SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"milegaa dard to darmaan ki aarzu hogi tamaam 'umr gharaz sirf justuju hogi phir aaj dil se mukhaatab hai shab kaa sannaaTaa phir aaj subh talak un ki guftugu hogi junun kaa shaghl salaamat rafu ki fikr na kar kise khabar hai ki kab fursat-e-rafu hogi abhi jaleinge yahaan aur be-rukhi ke charaagh is anjuman mein vafaa aur surkh-ru hogi chalegi baat jahaan teri kaj-adaai ki miri vafaa bhi to mauzu'-e-guftugu hogi bacheinge barq-e-havaadis se aashiyaan kab tak ki tez-tar abhi tahrik-e-rang-o-bu hogi mileinge raah mein aise bhi ham-safar 'taabaan' qadam qadam jinhein manzil ki justuju hogi"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"vo raushni ki ba-qaid-e-sahar nahin ai dost tiraa jamaal hai meri nazar nahin ai dost tire baghair vo shaam-o-sahar nahin ai dost koi charaagh sar-e-rahguzar nahin ai dost bahaanaa DhunDh liyaa tujh se baat karne kaa kuchh aur maqsad-e-arz-e-hunar nahin ai dost shab-e-firaaq ye mahviyaton kaa aalam hai kisi ki haae kisi ko khabar nahin ai dost mah o nujum bhi garm-e-safar to hain lekin koi bhi un mein miraa ham-safar nahin ai dost kabhi udhar se jo guzre to sarsari guzre savaad-e-tur tiri rahguzar nahin ai dost"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"svaad-e-gham mein kahin gosha-e-amaan na milaa ham aise khoe ki phir teraa aastaan na milaa ghamon ki bazm ki tanhaaiyon ki mahfil thi hamein vo dushman-e-tamkin kahaan kahaan na milaa ajiib daur-e-sitam hai ki dil ko muddat se naved-e-gham na mili muzhda-e-ziyaan na milaa kise hai yaad ki sai-o-talab ki raahon mein kahaan milaa hamein teraa nishaan kahaan na milaa udhar vafaa kaa gilaa hai ki dil lahu na huaa udhar sitam ko shikaayat ki qadr-daan na milaa labon ko nutq kaa eajaaz to milaa 'taabaan' magar sukut kaa pairaaya-e-bayaan na milaa"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"ek tum hi nahin duniyaa mein jafaakaar bahut dil salaamat hai to dil ke liye aazaar bahut haae kyaa chiiz hai mahrumi-o-gham kaa rishta mil gae ziist ke har moD pe gham-khvaar bahut yaad-e-ahbaab ki khushbu se mahakti shaamein kuchh kaho hoti hain kambakht dil-aazaar bahut ishq-e-aavaara kahaan qaid-e-dar-o-baam kahaan be-navaaon ke liye saaya-e-divaar bahut dil ki raftaar badal jaati thi aavaaz ke saath yaad aataa hai vo pairaaya-e-guftaar bahut ek din vaqt bataaegaa junun ki azmat yuun to ham log hain rusvaa sar-e-baazaar bahut vo kashaakash hai ki jiinaa bhi hai dubhar 'taabaan' ishq maasum bahut husn fusun-kaar bahut"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"lutf kaa rabt hai koi na jafaa kaa rishta dil se kuchh duur hai zaalim ki anaa kaa rishta dast-e-isaa bhi vahi baazu-e-qaatil bhi vahi kitnaa naazuk hai charaaghon se havaa kaa rishta jabr-e-haalaat kaho gham ki mukaafaat kaho TuuT bhi jaataa hai honTon se navaa kaa rishta sochiye to sabhi apne hain koi ghair nahin haakim-e-shahr se hai jurm-o-sazaa kaa rishta manzar-e-zist mein kuchh rang to bhar detaa hai khaar-zaaron se kisi aabla-paa kaa rishta phuul naayaab sahi zakhm to naayaab nahin aaj bhi dil se vahi aab-o-havaa kaa rishta kyaa karein rasm-e-zamaana ki shikaayat 'taabaan' dard se rakhte hain ham log sadaa kaa rishta"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"bahaar aai gul-afshaaniyon ke din aae uThaao saaz ghazal-khvaaniyon ke din aae nigaah-e-shauq ki gustaakhiyon kaa daur aayaa dil-e-kharaab ki naadaaniyon ke din aae nigaah-e-husn kharidaariyon pe maail hai mataa-e-shauq ki arzaaniyon ke din aae mizaaj-e-aql ki naa-saaziyon kaa mausam hai junun ki silsila-jambaaniyon ke din aae saron ne daavat-e-aashuftagi kaa qasd kiyaa dilon mein dard ki mehmaaniyon ke din aae charaagh-e-laala-o-gul ki Tapak paDi hain lavein chaman mein phir sharer-afshaaniyon ke din aae bahaar baais-e-jamiyat-e-chaman na hui shamim-e-gul ki pareshaaniyon ke din aae udhar chaman mein zar-e-gul luTaa idhar 'taabaan' hamaari be-sar-o-saamaaniyon ke din aae"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"laai tiri mahfil mein mujhe aarzu-e-did darpesh hai phir marhala-e-tur ki tajdid maayus tamannaaon ko ai dost tiri yaad jaise ufq-e-bim pe ik akhtar-e-ummid khud apnaa qafas ban gai kotaahi-e-parvaaz kuchh duur nahin varna jahaan-e-mah-o-khurshid ek ek adaa shauq ki tahzib pe maail ek ek nazar shokhi-e-jazbaat ki tanqid jo khud na samajh paae vo samjhaae to kaise afkaar mein ibhaam to guftaar mein taaqid jiinaa bhi ibaadat use piinaa bhi ibaadat haasil ho jise chashm-e-siyah-mast ki taaid pindaar-e-junun ho na sakaa raam-e-gudaai raas aae na 'taabaan' mujhe altaaf-e-sanaadid"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"numu ke faiz se rang-e-chaman nikhar saa gayaa magar bahaar mein dil shorishon se Dar saa gayaa jafaa-e-dost bahut saazgaar aai hai kharaab ho ki ye dil aur kuchh sanvar saa gayaa na jaane baad-e-sabaa kyaa payaam laai thi ki phuul hans to diyaa phir bhi munh utar saa gayaa ba-faiz-e-shauq ye din dekhnaa nasib huaa ki sar se dard kaa tufaan guzar guzar saa gayaa tilism-e-bazm fusun-e-jamaal sehr-e-shabaab nigaah-e-shauq kaa daaman gulon se bhar saa gayaa vo shaam ho gai mansub un ki yaad ke naam charaagh jal saa gayaa daagh-e-dil ubhar saa gayaa vo ek shokh kaa andaaz-e-guftugu 'taabaan' jigar mein tanz kaa nashtar utar utar saa gayaa"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"chhaTe ghubaar nazar baam-e-tur aa jaae piyo sharaab ki chehre pe nuur aa jaae uThaao jaam ba-naam-e-hayaat baada-kasho nazaare jhumein nazar ko surur aa jaae sharaab-khaane mein kausar kaa zikr kyaa kahiye kisi ki aql mein jaise futur aa jaae tamaam zohd-o-riyaazat ho gharq-e-mauj-e-sharaab jo mai-kade mein vo shaidaa-e-hur aa jaae maqaam-e-daar se guzro to zindagi paao piyo jo zahr-e-halaahal surur aa jaae nigaah tez nafas garm aarzu bebaak jise ho naaz hamaare huzur aa jaae ye kaarobaar-e-mashiyyat bhi khuub hai 'taabaan' kisi pe barq gire zad pe tuur aa jaae"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"sharh-e-jaan-sozi-e-gham-e-arz-e-vafaa kyaa karte tum bhi ik jhuTi tasalli ke sivaa kyaa karte shisha naazuk thaa zaraa choT lagi TuuT gayaa haadse hote hi rahte hain gilaa kyaa karte raat ne chheD diye bhule hue afsaane jaag kar subh na karte to bhalaa kyaa karte apni kashti ko bhi mil jaataa kinaara shaayad tund thi mauj mukhaalif thi havaa kyaa karte jazba-e-shauq ko izhaar ki fursat na mili lafz-o-maani kaa fusun TuuT gayaa kyaa karte dil ko vo dard milaa jis kaa mudaavaa na ilaaj mere monis mire gham-khvaar bhalaa kyaa karte thi na kyaa kyaa havas-e-sair-o-tamaashaa 'taabaan' raaste paanv ki zanjirein banaa kyaa karte"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"junun khud-numaa khud-nigar bhi nahin khirad ki tarah kam-nazar bhi nahin koi raahzan kaa khatar bhi nahin ki daaman mein gard-e-safar bhi nahin yahaan hosh-o-imaan sabhi luT gae mazaa ye hai un ki khabar bhi nahin gham-e-zindagi ik musalsal azaab gham-e-zindagi se mafar bhi nahin nazar mo'atabar hai khabar mo'atabar magar is qadar mo'atabar bhi nahin tiri anjuman markaz-e-aarzu tiri anjuman mein guzar bhi nahin kahaan jaaein 'taabaan' gunahgaar-e-shauq sazaa bhi nahin darguzar bhi nahin"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"ham ek umr jale sham-e-rahguzar ki tarah ujaalaa ghairon se kyaa maangte qamar ki tarah kahaan ke jaib-o-garebaan jigar bhi chaak hue bahaar aai qayaamat ke naama-bar ki tarah karam kaho ki sitam dil-dahi kaa har andaaz utar utar saa gayaa dil mein neshtar ki tarah na haadson ki kami hai na shorishon ki kami chaman mein barq bhi palti hai baal-o-par ki tarah na-jaane kyuun yahaan viraaniyaan barasti hain sabhi ke ghar hain ba-zaahir hamaare ghar ki tarah khudaa kare ki sadaa kaarobaar-e-shauq chale jo be-niyaaz ho manzil se is safar ki tarah bas aur kyaa kahein rudaad-e-zindagi 'taabaan' chaman mein ham bhi hain ik shaakh-e-be-samar ki tarah"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"chhaTe ghubaar-e-nazar baam-e-tur aa jaae piyo sharaab ki chehre pe nuur aa jaae uThaao jaam ba-naam-e-hayaat baada-kasho nazaare jhumein nazar ko surur aa jaae sharaab-khaane mein kausar kaa zikr kyaa kahiye kisi ki 'aql mein jaise futur aa jaae maqaam-e-daar se guzro to zindagi paao piyo jo zahr-e-halaahal surur aa jaae nigaah tez nafas garm aarzu bebaak jise ho naaz hamaare huzur aa jaae ye kaarobaar-e-mashiyat bhi khuub hai 'taabaan' kisi pe barq gire zad pe tuur aa jaae"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"sar-taa-ba-qadam ek hasin raaz kaa aalam allaah re ik fitnagar-e-naaaz kaa aalam zulfon mein vo barsaat ki raaton ki javaani aariz pe vo anvaar-e-sahar-saaz kaa aalam unvaan-e-sokhan 'ghaalib' o 'momin' kaa taghazzul andaaz-e-nazar baada-e-shiraaz kaa aalam duz-dida nigaahon mein ik ilhaam ki duniyaa naazuk se tabassum mein ik ejaaz kaa aalam uljhe hue jumlon mein sharaarat bhi hayaa bhi jazbaat mein Duubaa huaa aavaaz kaa aalam is saadgi-e-husn mein kis darja kashish hai har naaz mein ik jazba-e-ghammaaz kaa aalam us said ko kyaa kahiye jo khud aae tah-e-daam dil mein liye ik hasrat-e-parvaaz kaa aalam yuun to na tasaahul na taghaaful na tajaahul kuchh aur hai us kaafir-e-tannaaz kaa aalam shokhi mein sharaarat mein mataanat mein hayaa mein jo raaz kaa aalam thaa vahi raaz kaa aalam"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"shabaab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai ye aazmaaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai savaad-e-shams-o-qamar bhi bashar ki manzil hai abhi to parvarish-e-baal-o-par ki manzil hai ye mai-kada hai kalisaa o khaanqaah nahin uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai hamein to raas hi aai fughaan ki be-asari magar bataao to koi asar ki manzil hai vo rahbari-e-janaab-e-khizar ki manzil thi ye rahnumaai-e-fikr-e-bashar ki manzil hai ye raaz paa na sake saahibaan-e-hosh-o-khirad junun bhi ik nigah-e-parda-dar ki manzil hai qayaam shaamil-e-mashq-e-khiraam hai 'taabaan' safar kaa tark bhi goyaa safar ki manzil hai"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"rahguzar ho yaa musaafir niind jis ko aae hai gard ki maili si chaadar oDh ke so jaae hai qurbatein hi qurbatein hain duriyaan hi duriyaan aarzu jaadu ke sahraa mein mujhe dauDaaye hai vaqt ke haathon zamir-e-shahr bhi maaraa gayaa rafta rafta mauj-e-khun sar se guzarti jaae hai meri aashufta-sari vajh-e-shanaasaai hui mujh se milne roz koi haadisa aa jaae hai yuun to ik harf-e-tasalli bhi baDi shai hai magar aisaa lagtaa hai vafaa be-aabru ho jaae hai zindagi ki talkhiyaan deti hain khvaabon ko janam tishnagi sahraa mein dariyaa kaa samaan dikhlaae hai kis tarah dast-e-hunar mein bolne lagte hain rang madrase vaalon ko 'taabaan' kaun samjhaa paae hai"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"jalva paaband-e-nazar bhi hai nazar-saaz bhi hai parda-e-raaz bhi hai parda-dar-e-raaz bhi hai ham-nafas aag na lag jaae kahin mahfil mein shola-e-saaz bhi hai shola-e-aavaaz bhi hai yuun bhi hotaa hai mudaavaa-e-gham-e-mahrumi jabr-e-sayyaad bhi hai hasrat-e-parvaaz bhi hai mere afkaar ki raanaaiyaan tere dam se meri aavaaz mein shaamil tiri aavaaz bhi hai zindagi zauq-e-numu zauq-e-talab zauq-e-safar anjuman-saaz bhi hai garm-e-tag-o-taaz bhi hai mere afkaar-o-khayaalaat mein saari 'taabaan' husn-e-dilli bhi hai raanaai-e-shiraaz bhi hai"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"daur-e-tufaan mein bhi ji lete hain jiine vaale duur saahil se kisi mauj-e-gurezaan ki tarah dil ki vaadi mein tiraa dard barastaa hi rahaa abr-e-naisaan ki tarah abr-e-bahaaraan ki tarah faasle vaqt mein tabdil hue jaate hain zindagi raqs mein hai gardish-e-dauraan ki tarah dil ki taskin ko maange kaa ujaalaa kahiye raat ik shokh ki yaad aai thi mehmaan ki tarah aarzu aur zamaane ki kashaakash se gurez zindagi aur charaagh-e-tah-e-daamaan ki tarah gar na ho khaatir-e-naazuk pe garaan to kah duun baat bhi dil mein utar jaati hai paikaan ki tarah ek tasvir bani sarhad-e-izhaar se duur nutq hairaan hai mire dida-e-hairaan ki tarah chaand nikhraa hai tiri lauh-e-jabin ki surat raat bikhri hai tiri zulf-e-pareshaan ki tarah kis ne hans hans ke piyaa zahr-e-malaamat paiham kaun rusvaa sar-e-baazaar hai 'taabaan' ki tarah"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"lutf ye hai jise aashob-e-jahaan kahtaa huun usi zaalim ko farogh-e-dil-o-jaan kahtaa huun ghair kaa zikr hi kyaa muft mein ilzaam na do dil ki har baat main tum se bhi kahaan kahtaa huun kisi majbur ke honTon pe jo aa jaataa hai us tabassum ko main eajaaz-e-fughaan kahtaa huun na main zindaani-e-sahraa na asir-e-gulshan koi bandish ho use ji kaa ziyaan kahtaa huun dil shikasta sahi maayus nahin huun ai dost main ki har daur ko daur-e-guzaraan kahtaa huun husn kaa sheva-e-paimaan-shikani achchhaa hai phir bhi har saans ko chashm-e-nigaraan kahtaa huun koi had hai miri aashufta-sari ki 'taabaan' un ki zulfon ko charaaghon kaa dhuaan kahtaa huun"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"vo naazuk saa tabassum rah gayaa vahm-e-hasin ban kar numaayaan ho gayaa zauq-e-sitam chin-e-jabin ban kar bahut itraa rahi hai raat zulf-e-ambarin ban kar bahut maghrur hai nur-e-sahar rang-e-jabin ban kar miri jaama-dari ne raaz ye kholaa zamaane par khirad dhoke diyaa karti hai jaib o aastin ban kar karam mein bhi magar ik ghamza-e-khun-rez shaamil thaa nigaahon ki taraf uTThi to dil ki nukta-chin ban kar miri divaangi thi ik sharaar-e-aarzu dil mein baDhi to daar par raushan hui sham-e-yaqin ban kar payaam aate rahe aksar kisi mahv-e-taghaaful ke adaa-e-bar-malaa ban kar nigaah-e-sharmagin ban kar vo ik sajda na ho paayaa jo barbaad-e-haram 'taabaan' jabin-e-shauq par raushan hai pindaar-e-jabin ban kar"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"shauq kaa taqaaza hai sharh-e-aarzu kiije dil se ahd-e-khaamoshi kaise guftugu kiije dil ho yaa garebaan ho roz chaak hote hain kyaa junun ke mausam mein koshish-e-rafu kiije aashiqi-o-khuddaari bandagi-o-khud-bini aarzu ki raahon mein khun-e-aarzu kiije daad sai-e-paiham ki kuchh to dijiye yaani taaza-tar shikaston se dil ko surkh-ru kiije paa-e-shauq mein kab tak raaston ki zanjirein surat-e-sabaa chaliye sair chaar-su kiije hai khulus kaa maslak dushman-e-asar aakhir jo na ho muqaddar mein us ki justuju kiije bazm-e-jaam-o-minaa mein daad-e-tishnagi diije mausam-e-bahaaraan mein hasrat-e-numu kiije kyaa ajab ki bar aae dil ki aarzu 'taabaan' sair ku-e-qaatil ki aap bhi kabhu kiije"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban
Quote
"har sitam lutf hai dil khugar-e-aazaar kahaan sach kahaa tum ne mujhe gham se sarokaar kahaan dasht-o-sahraa ke kuchh aadaab huaa karte hain kyuun bhaTakte ho yahaan saaya-e-divaar kahaan baada-e-shauq se labrez hai saaghar meraa kaise azkaar mujhe fursat-e-afkaar kahaan kyuun tire daur mein mahrum-e-sazaa huun ki mujhe jurm par naaz sahi jurm se inkaar kahaan rah-rav-e-shauq hai begaana-e-manzil varna kucha-e-daar kahaan kucha-e-dildaar kahaan sochte kyaa ho jalaate raho zakhmon ke charaagh dekhte kyaa ho abhi subh ke aasaar kahaan tum ko chaahaa thaa magar tum bhi vafaa-dost nahin dil pe takiya thaa magar dil bhi vafaadaar kahaan yuun to har gaam pe gham-khvaar mile hain 'taabaan' jo mire gham ko samajh paae vo gham-khvaar kahaan"
Ghulam Rabbani TabanGhulam Rabbani Taban