SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"taDap hayaat mein baaham rahe to baat bane khushi ke saath agar gham rahe to baat bane sajaa ke dekh lo mahfil hazaar rangon se tumhaare saath agar ham rahe to baat bane ye maanaa ki mujhe rone kaa kuchh shuur nahin magar ye aankh zaraa nam rahe to baat bane tumhaare lams mein chaaragari sahi lekin tumhaare haath mein marham rahe to baat bane anaa-pasand bulandi pe aa ke bhuul gae agar kamaan zaraa kham rahe to baat bane zaraa saa talkh ho lahja to koi baat nahin agarche lafz mulaaem rahe to baat bane miri nigaah kahaan tak javaab degi 'azaan' tiri nigaah ye mubham rahe to baat bane"
Arvind Sharma AzaanArvind Sharma Azaan
Quote
"kitaab-e-zist kaa dhundlaa cover utaarte hain ab is maqaam pe gard-e-safar utaarte hain khizaan kaa jo bhi huaa thaa asar utaarte hain chaman ke phuul chaman ki nazar utaarte hain dikhaaein kaise manaazir ufaq ke aankhon ko chalo zamin pe shams-o-qamar utaarte hain lahu mein utraa hai aaseb is liye ham ab lahu nichoD ke har ek shar utaarte hain ik aasmaan jise kah rahe hain log abhi kaheinge kyaa vo zamin par agar utaarte hain agar ki khvaab ki taa۔bir dekhni ho hamein to pahle aankh se saare bhanvar utaarte hain gham-e-jahaan gham-e-yaar do kinaare hain to dekhiye ye thapeDe kidhar utaarte hain khud apne hone se inkaar kar diyaa ham ne yuun apne hone kaa is dil se Dar utaarte hain phir ek din mujhe tajsim kar ke bolaa 'azaan' ham apne fan mein faqat baa-hunar utaarte hain"
Arvind Sharma AzaanArvind Sharma Azaan
Quote
"safar karun to baraabar dikhaai detaa hai nazar se duur huaa ghar dikhaai detaa hai khuli nigaah se duniyaa ko tu ne dekhaa nahin khuli nigaah se behtar dikhaai detaa hai vo shakhs jis ne muhayyaa karaai chhat mujh ko sulagti dhuup mein aksar dikhaai detaa hai basaa huaa hai mire zehn mein vo misl-e-mahal tumhein jo ghar abhi khanDar dikhaai detaa hai talaash-e-dost mein ye masala ajab aaya saf-e-adu mein bhi rahbar dikhaai detaa hai mukhaalifat ho agar dil mein yaa ho tang-nazar to maahtaab bhi patthar dikhaai detaa hai to kyaa ye maan luun dhokaa nazar kaa hai ye 'azaan' vo saamne to nahin par dikhaai detaa hai"
Arvind Sharma AzaanArvind Sharma Azaan
Quote
"shiddat se main ne khud ko ubhaaraa zamin par saayaa magar banaa hai tumhaaraa zamin par aa kar vo is tarah miri baahon mein gir gayaa girtaa hai jaise TuuT ke taara zamin par rang-e-bahaar ab ke khizaan le ke uD gai chhoDaa nahin hai koi nazaaraa zamin par dekhaa zamin par to nigaahein jhulas uThin aks-e-badan hai teraa sharaara zamin par vahshat ne aasmaan pe mujh ko biThaa diyaa khuddaariyon ne phir se utaaraa zamin par likh likh ke pheink Daale hain tujh ko hazaar khat yuun apne dil kaa bojh utaaraa zamin par aankhon ne ashk-e-yaas bahaae to pi gae karnaa paDaa hai yuun bhi guzaaraa zamin par khaamoshiyaan bhi chikh rahi hain sadaaon mein maaraa gayaa hai dard kaa maaraa zamin par baadal tamaam ab ke samundar mein jaa gire ye kis ne aansuon ko pukaaraa zamin par ik aashiyaan falak pe banaaeinge ham 'azaan' ji tang aa gayaa hai hamaaraa zamin par"
Arvind Sharma AzaanArvind Sharma Azaan
Quote
"sach se jab imaan uThaanaa paDtaa hai phir is kaa nuqsaan uThaanaa paDtaa hai saare sapne kirchi kirchi TuTein jab dil se har armaan uThaanaa paDtaa hai sahraa ki jaanib uDte hain ab baadal dariyaa kaa ehsaan uThaanaa paDtaa hai honTon se jab nazm ke TukDe girte hain aankhon se unvaan uThaanaa paDtaa hai vahshat bhi apnaati hai ham jaison ko dil mein bas tufaan uThaanaa paDtaa hai sachchaai ki jiit ki khaatir andhon ko ab baar-e-mizaan uThaanaa paDtaa hai khatraa to hai dil ki baat bataane mein khatraa meri jaan uThaanaa paDtaa hai"
Arvind Sharma AzaanArvind Sharma Azaan
Quote
"ab takhayyul mein hi tasvir banaani hai mujhe yaani tadbir se taqdir banaani hai mujhe rizq kaisaa hai muqaddar mein likhaa kyaa hai mire kyaa isi fan se hi jaagir banaani hai mujhe kitni qaatil hai tiri aankhein pataa hai tujh ko teri aankhon ko hi shamshir banaani hai mujhe teri yaadon ne hi toDi hai khaamoshi meri main to samjhaa thaa ki zanjir banaani hai mujhe jaagti aankh se ik khvaab koi dekhaa thaa kyaa isi khvaab ki taabir banaani hai mujhe surakh-ru kar de mujhe aa ke chalaa de khanjar is lahu se koi tahrir banaani hai mujhe jaavedaani to mayassar hi nahin hai mujh ko phir bhi duniyaa mein to tauqir banaani hai mujhe"
Arvind Sharma AzaanArvind Sharma Azaan
Quote
"kaise kaise khvaab ab ham ko dikhaate hain ye log ek paagal ko yahaan paagal banaate hain ye log jaane kyaa is mein raqam kar Daalaa thaa tu ne bataa itni nafrat se jo teraa khat jalaate hain ye log meri fitrat hai mujhe mushkil-pasandi kaa hai shauq is liye aksar hi mujh ko aazmaate hain ye log hai gunaahon par mujhe afsos aur vo dekhiye sharmsaari se yahaan par munh chhupaate hain ye log jab se ye zaahir huaa ki dil meraa hai aaina mujh ko aataa dekh kar patthar uThaate hain ye log raakh ke ik Dher mein tabdil hogaa ek din phir na jaane kyon badan itnaa sajaate hain ye log main saraae ke nigahbaan ki tarah tanhaa rahaa dil mein mehmaan ki tarah ab aate jaate hain ye log raas aataa hi nahin hai sabr kaa phal kyon unhein jald-baazi mein hamesha munh ki khaate hain ye log umr bhar laDtaa rahaa jin ke liye main khud 'azaan' ban ke ab mere mukhaalif sar uThaate hain ye log"
Arvind Sharma AzaanArvind Sharma Azaan
Quote
"aasmaan mein chaand taaron ke sivaa kuchh bhi nahin in ujaalon mein rakhaa kyaa hai bhalaa kuchh bhi nahin main zamin aur aasmaan ke biich mein maujud huun mere andar bas khalaa hai aur bachaa kuchh bhi nahin zindagi bhi dekhiye bas raaegaan guzri miiri umr to guzri magar mujh ko milaa kuchh bhi nahin kaun huun main kyaa huun aakhir kyaa haqiqat hai miri sochtaa huun sochne kaa faaeda kuchh bhi nahin main ne har andaaz se parkhaa hai meri ziist ko khvaahishon ke ek jangal ke sivaa kuchh bhi nahin ghar mein phaili hai tiri bhini si khushbu har jagah bikhre panne hain magar in par likhaa kuchh bhi nahin uTh rahi hai har taraf jalte sharaaron ki fasil zindagi aur maut kaa ye masala kuchh bhi nahin"
Arvind Sharma AzaanArvind Sharma Azaan
Quote
"aap hain main huun mohabbat ki Dagar hai saamne sochiye mat khubsurat saa safar hai saamne aap ki aankhon kaa manzar dekh kar lagtaa hai yuun jis se main raushan huaa huun vo qamar hai saamne saayaa ban ke saath hai vo faasla phir bhi lage aisi qurbat mein bhi duuri kaa asar hai saamne kyaa karun us moD par ye masala phir aa gayaa ik taraf dar hai khudaa kaa teraa ghar hai saamne zabt aisaa thaa ki patthar ho gayaa ye dil miraa chashm-e-tar huun kyunki meraa ham-safar hai saamne baat hoti to ye 'aalam kyaa se kyaa hotaa magar vo bhi chup hai main bhi chup huun aur nazar hai saamne zor-e-baazu aazmaanaa hai agar ab aap ko haath mein patthar uThaa lo meraa sar hai saamne jhurriyon mein gum hui bachpan ki sab maa'sumiyat 'umr bhar kaa dekhiye ab vo safar hai saamne gaanv lauTaa shahr se jab koi bhi apnaa na thaa bas vahi ik aam kaa buDhaa shajar hai saamne"
Arvind Sharma AzaanArvind Sharma Azaan