SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIqraar Mustafa(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kahaan the aise ki ab jaise khadd-o-khaal hue ba-rang-e-sabza-e-tar the ki paaemaal hue ghurur-e-mehr kaa uqda khulaa kahaan jaa kar hamaare jism ki jab aaina-misaal hue misaal-e-shabnam-e-aavaara hi baras ki badan havaa-e-gard-e-talab se bahut niDhaal hue dilon mein aaj bhi naqsh-o-nigaar zinda hain vo jin ko bichhDe hue ham se kitne saal hue vo umr ham ne khayaalon ko khvaab mein Dhaalaa vo umr guzri to vo khvaab phir khayaal hue tumhaare baare mein ham se hamesha puchhaa gayaa hamaare baare mein tum se kabhi savaal hue khushi se paalte hain apni aastin mein saanp khushaa ki hazrat-e-'iqraar' baa-kamaal hue"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa
Quote
"baraa-e-naam-o-nasab go nahin hunar meraa banaa huaa hai magar marhala safar meraa mire rafiq main muddat kaa luT gayaa hotaa khudaa kaa shukr ki khaali paDaa thaa ghar meraa main un se shikva karun bhi to kis tarah aakhir ki ab to un pe bhi hotaa nahin asar meraa havaa ne zor to apnaa lagaa liyaa lekin bujhaa na paai charaagh-e-fan-o-hunar meraa main un ke naam ki nisbat se jaanaa jaataa huun yahi to ek havaala hai mo'atabar meraa vo jis ko kahti hai 'iqraar-mustafaa’ duniyaa vahi huun main ye taaaruf hai mukhtasar meraa"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa
Quote
"vidaaa-e-shaam bhi tanvir ho rahi thi kahin so apni khaak bhi iksir ho rahi thi kahin koi ki niind se bedaar ho rahaa thaa kahin kisi ke khvaab ki taabir ho rahi thi kahin kahin pe jaldi se takhliq ho rahaa thaa jahaan kahin pe surat-e-taakhir ho rahi thi kahin fanaa baqaa pe kahin rakh rahe the log use aur us ke husn ki tafsir ho rahi thi kahin yahaan pe nim-shabi ne paDaav Daal liyaa vahaan pe subh ki taqdir ho rahi thi kahin hamaare hone se 'iqraar' muddaton pahle hamaare hone ki tadbir ho rahi thi kahin"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa
Quote
"vo jo dariyaa ko kisi roz nazar aate the mauj tham jaati thi paani mein bhanvar aate the shaakh-dar-shaakh jahaan hijr khulaa rahtaa thaa zakhm-dar-zakhm usi rah mein shajar aate the ruup bahrup mein Dhalte hue din-bhar saae sahn-e-tanhaai mein har shaam utar aate the koi manzil sar-e-manzil se bichhaD jaati thi faasle roz nae le ke safar aate the kaun idraak ki sarhad se guzarne vaale haan vahi jo ki ba-andaaz-e-digar aate the lams-e-jaan-bakhsh kaa eajaaz nahin to kyaa thaa phuul khilte the darakhton pe samar aate the kitne inkaar maayyat mein rahaa karte the haan miri samt vo 'iqraar' agar aate the"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa
Quote
"sar-burida koi lashkar nahin dekhaa jaataa ham se ye zulm kaa manzar nahin dekhaa jaataa apni aankhon ko yahi kah ke sulaa detaa huun apni auqaat se baDh kar nahin dekhaa jaataa apne kaandhon pe uThaa lete hain laasha apnaa bojh apnaa kisi sar par nahin dekhaa jaataa dekhne ko to use baar nahin hai mujh ko baat ye hai ki baraabar nahin dekhaa jaataa lauTnaa ho to un aankhon se kinaaraa kar lo Dubnaa ho to samundar nahin dekhaa jaataa aaina huun na churaa mujh se tu nazrein apni dekh aaine se baahar nahin dekhaa jaataa ham bure hain to koi baat nahin hai 'iqraar' un se to koi sukhan-var nahin dekhaa jaataa"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa
Quote
"jab talak zikr aap kaa na kiyaa ham ne khud se bhi raabta na kiyaa TuuT jaane ke khauf se ham ne aaine kaa bhi saamnaa na kiyaa ik qayaamat bapaa rahi dil mein lekin un se koi gila na kiyaa hijr-naame pe dastakhat to kiye aur bichhaDne kaa faisla na kiyaa bol sakte the ham bhi lekin ham chup rahe un ko be-mazaa na kiyaa us taraf khaamushi kuchh aisi thi ham ne izhaar-e-muddaaa na kiyaa kam hi daamon kahin se mil jaataa khud hi dil kaa kabhi pataa na kiyaa kaise 'iqraar' hain sukhan-var vo harf ko surat-e-diyaa na kiyaa"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa
Quote
"jamaal-e-yaar ke dam se ye moajiza huaa thaa har ek samt thi raushan diyaa bujhaa huaa thaa vo yaani jismon mein ruhon ke muntaqil ki ghaDi hamaare vaaste hairat kaa dar khulaa huaa thaa kahaan the ahl-e-khirad us ghaDi bataaein mujhe jab aasmaan zamin ke liye jhukaa huaa thaa barahna khvaahishein jismon pe oDh kar ham log samajhte the ki muqaddar mein ye likhaa huaa thaa zaruraton ne muqayyad hi kar liyaa varna huzur-e-ishq mein sar main ne kham kiyaa huaa thaa miraa mizaaj to sailaab ki tarah thaa magar ye aur baat tire saamne rukaa huaa thaa tujhe khabar nahin tere libaas mein 'iqraar' ghurur-e-zaat kaa paivand bhi lagaa huaa thaa"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa
Quote
"logon ne to samjhaa ki sahaaron pe khaDi hai is shaakh-e-samar-daar pe saaat ye kaDi hai ai karb-e-musalsal tu faqat itnaa bataa de saanson ki chubhan hai ki tu ashkon ki laDi hai jaane kaa iraada vo kiye baiThe hain ai dil ab chhoD dhDaknaa ye qayaamat ki ghaDi hai chhoDaa thaa jo ghar tum ne kabhi aa ke to dekho har chiiz vahaan aaj bhi vaise hi paDi hai ham hijr ke maaron se bhalaa kaise haTegi mushkil ki to divaar pe divaar khaDi hai 'iqraar' vo zinda hai magar mujh se bichhaD kar saanson ki chubhan us ki bhi nas-nas mein gaDi hai"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa
Quote
"har ghaDi aafiyat har ghaDi shukriya haasil-e-zindagi aagahi shukriya mujh ko mar kar bhi ik zindagi mil gai doston ko du'aa shaa'iri shukriya ghar ki divaar baatein samajhne lagi ab zarurat nahin aap ki shukriya fikr-e-duniyaa-o-din ab na uljhaa mujhe aakhiri darguzar aakhiri shukriya dar muqaffal hue chilmanein gir gaiin ek khiDki khuli rah gai shukriya ho chalaa hai yaqin gulsitaan hai miraa phuul khushbu sabaa chaandni shukriya DhunD laayaa huun 'iqraar' paataal se ek qaus-e-quzah raushni shukriya"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa
Quote
"badlaa mizaaj main ne jo apnaa havaa ke saath dariyaa thaa mere saath kinaaraa havaa ke saath phir yuun huaa ki khvaab-saraa mein havaa chali phir yuun huaa ki uD gayaa sapnaa havaa ke saath main bujh gayaa huun aap ki sirf ek phunk se sadiyon laDaa huun varna main tanhaa havaa ke saath duniyaa se ikhtilaaf hai is baat par mujhe jis samt ki havaa chale duniyaa havaa ke saath tere badan ko chhu ke guzarti hai kis liye bas is pe ikhtilaaf hai meraa havaa ke saath manzil khulus ki na mujhe aaj tak mili is raaste pe kaash na chaltaa havaa ke saath 'iqraar' kyaa kahun ki vo khushbu saa ek shakhs chaaron taraf vo aur bhi mahkaa havaa ke saath"
Iqraar MustafaIqraar Mustafa