SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFatima Mehru(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"havaa se baat kareinge yaa hausla kareinge charaagh aisi fazaaon mein aur kyaa kareinge nayaa makaan khanDar kar liyaa sajaate hue ab aise log tamaashe mein kyaa nayaa kareinge bahut giraayaa hai takiye ki 'aadaton ne hamein so agle khvaab mein bistar kaa aasraa kareinge tumhaare saath ta'alluq banaaeinge gahraa zaraa si baat pe hafton bhi laD liyaa kareinge ham ab ki baar buzurgon kaa maan rakkheinge samajh ke soch ke har tajraba kiyaa kareinge bas ek baar hamein dosti mein shaamil kar kareinge teri taraf-daari baa-khudaa kareinge bichhaDte vaqt bhi amn-o-amaan banaa rahegaa salaam bhejeinge harf-e-du'aa kiyaa kareinge"
Fatima MehruFatima Mehru
Quote
"mukhtasar 'ishq hai is mein bahut 'arsa nahin hai jaise bas jism hai aur ruuh kaa kharcha nahin hai in dinon aisi mahaarat mein hai mashhur koi jis kaa is shahr ke qaatil ne bhi sochaa nahin hai aa to jaate hain sabhi us ke tasarruf mein magar maan jaate hain ki vo aadmi achchhaa nahin hai ai mire dil ki zaminon ke nigahbaan khudaa kyaa mire naam pe thoDaa saa bhi raqba nahin hai maar dete hain yahi log adaa se apni aur kahte hain ki aadam kaa bharosa nahin hai pahle rakkheinge mohabbat ki jagah khaamoshi phir kaheinge ki miri jaan ye dhokaa nahin hai kaise samjhaaein ki barbaad hue hain kaise tu ne us aankh ko uThte kabhi dekhaa nahin hai"
Fatima MehruFatima Mehru
Quote
"bashar ke dil par azal se likkhi khudaa ki pahli kitaab huun main sunaa rahaa hai zamaana jis ko abad talak kaa khitaab huun main jo raakh samjho to aag jaisi jo zahr gholo to naag aisi tumhaaraa partav likhi gai huun tumhaare jaisaa 'azaab huun main napi-tuli si nigaah mere badan pe yaksar ghumaane vaalo tumhaari 'aqlon pe jo paDaa hai siyaah sangin hijaab huun main kali ki surat masal ke mujh ko baDhaa rahe ho dukaan-e-khushbu har ek gaahak se kah rahe ho sadaa mahaktaa gulaab huun main jo daftaron mein jami hui huun baqaa ki khaatir khaDi hui huun savaal ban kar mujhe na dekho zaruraton kaa javaab huun mein tumhi ne chhup kar mohabbaton ke dinon mein mujh ko gulaab bheje aur ab sabhi se ye kah rahe ho ghalat farebi kharaab huun main miri haqiqat ke ek rukh se nisaab-daanon ne khuub khelaa kisi ne bas angbin samjhaa kisi ne likkhaa sharaab huun mein"
Fatima MehruFatima Mehru
Quote
"kuchh logon ne aise mil kar us ko aaj kharidaa hai main hairaan huun do aankhon ke hote vo be-dida hai tab lagtaa thaa 'ishq se aasaan jaise koi kaam nahin ab lagtaa hai koi nukta kyaa is se pechida hai aate jaate logo dekho yuun na koi baat kaho kitne mausam guzre lekin dil ab ke sanjida hai vo dekhe to guzraa lamha mustaqbil ki yaad lage vo bole to aane vaalaa har ik harf shunida hai ye vo dil thaa jis mein us ko jaane kitne saal rakhaa ye vo ghar hai jis ki chaabi taale mein poshida hai"
Fatima MehruFatima Mehru
Quote
"lagtaa hai magar aankh kaa dhoka nahin hotaa hotaa hai kabhi vo bhi jo sochaa nahin hotaa bhijvaae kabhi phuul to khud aataa nahin hai khud aae to baDh kar koi tohfa nahin hotaa hotaa hai hazaaron mein koi ek yahaan yuun hone se jahaan jis ke akelaa nahin hotaa kuchh belon ki banti nahin baarish se ziyaada kuchh baaton pe ronaa kabhi achchhaa nahin hotaa ham ret pe likh lete hain har zakhm ki taarikh agle kaa namakdaan bhi giilaa nahin hotaa ab kis ke liye kurte yaa saaDi kaa takalluf ab aisi kharidaari pe kharcha nahin hotaa kaam aate hain aksar vahi fehrist mein number kaam aane ki khaatir jinhein rakkhaa nahin hotaa"
Fatima MehruFatima Mehru
Quote
"abhi se ik kitaab ke hisaar mein ho tum sabhi ghise-piTe nisaab ke khumaar mein ho tum sabhi ye main huun apni gumrahi ki siidh mein khaDi hui ki gardish-e-shahaab ki qataar mein ho tum sabhi 'ajab nahin chaman se ruuTh jaaein saari khushbuein jo is tarah gulaab ke shikaar mein ho tum sabhi agar tumhein lage vo honT jhuuT bolte nahin to maan lo 'azaab ki pukaar mein ho tum sabhi khudaa kisi bhi rabt kaa subut maangtaa nahin vagarna kis hisaab ke shumaar mein ho tum sabhi suno ai kaaenaat se pare ke silsilo suno mire diye khitaab ke madaar mein ho tum sabhi ye raushni ba-silsila bayaad-e-raftagaan hai jame hue saraab ki phuhaar mein ho tum sabhi"
Fatima MehruFatima Mehru