Quote
"dil masarrat se ham-kanaar nahin mausam-e-gul bhi saazgaar nahin kaise kah duun bahaar aai hai ghuncha-o-gul pe jab nikhaar nahin mere 'isyaan kaa hai shumaar magar rahmaton kaa tiri shumaar nahin main farishta nahin huun insaan huun kah duun kyunkar gunaahgaar nahin khud-paraston ke shahr mein 'arshi' kyaa koi teraa gham-gusaar nahin"







