SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAzhar Nawaz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"qalam pe us ke nahin hai ab e'tibaar mujhe miTaa chukaa hai vo likh likh ke baar-baar mujhe agar main zakhm huun to mujh ko darmiyaan mein rakh agar main tiir huun to kar le aar-paar mujhe use pukaar rahaa thaa main apni aankhon se palaT ke dekh to letaa vo ek baar mujhe nashe ko jis kaa nasha ho vo aankh aisi hai nasha jis aankh se kahtaa hai mat utaar mujhe ye phuul taaza raheinge tiri rifaaqat ke tiraa khayaal rakhegaa sadaa-bahaar mujhe rafu ki koshishein mujh ko udheD deti hain sanbhal ke yaar na kar denaa taar taar mujhe davaa zaruri nahin kaam bhi kare 'azhar' khushi to kar ke gai aur sogvaar mujhe"
Azhar NawazAzhar Nawaz
Quote
"mataa'-e-zist kaa mehvar na qaid ho jaae hatheliyon mein muqaddar na qaid ho jaae main ab ki baar bahut khul ke ro nahin paayaa ye saaniha mire andar na qaid ho jaae qafas se nikle parinde ki le to luun tasvir magar rihaai kaa manzar na qaid ho jaae abhi to khushk zaminon pe log qaabiz hain phir is ke baa'd samundar na qaid ho jaae vahi dhuaan jo ugalte hain ghar ke sab afraad usi dhuein mein miraa ghar na qaid ho jaae barash uThaae hue soch mein huun gum 'azhar' tire khayaal kaa paikar na qaid ho jaae"
Azhar NawazAzhar Nawaz
Quote
"jo ho na paai usi baat ki kahaani hai ye meri us ki mulaaqaat ki kahaani hai mire badan ko jo dimak lagi to kaise lagi sab intizaar ke lamhaat ki kahaani hai gharon ki baat alag hai vahaan pe khushbu hai ye rukhe sukhe makaanaat ki kahaani hai hazaar raaton pe ye phailti gai aakhir tumhein lagaa thaa bas ik raat ki kahaani hai kahin pe jashn bapaa hai kisi ki aamad kaa kisi ke aakhiri lamhaat ki kahaani hai 'ajib baat hai main khud bhi paDh nahin saktaa na jaane kaisi miri zaat ki kahaani hai"
Azhar NawazAzhar Nawaz
Quote
"murakkab kuchh nahin hai sirf ik paani se bantaa hai tiraa chehra miri aankhon mein aasaani se bantaa hai koi manzar ho bas hotaa hai yuun hi 'aam saa manzar tamaasha to ai mere dost hairaani se bantaa hai hamein sab yaad hai lekin hamein sab bhuul jaanaa hai yahaan bantaa hai jo kuchh lamha-e-faani se bantaa hai bikharti hain jo vo zulfein to shab ki baat chalti hai rukh-e-subh-e-darakhshaan us ki peshaani se bantaa hai zaraa ik sochnaa aur tujh ko apne dil mein paa lenaa koi bhi kaam ho kab itni aasaani se bantaa hai"
Azhar NawazAzhar Nawaz
Quote
"nahin khayaal kiyaa kuchh khudaa banaate hue main haar jaaungaa ik iltijaa banaate hue kisi ne dekhaa nahin kitni ki hai tayyaari main kitnaa royaa huun ik qahqaha banaate hue main jaantaa thaa mire baa'd log aaeinge so main guzartaa rahaa raasta banaate hue tumhaaraa shahr kisi se sukhan nahin kartaa main kaT gayaa huun yahaan raabta banaate hue ye canvas pe mire haath kyon nahin chalte tumhaare jaisaa koi dusraa banaate hue na jaane kis ne banaayaa hai kis ko kyaa maa'lum main pahlaa 'aks huaa aaina banaate hue pata chalaa ki miraa fan bhi naa-mukammal thaa bahak gayaa thaa main 'azhar' nishaan banaate hue"
Azhar NawazAzhar Nawaz
Quote
"kuchh kharaabi nahin muqaddar mein koi mukhbir hai apne lashkar mein main to muddat se ghair-haazir huun bas miraa naam hai register mein varna ik roz mein hi saD jaaein log rakkhe hue hain frēzer mein yaad karti hain tujh ko divaarein shakl ubhar aai hai palastar mein bah rahi hai hamaari khaamoshi shor karte hue samundar mein niind ki raah dekhte honge makhmali jism narm bistar mein ek buDhiyaa kaa bojh uThaayaa thaa bas du'aaein thiin us ke gaTThar mein ye ta'aaruf nai sadi kaa hai aaina Dhal rahaa hai patthar mein kis qadar sard ye mahina hai dil bhi TuuTaa miraa december mein"
Azhar NawazAzhar Nawaz
Quote
"jangal se jaate jaate yahi kaam kar diyaa ham ne har ek peD tire naam kar diyaa jab bhi tumhaari aankhein hamein yaad aai hain raushan koi charaagh lab-e-baam kar diyaa lab pe jo lab rakhe to unhein kar diyaa gulaab aankhon ko chhu liyaa to unhein jaam kar diyaa kis ne diye ki lau mein lapeTi shab-e-daraaz kis ne havaa ke zor ko naakaam kar diyaa ye pairahan bhi pahnaa hai paakizgi ke saath ham ne tumhaari yaad ko ehraam kar diyaa baalon mein us ne phuul mire naam kaa rakhaa khushbu se meraa zikr sar-e-'aam kar diyaa in khvaahishon kaa aur kyaa honaa thaa intizaam nazr-e-mizaaj-e-gardish-e-ayyaam kar diyaa 'azhar' hamaare paas koi mo'jiza nahin raavan kaa haath chumaa use raam kar diyaa"
Azhar NawazAzhar Nawaz
Quote
"jab zarurat bhar nami ban jaaegi us ke honTon par hansi ban jaaegi ik diye se ik diyaa jal jaaegaa raushni se raushni ban jaaegi gham ke maare ham mileinge ek din apne milne se khushi ban jaaegi jhiil mein us ko utartaa dekh kar main ne sochaa jal-pari ban jaaegi krishn ban kar jab use sochungaa main meri dhaDkan baansuri ban jaaegi ham kabhi puure jo hone ko hue yak-ba-yak us ki kami ban jaaegi zindagi mein gar vo laDki aa gai baat maano zindagi ban jaaegi us ki aankhein yaad rah jaaein agar yaar 'azhar' shaa'iri ban jaaegi"
Azhar NawazAzhar Nawaz