Quote
"hai to pagDanDi nazar mein mo'tabar alfaaz ki le ke jaaegi kahaan tak rahguzar alfaaz ki is se aage sirf to hai aur ma'aani kaa tilism ab koi hikmat na hogi kaargar alfaaz ki kis gali mein chhoD kar rukhsat hui parchhaaiyaan main huun aur bebas sadaaein dar-ba-dar alfaaz ki khaamushi ke in hare peDon pe jaane kyaa bani aariyaan chalti suni hain raat bhar alfaaz ki aur ik jazbe ne kaaghaz par abhi toDaa hai dam rah gaiin sab koshishein phir be-asar alfaaz ki tum ne jo pichhli ruton mein bo diye the harf kuchh fasl ug aai hai dekho baa-samar alfaaz ki jism se baahar nikal aai numaaish ke liye khud-numaai ki havas thi kis qadar alfaaz ki"







