SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byDanish Aziz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tumhaare chehre ki dilkashi se kali gumaan ki khili hui hai tumhaari yaadon ki baarishon se zamin-e-hijraan dhuli hui hai ye jaagne ki tumhaari aadat abhi talak hai vo pahle jaisi tumhaare bistar ki ujli chaadar bhi silvaTon se bhari hui hai jo ho sake to koi nishaani bataur tohfa hi bhej denaa tumhaari bheji hui vo tie pahan pahan kar phaTi hui hai bichhaDte lamhe chhupaa ke sab se jo tum ne bistar pe pheink di thi tumhaari tasvir taaqche mein abhi talak vo rakhi hui hai tumhaare hote hue bhi dekho main khud ko tanhaa samajh rahaa huun mujhe to lagtaa hai ye judaai mire badan se sili hui hai ye mere ahbaab puchhte hain bataao un ko main kyaa kahun ab ye kaun laDki tumhaare pahlu mein saj sanvar kar khaDi hui hai vo kuchh dinon se kisi ke gham mein udaas chehra liye hue hai qasam khudaa ki main kyaa bataaun miri to jaan pe bani hui hai ki chhoDo 'daanish' ki baat chhoDo mujhe sunaao ki kyaa likhaa hai vo khaak teri ghazal sunegaa use to apni paDi hui hai"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"mujh ko thapak thapak ke sulaataa rahaa charaagh pahlu mein raat bhar mire baiThaa rahaa charaagh kahtaa rahaa ki raat ye kitni hasin hai tira-shabi kaa girya bhi kartaa rahaa charaagh suraj kaa ek baar faqat naam kyaa liyaa mujh se tamaam raat hi laDtaa rahaa charaagh us ko miri shikast ki itni khushi hui haathon pe haath maar ke hanstaa rahaa charaagh main us ki zard lau mein khudaa dekhtaa rahaa kamre mein raat bhar mire jaltaa rahaa charaagh tab tak mire qalam ne faqat raushni likhi jab tak hatheli par miri likhtaa rahaa charaagh pahlu mein us ke kal tiri tasvir thi paDi ghazlein tire jamaal pe kahtaa rahaa charaagh aankhein miri bhi surkh thiin vo bhi bujhaa bujhaa yuun mere saath saath hi rotaa rahaa charaagh main us ke paas baiTh ke kahtaa rahaa ghazal aur puure inhimaak se suntaa rahaa charaagh kal us ke saath meri baDi guftugu hui meri kahaani sun ke sisaktaa rahaa charaagh tark-e-taalluqaat kaa misaaq jab huaa mere aur us ke darmiyaan baiThaa rahaa charaagh jaane havaa ne kyaa kahaa kaanon mein us ke kal 'daanish' tamaam raat machaltaa rahaa charaagh"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"gar subh-dam vo khush-gulu khush-khu nikal paDe phulon ko chhoD chhaaD ke khushbu nikal paDe teri gali ho log hon ghunghru pahan ke main eDi ghumaa ke raqs karun tu nikal paDe us ne kisi ghazal mein sahaare ki baat ki chaaron taraf se kitne hi baazu nikal paDe ham baada-khvaar ahl-e-subu sukh kaa saans lein vaaiz ki jeb se kahin daaru nikal paDe khvaahish hai main kharid luun 'ghaalib' kaa khasta ghar aur moajiza ho sahn se urdu nikal paDe us gul-badan ne shaakh ko dekhaa jo pyaar se patton pe aankhein ban gaiin abru nikal paDe 'daanish' baqaa-e-ishq kaa manshur thaam kar vaaris nikal paDe kabhi baahu nikal paDe"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"insaanon kaa chup kar jaanaa Thiik nahin tahriron kaa shor machaanaa Thiik nahin teraa ye mohtaat ravayya kahtaa hai tu ne mujh ko kuchh pahchaanaa Thiik nahin ye zaalim kab tere aansu pochhenge tasviron se dil bahlaanaa Thiik nahin raste mein kuchh dost numaa se dushman hain us ghar teraa aanaa jaanaa Thiik nahin baadal phir barsaat se tauba kar leinge paani mein yuun aag lagaanaa Thiik nahin jin baaton ne pahle baat bigaaDi thi un baaton kaa phir dohraanaa Thiik nahin us ne meraa naam likhaa hai baazu par har ik ko ye baat bataanaa Thiik nahin mausam kaliyaan phuul nazaare taak mein hain teraa ghar se baahar jaanaa Thiik nahin jab tak meri saans salaamat saath to do zinda shakhs ko yuun kafnaanaa Thiik nahin kyon tujh ko ye baat samajh naa aati hai ishq mohabbat pyaar kahaa naa Thiik nahin kitnaa tujh ko samjhaayaa thaa pyaar na kar tanhaa ho kar ab pachhtaanaa Thiik nahin us kaa naam kahin bhi sun kar logon se teri aankhon kaa bhar aanaa Thiik nahin log na jaane kyaa kyaa baatein socheinge baiThe baiThe gum ho jaanaa Thiik nahin aise to sab log kinaara kar leinge teraa itnaa ghussa khaanaa Thiik nahin 'daanish' chiDiyaan kaise aakar baiTheingi divaaron par kaanch lagaanaa Thiik nahin"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"mere jaise is basti mein aur bhi paagal rahte hain sab ne aankhein girvi rakh kar aadhe khvaab kharide hain koyal kavvaa chiil kabutar totaa mainaa chiDiyaa mor shaam Dhale sab chup chup baiThe ik duuje ko takte hain dariyaa saagar ambar baadal baarish aandhi dhuup havaa sab teraa bahrup hai saain teraa naam hi japte hain khaali kursi do cup chaae sabza khushbu bundaa-baandi subh-savere mujh se mil kar teri baatein karte hain hijr udaasi vahshat aansu aavaara-pan be-zaari shorida dil chaak garebaan sab ulfat ke jhagDe hain 'saaghar' 'mir' 'faraaz' aur 'ghaalib' 'momin' 'daagh' 'qatil' aur 'faiz' oDh ke misre nazmein ghazlein chain sukun se sote hain baatein yaadein raatein aankhein baanhein aahein fariyaadein suune ghar ke ik kone mein aksar mil kar rote hain chaand sitaare jugnu suraj pariyaan jin uDte panchhi sab dharti par aakar 'daanish' us ke paanv ko chhute hain"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"ho jaaein kisi ke jo kabhi yaar munaafiq samjho ki hue hain dar-o-divaar munaafiq ban jaataa hai kaise koi saalaar munaafiq ye baat samajhne ko hai darkaar munaafiq mumkin thaa kabhi un ko main khaatir mein na laataa hote jo muqaabil mire do-chaar munaafiq un ko kisi baazaar se laanaa nahin paDtaa yaaron mein hi mil jaate hain tayyaar munaafiq naapaid huaa jaataa hai ikhlaas yahaan par sardaar munaafiq hai sar-e-daar munaafiq jo shakhs munaafiq hai munaafiq hi rahegaa ik baar munaafiq ho yaa sau baar munaafiq sachchaai zabaan kaaT ke chup-chaap khaDi hai shohrat ki bulandi pe hain akhbaar munaafiq likkhaa hai munaafiq ne munaafiq kaa fasaana is vaaste rakkhe hain ye kirdaar munaafiq jis shahr ki buniyaad munaafiq ne ho rakkhi qaaem vahaan ho jaati hai sarkaar munaafiq mukhlis hain jo khul kar miri taaid kareinge bhaDkeinge ye sun kar mire ashaar munaafiq 'daanish' ye haqiqat hai bhale maano na maano ikhlaas kaa tai karte hain meaar munaafiq"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"hasin jabin pe mire honT thartharaane lage phir is ke baad mire hosh kab Thikaane lage main ret par bhi taraashun jo khaal-o-khad us ke sitaare parda karein chaand munh chhupaane lage ye aabshaar ye baadal ye jhiil kaa paani use sanvarne ko sab aaina dikhaane lage kabhi jo chheDaa kisi ne bhi tazkira un kaa shajar khamida hue phuul muskuraane lage unhon ne puchhaa na us ki koi zarurat thi ham apnaa haal dil-e-muztarib sunaane lage mire labon ne faqat naam hi liyaa us kaa parind us ki gali shahr tak bataane lage main us ke paas jo baiThun ulajh paDe khushbu charaagh ghure mujhe aur tilmilaane lage vo duur aakhiri kursi pe baiThe baiThe mujhe dilaasaa dene lage hausla baDhaane lage ye jaan kar ki tiraa but paDaa hai mandir mein khudaa-parast vahaan ghanTiyaan bajaane lage main us ke shahr se aaya huun jaan kar itnaa tamaam log mire raaste sajaane lage jahaan baseraa kiyaa panchhiyon ne tere liye hamein vo ghonsle pairon ke aastaane lage ye husn ek hi saaat mein ban gayaa thaa miyaan khudaa ko ishq banaane mein kuchh zamaane lage khumaar dekhaa jo aankhon mein niind kaa 'daanish' zamin pe aa ke farishte use sulaane lage"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"pagDanDi lag rahi thi pahaaDon ke darmiyaan nikli hui thi maang yuun baalon ke darmiyaan pahle takallufaat sabhi bartaraf hue phir guftugu shurua hui aankhon ke darmiyaan hijr-o-firaaq aur ye tanhaai maar de vaqfa agar na din kaa ho raaton ke darmiyaan siine pe haath kyaa rakhaa dhaDkan sanbhal gai hichki si ek qaid thi saanson ke darmiyaan kam-bakht sab ke saamne le de na teraa naam main ne zabaan daab li daanton ke darmiyaan qaaem hai us ke dam se hi dam-kham anaa ghurur sar naam ki jo chiiz hai shaanon ke darmiyaan pahle main baat kar luun zaraa gham-shanaas ki teraa bhi hogaa tazkira sheron ke darmiyaan kamzor si nahif si bulbul ke vaaste ghamsaan ki laDaai thi chilon ke darmiyaan saada-dili to dekhiye 'daanish-aziz' ki ik ghar banaa rahaa hai makaanon ke darmiyaan"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"meri hi tasvir mein honTon par taalaa khaamoshi kaa haae musavvir ne khinchaa hai kyaa naqsha khaamoshi kaa ham donon kaa ahd huaa thaa ek zabaan hi boleinge tum bolo kyaa matlab samjhun yak-tarfa khaamoshi kaa ik chup sau sukh vaali mantiq aaj samajh mein aai hai ab logon mein aam karungaa ye nuskha khaamoshi kaa main ne apne vaqt ko saahib do hisson mein baanTaa hai aadhaa mere shor kaa hai baaqi aadhaa khaamoshi kaa ik darvesh se le aaya huun de kar shor kaa kaaTh kabaaD hijr ki lakDi chup ki handi aur chulhaa khaamoshi kaa jannat se jo saath mein utri vo bhi ik khaamoshi thi so aadam se jaa miltaa hai yuun shajara khaamoshi kaa ab to mere honTon ko bhi lafzon ki pahchaan nahin us tak jaane kab pahunchegaa ye charchaa khaamoshi kaa meri aaj zabaan-bandi mein tere log hi shaamil hain mujh par aise Daal na saaraa tu malba khaamoshi kaa us ki meri baaton mein bas do hi pahlu hote the kuchh hotaa thaa shor-sharaaba kuchh hissa khaamoshi kaa kab tak mujh se duur rakhegaa harf-o-saut kaa har aahang kab tak mere saath rahegaa ye sadma khaamoshi kaa teraa kyaa nuqsaan huaa hai tu ji bhar ke shor machaa mere paas to ek bachaa hai vo rasta khaamoshi kaa main ne khvaab mein khaamoshi ko shor machaate dekhaa hai 'daanish' ab to denaa hogaa kuchh sadqa khaamoshi kaa"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"bikhraa paDaa thaa jaa-ba-jaa kachraa vajud kaa ham chhoD aae us gali malba vajud kaa har roz maang maang ke letaa huun saans bhi baDhtaa hi jaa rahaa hai ye qarza vajud kaa kitni shikast-o-rekht hui kuchh nahin pataa mujh ko milaa nahin abhi qabza vajud kaa taaza havaa na raushni naa baam-o-dar na chhat mujh ko samajh na aa sakaa naqsha vajud kaa ik umr ho gai use khaali paDe hue bigDaa huaa hai is liye huliya vajud kaa kuchh kaDve ghunT chaahiyein har raat us ko ab yuun aur baDh gayaa hai ye kharcha vajud kaa mere sabab ye khaal-o-khad us ke bigaD gae suntaa huun subh shaam ye taana vajud kaa tum hi bataao kaise chalaa us kaa silsila mujh ko to mil sakaa nahin shajara vajud kaa ik sher-fahm shakhs ki khvaahish pe dosto lo ham ne likh diyaa hai ye nauha vajud kaa juun juun main sochtaa huun takhayyul mein us kaa lams kuchh aur baDhtaa jaataa hai nashsha vajud kaa meri to ek baat bhi suntaa nahin ye dil haathon mein ab nahin rahaa bachcha vajud kaa 'daanish' main tang aa gayaa is bad-mizaaj se sanbhle nahin sanbhaltaa hai ghussa vajud kaa"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"tu faqat kahaani sun hichkiyon ko bhuul jaa ashk-baar log gin taaliyon ko bhuul jaa mausamon ne kyaa kiyaa ye kahaani chhoD de baarishon ko bhuul jaa paaniyon ko bhuul jaa ab zabaan mein aa gaiin luknatein rukaavaTein meri guftugu ki tu narmiyon ko bhuul jaa zindagi hai mukhtasar har 'inaad chhoD de khubiyon ko yaad rakh khaamiyon ko bhuul jaa ye chaman tiraa chaman phuul tere phuul hain khud hi dekh-bhaal kar maaliyon ko bhuul jaa bhuul jaa vo din ki niind raat kaa vo jaagnaa jugnuon ko bhuul jaa titliyon ko bhuul jaa vo hamaare bachpane ki kahaani thi faqat shaah-zaade bhuul jaa raaniyon ko bhuul jaa jis mein jitnaa zarf thaa us ne vo dikhaa diyaa meri baat maan jaa talkhiyon ko bhuul jaa 'daanish'-e-shikasta-paa ab to vaa'izon ki sun mahfilon ko bhuul jaa saaqiyon ko bhuul jaa"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"dhaDakte dil ko yuun dhaDkan sunaayaa karte hain khuli hon baanhein to un mein samaayaa karte hain ye chaahaton kaa chalan siikh lo to achchhaa hai koi manaae to bas maan jaayaa karte hain bahut si baatein nahin hoti hain bataane ki ba-taur-e-khaas mohabbat chhupaayaa karte hain khudaa ke vaaste tafsil mein na jaayaa karo ki jitnaa puchhaa ho utnaa bataayaa karte hain jinhein ho kahnaa ki ruk jaaein sab ko jaane dein milaa ke haath zaraa saa dabaayaa karte hain nahif dil ko sanbhalne kaa dijiye mauqa Thahar Thahar ke ye jalve dikhaayaa karte hain agar ye dil ho ki suraj ki dhuup saaya bane to apne naam ke paude lagaayaa karte hain jinhein likhaa ho kisi ne baDi mohabbat se baDe adab se vo naame jalaayaa karte hain vo jin ke dam se gulon par nikhaar aataa ho bahaar aae to un ko bulaayaa karte hain samajh lo baat chhupaaeinge jhuuT boleinge jo baat karte hue sar khujaayaa karte hain na dekh paanaa alag saa baDhaavaa detaa hai charaagh vasl se pahle bujhaayaa karte hain mire aziiz ai 'daanish-aziz’ baat samajh jinhein ho zoam unhein aazmaayaa karte hain"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"agarche us ne likhaa huaa hai jahaan-e-faani mein maar denaa makaan vaale se iltijaa hai ki laa-makaani mein maar denaa mire azizo main jaa rahaa huun miri vasiyyat ko yaad rakhnaa jo mujh saa koi bhi ek dekho use javaani mein maar denaa mujhe hai maalum ai musannif ki meraa kirdaar saanvi hai jahaan izaafi lage tumhein ye mujhe kahaani mein maar denaa main jaantaa huun ki zoaf-e-piri to chhin letaa hai bolnaa bhi zabaan mein luknat se peshtar hi mujhe ravaani mein maar denaa unhein buDhaape mein chhoDnaa mat nahif khvaabon ko toDnaa mat zaiif maan baap ko na tum un ki zindagaani mein maar denaa mujhe tumhaare sitam ki nisbat karam tumhaaraa aziz-tar hai so dasht-e-gham se bachaa ke sahraa-e-mehrbaani mein maar denaa agar ye Dar hai ki aastin par mire lahu ke nishaan honge tumhein suhulat main de rahaa huun ki mujh ko paani mein maar denaa sabhi mohabbat ki baat karte hain main mohabbat nibhaa rahaa huun so maarnaa ho to apne 'daanish' ko jurm-e-saani mein maar denaa"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"vo kisi aur se milaa hogaa dil ye kahtaa hai vaahima hogaa mere dil mein dhamaal paDti hai log shak mein ki aariza hogaa us ki yaaro khabar hi le aao koi darpesh masala hogaa paanv tikTaa nahin zamin par kyon ghaur se dekh aabla hogaa khaamushi ko javaab mat samjho ain mumkin na kuchh sunaa hogaa tum jise kaaenaat kahte ho yaar paani kaa bulbula hogaa ab khudaa ko hai faisla karnaa vo tiraa hogaa yaa miraa hogaa jaao duniyaa main kuchh nahin kahtaa roz-e-mahshar hi saamnaa hogaa khaamushi ko zabaan kahte hain ek din is kaa tarjuma hogaa kuchh farishte hain saamne mere ab to har haal maarka hogaa tum jise ishq jaan baiThe ho un kaa mumkin hai mashghala hogaa lauh-e-mahfuz par jo likkhaa hai us se haT kar bhi faisla hogaa soch lo dekh-bhaal lo 'daanish' ishq hogaa to ratjagaa hogaa"
Danish AzizDanish Aziz
Quote
"kahaa thaa tum se na pyaar karnaa vahi kiyaa naa na lafz bunnaa na sher kahnaa vahi kiyaa naa ye teraa khuun tak nichoD leinge kahaa thaa tujh se na surkh phulon ke paas jaanaa vahi kiyaa naa kahaa thaa tohfe khutut saare chhupaa ke rakhnaa kahaa thaa sab ko na ye dikhaanaa vahi kiyaa naa kahaa thaa chaahat se duur rahnaa ye maar degi kahaa thaa dil ki na ek sunnaa vahi kiyaa naa parind tum par hansaa kareinge kahaa thaa tum se na tum darakhton pe naam likhnaa vahi kiyaa naa ye TuuT jaaein to saans lenaa muhaal Thahre kahaa thaa tum se na khvaab bunnaa vahi kiyaa naa kahaa thaa baaton mein tez hai vo sanbhal ke rahnaa na us kaa hargiz yaqin karnaa vahi kiyaa naan zahin to ho magar zamaana-shanaas kam ho tumhein kahaa thaa na ishq karnaa vahi kiyaa naa luTaa piTaa hai fareb degaa khayaal karnaa kabhi na 'daanish' ki baat sunnaa vahi kiyaa naa"
Danish AzizDanish Aziz