dil mein aansu boe uupar se barsaai raat koi bhi mausam aayaa ho ham par to barsaat hui us ki yaadon ne jo gheraa dopahron par chhaai raat us pal jaise bol paDaa ho divaaron kaa sannaaTaa us ki raahein takte takte jaise ho uktaai raat kitne hi manzar shaamil hain meri suuni aankhon mein chup ke se aa ke karti hai palkon ki turpaai raat chaahat ki ye reshmi girhein aur palkon par niind kaa bojh yaadon se jo bach nikle to khvaabon ne uljhaai raat"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"agar vo khud hi bichhaD jaane ki duaa karegaa to us se baDh ke mire saath koi kyaa karegaa sunaa hai aaj vo marham pe choT rakkhegaa mujhi se mujh ko bhulaane kaa mashvara karegaa taras rahi hain ye aankhein us ek manzar ko jahaan se lauT ke aane kaa dukh huaa karegaa agar ye phuul hai meri balaa se murjhaae agar ye zakhm hai maalik use haraa karegaa main jaanti huun ki jitnaa khafaa bhi ho jaae vo mere shahr mein aayaa to raabta karegaa main us se aur mohabbat se pesh aaungi jo mere haq mein koi 'aaisha' buraa karegaa"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"tumhaare hijr ki muddat ghaTaa rahi huun main ghaDi mein vaqt ko ulTaa ghumaa rahi huun main kitaab-e-zindagi main ne agar paDhi hi nahin kyon imtihaan kaa parcha banaa rahi huun main lagaai main ne kinaare par aansuon ki sabil nadi ki pyaas ko paani pilaa rahi huun main yahi ki dil ki suni hai dimaagh se pahle sazaa usi ki mohabbat mein paa rahi huun main sunaa hai aur ziyaada sitam karegaa tu so apne zabt ki taaqat baDhaa rahi huun main lagaa ke ek alag zakhm us ke pahlu mein tumhaare zakhm ko nichaa dikhaa rahi huun main"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"tujh se naata toD leinge aur baDaa roeinge ham dil ko halkaa yuun kareinge baarhaa roeinge ham aahaTon aur dastakon par kaan hain rakkhe hue kab se tere muntazir hain aa bhi jaa roeinge ham suukh hi jaaegaa dariyaa ham agar hanste rahe us ki khaatir jitnaa ham se ban paDaa roeinge ham teri yaadon ki ho aamad aur dil mein kuchh na ho muskuraaeinge khushi mein mubtalaa roeinge ham gham kharaabe tirgi aansu khalaa aashuftagi aur bhi kuchh ho agar to vo bhi laa roeinge ham ek manzar soch kar jis ko ye saare ro paDein hazrat-e-'ayyub' kaa qissa sunaa roeinge ham"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"ujlat mein vo dekho kyaa kyaa chhoD gayaa apni baatein apnaa chehra chhoD gayaa mujh se ek kahaani sunne aaya thaa aur mujh mein vo apnaa qissa chhoD gayaa khvaab-zada thaa baatein kartaa rahtaa thaa rone vaalon ko bhi hanstaa chhoD gayaa dil ke ik kone mein aahein rakkhi hain jaane vaalaa apnaa hissa chhoD gayaa jitni yaadein le ke ham ko marnaa thaa utni saansein de ke zinda chhoD gayaa divaaron se lag ke ro lete honge jin ko un kaa saayaa tanhaa chhoD gayaa kamre se jis din us ki tasvir haTi aaine ne dekh ke puchhaa chhoD gayaa"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"khushi mein yuun izaafa kar liyaa hai bahut saa gham ikaTThaa kar liyaa hai hamein ham se bachaane kaun aataa so ab khud se kinaara kar liyaa hai miri tanhaai kaa 'aalam to dekho zamaane bhar ko yakjaa kar liyaa hai tujhe jaane ki jaldi thi so khud se tire hisse kaa shikva kar liyaa hai nahin maangeinge tujh ko ab du'aa mein khudaa se ham ne jhagDaa kar liyaa hai taraste hain jise milne ki khaatir usi ko apni duniyaa kar liyaa hai vo kyaa hai 'ishq ham ne ab ki jaanaan takalluf mein ziyaada kar liyaa hai andheron mein to rakhte hi the khud ko ujaalon mein bhi tanhaa kar liyaa hai khule pinjre mein bhi jis ko hai vahshat ye dil aisaa parinda kar liyaa hai"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"kisi ke hijr ko aise manaa rahe the ham ghaDi mein vaqt ko ulTaa ghumaa rahe the ham nahin thaa yaad sabaq apni zindagi kaa hamein so imtihaan kaa parcha banaa rahe the ham kinaare baiTh ke aansu bahaa ke aae the nadi ki pyaas ko paani pilaa rahe the ham kiyaa ye jurm ki apne hi dil ki sunte the yahi kahein ki khud apni sazaa rahe the ham ham us ke zulm ke baDhne ke intizaar mein the tabhi to zabt ki quvvat baDhaa rahe the ham lagaa ke ek Thahaakaa usi ke zer-e-asar bas apne zakhm ko nichaa dikhaa rahe the ham khud apne aap ko shaanon pe le ke chalte the khud apne aap kaa maatam manaa rahe the ham"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"mohabbaton kaa jo sar par vabaal rakkhaa hai futur-e-ishq hai aur ham ne paal rakkhaa hai ye intikhaab jo ham ne kiyaa hai jiine kaa firaaq chun liyaa hai aur visaal rakkhaa hai kisi bhi roz milo aur udaasiyaan le lo ham aise log hain sab pur-malaal rakkhaa hai khizaan ke phuul sanjoe kitaab mein rakkhe fasil-e-gham se yuun rishta bahaal rakkhaa hai vo aakhirash mujhe khvaabon mein dekhne aayaa mire gale kaa bhi kaisaa khayaal rakkhaa hai ye daur vo hai ki dil mein koi rakhe na rakhe nazar mein sab ne mujhe bahr-e-haal rakkhaa hai main laa-javaab hui yuun kuchh us ki baaton se mire savaal pe us ne savaal rakkhaa hai ghazal ke sher mire kab ke mar gae hote samaaaton ne unhein dekh-bhaal rakkhaa hai"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"khatm teri yaad kaa har silsila kaise karun duur rah kar main tujhe khud se judaa kaise karun par sameTe khud hi baiThaa hai parinda ik taraf jo qafas mein hi nahin us ko rihaa kaise karun dekhnaa aur dekh kar bas dekhte rahnaa tujhe is tasalsul ki bataa main intihaa kaise karun mustaqil divaar se main ne lagaa rakkhe hain kaan is mein chunvaai gai chup ko sadaa kaise karun dekhti rahti huun in ko sochti rahti huun ye teri aankhon ki zabaan kaa tarjuma kaise karun jaa rahaa hai jaae vo main kis liye rokun use ai mire dil bevafaa ko baa-vafaa kaise karun ain mumkin hai ki mujh ko khud-kushi karni paDe varna itne saanehon kaa haq adaa kaise karun aazmaaish ki zarurat ho na jis mein 'aaisha' ishq mein us marhale ki ibtidaa kaise karun"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"vo ab dil se tumhaare jaa rahaa hai tumhein us kaa khayaal ab aa rahaa hai main us ke saath ko tarsaa karungi jo mere saath bhi tanhaa rahaa hai to ab ye dukh bhi duniyaa baanT legi mujhe is baat kaa gham khaa rahaa hai use tum se mohabbat ho gai hai tumhaare saamne sharmaa rahaa hai bahut se log mujh mein ro rahe hain bas ik vo hai ki hanstaa jaa rahaa hai jo raste mein akelaa rah gayaa thaa vo sab ko raasta dikhlaa rahaa hai ba-sharte ye ki koi bhi na nikle har ik darvaaza kholaa jaa rahaa hai mulavvis hai gunaahon mein to vo bhi khudaa kaa zikr jo kartaa rahaa hai bahaaron se use kyaa lenaa denaa jo andar se hi ab murjhaa rahaa hai tumhein achchhi nahin lagti ye duniyaa farishton se ye puchhaa jaa rahaa hai ghazal ke sher to sab ho gae hain mukammal ek hi misra rahaa hai"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"yuun bhi raas aai nahin us ki vafaa tum rakh lo mujh ko bimaar hi rahne do davaa tum rakh lo band kamron ki ghuTan mere liye rahne do ye jo aati hai darichon se havaa tum rakh lo meri raahon mein bichhaa do tum andhere saare aur ye lo mire hisse kaa diyaa tum rakh lo oDh kar baiTh gai huun main dukhon ki chaadar ye khushi aur ye khushbu-e-qabaa tum rakh lo mujh ko ye nur-e-qamar tirgi se haasil hai mere andar se jo nikli hai ziyaa tum rakh lo paas baiThe koi dil khol ke do baat kare baaqi duniyaa ke ye atvaar-o-adaa tum rakh lo meri maan to miri jannat ko liye baiThi hai aisaa kar lo mire purkhon ki duaa tum rakh lo main gunahgaar hi achchhi huun baraa-e-mahfil ye jo tum bechte phirte ho khudaa tum rakh lo"
Aisha AyubAisha Ayub
Quote
"kuchh baat rah gai thi bataane ke baavajud huun haalat-e-safar mein ghar aane ke baavajud dil se utar chukaa thaa jo aa kar gale milaa duuri vahi thi dil se lagaane ke baavajud haathon mein ab bhi us ki hai khushbu basi hui jo rah gai thi haath chhuDaane ke baavajud purze vo khat ke aaj bhi rakkhe hain mere paas jo bach gae the khat ko jalaane ke baavajud naam us kaa mere dil pe chhapaa is tarah se hai yuun naqsh hai abhi bhi miTaane ke baavajud mujh ko bhi ye kamaal-e-hunar hai milaa huaa main ji rahi huun us ko bhulaane ke baavajud koi bhi ham-shanaas nahin ham-navaa nahin rishton mein ik khalaa hai nibhaane ke baavajud teri sadaaein aaiin jo maazi ki samt se ham ruk gae hain paanv baDhaane ke baavajud jo zid mein baDh gae the zaminon ko raund kar khush kyon nahin hain aasmaan paane ke baavajud ye kaisaa intizaar ki hotaa nahin hai khatm tu aa gayaa magar tire aane ke baavajud"
Aisha AyubAisha Ayub