Quote
"aisaa dikhaa hai ham ko nazaara kai dafa us ne kiyaa hai ham se kinaara kai dafa har baar mushkilon ne sataayaa mujhe magar maan ne diyaa hai mujh ko sahaaraa kai dafa ek baar maar dete to qissa tamaam thaa par us ne mujh ko hijr mein maaraa kai dafa ik baar bhi palaT ke na dekhaa miri taraf chillaa ke ham ne un ko pukaaraa kai dafa ik baar dekhne se kahaan bhar rahaa hai dil un se kaho ki dekhein dobaara kai dafa aansu firaaq dard-e-jigar be-qaraariyaan un ke liye kiye hain gavaaraa kai dafa 'haidar' ki zindagi ko mayassar sahar nahin hone ko ho rahaa hai saveraa kai dafa"







