Quote
"aankhon ke khvaab dil ki javaani bhi le gayaa vo apne saath meri kahaani bhi le gayaa kham-cham tamaam apnaa bas ik us ke dam se thaa vo kyaa gayaa ki aag bhi paani bhi le gayaa TuuTaa taalluqaat kaa aaina is tarah aks-e-nashaat-e-lamaha-e-faani bhi le gayaa kuche mein hijraton ke huun sab se alag-thalag bichhDaa vo yuun ki rabt-e-makaani bhi le gayaa the sab usi ke lams se jal-thal bane hue dariyaa muDaa to apni ravaani bhi le gayaa ab kyaa khulegi munjamid alfaaz ki girah vo himmat-e-kashud-e-maaani bhi le gayaa sar-joshi-e-qalam ko 'fazaa' chup si lag gai vo jaate jaate shola-bayaani bhi le gayaa"







