SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAqeel Shadab(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"us ke hote uThaa sakaa kab sar koi sarkaa de aakaash ki ye chaadar koi baras rahe hain sang-e-malaamat har jaanib kaise nikle ab ghar se baahar koi ik duuje ko kaaT rahaa hai har rasta khaDaa huaa hai chauraahe par har koi kaanch ki kaayaa le kar niklaa huun ghar se aa na lage bhulaa-bhaTkaa patthar koi chhoD gayaa raddi ke daamon bikne ko chaaT gayaa mujh ko akshar akshar koi baahar DhunD rahe ho tum kis dushman ko chhupaa huaa hai apne hi andar koi koi bhuul chukaa hogaa shaayad ham ko yaad nahin aataa hai ab aksar koi bulaa rahaa hai jangal jangal sannaaTaa bhaTak rahaa hai tanhaa nagar nagar koi kaan lagaae aankh bichhaae baiThaa huun gayaa hai jab se aane ko kah kar koi"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"mataa-o-maal na de daulat-e-tabaahi de mujhe bhi mumlikat-e-gham ki baadshaahi de khaDaa huaa huun main dast-e-talab daraaz kiye na mere sar ko yuun ilzaam-e-kaj-kulaahi de main apne aap ko kis tarah sangsaar karun mire khilaaf miraa dil agar gavaahi de main Thahre paani ki maanind qaid huun khud mein koi nasheb ki jaanib mujhe bahaa hi de mire dinon ko javaan jism kaa ujaalaa de miri shabon ko ghani zulf ki siyaahi de kabhi to lazzat-e-kaam-o-dahan do-baalaa kar ham aise faaqa-kashon ko bhi murgh-o-maahi de har ek daur ke suqraat kaa ye virsa hai mujhe bhi laa miri zahraab ki suraahi de"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"mere zehn-o-dil mein fikr-o-fan mein thaa niim kaa vo peD jo aangan mein thaa jis pe likkhaa thaa miraa naam-o-nasab qaid main miTTi ke us bartan mein thaa ek vo har dasht mein sairaab thaa ek main pyaasaa har ik saavan mein thaa dekh kar bhi jo na dekhaa jaa sakaa aks-aaraa vo har ik darpan mein thaa kah na paayaa jaane kyuun ik harf bhi jaane kyaa us aadmi ke man mein thaa jis ko koi naam de saktaa nahin vo bulaavaa us paraae-pan mein thaa aandhiyaan sab kuchh uDaa kar le gaiin peD par patta na phal daaman mein thaa jaa-ba-jaa qaus-e-quzah ki chhuT thi ik tilism aabaad pairaahan mein thaa chhin kar 'shaadaab' koi le gayaa ik anokhaa sukh jo ghar-aangan mein thaa"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"saatvein number ki surat vo bhi pur-asraar thaa main sifar ki tarah sab kuchh thaa magar be-kaar thaa har-nafas ab tak mire dil ki ajab haalat rahi maut se Dartaa bhi thaa jiine se bhi bezaar thaa ik shanaasaa naa-shanaasaai thi mere har taraf meraa ghar mere liye to ghar na thaa baazaar thaa meri barbaadi kaa zaamin dusraa koi nahin main ki apne vaahimon kaa aap zimmedaar thaa jism hi kyaa ruuh tak zakhmon se chhalni ho gai saans kaa rishta na thaa chalti hui talvaar thaa ab bhalaa haasil bhi kyaa hogaa ba-juz sharmindagi kyaa kahun 'shaadaab' kis se barsar-e-paikaar thaa"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"bujh chukaa suraj andheraa ho chukaa hai dosto duur mujh se meraa saaya ho chukaa hai dosto chaand ko chhu kar khudaa ki zaat ke munkir hue qad hamaaraa kitnaa unchaa ho chukaa hai dosto dafn jo sadiyon rahaa tahzib ke ambaar mein tang aa kar ab vo nangaa ho chukaa hai dosto jism kyaa dil kyaa jigar kyaa ruuh tak chhalni hui vaqt kaa bartaav aisaa ho chukaa hai dosto qurb se jis ke mahak uTThe the ye divaar-o-dar rang us khushbu kaa mailaa ho chukaa hai dosto jo ghiraa rahtaa thaa kal tak doston ki bhiiD mein aaj vo bilkul akelaa ho chukaa hai dosto ab to apne aap se milne ki bhi fursat nahin is qadar 'shaadaab' tanhaa ho chukaa hai dosto"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"kabhi bantaa kabhi miTtaa huun shaayad main apne vahm kaa saayaa huun shaayad na koi mujh ko ab tak paDh sakaa hai havaaon par kahin likkhaa huun shaayad mujhe meraa samandar DhunDhtaa hai main ik bhaTkaa huaa dariyaa huun shaayad badal jaate hain khadd-o-khaal mere main mar kar bhi nahin martaa huun shaayad kahaan hai meri marg-e-naa-gahaani usi ki aas mein zinda huun shaayad tujhe kho kar akelaa ho gayaa thaa tujhe paa kar bhi main tanhaa huun shaayad khud apne qatl kaa chaska hai mujh ko khud apne khuun kaa pyaasaa huun shaayad azal se main musalsal chal rahaa huun thakan se TuTtaa lamha huun shaayad na jaane kaun mujh mein kho gayaa hai kisi ko DhunDne niklaa huun shaayad mujhe rokaa gayaa thaa jis dishaa se usi jaanib chalaa aayaa huun shaayad mujhe pahchaan le aaine mere main teraa gum-shuda chehraa huun shaayad"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"yuun dekhne mein to uupar se sakht huun shaayad magar darun-e-badan lakht lakht huun shaayad mire nasib mein likkhi hai shab ki taariki main Dubte hue suraj kaa bakht huun shaayad qarib o duur nahin hai koi bhi apnaa saa ujaaD baagh kaa tanhaa darakht huun shaayad mujhe kisi ne sunaa hi nahin tavajjoh se main bad-zabaan sadaa-e-karakht huun shaayad nahif kaandhon pe baar-e-gham-e-do-aalam hai saraapaa raahu o ketu kaa takht huun shaayad miri talaash mein hai koi aisaa lagtaa hai kisi kaa gum-shuda 'shaadaab' rakht huun shaayad"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"havas kaa rang chaDhaa us pe aur utar bhi gayaa vo khud hi jama huaa aur khud bikhar bhi gayaa thi zindagi miri raahon ke pech-o-kham ki asiir magar main raat ke hamraah apne ghar bhi gayaa main dushmanon mein bhi ghir kar niDar rahaa lekin khud apne jazba-e-haivaaniyat se Dar bhi gayaa mire lahu ki talab ne mujhe tabaah kiyaa havas mein sang ki haathon se mere sar bhi gayaa hai lafz-o-maani kaa rishta zavaal-aamaada khayaal paidaa huaa bhi na thaa ki mar bhi gayaa sila ye manzil-e-maqsud kaa milaa 'shaadaab' safar tamaam huaa aur ham-safar bhi gayaa"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"havas-parasti o ghaarat-gari ki lat na gai yazid mar gayaa lekin yazidiyat na gai ghiraa rahaa main ajab kashmakash ke aalam mein ki jab talak mire saanson ki suut kat na gai khirad ki aag mein sadiyon jale badan lekin dil-o-dimaagh se bu-e-munaafirat na gai hayaat o maut ke har inqalaab se guzre hamaare sar se magar aasmaan ki chhat na gai jatan hazaar kiye marg-e-naa-gahaani ne magar hayaat ki hargiz chalat-phirat na gai tilism-e-lafz-o-maaani mein qaid huun 'shaadaab' tamaam umr mire haath se lughat na gai"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"na zindagi se shikaayat na tum se shikva hai miraa libaas hi mere lahu kaa pyaasaa hai badan ko chhoD ke jaaun to ab kahaan jaaun janam janam se miraa us ke saath rishta hai miraa vajud miri apni hi nigaahon mein libaas-e-jism ke hote hue bhi nangaa hai salib laao ise surkh-ru kiyaa jaae koi kitaab liye aasmaan se utraa hai tumhaare jism mein main huun mire vajud mein tum har ek aadmi ik dusre mein zinda hai tum apne aap se kyon ajnabi se lagte ho tumhaare jism pe 'shaadaab' kis kaa pahra hai"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"shaayad koi kami mere andar kahin pe hai main aasmaan pe huun miraa saaya zamin pe hai afsaana-e-hayaat kaa har ek saaneha tahrir harf harf hamaari jabin pe hai dariyaa mein jis tarah se ho maahi usi tarah main huun jahaan pe meraa khudaa bhi vahin pe hai jannat khudaa hi jaane kahaan hai kahaan nahin mujh ko yaqin hai ki jahannam yahin pe hai yuun ji rahe hain sakht aziyyat ke baavajud daar-o-madaar ziist kaa jaise hamin pe hai is tarah faaslon pe fatah paa chuke hain ham ik paanv aasmaan pe hai ik zamin pe hai 'shaadaab' husn-o-ishq masaavi hain aaj-kal ilzaam mujh pe hai vahi us naaznin pe hai"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"baraae-naam sahi koi mehrbaan to hai hamaare sar pe bhi hone ko aasmaan to hai tiri faraakh-dili ko duaaein detaa huun mire labon pe tire lams kaa nishaan to hai ye aur baat ki vo ab yahaan nahin rahtaa magar ye us kaa basaayaa huaa makaan to hai siron pe saaya-fagan abr-e-aarzu na sahi hamaare paas saraabon kaa saaebaan to hai alaava us ke na kuchh aur parda rakh mujh se fasil-e-jism mire tere darmiyaan to hai bichhaD ke zinda nahin rah sakeinge ham donon mujhe ye vahm to hai un ko ye gumaan to hai bhali-buri sahi maujon mein apni naav to hai kaTaa-phaTaa sahi kahne ko baadbaan to hai gul-e-muraad nahin sang-haa-e-tifl sahi gharib-e-shahr kaa aakhir kisi ko dhyaan to hai"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"libaas gard kaa aur jism nuur kaa niklaa tamaam vahm hi apne shuur kaa niklaa jo apne aap se baDh kar hamaaraa apnaa thaa use qarib se dekhaa to duur kaa niklaa badan ke paar utarte hi khul gaiin aankhein suraagh tere saraapaa se tuur kaa niklaa sabhi nishaaniyaan us shakhs par khari utrin jo bhuul kar bhi kabhi zikr huur kaa niklaa uThe jo haath miri sangsaariyon ke liye har ek dast-e-inaayat huzur kaa niklaa na-jaane bhuul gayaa kaun kab kahaan likh kar miTaa saa naqsh main bainassutur kaa niklaa jo daana daana fanaa fasl-e-aarzu kaa huaa tamaam fitna malakh aur mor kaa niklaa giraft-e-fan se na aazaad ho sakaa 'shaadaab' khayaal-e-taaza karishma bahur kaa niklaa"
Aqeel ShadabAqeel Shadab
Quote
"asar miri zabaan mein nahin rahaa vo tiir ab kamaan mein nahin rahaa hai pattharon kaa qarz us ke dosh par jo kaanch ke makaan mein nahin rahaa alaav sard ho gae hayaat ke rachaao daastaan mein nahin rahaa thaa jis pe meri zindagi kaa inhisaar usi kaa naam dhyaan mein nahin rahaa gumaan hi asaasa thaa yaqin kaa yaqin hi gumaan mein nahin rahaa huaa jo sahl us ke ghar kaa raasta maza hi kuchh takaan mein nahin rahaa na ki kabhi bhi fikr main ne suud ki kabhi bhi main ziyaan mein nahin rahaa vo kho gayaa ghubaar-e-gard-e-raah mein jo shakhs imtihaan mein nahin rahaa khamoshiyon ne bhar diyaa khalaaon ko sukhan vo darmiyaan mein nahin rahaa taDap uThe jise kharidne ko dil vo maal hi dukaan mein nahin rahaa"
Aqeel ShadabAqeel Shadab