Quote
"TukDe TukDe miraa daamaan-e-shakebaai hai kis qadar sabr-shikan aap ki angDaai hai dil ne jazbaat-e-mohabbat se ziyaa paai hai meri tanhaai bhi ik anjuman-aaraai hai ab jafaa se bhi gurezaan hain vo allaah allaah dekhiye kyaa miraa anjaam-e-shakebaai hai bijliyaan mere qafas par na kahin TuuT paDein kyuun sabaa khaak nasheman ki yahaan laai hai bas vahi bahr-e-mohabbat kaa shanaavar niklaa jis ne tufaan se ulajhne ki qasam khaai hai shauq se aap zamaane ko navaazein lekin kyaa koi meri tarah aap kaa shaidaai hai kaun hamdard zamaane mein hai 'iqbaal' magar un ki ik yaad faqat monis-e-tanhaai hai"
I
Iqbal Husain Rizvi Iqbal






