SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byGuhar Khairabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"taarikiyon mein apni ziyaa chhoD jaaungaa guzrungaa main to naqsh-e-vafaa chhoD jaaungaa duniyaa ke log sunte raheinge tamaam 'umr lafzon mein apne dil ki sadaa chhoD jaaungaa apne lahu se phuul khilaa kar hayaat ke har samt khushbuon ki fazaa chhoD jaaungaa rakheingi yaad husn ki raanaaiyaan mujhe vo gulsitaan mein rang nayaa chhoD jaaungaa har ik qadam banegi jo tahzib ki misaal vo zindagi ki tarz-e-adaa chhoD jaaungaa sinchegaa phir chaman mein use mere baa'd kaun jis peD ko yahaan main haraa chhoD jaaungaa ye sochtaa huun jab kabhi hogaa miraa safar kyaa kyaa main le ke jaaungaa kyaa chhoD jaaungaa tarke mein kuchh bhi chhoDun na chhoDun yahaan magar bachchon ke haq mein apni du'aa chhoD jaaungaa pahunchegaa faiz jis se zamaane ko ai 'guhar' ilm-o-hunar ki main vo ghaTaa chhoD jaaungaa"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"dil ke daaman mein jo sarmaaya-e-afkaar na thaa zindagi thi magar us kaa koi meaar na thaa jaane kyuun baat miri un ko giraan-baar hui lafz aisaa to koi shaamil-e-guftaar na thaa kaun suntaa miri kis ko main sadaaein detaa aisi ghaflat thi ki ehsaas bhi bedaar na thaa har taraf dhuup thi phaili hui uryaani ki sar chhupaane ko kahin saaya-e-kirdaar na thaa aasmaan chiir ke rakh deti sadaarat meri vo to kahiye koi dushman pas-e-divaar na thaa zahr kaa ghunT bil-aakhir use piinaa hi paDaa baat ye thi vo zamaane kaa taraf-daar na thaa us ki begaana-ravi se use samjhaa main ne tishnaa-e-khun-e-vafaa thaa karam-e-aasaar na thaa jis ko dekhaa vo haqaaeq pe thaa parda Daale aaina-daar-e-haqiqat koi kirdaar na thaa eatibaar-e-dil-e-pur-shauq bhi paidaa karte kaam aane kaa faqat jazba-e-isaar na thaa kaam aankhon se na lete to bhalaa kyaa karte dard pinhaan the bahut par lab-e-izhaar na thaa sarfaraazi miri qismat mein na thi varna 'guhar' nok-e-neza pe pahunchnaa koi dushvaar na thaa"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"jis taraf bhi dekhiye saaya nahin phir bhi gulshan hai koi sahraa nahin log baiThe hain usi ki chhaanv mein saae se jis peD kaa rishta nahin kaam agar aae nigaah-e-haq-shanaas phir kisi pahlu koi dhokaa nahin haq-pasand meraa dastur-e-amal yaani bik jaanaa miraa sheva nahin dosto rakkho haqiqat par nazar khvaab aankhon mein kabhi paltaa nahin us ki duniyaa mein nahin qimat koi jo kasauTi par kharaa utraa nahin vusatein dil ki hain dariyaa ki tarah kaun kahtaa hai ki dil dariyaa nahin dard-o-gham vo kis ke samjhe ai 'guhar' apne ghar se jo kabhi niklaa nahin"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"main gharq vahaan pyaas ke paikar ki tarah thaa har qatra jahaan ek samundar ki tarah thaa ghar saare shikasta the guzar-gaahein andheri kuchh shahr miraa mere muqaddar ki tarah thaa aaj us kaa jahaan mein koi pursaan hi nahin hai kal tak jo zamaane mein sikandar ki tarah thaa thaa is ke muqaddar mein likhaa Dubnaa Duubaa haalaanki vo dariyaa mein shanaavar ki tarah thaa kyaa meri haqiqat thi gulistaan mein na puchho main thaa magar ik taair-e-be-par ki tarah thaa jab shahr mein patthar hi ki thi umr ganvaai duniyaa mein tujhe jiinaa bhi aazar ki tarah thaa dil ke bhi zamaane mein badalte rahe andaaz dariyaa ki tarah thaa kabhi patthar ki tarah thaa duniyaa-e-adab mein sabhi kahte hain jise 'mir' ik lafz-o-maaani ke samundar ki tarah thaa raas aai 'guhar' khuub mujhe dasht-navardi har aabla-e-paa miraa gauhar ki tarah thaa"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"charaagh se kabhi taaron se raushni maange andheri raat bhi kis kis se zindagi maange jalaane vaale jalaate hain nafraton ke charaagh fazaa-e-vaqt mohabbat ki raushni maange vo naa-shanaas-e-haqiqat hai is zamaana mein vafaa ko bhiik samajh kar gali gali maange nishaat-o-ranj muqaddar ki baat hoti hai kisi se gham na kisi se koi khushi maange har ek shakhs mein andaaz-e-kaj-adaai hai magar ye dil hai ki rah rah ke dosti maange jahaan suron ki haqiqat na ho vahaan pe 'guhar' jo koi maange to kyaa taaj-e-khusravi maange"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"toD kar shisha-e-dil ko mire barbaad na kar is tarah mujh pe sitam ai sitam-ijaad na kar ye nigah lutf ki hai is se na kar qatl mujhe chashm-e-jaan-bakhsh ko yuun khanjar-e-jallaad na kar ru-e-raushan ki kabhi diid mujhe bhi diide rah ke poshida mujhe muztar-o-naashaad na kar tere hi dil kaa agar gosha qafas hai sayyaad phir to hargiz mujhe is qaid se aazaad na kar jab yahaan suntaa nahin teri fughaan koi 'guhar' maslahat jaan khamoshi hi mein fariyaad na kar"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"varaq varaq jo zamaane ke shaahkaar mein thaa vo zindagi kaa sahifa bhi intishaar mein thaa jise main DhunD rahaa thaa navaa-e-bulbul mein vo naghma pairahan-e-gul ke taar taar mein thaa main qatl ho ke zamaane mein sarfaraaz rahaa ki meri jiit kaa pahlu bhi meri haar mein thaa kaleje saare darakhton ke sahme jaate the havaa kaa rukh thaa bhalaa kis ke ikhtiyaar mein thaa vo naa-shanaas-vafaa sej par thaa phulon ki main aashnaa-e-vafaa dasht-e-khaar-khaar mein thaa dayaar-e-ghair mein haasil thiin shohratein mujh ko main ajnabi ki tarah apne hi dayaar mein thaa samajh rahaa thaa main khvaabida khud ko saahil par khuli jab aankh to dariyaa ki tez dhaar mein thaa nigaah vaalon mein us kaa bharam na rah paayaa vo sang thaa magar aainon ki qataar mein thaa mohabbatein thiin mire ikhtiyaar mein lekin mohabbaton kaa sila us ke ikhtiyaar mein thaa chamak rahaa vahi gauhar-e-vafaa ban kar 'guhar' jo ashk miri chashm-e-intizaar mein thaa"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"dard-e-dil ke saath kyaa mere masihaa kar diyaa be-qaraari baDh gai hai jab se achchhaa kar diyaa kyaa ajab thi un ke paakiza tabassum ki kiran qalb ki taarik basti mein ujaalaa kar diyaa jab na un ke raaz-e-vahshat tak pahunch paai nazar hosh vaalon ne junun vaalon ko rusvaa kar diyaa nafraton ki had banaa kar apne mere darmiyaan vo bhi tanhaa rah gae mujh ko bhi tanhaa kar diyaa ab to had se baDh gai thiin apne dil ki uljhanein muskuraa kar aap ne gham kaa mudaavaa kar diyaa har-nafas baad-e-sahar ki tarah maujein le uThaa kyaa kisi ne un ki aamad kaa ishaaraa kar diyaa dekh kar saaqi ki mastaana nigaahi ai 'guhar' zindagi ko ham ne vaqf-e-jaam-o-minaa kar diyaa"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"vaqaar de ke kabhi be-vaqaar mat karnaa hamein khudaa ke liye sharmsaar mat karnaa nikalnaa jab kabhi le kar charaagh basti mein andhere ghar bhi mileinge shumaar mat karnaa usi kaa aaj bhi ham intizaar karte hain jo kah gayaa thaa miraa intizaar mat karnaa ye maanaa aaj zamaana hai bevafaai kaa magar tum aisaa chalan ikhtiyaar mat karnaa safar ke maare hue aasmaan ke panchhi sukun se baiThe hain un kaa shikaar mat karnaa dil iztiraab ki had se guzar gayaa ai dost nayaa ab aur koi mujh pe vaar mat karnaa kahin bikhar ke na rah jaae gham fazaaon mein qabaa-e-ghuncha-e-dil taar-taar mat karnaa miri khataa ko karam ki ridaa uDhaa denaa mujhe zamaane ki nazron mein khvaar mat karnaa jab ikhtilaaf mein sar ko uThaae hon maujein to ai 'guhar' kabhi dariyaa ko paar mat karnaa"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"be-khabar kaise ho rahe ho tum jaagte ho ki so rahe ho tum kis liye mere naakhudaa ban kar meri kashti Dubo rahe ho tum meri qismat ko meT kar khud hi meri qismat pe ro rahe ho tum mujh se meraa hi tazkira kar ke dil mein kaanTe chubho rahe ho tum khuun kar ke miri tamannaa kaa daagh daaman ke dho rahe ho tum meri har baat ki nafi kar ke apni har baat kho rahe ho tum mujh ko badnaam kar ke duniyaa mein khud bhi badnaam ho rahe ho tum ai 'guhar' kyuun khushi ke daaman mein mere gham ko samo rahe ho tum"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"tufaan samundar ke na dariyaa ke bhanvar dekh saahil ki tamannaa hai to maujon kaa safar dekh khushiyon kaa khazina tah-e-daamaan-e-alam hai guzre shab-e-taarik to phir nur-e-sahar dekh uD jaanaa falak tak koi mushkil nahin lekin suraj ke tamaazat se jhulas jaaein na par dekh mearaaj hai mearaaj tire zauq-e-nazar ki har manzar-e-dil-kash yahi kahtaa hai udhar dekh chashme hain na dariyaa na samundar hai na jhilein hai pyaas ki aalam hain saraabon kaa safar dekh Takraaein to sahraaon mein bhi aag lagaa dein poshida rag-e-sang mein hain kitne sharar dekh tu ne to miri samt se munh moD liyaa hai ab hoti hai kis tarah miri umr basar dekh tu apni hifaazat ki duaa maang chukaa hai ab baiTh ke khalvat mein duaaon kaa asar dekh is kaar-gah-e-dahr mein ai rahmat-e-aalam ik main hi nahin sab hain tire dast-e-nigar dekh kyaa tah mein samundar ki 'guhar' DhunD rahaa hai meri sadaf-e-chashm mein ashkon ke 'guhar' dekh"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi
Quote
"main ik musaafir-e-tanhaa miraa safar tanhaa dayaar-e-ghair mein phirtaa huun dar-ba-dar tanhaa mire khilaaf tamaam aandhiyaan zamaane ki main ik charaagh sadaaqat ki raah par tanhaa hai ek bhiiD magar koi bhi rafiq nahin main sochtaa huun ki main bhi huun kis qadar tanhaa na meTe miT sakin tanhaaiyaan muqaddar ki ki rah ke baagh mein bhi hai shajar shajar tanhaa tire bhi siine mein apnon kaa dard jaagegaa dayaar-e-ghair mein koi to shaam kar tanhaa koi to baDh ke ye kahtaa ki rah-ravaan-e-vatan hai kaarvaan-e-mohabbat kaa raahbar tanhaa chaman mein gunje sadaa bhi to kis tarah gunje parinda shaakh pe bolaa to hai magar tanhaa baDe muhib nazar aae haal-o-mustaqbil jab apne maazi ko sochaa hai baiTh kar tanhaa nigaah pukhta hai jis ki vahi kharidegaa hai sang-rezon ke baazaar mein 'guhar' tanhaa"
Guhar KhairabadiGuhar Khairabadi