SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIftikhar Naseem(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"lagegaa ajnabi ab kyon na shahr bhar mujh ko bachaa gayaa hai nazar tu bhi dekh kar mujh ko main ghuum phir ke usi samt aa nikaltaa huun jakaD rahi hai tire ghar ki rahguzar mujh ko jhulas rahaa hai badan zer-e-saaya-e-divaar bulaa rahaa hai koi dasht-e-be-shajar mujh ko main sang-dil huun tujhe bhultaa hi jaataa huun main hans rahaa huun to mil ke udaas kar mujh ko main dekhtaa hi rahungaa tujhe kinaare se tu DhunDhtaa hi rahegaa bhanvar bhanvar mujh ko bani hain tund havaaon ki zard divaarein uDaa rahaa hai magar shoala-e-safar mujh ko banaa diyaa hai niDar ziddi khvaahishon ne 'nasim' khud e'timaad na thaa apne aap par mujh ko"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"ban gayaa hai jism guzre qaafilon ki gard saa kitnaa viraan kar gayaa mujh ko miraa hamdard saa kyaa abhi tak us kaa rasta rokti hai koi soch mere haathon mein hai us kaa haath lekin sard saa is tarah ghul-mil gayaa aa kar nae maahaul mein vo bhi ab lagtaa hai mere ghar kaa hi ik fard saa jazb thaa jaise koi suraj hi us ke jism mein duur se vo sang lagtaa thaa ba-zaahir sard saa aaj tak aankhon mein hai manzar bichhaDne kaa 'nasim' pairahan melaa saa us kaa aur chehraa zard saa"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"mishal-e-ummid thaamo rahnumaa jaisaa bhi hai ab to chalnaa hi paDegaa raastaa jaisaa bhi hai kis liye sar ko jhukaaein ajnabi ke saamne us se ham vaaqif to hain apnaa khudaa jaisaa bhi hai kis ko fursat thi hujum-e-shauq mein jo sochtaa dil ne us ko chun liyaa vo bevafaa jaisaa bhi hai saari duniyaa mein vo mere vaaste bas ek hai phuul saa chehra hai vo yaa chaand saa jaisaa bhi hai fasl-e-gul mein bhi dikhaataa hai khizaan-dida-darakht TuuT kar dene pe aae to ghaTaa jaisaa bhi hai"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"phuul gaalon ko to aankhon ko kanval kahtaa rahaa jang thi baahar gali mein main ghazal kahtaa rahaa mar rahe the rafta rafta mere sab mahsur dost aur main masjid mein rabb-e-lam-yazal kahtaa rahaa shaaeri ki aur nazar-andaaz ki bachchon ki bhuuk chaand ko roTi kaa main nemul-badal kahtaa rahaa aa paDaa dil par mire aakhir miraa kohna vajud roz dastak de ke is ghar se nikal kahtaa rahaa aa gai aakhir mire sar par mire dushman ki fauj main bhi tayyaari karungaa aaj-kal kahtaa rahaa tai na kar paayaa kabhi apnaa tashakhkhus hi 'nasim' aab-e-zamzam ko hamesha gangaa-jal kahtaa rahaa"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"jilaa-vatan huun miraa ghar pukaartaa hai mujhe udaas naam khulaa dar pukaartaa hai mujhe kisi ki chaap musalsal sunaai deti hai safar mein koi baraabar pukaartaa hai mujhe sadaf huun lahrein dar-e-jism khaTkhaTaati hain kanaar-e-aab vo gauhar pukaartaa hai mujhe har ek moD mire paanv se lipaTtaa hai har ek miil kaa patthar pukaartaa hai mujhe phansaa huaa hai mire haath ki lakiron mein miraa humaa-e-mqaddar pukaartaa hai mujhe na jaane kyaa thaa ki main duriyon mein kho aayaa vo apne paas bulaa kar pukaartaa hai mujhe chali hai shaam-e-shafaq-rang baadbaan le kar dabiz shab kaa samundar pukaartaa hai mujhe paron kaa bojh jhaTak kar main uD gayaa huun 'nasim' zamin par miraa paikar pukaartaa hai mujhe"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"kisi ke haq mein sahi faisla huaa to hai miraa nahin vo kisi shakhs kaa huaa to hai yahi bahut hai ki us ne mujhe bhi miss to kiyaa ye lams mujh mein abhi tak rachaa huaa to hai use main khul ke kabhi yaad kar to saktaa huun mujhe khushi hai vo mujh se judaa huaa to hai sukut-e-shab hi sahi meraa ham-safar lekin mire sivaa bhi koi jaagtaa huaa to hai ghuTan ki baDhti chali jaa rahi hai andar ki tamaam khush hain ki mausam khulaa huaa to hai ye aur baat ki main zinda rah gayaa huun 'nasim' har ik sitam miri jaan par ravaa huaa to hai"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"gire hain lafz varaq pe lahu lahu ho kar mahaaz-e-zist se lauTaa huun surakh-ru ho kar usi ki diid ko ab raat din taDapte hain ki jis se baat na ki ham ne du-badu ho kar bujhaa charaagh hai dil kaa vagarna kaise mujhe nazar na aaegaa vo mere chaar su ho kar ham apne aap hi mujrim hain apne munsif bhi khud e'tiraaf karein apne ru-ba-ru ho kar us ek khvaahish-e-dil kaa pataa chalaa na use jo darmiyaan mein rahi sirf guftugu ho kar main sab mein rahte hue kis tarah bhulaaun tujhe har ek shakhs hi miltaa hai mujh ko tu ho kar ab us ke saamne jaate hue bhi Dartaa huun bhulaa diyaa thaa jise mahv-e-justuju ho kar hui na jazb zamin mein to raat ki baarish fazaa mein phail gai khaak rang-o-bu ho kar miTaa jo aankh ke shishon se us kaa aks 'nasim' ragon mein phail gayaa khuun ki aarzu ho kar"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"is qadar bhi to na jazbaat pe qaabu rakkho thak gae ho to mire kaandhe pe baazu rakkho bhulne paae na is dasht ki vahshat dil se shahr ke biich raho baagh mein aahu rakkho khushk ho jaaegi rote hue sahraa ki tarah kuchh bachaa kar bhi to is aankh mein aansu rakkho raushni hogi to aa jaaegaa rah-rav dil kaa us ki yaadon ke diye taaq mein har-su rakkho yaad aaegi tumhaari hi safar mein us ko us ke rumaal mein ik achchhi si khushbu rakkho ab vo mahbub nahin apnaa magar dost to hai us se ye ek taalluq hi bahar-su rakkho"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"khud ko hujum-e-dahr mein khonaa paDaa mujhe jaise the log vaisaa hi honaa paDaa mujhe dushman ko marte dekh ke logon ke saamne dil hans rahaa thaa aankh se ronaa paDaa mujhe kuchh is qadar the phuul zamin par khile hue taaron ko aasmaan mein bonaa paDaa mujhe aisi shikast thi ki kaTi ungliyon ke saath kaanTon kaa ek haar pironaa paDaa mujhe kaari nahin thaa vaar magar ek umr tak aab-e-namak se zakhm ko dhonaa paDaa mujhe aasaan nahin hai likhnaa gham-e-dil ki vaardaat apnaa qalam lahu mein Dubonaa paDaa mujhe itni tavil o sard shab-e-hijr thi 'nasim' kitni hi baar jaagnaa sonaa paDaa mujhe"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"teri aankhon ki chamak bas aur ik pal hai abhi dekh le is chaand ko kuchh duur baadal hai abhi aankh to khud ko nae chehron mein kho kar rah gai dil magar us shakhs ke jaane se bojhal hai abhi ab talak chehre pe hain tufaan guzarne ke nishaan tah mein patthar jaa chukaa paani pe halchal hai abhi tu to un kaa bhi gila kartaa hai jo tere na the tu ne dekhaa hi nahin kuchh bhi tu paagal hai abhi kar gayaa suraj mujhe tanhaa kahaan laa kar 'nasim' kyaa karun main raaste mein shab kaa jangal hai abhi"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"haath haathon mein na de baat hi kartaa jaae hai bahut lambaa safar yuun to na Dartaa jaae ji mein Thaani hai ki jiinaa hai bahar-haal mujhe jis ko marnaa hai vo chup-chaap hi martaa jaae khud ko mazbut banaa rakkhe pahaaDon ki tarah ret kaa aadmi andar se bikhartaa jaae surkh phulon kaa nahin zard udaasi kaa sahi rang kuchh to miri tasvir mein bhartaa jaae mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare kab main kahtaa huun mujhe pyaar hi kartaa jaae ghar ki divaar ko itnaa bhi tu unchaa na banaa teraa ham-saaya tire saae se Dartaa jaae"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"shaam se tanhaa khaDaa huun yaas kaa paikar huun main ajnabi huun aur fasil-e-shahr se baahar huun main tu to aayaa hai yahaan par qahqahon ke vaaste dekhne vaale baDaa ghamgin saa manzar huun main main bachaa lungaa tujhe duniyaa ke sard-o-garm se Dhaanp le mujh se badan apnaa tiri chaadar huun main ab to milte hain havaa se bhi dar-o-divaar-e-jism baasiyo mujh se nikal jaao shikasta-ghar huun main main tumhein uDte hue dekhungaa mere saathiyo main tumhaaraa saath kaise duun shikasta-par huun main mere hone kaa pata le lo dar-o-divaar se kah rahaa hai ghar kaa sannaaTaa abhi andar huun main kaun degaa ab yahaan se teri dastak kaa javaab kis liye mujh ko sadaa detaa hai khaali ghar huun main"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem
Quote
"haath lahraataa rahaa vo baiTh kar khiDki ke saath main akelaa duur tak bhaagaa gayaa gaaDi ke saath ho gayaa hai ye makaan khaali sadaaon se magar zehn ab tak gunjtaa hai rail ki siiTi ke saath muddatein jis ko lagi thiin mere paas aate hue ho gayaa mujh se judaa vo kis qadar tezi ke saath koi baadal mere tapte jism par barsaa nahin jal rahaa huun jaane kab se jism ki garmi ke saath niind katraa ke guzar jaati hai aankhon se 'nasim' jaagtaa rahtaa huun ab main shab ki viraani ke saath"
Iftikhar NaseemIftikhar Naseem