SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHaqqi Hazeen(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ab is 'aalam mein takmil-e-mazaaq-e-justuju hogi jahaan har gaam par un ki hi surat hu-bahu hogi hamein nazr-e-sitam kar de jo tark-e-aarzu chaahe na ham honge na dil hogaa na teri aarzu hogi nahin kuchh ehtiyaaj-e-lab-kushaai ru-baru un ke mileingi un se nazrein aur baaham guftugu hogi chaman mein fasl-e-gul itni kahaan pur-kaif hoti hai yaqinan un ki raa'naai sharik-e-rang-o-bu hogi nigaah-e-mast-e-saaqi jab uThegi bazm-e-rindaan se na jaane kyaa 'hazin' kaifiyyat-e-jaam-o-subu hogi"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"nigaah ko jo unhein dekhne ki taab nahin yahi hijaab hai un kaa ki ab hijaab nahin vo kaun hai jo halaak-e-sad-iztiraab nahin kharaab tu hi dil-e-khaanumaan-kharaab nahin faraaz-e-daaman-e-hasti pe daagh hai goyaa vo zindagi jo mohabbat mein kaamyaab nahin bas ek baar miri talkh-kaamiyon pe nazar tiri nigaah mein jiinaa agar 'azaab nahin nazaara-soz hai barq-e-jamaal-e-dost magar nigaah-e-shauq ki fitrat mein inqalaab nahin nigaah-e-yaar tiri mastiyaan are tauba ye haal hai ki mujhe haajat-e-sharaab nahin ye ro'b-e-husn ye shaan-e-jamaal kyaa kahnaa vo saamne hain magar dekhne ki taab nahin tiri nigaah ki maa'sum barhami ki qasam tiraa 'itaab ba-andaaza-e-'itaab nahin sukut-e-shab mein khudaayaa ye kis ki yaad aai ki mere dida-e-tar ko majaal-e-khvaab nahin khudi bhi hai miri ham-rang-e-be-khudi yaa'ni vahaan huun main ki jahaan main bhi baaryaab nahin na jaane kyon mujhe is kaa yaqin nahin aataa ki meri zindagi-e-‘ishq kaamyaab nahin kamaal-e-zabt ko vajh-e-sukun-e-dil na samajh ye iztiraab ki had hai ki iztiraab nahin khud apni aag mein jalne kaa lutf kyaa jaane 'hazin' jo soz-e-mohabbat se faizyaab nahin"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"ye dard-e-hijr yahaan tak to saazgaar aae vo khud hi ban ke saraapaa-e-intizaar aae maza to jab hai ki ikhfaa-e-raaz ke baa-vasf miri zabaan pe tiraa naam baar baar aae hayaat-e-'ishq kaa jab jaaeza liyaa ham ne khud apne jurm nigaahon mein be-shumaar aae bajaa hai zauq-e-talab lekin us se kyaa haasil qadam bahakne lagein jab tiraa dayaar aae khudaa se kyaa gila-e-jaur-e-zindagi kijiye guzaarni thi ghaDi do ghaDi guzaar aae vahin vahin se ik aavaaz-e-baazgasht aai jahaan-jahaan tujhe ai dost ham pukaar aae 'ajab nahin unhi raahon ke pech-o-kham mein 'hazin' mujhe talaash hai jis ki vo rahguzaar aae"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"hasratein dabti hain un ke hi ishaare dekh kar rukh badal jaataa hai maujon kaa kinaare dekh kar Dubne vaale ko tinke kaa sahaaraa hai bahut shaam-e-gham raushan nazar aai sitaare dekh kar kyaa kahein kis kis haqiqat ki vazaahat ho gai is nazar ke chand mubham se ishaare dekh kar dil ne jo kuchh thaa sipurd-e-soz-e-ulfat kar diyaa apni jaanib aatish-e-gham ke sharaare dekh kar un ki mahfil un ke jalve un ke altaaf-o-karam aur kyaa dekheingi aankhein ye nazaare dekh kar ham jo kahte the ki duniyaa mein hamein hain gham nasib ro diye apne sivaa kuchh gham ke maare dekh kar apnaa ik TuuTaa sahaaraa yaad aataa hai 'hazin' mukhtalif 'unvaan se duniyaa ke sahaare dekh kar"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"saaz-e-jaan par gham ki jab naghma-zani hoti nahin dil ki dhaDkan tarjumaan-e-zindagi hoti nahin yaa tavajjoh hi nigaah-e-husn ki hoti nahin yaa ye kahiye meri hairat mein kami hoti nahin yuun miraa afsaana-e-gham naa-mukammal rah gayaa jaise takmil-e-mazaaq-e-'aashiqi hoti nahin haan kabhi gham bhi nazar aataa thaa ham-rang-e-khushi ab khushi ke vaqt bhi dil ko khushi hoti nahin haae vo aansu jo dil ki aag bhaDkaate rahe uf vo soz-e-mustaqil jis mein kami hoti nahin dekhnaa ye intihaa-e-vaz'-daari dekhnaa maane'-e-aadaab-e-ulfat be-khudi hoti nahin dil ki betaabi ab is manzil pe le aai mujhe jis jagah haail khudi-o-be-khudi hoti nahin kyon miri laghzish ko naadaani kaa taa'na dijiye 'ishq hotaa hai to ‘aql-o-aagahi hoti nahin jaane kin nazron se dekhaa thaa 'hazin' ko aap ne aaj tak betaabi-e-dil mein kami hoti nahin"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"'ishq mein kaam na aayaa gham-e-pinhaan meraa un se bhi chhup na sakaa haal-e-pareshaan meraa taabish-e-husn hai aur khaana-e-viraan meraa aaj kaam aa hi gayaa zauq-e-faraavaan meraa ai khushaa un ke liye haal-e-pareshaan meraa vo hain aur tazkira-e-chaak-garebaan meraa kaafir-e-'ishq huun main tujh ko khabar kyaa vaa'iz tu ne dekhaa hi nahin haasil-e-imaan meraa dekh kar fart-e-alam mein mujhe maail-ba-sukut chheD detaa hai koi taar-e-rag-e-jaan meraa un se kyaa shikva ki barbaad-e-mohabbat huun main luT gayaa apne hi haathon sar-o-saamaan meraa vo to maail-ba-numaaish the magar un ke huzur aaj tak uTh na sakaa dida-e-hairaan meraa main bhi khuddaar miraa 'ishq bhi khuddaar 'hazin' un ke aage bhi na phailaa kabhi daamaan meraa"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"aahon mein ho taasir ki naalon mein asar ho allaah kisi tarh shab-e-gham ki sahar ho itnaa to ho jumbish mein jo vo parda-e-dar ho jhuk jaae 'aqidat se vo sar ho ki nazar ho ham yaad se un ki kabhi ghaafil na raheinge achchhaa hai jo paiham khalish-e-dard-e-jigar ho kyaa jaaniye kab hone lage pursish-e-ahvaal kyaa jaaniye kis vaqt mukhaatib vo nazar ho kyaa lutf hai mahfil mein hon sab gosh-bar-aavaaz ham jis se karein baat usi ko na khabar ho sach jaan tire gham mein ab aansu na baheinge aaluda-e-‘isyaan ho jo daaman miraa tar ho detaa hai ye dar-parda tasalli si jo koi shaayad ki mire gham ki 'hazin' un ko khabar ho"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"afsurdagi kaa rang numaayaan hansi mein hai yaa'ni ki ek gham ki jhalak bhi khushi mein hai mere junun-e-shauq ki 'azmat na puchhiye un ki khudi ki shaan miri be-khudi mein hai kaa'ba ko dair dair ko kaa'ba samajh liyaa itnaa to hosh rasm-o-rah-e-‘aashiqi mein hai mujh ko sanbhaaltaa hai jo naadida taur par shaamil ye aaj kaun miri bekasi mein hai vaarafta-e-mazaaq-e-khudi ko kahaan nasib vo kaif-e-mustaqil jo miri be-khudi mein hai mahsus kar rahaa huun kuchh aisaa tire baghair jaise ki ik kami si miri zindagi mein hai kyaa kijiyegaa ‘umr-e-abad maang kar 'hazin' jiine kaa lutf zindagi-e-'aarzi mein hai"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"ghabraa ke shaam-e-hijr ki tanhaaiyon se ham bahle na dil ki anjuman-aaraaiyon se ham phir dil ko ‘arz-e-shauq ke qaabil banaa diyaa phir muztarib hain un ki masihaaiyon se ham kuchh dil kaa ehtimaam hai kuchh hai nazar kaa faiz vaaqif hain khuub husn ki raa'naaiyon se ham ab kyaa karein ki zabt ki had se guzar gae khud munfa’il hain shauq ki pinhaaiyon se ham sajde kar ai nigaah ki mahrum ho gae is aastaan pe naasiya-farsaaiyon se ham raa'naai-e-nigaah to dekho ki husn ko begaana kar rahe hain khud-aaraaiyon se ham karni paDeingi 'ishq ki naadaaniyaan qubul tang aa gae hain 'aql ki daanaaiyon se ham jalva-gah-e-majaaz-o-haqiqat ki aaD mein khelaa kiye hain apni hi parchhaaiyon se ham jin mein 'hazin' nazaakat-e-ehsaas hi na ho baaz aae aisi qaafiya-paimaaiyon se ham"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"ab main samjhaa ki fareb-e-shab-e-vaa’da kyaa hai dil dhaDakne ki sadaa hai tiraa aanaa kyaa hai bazm-e-'aalam hai mire husn-e-nazar kaa e'jaaz meri aankhon kaa tasarruf hai ye duniyaa kyaa hai main kahaan aur kahaan baada-o-saaghar se gurez tujh se ik chheD hai saaqi miri tauba kyaa hai tu agar 'arsh ki khalvat ke liye hai mahdud ye tiraa chaandni raaton mein nikharnaa kyaa hai nigah-e-shauq ki jurat pe bigaDne vaale tu hi khud soch ki jalvon kaa taqaazaa kyaa hai un ke jalve hi jo maail-ba-numaaish hon to hon varna main kyaa huun miraa zauq-e-tamaashaa kyaa hai"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"is tarah basar apni kaash zindagi hoti zindagi bajaa-e-khud jaan-e-be-khudi hoti husn ki tajalli kaa mo'tarif huun main lekin mere gham-kade mein bhi kaash raushni hoti meri hi tarah naazuk hissiyaat ke maalik sach bataa mire gham se kyaa tujhe khushi hoti kam se kam kisi had tak dil ki aag bujh jaati kaash meri aankhon mein is qadar nami hoti shauq agar na bhar detaa rang naqsh-e-ulfat mein husn ki adaaon mein kyaa ye dilkashi hoti jo miri nigaahon ki taab laa nahin sakti vo nazar agar uThti jaan-e-zindagi hoti aap agar na le lete daaman-e-hifaazat mein sham’-e-zindagi apni kab ki bujh gai hoti dard ke fasaane mein ikhtisaar laazim thaa yaa'ni chand saanson mein sharh-e-zindagi hoti yaa mujhe vo khud se bhi be-niyaaz kar dete yaa 'hazin' mire bas mein meri zindagi hoti"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"kaarvaan apni raah chalte hain ham tire dar ki khaak malte hain fitne jo us nazar mein palte hain dil ki duniyaa vahi badalte hain yuun jo aankhon se ashk Dhalte hain shaayad armaan-e-dil nikalte hain 'ishq mein ehtiyaat kyaa kiije girne vaale kahin sanbhalte hain khelte the jo un ke daaman se ab vo hasrat se haath malte hain jaan par apni khelne vaale mere naqsh-e-qadam pe chalte hain ab to dil bhi nahin hai pahlu mein ab ye armaan kyon machalte hain gham na kar un ki be-rukhi kaa 'hazin' yuun hi haalaat-e-dil badalte hain"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"dil hai to dil mein dard-e-mohabbat kahaan nahin ye rabt-e-khaas aur ye nisbat kahaan nahin aankhon mein jo basi hai vo surat kahaan nahin vo jaan-e-‘ishq jaan-e-mohabbat kahaan nahin ye aur baat hai ki mire lab khamosh hain varna zabaan pe teri shikaayat kahaan nahin duniyaa hai aur zabt-e-mohabbat ki koshishein ifshaa magar ye raaz-e-haqiqat kahaan nahin taslim raah-e-'ishq ki dushvaariyaan magar tum saath ho to gosha-e-raahat kahaan nahin jaam-e-sharaab saaqi-e-naukhez gulsitaan jannat agar yahi hai to jannat kahaan nahin aage hain mujh se bhi miri rusvaaiyaan 'hazin' is e'tibaar se miri shohrat kahaan nahin"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"azal se go mazaaq-e-ahl-e-duniyaa aur hi kuchh hai haqiqat mein magar jiine kaa manshaa aur hi kuchh hai mohabbat ne sikhaa di hain maaal-andeshiyaan mujh ko mire nazdik mafhum-e-tamanna aur hi kuchh hai jabin-e-shauq paaband-e-ta’ayyun ho nahin sakti mazaaq-e-justuju-e-dair-o-kaa'ba aur hi kuchh hai mohabbat mein dil-e-maayus ko ye kaun samjhaae ki un ki kam-nigaahi kaa taqaazaa aur hi kuchh hai ye mehr-o-maah ki taabaaniyaan dhoka na dein mujh ko miri aankhon mein vo jaan-e-tamaashaa aur hi kuchh hai mujhe go imtiyaaz-e-manzil-e-jaanaan nahin lekin samajhtaa huun ki vajh-e-laghzish-e-paa aur hi kuchh hai 'hazin' minnat-kash-e-jaam-o-subu hone se kyaa haasil kisi ki mast nazron kaa taqaazaa aur hi kuchh hai"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"vaqf-e-nigaah-e-naaz miraa dil na ho sakaa ye aaina bhi un ke muqaabil na ho sakaa aashuftagi-e-'ishq kaa haamil na ho sakaa yaa'ni koi harif-e-gham-e-dil na ho sakaa be-gaangi-e-'ishq kaa 'aalam na puchhiye koi sharik-e-bekasi-e-dil na ho sakaa jis mein ki teri yaad se ghaafil rahaa huun main vo lamha meri ziist mein shaamil na ho sakaa kaanon mein itne paas se aai sadaa-e-dost mujh ko yaqin-e-duri-e-manzil na ho sakaa jab tak junun-e-'ishq ki shorish na miT gai dil un ki bazm-e-naaz ke qaabil na ho sakaa yuun to khushi bhi qabza-e-qudrat mein thi magar gham ke baghair takmila-e-dil na ho sakaa"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen
Quote
"na kah ki 'arz-e-vafaa kaa koi sila na milaa agar mazaaq-e-vafaa bhi milaa to kyaa na milaa kisi ki jurat-e-rindaana kaanp kaanp uThi jab un ki mast nigaahon kaa aasraa na milaa main ab muzaahira-e-zauq-e-naghma kyaa kartaa ki is chaman mein mujhe koi ham-navaa na milaa tire nisaar tire gham ki sozishon ke nisaar mire sukun kaa kyaa hai milaa milaa na milaa ab us ke dil ki tamanna ko koi kyaa jaane jise bahaana-e-izhaar-e-mudda'aa na milaa vo be-khudi-e-mohabbat ki aakhiri had thi jahaan pahunch ke mujhe bhi miraa pataa na chalaa mujhe junun-e-mohabbat ki vaadiyon mein 'hazin' nishaan-e-sajda to kyaa koi naqsh-e-paa na milaa"
Haqqi HazeenHaqqi Hazeen