SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAseer Jabalpuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"na aaeinge lauT kar vo phir bhi main umr bhar intizaar kar luun idhar to aa ai gham-e-mohabbat tujhe hi ji bhar ke pyaar kar luun na jaane kab tak Dhale shab-e-gham na jaane subh-e-umid kab ho qadam qadam par bichhaa luun taare nafas nafas shoala-baar kar luun kabhi ayaadat hui na us se kabhi kisi se na haal puchhaa mariz-e-gham par vo mehrbaan hai ye kaise main eatibaar kar luun abhi salaamat hai azm-e-mohkam abhi hai baaqi lahu ragon mein ulaT ke rakh duun nizaam-e-gulshan khizaan ba-rang-e-bahaar kar luun zaraa Thahar ai junun-e-ulfat tu le chalaa hai kahaan abhi se mataa-e-dil jab luTaa chukaa huun to jaan bhi un par nisaar kar luun yahin bichhaD ke main ro paDaa thaa yahin hai bhigaa zamin kaa aanchal yahin phir us se milan bhi hogaa yahin pe main intizaar kar luun nahin hai baaqi agar patange to rah ke tanhaa udaas hogi lahad se uTh kar 'asir' main hi tavaaf-e-shama-e-mazaar kar luun"
Aseer JabalpuriAseer Jabalpuri
Quote
"ham-navaa mere mujh se judaa ho gae vo khafaa kyaa hue sab khafaa ho gae husn kaa raaz-e-sar-basta khul jaaegaa laala-o-gul agar lab-kushaa ho gae aap apne hi jalve the pesh-e-nazar hasratein baDh gaiin aaina ho gae ye miraa fan ki main ne taraashaa jinhein pattharon ke vo but sab khudaa ho gae jab se mahfil mein tum jaan-e-mahfil hue bevafaa sab ke sab baa-vafaa ho gae kaam aa hi gayaa apnaa divaana-pan lazzat-e-sang se aashnaa ho gae di 'asir' apni aankhon mein jin ko jagah shahr-e-dil ke vo farmaan-ravaa ho gae"
Aseer JabalpuriAseer Jabalpuri
Quote
"chaahe jugnu ki sitaara ki guhar mein rahnaa tum bahar-rang bahar-shakl nazar mein rahnaa thak ke raste mein kahin baiTh na jaanaa raahi chalte rahnaa ki muqaddar hai safar mein rahnaa tere ik roz ke didaar mein hai kitni kashish roz kaa kaam huaa teri Dagar mein rahnaa khubsurat to bahut hai ye tiraa gaanv magar koi din aa ke hamaare bhi nagar mein rahnaa maut ke baad phir ik gardish-e-paiham ki khabar TuuTe patton kaa havaaon ke bhanvar mein rahnaa azhdahaa bhiiD kaa phir tum ko nigal jaaegaa duur honaa to bas itnaa ki nazar mein rahnaa ek dhaDkaa saa lagaa rahtaa hai baarish mein 'asir' ghar mein rahte hue aasaan nahin ghar mein rahnaa"
Aseer JabalpuriAseer Jabalpuri