SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byArshad Kamal(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kabhi angDaai le kar jab samundar jaag uThtaa hai mire andar puraanaa ik shanaavar jaag uThtaa hai nasheman-gir hain taair bhalaa samjhein to kyaa samjhein vo kaifiyat ki jab shaahin kaa shahpar jaag uThtaa hai main jab bhi khinchtaa huun ek naqsha roz-e-raushan kaa na jaane kaise is mein shab kaa manzar jaag uThtaa hai zamaana gaamzan hai phir unhi haalaat ki jaanib biphar kar jab abaabilon kaa lashkar jaag uThtaa hai mire ehsaas ki rag se ulajh paDtaa hai jo lamha usi lamhe taDap kar ik sukhan-var jaag uThtaa hai vo taare jo chamak rakhte nahin kuchh roz-e-raushan mein shab-e-taarik mein un kaa muqaddar jaag uThtaa hai ye maanaa sail-e-ashk-e-gham nahin kuchh kam magar 'arshad' zaraa utraa nahin dariyaa ki banjar jaag uThtaa hai"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"dard ki saakit nadi phir se ravaan hone ko hai mauj-e-hairat kaa tamaashaa ab kahaan hone ko hai jo giraan-baar-e-samaaat thaa kabhi sab ke liye ab vahi kalima yahaan husn-e-bayaan hone ko hai kyuun karein vo apni qismat ke sitaare ki talaash dastaras mein jin ke saaraa aasmaan hone ko hai mujh ko us manzil se guzre kitni muddat ho gai vaqt meri justuju mein ab jahaan hone ko hai tajrabe ki aanch par har shai hai yuun aatash-bajaan chaandni bhi surat-e-barq-e-tapaan hone ko hai aasmaan tirshul aur ghauri se hai sahmaa huaa faakhta kaa zikr aise mein kahaan hone ko hai ghar mein hai aab-e-ravaan to barf hai manjdhaar mein kuchh na puchho dahr mein ab kyaa kahaan hone ko hai"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"ai dil tire tufail jo mujh par sitam hue puchhe jo mujh se koi to kah duun ki kam hue mere charaagh-e-zehn ko vo gul na kar sake haalaanki sab andhere mire dil mein zam hue harf-e-ghazab se bhi hamein mahrum kar diyaa yuun be-niyaaz ham se hamaare sanam hue un ki zamin-e-dil kaa to qissa hi aur hai varna un aansuon se to sahraa bhi nam hue ahbaab ne to raaste DhunDe the mukhtalif lekin sab aa ke meri hi raahon mein zam hue rabt-e-dili se khalq ko ab vaasta kahaan ab to hamaa-shumaa bhi asir-e-manam hue 'arshad' fasil-e-zehn mein baDhne lagaa jo habs ham shahr-e-dil mein jaa ke zaraa taaza-dam hue"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"kiyaa hai main ne aisaa kyaa ki aisaa ho gayaa hai miraa dil mere pahlu mein paraayaa ho gayaa hai vo aae to lagaa gham kaa mudaavaa ho gayaa hai magar ye kyaa ki gham kuchh aur gahraa ho gayaa hai savaad-e-shab tire sadqe kuchh aisaa ho gayaa hai bhanvar bhi dekhne mein ab kinaaraa ho gayaa hai main un ki guftugu se aalam-e-sakta mein gum thaa vo samjhe un ki baaton se dilaasa ho gayaa hai kabhi mauqaa mile to guftugu kar luun khabar luun ki khud se rabt TuuTe ek arsa ho gayaa hai kabhi un kaa nahin aanaa khabar ke zail mein thaa magar ab un kaa aanaa hi tamaashaa ho gayaa hai mujhe farhaad o majnun aafrin kahte hain 'arshad' ki ab meraa bhi jiine kaa iraada ho gayaa hai"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"mujhe vo khel-tamaashaa dikhaai detaa hai kahin bhi koi jo hanstaa dikhaai detaa hai kabhi chahakti thiin sadiyaan yahaan magar ab to ik ek lamha sisaktaa dikhaai detaa hai har ek qatra-e-shabnam ko ugte suraj ki kiran kiran mein andheraa dikhaai detaa hai ba-juz hamaare mudaavaa koi nahin us kaa vo ek dasht jo tanhaa dikhaai detaa hai khaDaa huaa huun main us baam-e-zist par ki jahaan har ek dard shanaasaa dikhaai detaa hai sulagtaa dasht hai vo apni asl mein lekin nigaah-e-asr ko dariyaa dikhaai detaa hai amir-e-shahr ke daaman ko kyaa huaa 'arshad' ki saamne se darida dikhaai detaa hai"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"ik lafz aa gayaa thaa jo meri zabaan par chhaayaa rahaa na jaane vo kis kis ke dhyaan par mujh ko talaash karte ho auron ke darmiyaan hairaan ho rahaa huun tumhaare gumaan par mahfil mein doston ki vahi naghma ban gayaa shab-khun kaa jo shor thaa mere makaan par be-shak zamin hanuz hai apne madaar mein lekin dimaagh us kaa to hai aasmaan par shaayad miri talaash mein utri hai charkh se jo dhuup paD rahi hai mire saaebaan par rahtaa hai be-niyaaz jo aab o saraab se khultaa hai raaz-e-dasht usi saarbaan par ehsaas us kaa jaama-e-izhaar maange hai uftaad aa paDi hai ye 'arshad' ki jaan par"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karaan ki tarah kisi kaa dhyaan hai aise mein baadbaan ki tarah nasim-e-subh ye kahti hai kitni hasrat se koi to baagh mein mil jaae baaghbaan ki tarah hai vo tapish tire palkon ke shaamiyaane mein ki ab to dhuup bhi lagti hai saaebaan ki tarah har ek moD pe milte hain ham-khayaal magar kahin to koi mile mujh ko ham-zabaan ki tarah fareb-e-chashm hai yaaro ki ik haqiqat hai samaan jo shahr kaa hai shahr ke samaan ki tarah havaa-e-zist ko aanaa hai jab tak aaegi bahaar ban ke kabhi to kabhi khizaan ki tarah har ek lafz nikaltaa hai misl-e-tir-e-navaa zabaan-e-yaar hai 'arshad' kisi kamaan ki tarah"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"talaatum hai na jaan-levaa bhanvar hai ki bahr-e-maslahat ab mustaqar hai dar-e-sayyaad par barpaa hai maatam qafas mein jab se zikr-e-baal-o-par hai takallum kaa karishma ab dikhaa do tumhaari khaamushi mein shor-o-shar hai karun kyaa aarzu-e-sarfaraazi ki jab neze pe har pal meraa sar hai mili mohlat to dil mein jhaank lungaa abhi to zehn par meri nazar hai chaDhe dariyaa mein TuuTi naav khenaa kahaani zindagi ki mukhtasar hai agar saudaa rahe sar mein to 'arshad' har ik divaar ke siine mein dar hai"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"fikr soi hai sar-e-shaam jagaa di jaae ek bujhti si angiThi ko havaa di jaae kisi jangal mein agar ho to bujhaa di jaae kaise tan-man mein lagi aag dabaa di jaae talkhi-e-zist ki shiddat kaa taqaaza hai yahi zehn o dil mein jo masaafat hai ghaTaa di jaae tirgi shab ki basi jaae hai hasti mein miri subh ko jaa ke ye rudaad sunaa di jaae ishq vaalon ki fughaan zabt-e-fughaan hoti hai aashiq-e-vaqt ko ye baat bataa di jaae khaak-e-sahraa to bahut duur hai ai vahshat-e-dil kyuun na zehnon pe jami gard uDaa di jaae vo haqiqat jo nigaahon se ayaan hoti hai kaise aadaab ke parde mein chhupaa di jaae"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"sach ki khaatir sab kuchh khoyaa kaun likhegaa meraa ye be-kaif saa qissa kaun likhegaa yuun to har kaandhe par ik chehra hai lekin kis ke paas hai apnaa chehra kaun likhegaa barf pighal kar dariyaa to tughyaani laae kyuun chaDhtaa hai vaqt kaa dariyaa kaun likhegaa dasht-navardi kaa qissa to sab likhte hain kis ghar mein hai kitnaa sahraa kaun likhegaa saamne jo haalaat hain un sab ke hone mein kitnaa kuchh hai kis kaa hissa kaun likhegaa khushk huaa ehsaas kaa khaama ab aise mein kyaa hotaa hai dard kaa rishta kaun likhegaa roz-o-shab ke beach tasaadum mein ai hamdam suraj kaa kirdaar hai kaisaa kaun likhegaa abr-e-siyah to jhuum ke aayaa lekin 'arshad' kis basti par kitnaa barsaa kaun likhegaa"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"samundar se kisi lamhe bhi tughyaani nahin jaati magar saahil ko gham hai khushk-daamaani nahin jaati ghanimat hai miri aankhon ki ye sayyaal aatish bhi isi se mere zehn-o-dil ki taabaani nahin jaati savaa-neze pe suraj der tak rukne nahin paataa magar kyaa hai ki teri shoala-afshaani nahin jaati sadaa-e-khaamushi deti hai ab dastak dar-e-dil par na jaane kyuun hamaare ghar se viraani nahin jaati rihaa ho kar bhi kuchh taair qafas mein lauT aate hain fazaa-e-qaid ki aadat ba-aasaani nahin jaati tamaddun kaa nayaa jaama bahut shaffaaf hai yaaro ki tan-poshi karo kitni hi uryaani nahin jaati jatan saare hi kartaa huun magar kyaa kijiye 'arshad' miri khuddaari-e-fitrat hai divaani nahin jaati"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"garche zaahir mein hain ahvaal munavvar saare raqs karte hain andhere mire andar saare mauja-e-dard banaa degaa unhein misl-e-sabaa vo jo phirte hain yahaan surat-e-sarsar saare daagh-e-dil mere farozaan hain zamin par aise chhupte phirte hain falak par mah-o-akhtar saare mire dariyaa-e-sukhan se hai 'ilaaqa kaisaa vo to paayaab nadi ke hain shanaavar saare tishnagi zaagh ne apni to bujhaa li pal mein haif gaagar mein paDe rah gae kankar saare kaun bantaa hai safina yahaan kis ki khaatir yuun to maujud hain dariyaa mein shanaavar saare raah-rau aur bhi duniyaa mein hain 'arshad' lekin meri hi raah mein paDte hain samundar saare"
Arshad KamalArshad Kamal
Quote
"ham ziist ki maujon se kinaaraa nahin karte saahil se samundar kaa nazaara nahin karte har shoaba-e-hasti hai talab-gaar-e-tavaazun resham se kabhi TaaT sanvaaraa nahin karte dariyaa ko samajhne ki tamannaa hai to phir kyuun dariyaa ke kinaare se kinaaraa nahin karte dastak se ilaaqa rahaa kab shish-mahal ko khvaabida samaaat ko pukaaraa nahin karte ham fart-e-masarrat mein kahin jaan se na jaaein is khauf se vo zikr hamaaraa nahin karte ham un ke taghaaful ko samajhte to hain lekin duniyaa bhi samajh le ye gavaaraa nahin karte zulmat se hi kuchh nuur nichoDo ki ham 'arshad' maange ke ujaale pe guzaaraa nahin karte"
Arshad KamalArshad Kamal