SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBadr(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tamaam qahr-o-balaa se hai vaasta meraa har ek haadisa lagtaa hai haadisa meraa havaa sunaati hai nauhagari shahaadat kaa har ek mauj pe likkhaa hai marsiya meraa vo kaun hai mire andar jo vaar kartaa hai ye kis harif se Thahraa muqaabla meraa koi kitaab uThaaun to khuun Tapaktaa hai ye kaun kar gayaa zakhmi mutaala meraa khudaa gavaah ki un ki zamin tang hui durust karne chale the jo qaafiya meraa tuyur aae magar un ki chonch khaali thi faraar ho gayaa lashkar se abraha meraa ye kyaa huaa ki achaanak dahal uThe bachche vo koi puchh rahaa hai vahaan pata meraa bichhaD ke us se har ik shai bichhaD gai mujh se usi kaa aks dikhaataa hai aaina meraa mujhe gumaan ki meraa zamir zinda hai use yaqin ki sab kuchh hai vaahima meraa har ik balaa kaa mujhi par nuzul hotaa hai likhaa huaa hai falak par kahin pata meraa falak-shigaaf miri chikh jab ubharti hai sunaai detaa hai logon ko qahqaha meraa kise paDi hai jo gahraaiyon mein utregaa yahaan pe kaun samajhtaa hai falsafa meraa main barg-e-gul se karungaa muqaabla us kaa sunaa do jaa ke ye qaatil ko faisla meraa"
BadrBadr
Quote
"jo muntazar hai vahi inqilaab main dungaa tumhaare paas qalam hai kitaab main dungaa vo bhuul jaaegaa apne sabhi savaalon ko javaab aisaa use laa-javaab main dungaa haqiqaton ke talaashi fareb-khurda hain samundaron mein chhupaa kar saraab main dungaa tamaam 'umr jalegi miri tarah vo bhi Thahar ki ziist ko aisaa 'azaab main dungaa giri hai khuun ki har buund mere daaman par gunaah tu ne kiyaa hai hisaab main dungaa koi mujhe mire khvaabon se duur kar degaa kisi ki jaagti aankhon ko khvaab main dungaa bas ek ghunT banaa degaa ‘aarif-o-saalik tum apnaa jaam uThaao sharaab main dungaa vo apne haath mein ik phuul le ke kahtaa hai ab aae iinT ki patthar javaab main dungaa"
BadrBadr
Quote
"baqaa ke saath anaa kaa savaal aataa hai kisi 'uruj pe jab bhi zavaal aataa hai jo TuTtaa hai kabhi shaakh se koi pattaa kisi ke 'ahd-e-vafaa kaa khayaal aataa hai sipah-gari to buzurgon ke saath dafn hui hamein to aaj fan-e-qil-o-qaal aataa hai jo munh-chaDhaate hain aasaar 'ahd-e-maazi ke hamaare khuun mein aksar ubaal aataa hai na jaane kyon vahi aulaad se pareshaan hain gharon mein jin ke haraam-o-halaal aataa hai mire khayaal mein aa kar chaTakh gayaa vo badan sunaa thaa main ne ki shishe mein baal aataa hai use pata hai ki dariyaa kaa zarf kitnaa hai vo saari nekiyaan saahil pe Daal aataa hai"
BadrBadr
Quote
"kisi ki zad pe koi sar nahin hai tumhaare shahr mein patthar nahin hai huaa hai qatl apne fikr-o-fan kaa magar khanjar lahu mein tar nahin hai bhare aaseb se khaali makaan hain vahaan basti mein koi ghar nahin hai sikhaataa hai sabaq duniyaa ko lekin use apnaa sabaq azbar nahin hai 'ajab makhluq hain rahbar hamaare kisi kaa dhaD kisi kaa sar nahin hai kuchalte hain use pairon se phir bhi koi qaanun se uupar nahin hai kamaal-e-fan hai qatl-e-'aam us kaa vo shishagar hai aahan-gar nahin hai sab apni apni laashein Dho rahe hain yahaan par koi nauhagar nahin hai nahin shaa'ir siyaasat-daan hai is ko shu'ur-e-baada-o-saaghar nahin hai"
BadrBadr
Quote
"shor-angez vo khun-baar havaa bhi aae aur dabe paanv kabhi baad-e-sabaa bhi aae zalzale ne jise mismaar kiyaa thaa yaaro log nafrat ki vo divaar uThaa bhi aae jaane khvaabida ki bedaar hai munsif kaa zamir ham to insaaf ki zanjir hilaa bhi aae mere afkaar hain har chand vafaa ke paaband kuchh khayaalaat magar tere sivaa bhi aae teri khaatir na kabhi main ne palaT ke dekhaa raah mein gharche kai koh-e-nidaa bhi aae log ho sakte nahin khvaab-e-giraan se bedaar ab jagaane ke liye chaahe khudaa bhi aae"
BadrBadr
Quote
"isi zamin pe naachaar lauT kar aae jo aasmaan se unchi uDaan bhar aae hai mere khuun mein shaamil miraa sagaa bhaai mujhe hai khauf na ilzaam mere sar aae ye doston ki navaazish hai ek baar-e-garaan baDe khulus se dushman kaa kaam kar aae samajh gae vo nasheb-o-faraaz ke asraar buland koh ki choTi se jo utar aae baDi 'ajib tavaqqo' hai meri dushman se agar main rouun to us ki bhi aankh bhar aae nidaa-e-vaqt khabar-daar kar gai mujh ko gae jo koh-e-nidaa par vo be-khabar aae uThaa ke haath ye mausam ne bad-du'aa di hai ki ab ke fasl jo aae vo be-samar aae laraz uThi thi ik 'ifrit se guzishta sadi 'ajib shakl banaae hue sifar aae na jaane kaunsaa rishta hai ye tabaahi kaa ki haadsaat palaT kar hamaare ghar aae ye koi 'aib hai yaa intihaa mohabbat ki ki aaine mein mujhe 'aks do nazar aae"
BadrBadr
Quote
"zindagi kaa Dhang ye kaisaa hai tere shahr mein ek rotaa hai to ik hanstaa hai tere shahr mein haath mein patthar liye ik bhiiD hai har moD par in dinon meraa bahut charchaa hai tere shahr mein mere siine mein sulagtaa hai koi aatish-fishaan har qadam par dil miraa jaltaa hai tere shahr mein jin ke aankhein hain unhein kuchh bhi nazar aataa nahin dekhne vaalaa magar andhaa hai tere shahr mein jab koi chaDhtaa hai uupar khinch lete hain use ek girtaa hai to ik uThtaa hai tere shahr mein log sincheinge lahu se lahlahaati fasl ko nafraton ke biij vo botaa hai tere shahr mein jal rahi hai dhire dhire dil ke rishton ki miThaas kaun hai jo aag bhaDkaataa hai tere shahr mein aastinon mein hain khanjar phir bhi milte hain gale dosti ke naam par dhoka hai tere shahr mein kis ki chikhon se larazte hain dar-o-divaar sab kaun hai jo raat bhar rotaa hai tere shahr mein paanv se maazur ho jaataa hai khaalis aur kharaa haan vahi chaltaa hai jo khoTaa hai tere shahr mein tanz kartaa hai miri ghurbat pe meraa hi zamir hai buraa vo shakhs jo achchhaa hai tere shahr mein jangalon mein bheDiye ko bheDiyaa khaataa nahin aadmi ko aadmi khaataa hai tere shahr mein roz marne ki duaaein maangti hai zindagi bas vahi zinda hai jo murda hai tere shahr mein kar diyaa taamir us ki qabr par bait-ul-khalaa ek shaair kis qadar rusvaa hai tere shahr mein aandhiyon mein bujh gae hain shahr ke saare charaagh ek raushan bas tiraa chehra hai tere shahr mein"
BadrBadr
Quote
"ba-sad-fareb use kyaa se kyaa dikhaai de ki ibtidaa mein jise intihaa dikhaai de kabhi to koh-e-giraan tak nazar nahin aae kabhi havaa kaa mujhe naqsh-e-paa dikhaai de tamaam rishton ki buniyaad hilne lagti hai jab aaine mein koi dusraa dikhaai de talaash karti hai duniyaa usi ke naqsh-e-qadam vahi jo bhiiD mein sab se judaa dikhaai de ye hai hamaari siyaasat ki dil paDosi kaa hamaare dil mein dhaDaktaa huaa dikhaai de falak ko taakte us ne guzaar diin sadiyaan use umiid thi shaayad khudaa dikhaai de yahaan furaat hai gangaa hai aur jamunaa bhi qadam qadam pe magar karbalaa dikhaai de ye shahr shahr-e-khamoshaan hai ahl-e-daanish kaa kahin to ek koi sar-phiraa dikhaai de ye vaqt kaa hai taqaaza ki hai fareb-e-nazar ki beTaa baap ke qad se baDaa dikhaai de na jaane kaisaa nasha hai ghazal ki taaj-mahal kabhi radif kabhi qaafiya dikhaai de"
BadrBadr
Quote
"baqaa ke saath anaa kaa savaal aataa hai kisi uruuj pe jab bhi zavaal aataa hai jo TuTtaa hai kabhi shaakh se koi pattaa kisi ke ahd-e-vafaa kaa khayaal aataa hai sipah-gari to buzurgon ke saath dafn hui hamein to aaj fan-e-qil-o-qaal aataa hai jo munh chiDhaate hain aasaar ahd-e-maazi ke hamaare khuun mein aksar ubaal aataa hai na jaane kyon vahi aulaad se pareshaan hain gharon mein jin ke haraam-o-halaal aataa hai mire khayaal mein aa kar chaTakh gayaa vo badan sunaa thaa main ne ki shishe mein baal aataa hai use pata hai ki dariyaa kaa zarf kitnaa hai vo saari nekiyaan saahil pe Daal aataa hai"
BadrBadr
Quote
"faaqa-masti mein bhi jiine ki adaa le jaaeinge ye luTere mere ghar se aur kyaa le jaaeinge dandanaate phir rahe hain zaafraani bheDiye ghar ke andar ghus ke bachchon ko uThaa le jaaeinge aadmi kaa jism hogaa aur sar iblis kaa paaThshaalaaon mein kaale saanp paale jaaeinge un kaa maqsad hai khudaa se har vasila kaaT dein haath se quraan honTon se duaa le jaaeinge zarra-zarra laal kar deinge hamaare khuun se aur hamin se ye sitamgar khun-bahaa le jaaeinge vo miTaa deinge hamaari azmaton kaa har nishaan chaand-taaron se hamaaraa naqsh-e-paa le jaaeinge tishnagi hogi jahaan be-saakhta nauha-kunaan us jagah ham daastaan-e-karbalaa le jaaeinge khun-chakaan taarikh dohraaegi apne aap ko mai-kade se shaikh ji phir se nikaale jaaeinge kab talak yunhi duaaon par rahegaa inhisaar kab talak sar yunhi nezon par uchhaale jaaeinge paarsaa ham-raah le jaaeinge pindaar-e-amal ham to apne saath un ki khaak-e-paa le jaaeinge lauT kar jaane na paaeinge ye zaalim khaali haath kuchh nahin to saath apne bad-duaa le jaaeinge"
BadrBadr
Quote
"khud-aagahi ne lahu mein Dubo diyaa mujh ko shuur-e-zaat ki aisi mili sazaa mujh ko misaal-e-gauhar-e-naayaab zer-e-aab rahaa ye aarzu thi samundar uchhaaltaa mujh ko main TimTimaataa huaa tirgi se laDtaa rahaa talaash karti rahi sar-phiri havaa mujh ko vo be-shumaar dafine na yuun paDe rahte agar zamaana saliqe se khodtaa mujh ko milaa kisi ko sukut-e-davaam o be-khabari lahu mein Duubaa huaa ye qalam milaa mujh ko jabin pe kyaa kiyaa tahrir khaama-e-haq ne ki aagahi bhi samajhti hai sar-phiraa mujh ko main haartaa hi gayaa zindagi ki har baazi shikast deti rahi umr bhar anaa mujh ko chaTakh rahaa hai badan aur dhuaan dhuaan hai dil kisi ne di hai sulagne ki badduaa mujh ko qusur meraa yahi thaa ki be-qusur thaa main amir-e-shahr ne phir bhi jalaa diyaa mujh ko yahaan vahaan sar-e-baazaar khuun bahaa meraa ajiib hai ki chukaanaa hai khun-bahaa mujh ko agar main dard se chikhun to hai adaakaari dikhaaun zakhm to kahte hain khud-numaa mujh ko main apne haath mein apnaa burida sar le kar chalaa to rok rahi thi koi sadaa mujh ko kabhi charaagh jalaaun to kaanp jaataa huun har ek aag se lagtaa hai khauf saa mujh ko ba-fazl-e-aabla-paai ba-faiz-e-tishna-labi saraab DhunDh rahaa hai barahna-paa mujh ko abhi mahal ke dar-o-baam naa-mukammal hain ye kis ne khvaab se aa kar jagaa diyaa mujh ko har inkishaaf pe hairat-zada khaDaa rahtaa agar vo baiTh ke fursat mein sochtaa mujh ko na jaane kab se hai us paar dekhne ki havas fasil-e-zaat se uupar zaraa uThaa mujh ko"
BadrBadr
Quote
"dast-e-qaatil mein koi tegh na khanjar hotaa miraa saaya jo mire qad ke baraabar hotaa meraa dushman bhi mire qad ke baraabar hotaa kaash kaandhe pe mere ek 'adad sar hotaa ye haqiqat hai saraabon mein machaltin lahrein dasht agar dasht na hotaa to samundar hotaa us ke khanjar se lipaT jaate sunahre alfaaz haakim-e-shahr agar ek sukhanvar hotaa main yuun be-kaar na hotaa kisi patthar ki tarah vaqt ke paas agar tesha-e-aazar hotaa vo to kahiye ki hai parvaaz-e-takhayyul se pare varna yazdaan bhi kisi tiir ki zad par hotaa"
BadrBadr
Quote
"kitnaa bechain hai khaamosh samundar dekho dil ki gahraai mein ik roz utar kar dekho qatl ho jaaegaa suraj to lahu hogi sahar dekhnaa hai to abhi subh kaa manzar dekho raaz-dar-raaz hai alfaaz ki gahraai mein mere chehre pe jo tahrir hai paDh kar dekho khaamushi guunj bhi hai chikh bhi hai naghma bhi tum kisi peD ko nazdik se chhu kar dekho kaise patthar kaa jigar chiir ke uThti hai hayaat kisi chaTTaan tale biij dabaa kar dekho yuun to chehre pe sajaa rakkhi hai ik bazm-e-tarab kitne maqtal hain mire siine ke andar dekho kitni dilkash hai dil-afroz hai duniyaa-e-dani apni aankhon se zaraa haath haTaa kar dekho is ‘aqide ne liyaa qaisar-o-kisraa se khiraaj maut kaa vaqt azal se hai muqarrar dekho taa-ba-kai shaukat-e-ajdaad pe ye naaz-o-ghurur khvaab-e-ghaflat se uTho vaqt ke tevar dekho aasmaan chiir ke jaaegaa sitaaron se pare tum bhi ik baar chalaa kar zaraa patthar dekho maar Daalegi galaa ghonT ke sadiyon ki ghuTan khiDkiyaan khol do kuchh der to baahar dekho dekh lenaa pas-e-qaatil bhi koi hogaa zarur sirf qaatil hi chalaataa nahin khanjar dekho sakht se sakht huaa jaataa hai chehra us kaa zindagi kaa ye badaltaa huaa paikar dekho"
BadrBadr
Quote
"intikhaabi daur mein sho'la-bayaani chhoD di us ne mujh se har tarah ki bad-gumaani chhoD di us kaa vaa'da hai vo kar degaa mujhe jannat-nashin baa-khushi main ne agar masjid puraani chhoD di main haqaaeq ke sahaare ab talak laDtaa rahaa phir achaanak us ne baDh kar ik kahaani chhoD di jo the mahrum-e-anaa jaa kar samundar mein gire ek dariyaa ne magar apni ravaani chhoD di jab adab ke surmaa banne lage pashsha-sifat ham ne bhi uktaa ke aakhir pahlvaani chhoD di mere sar par har taraf se saikDon patthar lage jab subuk-sar ho ke main ne sargiraani chhoD di par-fishaan ash'aar hain yaa hai farishton kaa nuzul yaa 'adam ne ik balaa-e-naagahaani chhoD di 'ahd-e-nau mein kuchh nahin miltaa hai qimat ke baghair ab masihaa ne ravish apni puraani chhoD di jaane kis kaa haashiya-bardaar hai meraa qalam har kas-o-naa-kas ki is ne tarjumaani chhoD di"
BadrBadr
Quote
"dhoka hai agar aankh mein qaatil ki nami hai sho'lon pe kahin aaj talak barf jami hai patton ki sadaaein hain ki majbur kaa nauha par mere darakhton se havaa baandh gai hai yaa to miri basti ke sabhi log hain andhe yaa halqa-e-aafaaq mein suraj ki kami hai har shakhs hai mahrum yahaan fikr-e-rasaa se fitrat mein abhi tak vahi shorida-sari hai ru-posh nigaahon se hai hangaama-e-fardaa aaina-e-idraak pe bhi gard jami hai vo quvvat-e-baazu hai na himmat na shujaa'at talvaar paDi apnaa hi dam chaaT rahi hai kavvon se laraztaa hai abaabil kaa lashkar shaahin ki taqdir mein be-baal-o-pari hai ab vaa'iz-o-zaahid hain baham dast-o-garebaan ik jang-e-jamal aaj masaajid mein chhiDi hai jo raanda-e-dargaah the vo takht-nashin hain me'yaar-e-faqiri nahin daryuza-gari hai fir’aun ki aulaad gai shams-o-qamar tak aur aal-e-nabi niil ke saahil pe khaDi hai iblis bhi paani ke liye dauD rahaa hai lagtaa hai ki dozakh mein kahin aag lagi hai sachchaai se us shakhs ki derina 'adaavat taarikh ko dimak ki tarah chaaT rahi hai aandhi to uDaa le gai kaashaana-e-muflis zaalim ki haveli abhi mahfuz khaDi hai sailaab jo aaya use sahraa ne dabochaa bijli bhi kahin jaa ke samundar mein giri hai ham-saaya uThaa laataa hai ghar mein man-o-salvaa par meri anaa hai ki mujhe rok rahi hai"
BadrBadr