SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAqeel Sambhali(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"bolte hi bolte chup ho gae patthar ke log kyon fazaa khaamosh hai kyaa so gae patthar ke log roz Takraate rahe chingaariyaan uDti rahin shahr viraan ho gae jab ho gae patthar ke log kaisaa jaada kaisi manzil kyaa thakan kyaa hausla niind se bojhal thiin aankhein so gae patthar ke log apnaa chehra dekh kar ghabraaeinge mar jaaeinge aainon ke shahr mein gar kho gae patthar ke log aur kab tak Dhote apni laash apne dosh par dasht-e-tanhaai mein aakhir so gae patthar ke log shisha ban kar kab tak apni kirchiyon se khelte ham bhi patthar ho gae jab ho gae patthar ke log ab koi dastak 'aqil' un ko jagaa sakti nahin aise viraanon mein jaa kar so gae patthar ke log"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"khudaa kare ki na ho zindagi ki shaam abhi ki daastaan-e-gham-e-dil hai naa-tamaam abhi nigaah-e-naaz se saaqi ik aur jaam abhi gham-e-hayaat se lenaa hai intiqaam abhi abhi mujhe na sataao sahar ke afsaane dil-o-nigaah pe chhaai hui hai shaam abhi jahaan se ahl-e-khirad naa-muraad lauT aae junun ki raah mein aaeinge vo maqaam abhi abhi hayaat mein rangini-e-hayaat kahaan kisi kaa lutf-o-karam hai baraae naam abhi ye jhilmilaate sitaare mujhe fareb na dein miraa sharik-e-safar hai charaagh-e-shaam abhi abhi 'aqil' yaqin-e-sukun-e-dil kyon ho hazaar rang badalte hain subh-o-shaam abhi"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"jin se raushan thiin fazaaein kabhi viraanon ki yaad aati hai unhi chaak-garebaanon ki jab kabhi kaa'be ki taa'mir kaa vaqt aataa hai pahle buniyaad uThaa karti hai but-khaanon ki shukriya mere safine ko Dubone vaalo mujh ko minnat na uThaani paDi tufaanon ki raushni ho ki na ho sham' jale yaa na jale shab to kaTti hai bahar-haal siyah-khaanon ki mai-kada khatre mein hai tegh uThaa ai saaqi aaj rindon ko zarurat nahin paimaanon ki kyon Daraati hai hamein mauj-e-balaa rah-rah kar shorishein ham ne bahut dekhi hain tufaanon ki ikhtilaafaat asiron mein abhi tak hain 'aqil' ye siyaasat na ho zindaan ke nigahbaanon ki"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"daulat ke aur honge talabgaar dosto ham hain mataa'-e-gham ke kharidaar dosto kuchh khaas doston ki muhim raaegaan gai zinda hai aaj bhi miraa kirdaar dosto naa-qadri-e-hayaat kaa kis se gila karein yusuf bike hain bar-sar-e-baazaar dosto zindaan mein ham se saahab-e-zindaan na aaeinge roeinge muddaton dar-o-divaar dosto us ko nasim-e-subh ke jhonkon se kyaa gharaz jis ke nasib mein hai shab-e-taar dosto dasht-e-balaa mein saaya-e-gesu bhi chaahiye kaafi nahin hai saaya-e-ashjaar dosto chalnaa rah-e-vafaa pe koi jurm to na thaa tum kyon hue 'aqil' se bezaar dosto"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"ye bajaa sahi mujhe aap ne miri manzilon kaa pata diyaa mire saath saath na chal sake miraa hausla to baDhaa diyaa kabhi soz-e-'ishq se shaam-e-gham mire jism-o-jaan jo sulag uThe tire gham ki 'umr daraaz ho inhein aansuon se bujhaa diyaa shab-e-gham kaa haal na puchhiye yahi kashmakash rahi raat bhar kabhi be-khudi ne sulaa diyaa kabhi bekali ne jagaa diyaa na yaqin-o-'azm ke naqsh the na kahin umang kaa rang thaa thi hayaat saada varaq varaq jise haadson ne sajaa diyaa na huaa hai khatm na ho kabhi ye fasaana-e-gham-e-'aashiqi jo kabhi kahin se sunaa diyaa to kabhi kahin se sunaa diyaa baDi dardnaak hai ham-nashin mire aashiyaan ki ye daastaan jise bijliyaan na jalaa sakin use baaghbaan ne jalaa diyaa mujhe ai 'aqil' ye fikr thi ki kaTegi kaise shab-e-alam magar un ki yaad kaa shukriya ki thapak thapak ke sulaa diyaa"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"khirad ki sham'on ke aasre par hayaat ki shab basar na hogi abhi to raushan hai raat lekin ye raushni taa-sahar na hogi na khaar honge jahaan na patthar vo 'ishq ki rah-guzar na hogi junun ko taskin na de sakegi vo raah jo pur-khatar na hogi sajaai thi ham ne bazm saaqi ki daur-e-jaam-e-sharaab hogaa ye kyaa khabar thi ki mai-kade mein hamin pe teri nazar na hogi payaam-e-bimaar-e-gham hai qaasid Thahar Thahar ke bayaan karnaa vo haal puchhein to bas ye kahnaa zarurat-e-chaara-gar na hogi na kahne vaale kabhi thake hain na sunne vaalon ko niind aai ye ‘ishq-o-ulfat ki daastaan hai ye daastaan mukhtasar na hogi bajaa sahi aap kaa ye taa'na du'aa mein taasir kyon nahin hai ye sochiye aap kyaa kareinge du'aa agar be-asar na hogi miraa nasheman bhi jal chukaa hai ujaD chuki shaakh-e-aashiyaan bhi 'aqil' ab jaanib-e-gulistaan nigaah-e-barq-o-sharar na hogi"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"khushi ye kam to nahin gham se rasm-o-raah to hai khudaa kaa shukr koi meraa khair-khvaah to hai balaa se saath na degi ye sham' saath na de anis-e-shaam-e-judaai dil-e-tabaah to hai hazaar kaali ghaTaaon mein chhup gae taare miri nazar mein koi rashk-e-mehr-o-maah to hai main un ke saamne jaaun to kis tarah jaaun ki dil ko hosh nahin jurat-e-nigaah to hai vo haal dil kaa na samjhein ye un ki baat rahi ab un ke saamne haal-e-dil-e-tabaah to hai unhein yaqin na aae to kyaa kare koi miri vafaa ki miri zindagi gavaah to hai 'aqil' laakh nazaare miri nazar ke liye tasavvuraat mein raushan vo jalva-gaah to hai"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"sukhanvar ban gae zaagh-o-zaghan bhi na miT jaae shu'ur-e-fikr-o-fan bhi zamaana siikh le nazron se teri siyaasat bhi mohabbat kaa chalan bhi tire gesu tire 'aariz ke sadqe shab-e-sahraa bhi hai subh-e-chaman bhi na honge ham to ham ko yaad kar ke bahut roeinge ahl-e-anjuman bhi hamin the ghair ham hote hain rukhsat raho tum bhi tumhaari anjuman bhi hamin se aabru-e-‘ishq hogi hamin honge sar-e-daar-o-rasan bhi 'aqil' is shahr-e-aashufta-saraan mein mujhe achchhaa lagaa divaana-pan bhi"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"talaatum-khez maujon ko bhi jaada kar liyaa main ne kinaare par pahunchne kaa iraada kar liyaa main ne tire bakhshe hue gham sah liye aansu chhupaa laayaa kabhi dil aur kabhi daaman kushaada kar liyaa main ne tamaasha dekh lenaa khun-e-dil aankhon se chhalkegaa agar zabt-e-alam had se ziyaada kar liyaa main ne bahut rangin thaa dil kaa varaq gham ke tasavvur se magar ashkon se dho kar is ko saada kar liyaa main ne sikhaataa kaun jiine ki adaaein zindagaani ko khud apni khaamiyon se istifaada kar liyaa main ne miri tanhaa-pasandi ko rifaaqat kab gavaara thi bichhaDne kaa iraada be-iraada kar liyaa main ne 'aqil' ab muntazir baiThaa huun tufaan-e-havaadis kaa ki khvaabon kaa mahal phir istaada kar liyaa main ne"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"Dhal gai shab charaaghon ki lau baDh gai shaam-e-bimaar-e-gham ki sahar ho gai lo mariz-e-shab-e-gham ko niind aa gai daastaan-e-alam mukhtasar ho gai yuun kiyaa hai adaa sajda-e-bandagi hashr uTThe magar sar uThaayaa nahin ab kisi aashnaa ki zarurat nahin ab jabin haasil-e-sang-e-dar ho gai shaam-e-gham ab vo aaein na aaein magar un kaa vaa'da to hai vo zarur aaeinge ab sahar ho na ho is ki parvaa nahin kyaa ye kam hai umid-e-sahar ho gai main huun vo rahrav-e-raah-e-'ishq-e-vafaa jab bhi manzil ki jaanib uThaae qadam meraa josh-e-junun raahbar ban gayaa meri divaangi ham-safar ho gai chaaraagar ab ‘ilaaj-e-gham-e-dil na kar apni barbaadiyon kaa mujhe gham nahin kyaa ye kam hai unhein e'tibaar aa gayaa mere miTne pe aankh un ki tar ho gai mai-kada chhuT gayaa sahn-e-gulshan chhuTaa tere gham ke liye do-jahaan chhuT gae ab na jiine ki parvaa na marne kaa gham zindagi yaas ki rahguzar ho gai tirgi-e-alam duur kab ho saki ham ne dil ko bhi apne jalaayaa 'aqil' dil sulagte sulagte dhuaan ho gayaa jalte jalte ise raat bhar ho gai"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"koi bulbul se kah de laala-zaaron kaa bharosa kyaa bahaarein aati jaati hain bahaaron kaa bharosa kyaa talaatum-khez tufaan mein kinaaron kaa bharosa kyaa jo khud hi Duub jaaein un sahaaron kaa bharosa kyaa kabhi dil chaahtaa hai koi gham kaa raaz-daan hotaa magar phir sochtaa huun raaz-daaron kaa bharosa kyaa hujum-e-yaas divaana banaa detaa hai insaan ko abhi hansne lageinge gham ke maaron kaa bharosa kyaa kuchh aise moD bhi aate hain raahein kho bhi jaati hain talab ki manzilon mein rahguzaaron kaa bharosa kyaa abhi paighaam jiine ke abhi saamaan marne kaa nigaah-e-naaz ke mubham ishaaron kaa bharosa kyaa 'aqil' apne hi dil ki raushni aae to kaam aae shab-e-taarik mein in chaand-taaron kaa bharosa kyaa"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"sard mausam thaa bahut soz-e-alam se pahle ziist dilchasp kahaan thi shab-e-gham se pahle aaj jiine kaa samajhte hain sahaaraa is ko ham ki vaaqif bhi na the shaam-e-alam se pahle zindagi itni hasin aur dil-aavez na thi ai mohabbat tire altaaf-o-karam se pahle chal paDe log to phir koi bhi khaTkaa na rahaa manzilein sakht thiin bas pahle qadam se pahle fikr-e-aazar ko du'aa do ki kiyaa husn talaash paara-e-sang mein takhliq-e-sanam se pahle apni kotaahi-e-daaman ko bhi arbaab-e-talab dekhte vus’at-e-daamaan-karam se pahle sar pe saaya thaa buzurgon kaa to suraj bhi 'aqil' itnaa barham na rahaa kartaa thaa ham se pahle"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali
Quote
"kyaa kahiye din shabaab ke kaise guzar gae jhonke havaaon ke idhar aae udhar gae meri nazar mein haasil-e-hasti vahi rahe vo lamhe jo hayaat ko badnaam kar gae kyon yaad aa rahe hain vo be-saakhta mujhe bhule hue bhi jin ko zamaane guzar gae phir un ko mai-kade se uThaane kaa zikr hai saaqi vo tishna-lab jo tiraa naam kar gae is daur-e-naa-shanaas mein ahl-e-vafaa kahaan sinon mein ahl-e-dil ke to khanjar utar gae ham vo charaagh hain ki jo hain aandhiyon ke saath ham vo nahin jo tez havaaon se Dar gae jab tak rahe qafas mein rahe baal-o-par 'aqil' aazaad jab hue to sabhi baal-o-par gae"
Aqeel SambhaliAqeel Sambhali