Quote
"chhupe hue hain sar-e-raah sau khatar khaamosh chale chalo mere yaaraan-e-ham-safar khaamosh fazaa-e-qarya tilism-e-sukut mein gum-sum siyaah raat ke daaman mein baam-o-dar khaamosh hamaare baa'd agar rustakhez ho bhi to kyaa bisaat-e-vaqt se ham to gae guzar khaamosh ba-in navaazish-e-mausam shaguft-e-gul pe na jaa zabaan-e-haal se goyaa ba-chashm-e-tar khaamosh jo arsh-e-jaah sitaara-shikaar the un ko falak ki aankh ne dekhaa faganda-sar khaamosh har ek daur mein gunji hai zarbat-e-farhaad kabhi bhi rah na sake saahab-e-hunar khaamosh zabaan-daraaz 'ziyaai' ko rokiye saahab ye maslahat kaa taqaazaa hai al-hazar khaamosh"







