SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"gul-ezaar aur bhi yuun rakhte hain rang aur namak par mire yaar ke chehre kaa saa Dhang aur namak husn us shokh kaa hai bas ki malih us ki nigaah dil pe karte hain mire kaar-e-khadang aur namak ghuncha-e-gul mein va bulbul mein hui be-mazagi dekh gulshan mein dahan yaar kaa tang aur namak dard-e-hijraan se ba-tang aapi huun naaseh se kaho zakhm par mere na chhiDke ye dabang aur namak sukhan-e-vaaz-o-nasihat dil-e-pur-khun ko 'huzur' yuun hai jyuun shisha-e-mai ke liye sang aur namak"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"jo yuun aap bairun-e-dar jaaeinge khudaa jaane kis kis ke ghar jaaeinge shab-e-hijr mein ek din dekhnaa agar zindagi hai to mar jaaeinge abas ghar se apne nikaale hai tu bhalaa ham tujhe chhoD kar jaaeinge musaafir hain lekin nahin jaante kahaan se ham aae kidhar jaaeinge tamannaa mein bose ki kahtaa hai ji badan se nikal bhi agar jaaeinge tu hai ek-dam aur hazaaron umiid labon pe koi dam Thahar jaaeinge ba-hurmat nibhi ab talak jis tarah huzur itne din bhi guzar jaaeinge"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"mahzun na ho 'huzur' ab aataa hai yaar apnaa kartaa hai fazl tujh par parvardigaar apnaa jab se gayaa vo mah-ru aaghosh se hamaari rahtaa hai jyuun mah-e-nau khaali kanaar apnaa zulf-o-rukh-e-sanam ke gham mein sadaa rahe ham guzraa hamesha yuun hi lail-o-nahaar apnaa ai be-khudi-e-mai tu aa dosh par uThaa le uThtaa nahin mujh se ab bojh-bhaar apnaa mahbub hain jahaan tak nahin aashnaa kasu ke hote nahin hain apne kiije hazaar apnaa kahne se sher ke kuchh haasil nahin magar haan ye hai ki baad apne ho yaadgaar apnaa aazurda kuchh hain shaayad varna 'huzur' mujh se kyuun munh phulaa rahaa hai vo gul-ezaar apnaa"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"aankhon kaa khudaa hi hai ye aansu ki hai gar mauj kashti bache kyunkar jo rahe aaTh pahar mauj ai bahr na tu itnaa umanD chal mire aage ro ro ke Dubaa dungaa kabhi aa gai gar mauj pahunchaa nahin gar teraa qadam taa-lab-e-dariyaa saahil se paTak sar ko hai kyuun khaak-ba-sar mauj gar aalam-e-aab is kaa kamin-gaah nahin hai kyuun taair-e-bismil ki tarah maare hai par mauj uThte nahin saahil ki misaal apne makaan se dariyaa ki tarah maarte hain apne hi ghar mauj kyaa puchhte ho ashk ke dariyaa kaa talaatum jaati hai nazar jis taraf aati hai nazar mauj gar nahin hai 'huzur' us ko havas diid ki us ke kyuun khole habaabon se hai yuun dida-e-tar mauj"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"baad-e-makin makaan kaa gar baam rahaa to kyaa huaa aap hi jab rahe nahin naam rahaa to kyaa huaa chashm se kyaa hai faaeda dil mein na ho jo zauq-e-did shishe mein mai na jab rahe jaam rahaa to kyaa huaa ham se gharib bhi bhalaa mujre ke baaryaab hon izn teraa kabhi kabhi aam rahaa to kyaa huaa ghair-e-vafaa mein pukhta hain yuun hi sahi pa mujh saa bhi ek tiri janaab mein khaam rahaa to kyaa huaa ram to tiraa sabhon se hai ai but-e-man hiran bhalaa apne 'huzur' se kabhi raam rahaa to kyaa huaa"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"aaina hai ye jahaan is mein jamaal apnaa hai surat-e-ghair kahaan hai ye khayaal apnaa hai bas ki hon hech-madaan us pe main kartaa huun ghamanD be-kamaali mein mujhe apni kamaal apnaa hai naala-o-aah hai yaa girya-o-zaari hai yahaan puchhte kyaa ho jo kuchh hijr mein haal apnaa hai taalib ik bose kaa huun dete ho kyaa saaf javaab kuchh bahut bhi nahin thoDaa hi savaal apnaa hai hai buraa yaa bhalaa jo kuchh ki hai teraa hai 'huzur' is ke taiin ghar se mat apne tu nikaal apnaa hai"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"aabru ulfat mein agar chaahiye rakhni sadaa chashm ko tar chaahiye dil to tujhe de hi chuke jaan bhi lijiye haazir hai agar chaahiye yaar mile yaa na mile subh-o-shaam kucha-e-jaanaan mein guzar chaahiye naam bhi nam kaa na rahaa chashm mein ab tu girye lakht-e-jigar chaahiye tir-e-nigah vo hai ki jis tiir ke saamne hone ko jigar chaahiye ab ki bache ji to kisu ke taiin phir na kahein baar-e-digar chaahiye dil bhi javaahar hai va-lekin huzur is ke parakhne ko nazar chaahiye"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"us shokh se kyaa kijiye izhaar-e-tamannaa ye log koi sunte hain guftaar-e-tamannaa ik aarzu sab le gae saath apne jahaan se anjaam kisu se na huaa kaar-e-tamannaa ye khubi-e-qismat ki mile baagh-e-jahaan se sab ko gul-e-umid o hamein khaar-e-tamannaa hasrat se bharaa dil mire pahlu mein nahin hai phirtaa huun baghal mein liye tumaar-e-tamannaa pahlu ko mire baagh kiyaa ishq ne tere zakhmon se miraa dil huaa gulzaar-e-tamannaa murdon se 'huzur' ho na sake minnat-e-dunaa sar jaae par un se na uThe baar-e-tamannaa"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"ye dil hi jalva-gaah hai us khush-khiraam kaa dekhaa to sirf naam hai bait-ul-haraam kaa maa'ni mein lafz ek hai ye rabb-o-raam kaa haasil ye hai ki hai vahi haasil kalaam kaa dekhaa to sab haqiqat-o-maani mein ek hain surat mein garche farq hai aapas mein naam kaa us laa-makaan kaa koi muayyan nahin makaan gar hai to dil Thikaanaa hai us ke maqaam kaa masrur teri mai se ik aalam hai saaqiyaa ummid-vaar main bhi huun do ek jaam kaa aaghaaz-e-ishq mein gayaa dil haath se mire anjaam kyaa ho dekhiye ab mere kaam kaa lete hain chuur karne ko hi sang-dil huzur kyaa hai vagarna shisha-e-dil un ke kaam kaa"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"har shajar ke taiin hotaa hai samar se paivand aah ko kyuun nahin hotaa hai asar se paivand dekhnaa zor hi gaanThaa hai dil-e-yaar se dil sang-o-shishe ko kiyaa hai main hunar se paivand mizha-e-khun-e-dil aaluda pa ye hai qatra-e-ashk yuun hai jyuun shaakh ho marjaan ki guhar se paivand mil rahaa hai tire aariz se khat-e-murcha ye jaise aaine ke jauhar ho jigar se paivand sozish-e-ashk se maalum ye hotaa hai mujhe qatra-e-aab bhi hotaa hai sharar se paivand thaan zarbaft ke hote the jahaan qata 'huzur' jin ki poshaak sadaa hoti thi zar se paivand ab phaTaa jaama gazi kaa nahin gar hai bhi koi tu nikaale ko nikaltaa nahin ghar se paivand"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"yuun to dil har kadaam rakhtaa hai ahl-e-dil honaa kaam rakhtaa hai kab vo tama-e-salaam rakhtaa hai mujh saa laakhon ghulaam rakhtaa hai ishrat-e-do-jahaan hai us ke saath jo suraahi-o-jaam rakhtaa hai hai vahi khaas bazm-e-duniyaa mein jo madaaraa-e-aam rakhtaa hai din-o-duniyaa kaa jo nahin paaband vo faraaghat tamaam rakhtaa hai but-paraston ko kui kahe hai zubun kui musalmaan ko naam rakhtaa hai har koi apni fahm-e-naaqis mein pukhta saudaa-e-khaam rakhtaa hai jo kisu ko buraa kahe na 'huzur' vahi fahm-mand naam rakhtaa hai"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Quote
"ghair aae pichhe paa gae mujre kaa baar pahle ham aah baiThe rah gae aae hazaar pahle main arz-e-haal us se kyuun kar karun mukarrar koi bol bhi sake hai vaan ek baar pahle gar jaante ki aakhir khvaahaan-e-jaan to hogaa dil dete pichhe ji ko karte nisaar pahle jaanaa na thaa pareshaan kar degi tu vagarna ham pech mein bhi aate ai zulf-e-yaar pahle maqtal mein jab vo qaatil tarvaar le ke aayaa kahne lagaa huzur aa le tu hi vaar pahle main sar jhukaa ke aage pahunchaa hai aur kiyaa arz is se bhi kuchh hai behtar haazir huun yaar pahle tab dekh dekh bolaa tarsaa ke maarnaa hai niin maarne kaa tujh ko main zinhaar pahle"
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadi