Quote
"kaun vaan jubba-o-dastaar mein aa saktaa hai ghar kaa ghar hi jahaan baazaar mein aa saktaa hai kis liye khud ko samajhtaa hai vo patthar ki lakir us kaa inkaar bhi iqraar mein aa saktaa hai mujh ko maalum hai dariyaaon kaa kaf hai tujh mein tu mire mauja-e-pindaar mein aa saktaa hai ai havaa ki tarah aThkheliyaan karne vaale bal kabhi vaqt ki raftaar mein aa saktaa hai sar pe suraj hai to phir chhaanv se mahzuz na ho dhuup kaa rang bhi divaar mein aa saktaa hai ye jo main apne taiin shaaeri kartaa huun 'azim' kyaa takhayyul miraa izhaar mein aa saktaa hai"







