SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAmit Sharma Meet(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab jazba ik baar jigar mein aataa hai phir sab apne aap hunar mein aataa hai sab ki zad mein ik meraa hi ghar hai kyaa roz nayaa ik patthar ghar mein aataa hai kal mere saae mein us ki shakl dikhi manzar aise pas-manzar mein aataa hai main tanhaa aataa huun mahfil mein yaaron baaqi har insaan lashkar mein aataa hai lahja us kaa har jaanib hai musallat yuun vo banda har baar khabar mein aataa hai dahshat us lamhe ki dil mein itni hai aksar hi vo lamha Dar mein aataa hai 'mit' sabhi kaa saath yahaan par detaa hai jo koi bhi biich safar mein aataa hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"na khuli aankhon se dahshat kaa nazaaraa dekhnaa jo hamaaraa hai use auron kaa hotaa dekhnaa ru-ba-ru us ko nazar bhar dekh bhi sakte nahin haae kitnaa dukh bharaa hai khud ko aisaa dekhnaa kyaa ajab saa rog binaai ko meri lag gayaa har kisi chehre mein bas us kaa hi chehra dekhnaa ishq mein pathraa chuki aankhon se hai mushkil bahut chaand ko Thahre hue paani mein chaltaa dekhnaa haae kyaa manzar-kashi ubhri hai is tasvir mein roti aankhon se kisi pyaase kaa dariyaa dekhnaa raat bhar bechainiyaan sone nahin detin mujhe aur din bhar raat ke hone kaa rasta dekhnaa maut ham se do qadam ke faasle par hai khaDi ab bahut dilchasp hogaa ye tamaashaa dekhnaa"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"yuun apne dil ko bahlaane lage hain lipaT kar khud ke hi shaane lage hain hamein to maut bhi aasaan nahin thi so ab zinda nazar aane lage hain udaasi is qadar haavi thi ham par ki khush hone pe itraane lage hain jo dekhi ik shikaari ki udaasi parinde lauT kar aane lage hain saliqe se lipaT kar paaon se ab ye gham zanjir pahnaane lage hain ghamon ki dhuup baDhti jaa rahi hai khushi ke phuul murjhaane lage hain faqat ab chand qadmon pe hai manzil magar ham hain ki sustaane lage hain"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"is miTTi ko aise khel khilaayaa ham ne khud ko roz bigaaDaa roz banaayaa ham ne jo sochaa thaa vo to ham se banaa nahin phir jo ban paayaa us se ji bahlaayaa ham ne gham ko phir se tanhaai ke saath mein mil kar hanste hanste baaton mein uljhaayaa ham ne naa-mumkin thaa is ko haasil karnaa phir bhi puuri shiddat se ye ishq nibhaayaa ham ne us ki yaadein bojh na ban jaaein saanson par so yaadon se apnaa dil dhaDkaayaa ham ne kah dete to shaayad achchhe ho jaate par khaamoshi se apnaa maraz baDhaayaa ham ne us kaa chehra dekh liyaa thaa ek dafa phir in aankhon se saalon qarz chukaayaa ham ne"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"duniyaa ko jab nazdiki se dekhaa hai tab samjhaa ye sab kuchh khel-tamaasha hai haathon ki do-chaar lakirein paDh kar vo mujh se bolaa aage sab kuchh achchhaa hai us se bas ik baar milaa par hairaan huun dil mein tab se ghar kar ke vo baiThaa hai kaaghaz par dil ki tasvir banaai jab us ne puchhaa ye kis shai kaa naqsha hai soch rahaa huun main is kaa saudaa kar duun us ki yaadon kaa jo dil mein malba hai donon pahlu mein hi haar chhipi is mein mere haathon mein ab ye jo sikka hai is khaatir main roz mashaqqat kartaa huun aasaani se kyaa haasil ho paataa hai jab qudrat ne thoDaa aaj navaazaa to saare mujh se puchhe hain tu kaisaa hai 'mit' yahaan apne to naam ke apne hain an-jaanon se rishta dil kaa gahraa hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"mujh mein hai kuchh dard bachaa so zinda huun chaaragar ne bol diyaa so zinda huun main bas marne hi vaalaa thaa phir us ne honTon par ik lams rakhaa so zinda huun mujh ko ek faqir ne sikke ke badle di hogi bharpur duaa so zinda huun sochaa thaa ab maut si niind main soungaa khvaab mein kuchh naayaab dikhaa so zinda huun jiinaa vo bhi hosh mein rah ke mushkil thaa kartaa huun ab roz nasha so zinda huun us ne bolaa yaad mujhe tum mat karnaa main ne bhi phir maan liyaa so zinda huun khvaab mein us se roz milaa kartaa thaa 'mit' lekin sach mein nahin milaa so zinda huun"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"yuun be-dam hain saansein ghuTan kuchh nahin hai kisi dard ki ab chubhan kuchh nahin hai khilaune hain miTTi ke ham sab yahaan par haqiqat yahi hai badan kuchh nahin hai ye maanaa ki paikar bahut kuchh hai lekin binaa ruuh ye pairahan kuchh nahin hai lagi aag khvaabon mein itni ki samjho ye aankhon ki mere jalan kuchh nahin hai main khud mustaqil huun safar mein so mujh ko ye lagne lagaa hai thakan kuchh nahin hai binaa saath tere sabhi kuchh hai suunaa ye duniyaa jahaan anjuman kuchh nahin hai numaaish hai sab 'mit' mere ghamon ki ghazal kuchh nahin hai sukhan kuchh nahin hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"diye kaa rukh badaltaa jaa rahaa hai havaa ke saath jaltaa jaa rahaa hai tumhaare hijr ki is aanch mein ab hamaaraa dil pighaltaa jaa rahaa hai taDap uTThi hai meri ruuh phir se badan se tu nikaltaa jaa rahaa hai nikaalo ab mire ghar se hi mujh ko ye sannaaTaa nigaltaa jaa rahaa hai qafas mein qaid ik panchhi ke jaise miraa kirdaar Dhaltaa jaa rahaa hai hamaaraa hijr bhi ab masala ban zamaane mein uchhaltaa jaa rahaa hai use ehsaas hai kyaa 'mit' vo ab mire armaan kuchaltaa jaa rahaa hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"qismat apni aisi kachchi nikli hai har mahfil se bas tanhaai nikli hai khat us ke jab aaj jalaane baiThaa to maachis ki tiili bhi siili nikli hai shor-sharaaba rahtaa thaa jis aangan mein aaj vahaan se bas khaamoshi nikli hai bhukaa bachcha dekhaa to in aankhon se aansu ki phir ek nadi si nikli hai apni surat ki partein jab kholin to apni surat us ke jaisi nikli hai main ne bhi dekhaa hai teri rahmat ko tufaanon se bach ke kashti nikli hai dil TuuTaa to 'mit' samajh mein ye aayaa ishq vafaa sab ek paheli nikli hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"ai khudaa jism mein tu ne ye banaayaa kyaa hai dil to ye hai hi nahin phir ye dhaDaktaa kyaa hai ishq ki shaakh pe aaegaa chalaa jaataa hai dil ke panchhi kaa bhalaa Thor-Thikaana kyaa hai har nasha kar ke yahaan dekh chukaa huun yaaron bhuul jaane kaa use aur tariqa kyaa hai teri yaadon mein bahaae hain jo aansu itne aankh bhi puchh rahi hai ki bachaayaa kyaa hai yuun mulaaqaat kaa ye daur banaae rakhiye maut kab saath nibhaa jaae bharosa kyaa hai hijr ke baad ye socho ki kahaan jaaoge ham to mar jaaeinge vaise bhi hamaaraa kyaa hai 'mit' khvaabon ki khumaari se nikalne ke baad us se ik baar to puchho ki bataataa kyaa hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"ye gham phir se ubhartaa jaa rahaa hai mujhe hairaan kartaa jaa rahaa hai sunaa meayaar girtaa jaa rahaa hai magar banda nikhartaa jaa rahaa hai mujhe ye kyaa huaa hai kuchh dinon se tiraa ehsaas martaa jaa rahaa hai amaan is khvaab ko bhi kyaa kahein ab bikharnaa thaa bikhartaa jaa rahaa hai tiraa khaamoshiyon ko vaqt denaa sadaaon ko akhartaa jaa rahaa hai hamin ne hi use rasta diyaa thaa hamin pe paanv dhartaa jaa rahaa hai puraani dekh kar tasvir teri nayaa har din guzartaa jaa rahaa hai main jitni aur piitaa jaa rahaa huun nasha utnaa utartaa jaa rahaa hai sunaa hai 'mit' khvaabon se nikal kar vo aankhon mein Thahartaa jaa rahaa hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"apne hisse ki anaa duun to anaa duun kis ko apni nazron se giraa duun to giraa duun kis ko zindagi kaa ye miri kaun hai qaatil jaane main huun mushkil mein sazaa duun to sazaa duun kis ko dosti mein bhi hai ranjish ki kahaani ki miri is kahaani ko bataa duun to bataa duun kis ko muddaton se hain mili Thokarein mujh ko jo yahaan ishq-baazi mein vafaa duun to vafaa duun kis ko vaar sab piiTh pe karte hain yuun dil mein rah kar tu bataa de main duaa duun to duaa duun kis ko baat karti hi nahin ab to ye tanhaai bhi man ki har baat sunaa duun to sunaa duun kis ko har koi juujh rahaa hai yahaan apne gham se dard-e-gham ki ye davaa duun to davaa duun kis ko kaun laaegaa miri chiTThiyaan khushiyon vaali apne ghar kaa main pata duun to pata duun kis ko gham mein Duubaa huaa rahtaa huun main ab har lamha 'mit' ye jaam pilaa duun to pilaa duun kis ko"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"na jaane kaun si ghaflat mein huun main ajab se dard ki shiddat mein huun main chalo phir kal milungaa yaar tum se abhi to ishq ki mayyat mein huun main dikhaa thaa khvaab mein rotaa huaa dil kahun kyaa ab talak dahshat mein huun main mujhe tum DhunDhte phirte kahaan ho tumhaare pyaar ki lazzat mein huun main hamein bichhDe to ik arsa huaa par sunaa hai aaj tak aadat mein huun main kisi jaadu yaa Tone kaa asar hai suno kuchh roz se diqqat mein huun main tumhein kuchh 'mit' se kahnaa hai shaayad chale aao abhi fursat mein huun main"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"gharaz paDne pe us se maangtaa hai khudaa hotaa hai yaani maantaa hai kai din se sharaarat hi nahin ki mire andar kaa bachcha laapata hai bure maahaul se guzraa hai ye dil mohabbat lafz se hi kaanptaa hai ye kachchi umr ke aashiq ko dekho zaraa ruThe kalaai kaaTtaa hai abhi manzil dikhaai bhi nahin di abhi se hi tu itnaa haanptaa hai gunaahon ki sazaa sab dusron ko garebaan kaun apnaa jhaanktaa hai ajab kaarigari hai 'mit' us ki badan ko ruuh pe vo Taanktaa hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"dil hamaaraa to kahin khoyaa nahin thaa haan tumhaare paas bas DhunDhaa nahin thaa us se keval dosti chaahi thi ham ne 'ishq kar baiTheinge ye sochaa nahin thaa us ki narmaahaT abhi tak hai labon par vo mahz ik aam saa bosa nahin thaa ek laDki dil lagaae tab se baiThi 'ishq karnaa jab mujhe aataa nahin thaa ab kabhi milnaa nahin hogaa hamaaraa khat mein aisaa to kahin likkhaa nahin thaa dard tanhaai taDap aansu vaghaira yaar tere 'ishq mein kyaa kyaa nahin thaa aakhirash dil chal paDaa us ki hi jaanib aur kuchh is ke sivaa chaara nahin thaa tum yaqin maano tumhaaraa hi asar hai varna ye patthar kabhi dhaDkaa nahin thaa bin tumhaare naam ham likhte bhi kaise so ghazal mein jaan kar maqta' nahin thaa"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"sach kahne kaa aakhir ye anjaam huaa saari basti mein main hi badnaam huaa qatl kaa mujrim rishvat de kar chhuT gayaa qismat dekho mere sar ilzaam huaa mere gham par vo aksar hans detaa hai ye to gham kaa ghair munaasib daam huaa zakhm yahaan to vaise kaa vaisaa hi hai tum batlaao tum ko kuchh aaraam huaa tanhaai ne jab se qaid kiyaa mujh ko baahar aane mein tab se naakaam huaa roz masaail ghere hain mujh ko to ab soch rahaa huun gardish-e-ayyaam huaa akhbaaron mein khud ko paDhte sochun huun 'mit' yahaan par meraa bhi kuchh naam huaa"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"maazi ke jab zakhm ubharne lagte hain aankhon se jazbaat bikharne lagte hain zehn-o-dil mein us ki yaadein aate hi lafz sharaarat khud hi karne lagte hain kar ke yaad tire maathe kaa bosa ham ungli ab honThon pe dharne lagte hain teri main tasvir kabhi jo dekhun to mere din aur raat Thaharne lagte hain bin tere saanson ki haalat mat puchho ghuT ghuT kar rozaana marne lagte hain ham par andhere kuchh haavi hain aise to ham khud ke saae se Darne lagte hain 'mit' kahaani ulfat ki jab paDhtaa huun aankhon se kirdaar guzarne lagte hain"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"ye lagtaa hai ab bhi kahin kuchh bachaa hai tumhaaraa diyaa zakhm ab tak haraa hai kaho kaun si shakl dekhoge ab tum ye chehra to ik aavran se Dhakaa hai lagaa hai zamaana ibaadat mein jis ki vo rahtaa kahaan hai tumhein kuchh pataa hai gunaahon se tauba karo vaqt rahte vagarna to dozakh kaa rasta khulaa hai mohabbat mohabbat mohabbat mohabbat amaan yaar chhoDo ye halkaa nasha hai bhalaai karo to mile hai buraai ye qissa miri zindagi se juDaa hai ghalat-fahmiyaan 'mit' rakkho na dil mein vahi sach nahin jitnaa tum ne sunaa hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"nazar bhar ke yuun jo mujhe dekhtaa hai bataa bhi de mujh ko ki kyaa sochtaa hai mohabbat nahin jaise kyaa kar liyaa ho zamaana mujhe is qadar Toktaa hai december ki sardi hai us ke hi jaisi zaraa saa jo chhu le badan kaanptaa hai lagaayaa hai dil bhi to patthar se main ne miri zindagi ki yahi ik khataa hai jise dekh ke gham bhi rasta badal de vo chehra na jaane kahaan laapata hai koi baat dil mein yaqinan hi hai jo vo milte hue ghaur se dekhtaa hai usi ki gali kaa koi ek laDkaa mohabbat kaa mujh se hunar puchhtaa hai na DhunDho kahin bhi milungaa yahin pe ye ujDi haveli hi meraa pata hai koi farq paDtaa nahin 'mit' ko ab jahaan us ke baare mein kyaa sochtaa hai"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"teri tasviron ko dekh pighalti hain ab ye aankhein ham se nahin sambhalti hain har din chehra alag tarah kaa hotaa hai gham ki shaklein bhi to roz badalti hain in khvaabon kaa sach honaa kyaa mumkin hai jin ke khaatir aankhein meri jalti hain jaane kis kaa lahja us par haavi hai us ki baatein ab angaar ugalti hain dil ke qabristaan kaa yaaron kyaa kahnaa laashein bas jazbaat ki is mein palti hain jab tak huun main zinda milne aa jaao lamha lamha saansein roz nikalti hain ummidon kaa suraj roz nikaltaa hai shaam ke jaisi 'mit' umidein Dhalti hain"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"apni aankhon ko kabhi Thiik se dhoyaa hi nahin sach kahun aaj talak khul ke main royaa hi nahin mere lafzon se miraa dard jhalak jaataa hai jabki is dard ko aavaaz mein boyaa hi nahin ik dafa niind mein khvaabon kaa janaaza dekhaa baad us ke main kabhi chain se soyaa hi nahin tang galiyon mein mohabbat ki bhaTakte hain sab main ne koshish to kai baar ki khoyaa hi nahin saans ruk jaae taDapte hue yaadon mein kahin hijr kaa bojh kabhi dil pe yuun Dhoyaa hi nahin main kahaani mein nayaa moD bhi laa saktaa thaa main ne kirdaar ko aansu mein bhigoyaa hi nahin apne rishte kaa bhi ab 'mit' bikharnaa tai thaa ham ne vishvaas ke dhaage mein piroyaa hi nahin"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet
Quote
"tujh ko maalum nahin kyaa hai tiri yaadon se ek anjaan saa rishta hai tiri yaadon se raat bechain si sardi mein ThiThurti hai bahut din bhi har roz sulagtaa hai tiri yaadon se hijr ke gham ne mujhe maar diyaa thaa to kyaa mar ke jiinaa bhi to sikhaa hai tiri yaadon se aaj phir se jo huaa qaid to ye sochun huun kal hi sochaa thaa ki bachnaa hai tiri yaadon se aise shaamil thaa main tujh mein ki baDi mushkil se main ne ab khud ko nikaalaa hai tiri yaadon se kyaa bataaein ki yahaan kaise guzaari ham ne apni har saans ko sinchaa hai tiri yaadon se 'mit' yaadon ne bhi kitnaa hai sataayaa mujh ko miraa takiya baDaa bhigaa hai tiri yaadon se"
Amit Sharma MeetAmit Sharma Meet