Quote
"hamaare zehn pe taari hai bebasi ab tak ki puuri ho nahin paai tiri kami ab tak tumhaare baad mire zakhm bharnaa duur ki baat tumhaare baad udaasi nahin gai ab tak bahut puraanaa taalluq ye un parindon se magar main samjhi nahin un ki dosti ab tak kisi ke saath ne jiine kaa hausla bakhshaa isi liye main na kar paai khud-kushi ab tak tumhaare baad kahin aur dil lagaanaa thaa tumhaare baad ye mohlat nahin mili ab tak tumhaare baad ujaale se ho gai thi chiDh hamaari aankh ko roti hai raushni ab tak ham aise log jo andar se mar chuke kab ke hamaari laash hi dharti pe hai dhari ab tak"
I
Iqra Afiya






