SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"bach nikalnaa kyaa ikhtiyaar mein hai zindagi maut ke hisaar mein hai aarzu aur mere dil ki bisaat ek shoala saa reg-zaar mein hai kitne suraj nigal gai zulmat aas kaa diip kis shumaar mein hai jo khizaan mein bhi mil nahin sakti vo udaasi bhari bahaar mein hai nafratein ko bhi jis se nafrat ho aisi nafrat tumhaare pyaar mein hai be-qaraari mein thaa qaraar magar aaj to bekali qaraar mein hai hauslon ki nigaah se dekho kaamraani kaa raaz haar mein hai vo bhi tum ne diyaa nahin ham ko jo tumhaare hi ikhtiyaar mein hai naa-muraadi ki had hai ye 'arshad' jiit bhi apni aaj haar mein hai"
Arshad Meena NagriArshad Meena Nagri
Quote
"sabr kar dil-e-naadaan kis liye tu rotaa hai bevafaa zamaane mein kaun kis kaa hotaa hai jis ko main ne bakhshe hain phuul shaadmaani ke ab vahi mire dil mein khaar-e-gham chubhotaa hai naa-muraad ashkon se tar to ho gayaa daaman haan magar lahu dil kaa dil ke zakhm dhotaa hai kaar-gaah-e-hasti mein mutmain nahin koi dekh kar har ik surat aaina bhi rotaa hai vaqt yuun utar aayaa zulm ke tariqe par roz khun-e-insaan se aastin bhigotaa hai jo bhi imaan rakhtaa hai maslahat-parasti par gulshan-e-mohabbat mein gham ke biij botaa hai aaina haqiqat kaa rakh ke saamne dekhe aadmi zamaane mein khud vaqaar khotaa hai is qadar baDhi 'arshad' zindagi ki hairaani aaj-kal har ik insaan rote rote sotaa hai"
Arshad Meena NagriArshad Meena Nagri
Quote
"husn-e-taaza kanval ke jaisaa hai aur chehra ghazal ke jaisaa hai rang TuuTi hui javaani kaa ek ujDe mahal ke jaisaa hai ahl-e-mehnat ki mehnaton kaa sila aaj miTTi ke phal ke jaisaa hai zulm par aah bhi nahin karte apnaa jiinaa ajal ke jaisaa hai vo zamaana thaa amn kaa dushman ye zamaana bhi kal ke jaisaa hai kaam hotaa hai baat par us ki azm us kaa amal ke jaisaa hai apne maahaul ki ghalaazat mein vo shagufta kanval ke jaisaa hai aaj ke rahbaron kaa har vaada dekhnaa guzre pal ke jaisaa hai mulk mein kyaa fasaadiyon kaa hal aaj cancer ke hal ke jaisaa hai meri uljhan kaa silsila shaayad teri zulfon ke bal ke jaisaa hai kis ko manzil milegi ai 'arshad' azm kis kaa amal ke jaisaa hai"
Arshad Meena NagriArshad Meena Nagri
Quote
"ab ke to gulistaan mein vo daur-e-bahaar aayaa phulon pe udaasi hai kaanTon pe nikhaar aayaa vo apne muqaddar pe rotaa hi rahaa barson auron kaa muqaddar jo pal bhar mein sanvaar aayaa kyaa chaal chali tu ne kyaa jaal bichhaayaa hai sayyaad mubaarak ho ghar baiThe shikaar aayaa jis jiit ki khaatir main bedaar rahaa ab tak ik lamhe ki ghaflat mein vo jiit bhi haar aayaa divaangi-e-dil kaa kyaa arz karun aalam main dard ke sahraa mein khud ko hi pukaar aayaa har haal mein hai mujh ko manzur khushi un ki rusvaai hui meri un ko to qaraar aayaa iflaas mein ghuT ghuT kar dam toD diyaa jis ne aaj us pe zamaane ki nafrat ko bhi pyaar aayaa sach kahtaa huun main 'arshad' aisaa bhi huaa aksar khud apni masarrat pe royaa to qaraar aayaa"
Arshad Meena NagriArshad Meena Nagri
Quote
"nafrat ke andheron ko miTaane ke liye aa aa sham-e-mohabbat ko jalaane ke liye aa bebaak huaa jaataa hai ab dard-e-judaai ubhre hue zakhmon ko dabaane ke liye aa kab tak main sambhaalun tiri yaadon ki amaanat ye baar-e-garaan dil se haTaane ke liye aa yaadon ke darichon mein tiraa ruup hai lekin ab hijr kaa ehsaas bhulaane ke liye aa ehsaas ke sahraa ki udaasi nahin jaati jharnon ki tarah giit sunaane ke liye aa ik teri mohabbat kaa muhaafiz hai miraa dil khud apne liye mujh ko bachaane ke liye aa mujh ko to hai manzur tire pyaar mein 'arshad' amrit na sahi zahr pilaane ke liye aa"
Arshad Meena NagriArshad Meena Nagri