SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIshrat Safipuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"rafta-rafta gham se dil ko rabt paidaa ho gayaa sahte sahte sakhtiyaan patthar kalejaa ho gayaa ek hi hichki mein saaraa khatm qissa ho gayaa aaj bimaar-e-mohabbat kaa mudaavaa ho gayaa ghair ke mazkur par takraar-o-hujjat baDh gai baaton hi baaton mein un se aaj jhagDaa ho gayaa hijr ki ye raat yaa-rab kis tarah hogi basar shaam hi se ghar mein mere hashr barpaa ho gayaa kaam sidhe-pan se ulfat mein koi chaltaa nahin aa gae jab ham kaji par charkh sidhaa ho gayaa dasht thaa sunsaan bilkul qais ke marne ke baad dam se vahshi ke tire aabaad sahraa ho gayaa ho gae mujh se mukhaatab haal-e-dil sunte rahe meri surat par unhein dushman kaa dhokaa ho gayaa ye shab-e-hijraan ki taariki kaa hai ab tak asar roz-e-raushan mein mire ghar mein andheraa ho gayaa chain tujh ko bhi na haasil ho kabhi kambakht dil teri betaabi se main ulfat mein rusvaa ho gayaa ye haqiqat hai use haasil hui mearaaj-e-ishq yaar ke naqsh-e-qadam par jis kaa sajda ho gayaa ishq ke aazaar paiham main ne jhele is qadar ek ibrat kaa muraqqaa main saraapaa ho gayaa hamdamo kaise bataaein lazzat-e-zakhm-e-darun ban gayaa naasur vo jo zakhm achchhaa ho gayaa hijr ki taarik shab us par balaaon kaa hujum kyaa bataaein raat ko is ghar mein kyaa kyaa ho gayaa un ki paDnaa thi nazar pahlu se dil jaataa rahaa dam-zadan mein saaneha ye ruh-farsaa ho gayaa aa paDi hai is tarah ki ham-nashin uftaad-e-ishq zindagi kaa zikr kyaa dushvaar marnaa ho gayaa gham ghalat karte hain 'ishrat' is tarah se hijr mein ro liye kuchh der dil kaa bojh halkaa ho gayaa"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"aavaargaan-e-ishq ko is ki khabar kahaan hoti hai un ko shaam kahaan aur sahar kahaan aaya abhi hai ashkon mein khun-e-jigar kahaan puuri hui muraad tiri chashm-e-tar kahaan kaaba kahaan hai dair kahaan ye khabar kahaan le jaae mujh ko dekhiye ab raahbar kahaan anjaam-e-ishq par hai hamaari nazar kahaan laale paDeinge jaan ke ye thi khabar kahaan sajde ki jaa hain dair-o-haram aastaan-e-yaar ab itnaa dekhnaa hai ki jhuktaa hai sar kahaan aaegi lauT kar shab-e-ishrat na phir kabhi ye lutf raat-bhar kaa hai vaqt-e-sahar kahaan saaqi tahi na jaam de behosh main nahin piine ko main ne pi hai magar is qadar kahaan hairat se dekhtaa huun haram ko main baar baar laai tiri talaash mujhe khinch kar kahaan kaahe ko aap aae the rindon mein shaikh ji ab be-piye janaab yahaan hai mafar kahaan ai gham-nasib dil tujhe taskin kyaa main duun ye raat hai firaaq ki is ki sahar kahaan khaana-kharaab ho gae ulfat mein jin ki ham ab puchhte vahi hain tumhaaraa hai ghar kahaan bahlaae tujh ko kaun mire be-qaraar dil rahtaa huun apne hosh mein do do pahar kahaan paas-e-adab se tum se kahun kyaa main ai kalim behosh aise hote hain ahl-e-nazar kahaan main to har ek shart mohabbat ki maan luun qaaem raheinge aap kisi baat par kahaan kahiye vo vaqt kyaa huaa Dhalne lagi hai dhuup ab vo shabaab-o-husn ki hai dopahar kahaan vaaiz hai do ghaDi kaa faqat shaghl-e-mai-kashi milti hai mujh ko piine ko aaThon pahar kahaan dil bhi hai zad pe aur jigar bhi hai saamne paDte hain aa ke dekhiye tir-e-nazar kahaan baaqi nigaah-e-yaar ne rakkhaa hai kyaa yahaan dhundle se kuchh nishaan hain qalb-o-jigar kahaan rukhsat shabaab kyaa huaa aandhi utar gai vo josh vo kharosh vo ab shor-o-shar kahaan soz-e-darun kaa haal main kaise bayaan karun mere bajaa havaas hain ai chaaraagar kahaan taqdir ke sivaa ise sayyaad kyaa kahein kholi kahaan thi aankh rahe umr-bhar kahaan muddat hui hai tuur pe chhaai hai khaamushi jalve vo ab kahaan hain vo ahl-e-nazar kahaan ye dair ye haram hai ye hai aastaan-e-yaar ai dil hai kyaa salaah jhukaaun main sar kahaan din mein hai dilkashi na maza koi raat mein 'ishrat' vo ab shabaab ke shaam-o-sahar kahaan"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"khatm hoti hai kahaan gardish-e-ayyaam abhi zulm sahnaa hain bahut se dil-e-naakaam abhi naa-mukammal hai mohabbat mein har ik kaam abhi DhunDhtaa hai dil-e-mahjur tu anjaam abhi bul-havas ishq saraasar hai tiraa khaam abhi dil mein baaqi hai tire khvaahish-e-aaraam abhi ham-safiraan-e-chaman rahnaa khabar-daar zaraa aaya gulshan mein hai sayyaad liye daam abhi khul gai aankh miri khvaab se kyaa zulm huaa meri aaghosh mein thaa koi dil-aaraam abhi ek do jaam se seri nahin hoti saaqi chaahte piinaa hain ji-bhar ke mai-aashaam abhi ye sazaa us ki hai bad-khu se mohabbat kyon ki jhiDkiyaan kaisi vo deinge mujhe dushnaam abhi mujh ko rahte hue kaabe mein zamaana guzraa dil mein baaqi hai mire ulfat-e-asnaam abhi dekhiye hoti hai tai ishq ki manzil kaise sakht dushvaar hai is raah mein har gaam abhi jurm aisaa hi kiyaa hai ki mohabbat ki hai dekhiye lagte hain kyaa kyaa nae ilzaam abhi kaun saa zikr thaa kyaa baat thi main bhi to sunun kis gharaz se liyaa jaataa thaa miraa naam abhi de diyaa dil unhein ab aage jo taqdir dikhaae kaun jhagDe mein paDe soch ke anjaam abhi uTh paDaa raat se kambakht sitam Dhaane ko ai moazzin hai azaan kaa kahaan hangaam abhi ab to din khatm huaa hai dil-e-betaab sanbhal vaqt aane kaa hai ye kaun sar-e-shaam abhi itni himmat to ho koi ho pilaane vaalaa vo balaa-nosh huun pi jaaun main sau jaam abhi vo bhi din duur nahin hain jo salaamat aghyaar gaaliyaan deinge vo le le ke miraa naam abhi chaahte vo hain ki izhaar ta'alluq kaa na ho khat bhi aaya hai kabhi un kaa to gumnaam abhi der se piite hain aghyaar baraabar saaqi saamne mere nahin aaya hai ik jaam abhi ik nazar paDte hi jaate rahe sab hosh-o-havaas jalva-afroz thaa ye kaun lab-e-baam abhi chain se but mujhe kaabe mein na rahne deinge dair se roz chale aate hain paighaam abhi kaargar vasl ki tadbir na hogi koi phir bhi karnaa hai mujhe koshish-e-naakaam abhi dekhiye jhuktaa hai dil dair-o-haram mein kis jaa hai mire pesh-e-nazar kufr abhi islaam abhi laa sake taab na the tuur pe jis ki muusaa jalva dekhaa hai vahi main ne lab-e-baam abhi dil-e-gum-gashta kaa kuchh zikr na karnaa hamdam hasraton mein miri paD jaaegaa kohraam abhi hashr ke shor se ji-bhar ke na sone paae mil chalaa thaa hamein turbat mein kuchh aaraam abhi jald se jald ilaahi shab-e-vaada aae chaahtaa dil hai ye din hi se ki ho shaam abhi kuchh bhi 'ishrat' nahin anjaam-e-mohabbat ki khabar kaTte hain aah-o-fughaan mein sahar-o-shaam abhi"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"khafaa sayyaad barham baaghbaan maalum hotaa hai bahut jald ab to chhuTte gulistaan maalum hotaa hai sharik-e-ranj-o-gham dard-e-nihaan maalum hotaa hai mohabbat mein yahi raahat-rasaan maalum hotaa hai koi mehr-o-vafaa kaa naam tak bhi ab nahin letaa ajab badlaa huaa rang-e-jahaan maalum hotaa hai maze mein umr kaTti hai koi shar hai na fitna hai hamein to mai-kada daar-ul-amaan maalum hotaa hai tamanna hasrat-o-armaan jaise ho gae rukhsat dil-e-naakaam ik viraan makaan maalum hotaa hai kaleja khinch ke aa jaaegaa ik din dekhnaa baahar yahi anjaam-e-fariyaad-o-fughaan maalum hotaa hai samajh mein kuchh nahin aataa hai kyaa mafhum hai is kaa muamma ek qaasid kaa bayaan maalum hotaa hai muhayyaa kaise kaise aish ke ishrat ke saamaan hain ye mai-khaana to ab jannat-nishaan maalum hotaa hai kahaan kaa vaasta rasm-e-mohabbat dosti kaisi hamaaraa zikr tak un ko giraan maalum hotaa hai tumhaari hazrat-e-vaaiz dil-aazaari na jaaegi ye zohd-o-ittiqaa sab raaegaan maalum hotaa hai asar ulTaa hi hotaa hai har ik tadbir-o-darmaan kaa har ik zarra yahaan izaa-rasaan maalum hotaa hai qarina to bataataa hai yahi hai kucha-e-qaatil har ik zarra yahaan izaa-rasaan maalum hotaa hai mohabbat mein hazaaron marhale dushvaar jhele hain hamein ik khel jaur-e-aasmaan maalum hotaa hai hui hai kyaa inaayat barq ki mere nasheman par chaman se aaj kuchh uThtaa dhuaan maalum hotaa hai kabhi bhule se ab dil mein tasavvur tak nahin aataa khayaal un kaa bhi mujh se bad-gumaan maalum hotaa hai asiri mein chaman ki yaad se taskin hoti hai tasavvur mein qafas bhi gulsitaan maalum hotaa hai sahe ranj-o-alam itne tabiat ho gai khugar hamein ab gham nishaat-e-jaavedaan maalum hotaa hai pataa to aur kuchh miltaa nahin hai dil kaa pahlu mein magar haan ek dhundlaa saa nishaan maalum hotaa hai khayaal-e-khaam hai ai dil natija kuchh na niklegaa visaal-e-yaar ik vahm-o-gumaan maalum hotaa hai khudaa hi laaj rakkhe aabru rah jaae ulfat mein bahut hi sakht ham ko imtihaan maalum hotaa hai gham-e-jaanaan ne aa kar dil pe qabza kar liyaa apnaa bahut hi be-takalluf mehmaan maalum hotaa hai khudaa jaane javaab-e-khat mein kyaa likh kar ke aaya hai ba-zaahir naama-bar to shaadmaan maalum hotaa hai tariq-e-ishq mein sab diqqatein dil ki badaulat hain yahi is raah mein sang-e-giraan maalum hotaa hai ye sabr-o-zabt ye himmat dil-e-mahjur kyaa kahnaa musibat mein bhi har dam shaadmaan maalum hotaa hai bharosaa kis pe ho 'ishrat' shikaayat ham karein kis ki hamein dil bhi sharik-e-dushmanaan maalum hotaa hai"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"din huaa khatm vaqt-e-shaam aaya hijr mein maut kaa payaam aaya har ghaDi lab pe un kaa naam aaya bekasi mein yahi to kaam aaya hai mohabbat mein raazdaari shart lab tak un kaa kabhi na naam aaya shab ko vaada hai un ke aane kaa kis musibat se vaqt-e-shaam aaya gham nahin dil jo mil gayaa un se na sahi mere un ke kaam aaya sunne vaalaa bayaan hai vaaiz kaa main abhi pi ke ek jaam aaya kyaa mohabbat mein ghair kaa shikva dil jo apnaa thaa kab vo kaam aaya khum ke khum ghair kar gae khaali mere hisse mein ek jaam aaya harf-e-matlab na thaa kahin marqum khat bhi un kaa baraae-naam aaya khuub piite pilaate ai zaahid zohd-o-taqvaa bhi koi kaam aaya ek haalat se hijr mein guzri farq koi na subh-o-shaam aaya kis bayaabaan mein laai hai vahshat ai junun kaun ye maqaam aaya ab ye aalam hai naa-tavaani kaa lab pe naala bhi naa-tamaam aaya be-nishaan ho gai miri turbat is taraf kaun khush-khiraam aaya ibtidaa thi vo ishq-o-ulfat ki dil saa hamdard jis mein kaam aaya sharh-e-gham kar sakaa na mahshar mein sab ke aakhir mein meraa naam aaya chheD thi ye bhi aap ke khat mein ghair kaa jo likhaa salaam aaya rahne deinge na but haram mein mujhe dair se aaj phir payaam aaya dil se ummid thi hamein kyaa kyaa vo bhi 'ishrat' unhin ke kaam aaya"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"mukhtasar ye hai haqiqat ishq ke aazaar ki umr-bhar timaar-daari ki dil-e-bimaar ki chain lene de dil-e-muztar kisi dam bahr-e-shaghl tu ne o kam-bakht ab to zindagi dushvaar ki hijr ki shab sochtaa huun main kahaan huun kaun huun dekhtaa huun ghaur se surat dar-o-divaar ki ab to ji ghabraa gayaa hur-o-jinaan ke zikr se hazrat-e-vaaiz bhalaa had hai koi tumaar ki aah-o-zaari ki kabhi akhtar-shumaari ki kabhi kis musibat se kaTi hai raat hijr-e-yaar ki khuub soche hazrat-e-vaaiz jo chupke pi gae laaj rakh li aap ne jo jubba-o-dastaar ki gham nahin kuchh bah gayaa aankhon se gar khun-e-jigar ho gai puuri khushi to dida-e-khun-baar ki aaj kyaa samjhaa hai saaqi ne jo mai detaa nahin main ne tauba is se pahle bhi to laakhon baar ki ai asiraan-e-qafas kyaa aaeinge aise bhi dil phir kabhi dekheinge surat ham gul-o-gulzaar ki ab to vo har baat par kar dete hain fauran nahin paD gai hai aisi kuchh aadat unhein inkaar ki aaj kuchh barham the vo bhi aur ham bhi the bhare baaton hi baaton mein naubat aa gai takraar ki de chuki jab nazaa ki haalat mein goyaai javaab puchhne baiThe hain khvaahish aah ab bimaar ki har qadam par aablon se ik nai taklif hai kis tarah tai hogi manzil vaadi-e-pur-khaar ki ho saki 'ishrat' na koshish aah koi kaamyaab har ghaDi karte rahe tadbir vasl-e-yaar ki"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"fasl-e-gul aai ajab rang hai maikhaane kaa husn dekhe koi ab shishe kaa paimaane kaa naaseho farz adaa ho chukaa samjhaane kaa chheDnaa Thiik nahin har ghaDi divaane kaa kaun uftaada paDi ai dil-e-betaab nai kuchh to maalum ho baais tire ghabraane kaa justuju ne tiri ik jaa kahin rahne na diyaa mujh ko kaabe hi kaa rakkhaa na sanam-khaane kaa khaana-e-dil ko gham-e-yaar ne aabaad kiyaa kaun pursaan thaa is ujDe hue kaashaane kaa dil ko ho jaataa hai baavar ki vo sach kahte hain aisaa andaaz hai kuchh un ke qasam khaane kaa chupke pi lete hain inkaar nahin karte hain shaikh ji suniye adab hai yahi maikhaane kaa kyaa mazedaar thi ulfat ki kahaani meri sunne vaalaa na milaa koi is afsaane kaa manzil-e-ishq ye hai khuub samajh le ai dil aasraa hai yahaan apne kaa na begaane kaa fikr laahaq hai dam-e-marg ye vahshi ko tire jaa-nashin kis ko kiyaa jaaegaa viraane kaa taazgi ruuh mein chehre pe bashaashat aai vaah kyaa kahnaa chhalakte hue paimaane kaa roz raushan huaa duniyaa mein ujaalaa phailaa rang badlaa na magar mere siyah-khaane kaa laag ki aag hi kambakht buri hoti hai ek anjaam huaa shama kaa parvaane kaa josh vo baada-e-gulgun kaa vo qulqul ki sadaa lab tak aanaa vo chhalakte hue paimaane kaa un ki tasvir-e-junun-khez kaa kuchh zikr nahin naam badnaam zamaane mein hai divaane kaa subh tak jal chuke jaanbaaz-e-mohabbat donon shama ko roein ki maatam karein parvaane kaa umr itni to kaTi baada-kashi mein 'ishrat' ab kahaan jaaeinge dar chhoD ke maikhaane kaa"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"bigaD rahe hain hansi lab pe aai jaati hai adaa bhi aisi ki dil mein samaai jaati hai baDhaa ke rasm-e-mohabbat ghaTaai jaati hai khataa hamaari hi ye bhi bataai jaati hai nigaah-e-naaz ki taasir uf maaaz-allaah utar ke aankh se dil mein samaai jaati hai ye bahr-e-ishq mein kaise kinaare pahunchegi abhi se kashti-e-dil Dagmagaai jaati hai guzishta raat ke sadme abhi na bhule the sitam hai shaam-e-musibat phir aai jaati hai ye sach hai zid hai mohabbat ko raazdaari se ayaan ye hoti hai jitni chhupaai jaati hai chalaa hai kucha-e-qaatil mein kyaa samajh kar dil ye apne haathon se shaamat bulaai jaati hai qarib aaya hai shaayad bahaar kaa mausam ye baat kyaa hai jo vahshat samaai jaati hai kahaan vo lutf-o-mohabbat kahaan ye haalat hai har ek baat pe tyori chaDhaai jaati hai majaal kyaa hai jo mai-kash koi bahak jaae ba-qadr-e-zarf har ik ko pilaai jaati hai qafas ke saamne hotaa hai zikr gulshan kaa khabar bahaar ki ham ko sunaai jaati hai koi fareb hai dhoka hai chaal hai ye bhi jo ham se rasm-e-mohabbat baDhaai jaati hai sitam-zarifi to dekho ki saath vaade ke qasam bhi jhuTi mire sar ki khaai jaati hai ilaahi khair ho mashq-e-khiraam hoti hai qadam qadam pe qayaamat uThaai jaati hai khafaa vo baiThe hain aghyaar us pe bharte hain ye aag aur lagi mein lagaai jaati hai na puchho bazm mein 'ishrat' se aarzu kyaa hai ye baat kaan mein chupke bataai jaati hai"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"din huaa khatm vaqt-e-shaam aaya hijr mein maut kaa payaam aaya har ghaDi lab pe un kaa naam aaya bekasi mein yahi to kaam aaya hai mohabbat mein raazdaari shart lab tak un kaa kabhi na naam aaya shab ko vaada hai un ke aane kaa kis musibat se vaqt-e-shaam aaya gham nahin dil jo mil gayaa un se na sahi mere un ke kaam aaya sunne vaalaa bayaan hai vaaiz kaa main abhi pi ke ek jaam aaya kyaa mohabbat mein ghair kaa shikva dil jo apnaa thaa kab vo kaam aaya vasl kaa zikr sunte hi bole phir zabaan par vahi kalaam aaya khum ke khum ghair kar gae khaali mere hisse mein ek jaam aaya harf-e-matlab na thaa kahin marqum khat bhi un kaa baraae naam aaya khuub piite pilaate ai zaahid zohd-o-taqvaa bhi koi kaam aaya ek haalat se hijr mein guzri farq koi na subh-o-shaam aaya kis bayaabaan mein laai hai vahshat ai junun kaun ye maqaam aaya ab ye aalam hai naa-tavaani kaa lab pe naala bhi naa-tamaam aaya be-nishaan ho gai miri turbat is tarah kaun khush-khiraam aaya ibtidaa thi vo ishq-o-ulfat ki dil saa hamdard jis mein kaam aaya sharh-e-gham kar sakaa na mahshar mein sab ke aakhir mein meraa naam aaya chheD thi ye bhi aap ke khat mein ghair kaa jo likhaa salaam aaya rahne deinge na but haram mein mujhe dair se aaj phir payaam aaya dil se ummid thi hamein kyaa kyaa vo bhi 'ishrat' unhin ke kaam aaya"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"majruh hai dil siine mein sad-chaak jigar bhi kuchh kam nahin qaatil tiraa andaaz-e-nazar bhi aate hue Darte hain siyah-khaane mein mere katraa ke nikal jaate hain anjum bhi qamar bhi kyon darpai-e-izaa hai shab-e-hijr mein zaalim kuchh tujh ko moazzin nahin allaah kaa Dar bhi jo aap kahein sab vo durust aur bajaa hai aibon ke sivaa mujh mein nahin koi hunar bhi jaaein to kahaan jaaein rihaa ho ke qafas se parvaaz ke qaabil na rahe baal bhi par bhi ye gham ki hama-giri kaa aalam hai shab-e-hijr maghmum nazar aate hain divaar bhi dar bhi is tarah se naakaam mohabbat mein na hotaa ai aah agar hotaa zaraa tujh mein asar bhi ab Dhang nae sikhe hain khul khele hain bilkul sunte hain vo jaane lage aghyaar ke ghar bhi ik aah nahin hai miri rusvaai kaa baais badnaam kareinge mujhe ye dida-e-tar bhi gham-khaane mein mere koi tafriq nahin hai jis rang ki hai shaam yahaan vaisi sahar bhi aa jaataa hai ik vaqt mohabbat mein kuchh aisaa rahti hai nahin mujh ko zaraa khud ki khabar bhi kaaTe nahin kaTti hai shab-e-gham ki musibat is raat ki hogi kahin allaah sahar bhi 'ishrat' miri ulfat kaa yaqin un ko na hogaa main nazr karun apnaa agar kaaT ke sar bhi"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"chain se kaTti thi kuchh gham se sarokaar na thaa vo bhi kyaa din the ki jab ishq kaa aazaar na thaa be-sabab aur ye ilzaam lagaaein kaise qaabil-e-rahm hamaaraa hi dil-e-zaar na thaa ishq karte hi hue apne paraae dushman baat karne kaa koi mujh se ravaadaar na thaa teri is zid ne mohabbat mein mujhe meT diyaa shaghl achchhaa ye tiraa dida-e-khun-baar na thaa be-vafaa dil ke ye bartaav na bhuleinge kabhi goyaa ham se kabhi kuchh us ko sarokaar na thaa de duaa mujh ko shab-e-gham tujhe mehmaan kiyaa koi duniyaa mein tiraa aur talabgaar na thaa ham se jab tak ki rahi rasm-e-mohabbat qaaem is tarah aap kaa charchaa sar-e-baazaar na thaa qais ke baad junun ki mujhe jaagir mili dusraa aur koi dasht kaa haqdaar na thaa khatm qissa karo insaaf se itnaa kah do ham se vaada na thaa ham se koi iqraar na thaa ham ko shikva nahin kuchh un se jafaa kaa aslan asl ye hai ki hamein ishq sazaa-vaar na thaa ab rasaai bhi to us bazm mein aasaan nahin pahle aisaa to kabhi majma-e-aghyaar na thaa sakhtiyaan jhelnaa farhaad bahut mushkil thaa jaan denaa to rah-e-ishq mein dushvaar na thaa vaaizo koi sabab us kaa bataa sakte ho mustahiq khuld kaa kyon rind-e-qadah-khvaar na thaa ye bhi ik chheD thi jo puchh liyaa mujh se mizaaj muddaaa aap kaa kuchh pursish-e-bimaar na thaa ham kahaan khvaahish-e-jannat mein bhaTakte phirte ji ke bahlaane ko kyaa kucha-e-dildaar na thaa puchhte bhi vo agar mujh se na kahte bantaa muddaaa aisaa thaa jo qaabil-e-izhaar na thaa main bhi kuchh arz karun aap jo naaraaz na hon paas vaade kaa kabhi aap ko sarkaar na thaa shama par ho gayaa kis shauq se parvaana nisaar kaam himmat ke liye koi bhi dushvaar na thaa nazr-e-dil kar diyaa aur jaan bhi sadqe kar di phir bhi main aap ke nazdik vafaadaar na thaa is tarah suntaa huun gulshan ki qafas mein baatein jaise dekhaa kabhi main ne gul-o-gulzaar na thaa jhelnaa paD gae ulfat mein masaaib aise jin se vaaqif na thaa pahle se khabar-daar na thaa apne begaane ki takhsis na thi kuchh 'ishrat' kaun thaa ishq mein jo darpai-e-aazaar na thaa"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"andher shab-e-hijr mein kyaa kyaa nahin hotaa kab hashr sar-e-shaam se barpaa nahin hotaa bimaar-e-mohabbat kabhi achchhaa nahin hotaa ye dard vo hai jis kaa mudaavaa nahin hotaa ho laakh hasin husn kaa shahraa nahin hotaa tum ko to zaraa khauf khudaa kaa nahin hotaa maqbul vahaan ishq kaa sajda nahin hotaa jis jaa pa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa nahin hotaa ye dil usi qaabil hai use khuub jalaao us par jo sitam hotaa hai bejaa nahin hotaa apnon hi se hoti hai shikaayat bhi gilaa bhi ulfat mein kisi ghair se shikva nahin hotaa aataa hi samajh mein nahin iqraar bhi un kaa hotaa hai us andaaz se goyaa nahin hotaa ye bhi miri qismat ki zabaan aisi mili hai jis se ki adaa harf-e-tamannaa nahin hotaa ai shaikh khule bandon mein piine mein maza hai ye shaghl chhupaa kar pas-e-parda nahin hotaa aataa hai mujhe dasht nazar josh-e-junun mein haalaanki vo ghar hotaa hai sahraa nahin hotaa be-gham hain har ik fikr se rindaan-e-kharaabaat un ko kabhi andesha-e-fardaa nahin hotaa ye sakhtiyaan har roz ki kaise sahe koi insaan ke patthar kaa kalejaa nahin hotaa ab gham bhi mire dil se ye kartaa hai shikaayat is khaana-viraan mein guzaaraa nahin hotaa ai shaikh ye barkat hai ki p jaate hain laakhon phir bhi kabhi khaali khum-e-sahbaa nahin hotaa vo ham bhi sunein taur pe jo tum ne sunaa thaa ham se to yahi hazrat-e-musaa nahin hotaa zaahir mein chhupein aaein nigaahon mein dilon mein tauhin hai parde ke ye pardaa nahin hotaa aa paDti hai uftaad kuchh is tarah ki naaseh ulfat mein koi shauq se rusvaa nahin hotaa kah do zaraa aghyaar se sanbhle hue aaein maqtal hai yahaan khel tamaashaa nahin hotaa the taalib-e-didaar to sanbhle hue rahte muusaa koi yuun mahv-e-tajalli nahin hotaa ulfat mein mazaa 'ishq mein lazzat nahin milti jab tak ki koi dard saraapaa nahin hotaa"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"rafta-rafta gham se dil ko rabt paidaa ho gayaa sahte sahte sakhtiyaan patthar kaleja ho gayaa ek hi hichki mein saaraa khatm qissa ho gayaa aaj bimaar-e-mohabbat kaa mudaavaa ho gayaa ghair ke mazkur par takraar-o-hujjat baDh gai baaton hi baaton mein un se aaj jhagDaa ho gayaa hijr ki ye raat yaa-rab kis tarah hogi basar shaam hi se ghar mein mere hashr barpaa ho gayaa kaam sidhe-pan se ulfat mein koi chaltaa nahin aa gae jab ham kaji par charkh sidhaa ho gayaa dasht thaa sunsaan bilkul qais ke marne ke baad dam se vahshi ke tire aabaad sahraa ho gayaa ho gae mujh se mukhaatab haal-e-dil sunte rahe meri surat par unhein dushman kaa dhokaa ho gayaa ye shab-e-hijraan ki taariki kaa hai ab tak asar roz-e-raushan mein mire ghar mein andheraa ho gayaa chain tujh ko bhi na haasil ho kabhi kambakht dil teri betaabi se main ulfat mein rusvaa ho gayaa ye haqiqat hai use haasil hui mearaaj-e-ishq yaar ke naqsh-e-qadam par jis kaa sajda ho gayaa ishq ke aazaar paiham main ne jhele is qadar ek ibrat kaa muraqqaa main saraapaa ho gayaa hamdamo kaise bataaein lazzat-e-zakhm-e-darun ban gayaa naasur vo jo zakhm achchhaa ho gayaa hijr ki taarik shab us par balaaon kaa hujum kyaa bataaein raat ko is ghar mein kyaa kyaa ho gayaa un ki paDnaa thi nazar pahlu se dil jaataa rahaa dam-zadan mein saaneha ye ruh-farsaa ho gayaa aa paDi hai is tarah ki ham-nashin uftaad-e-ishq zindagi kaa zikr kyaa dushvaar marnaa ho gayaa gham ghalat karte hain 'ishrat' is tarah se hijr mein ro liye kuchh der dil kaa bojh halkaa ho gayaa"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"mukhtasar ye hai haqiqat ishq ke aazaar ki umr bhar timaardaari ki dil-e-bimaar ki chain lene de dil-e-muztar kisi dam bahr-e-shaghl tu ne o kambakht ab to zindagi dushvaar ki hijr ki shab sochtaa huun main kahaan huun kaun huun dekhtaa huun ghaur se surat dar-o-divaar ki ab to ji ghabraa gayaa hur-o-jinaan ke zikr se hazrat-e-vaaiz bhalaa had hai koi tumaar ki aah-o-zaari ki kabhi akhtar-shumaari ki kabhi kis musibat se kaTi hai raat hijr-e-yaar ki khuub soche hazrat-e-vaaiz jo chupke pi gae laaj rakh li aap ne is jubba-o-dastaar ki gham nahin kuchh bah gayaa aankhon se gar khun-e-jigar ho gai puuri khushi to dida-e-khunbaar ki aaj kyaa samjhaa hai saaqi ne jo mai detaa nahin main ne tauba is se pahle bhi to laakhon baar ki ai asiraan-e-qafas kyaa aaeinge aise bhi din phir kabhi dekheinge surat ham gul-o-gulzaar ki ab to vo har baat par kar dete hain fauran nahin paD gai hai aisi kuchh aadat unhein inkaar ki aaj kuchh barham the vo bhi aur ham bhi the bhare baaton hi baaton mein naubat aa gai takraar ki de chuki jab nazaa ki haalat mein goyaai javaab puchhne baiThe hain khvaahish aah ab bimaar ki har qadam par aablon se ik nai taklif hai kis tarah tai hogi manzil vaadi-e-pur-khaar ki ho saki ishrat na koshish aah koi kaamyaab har ghaDi karte rahe tadbir vasl-e-yaar ki"
I
Ishrat Safipuri
Quote
"fasl-e-gul aai ajab rang hai maikhaane kaa husn dekhe koi ab shishe kaa paimaane kaa naaseho farz adaa ho chukaa samjhaane kaa chheDnaa Thiik nahin har ghaDi divaane kaa kaun uftaad paDi ai dil-e-betaab nai kuchh to maalum ho baais tire ghabraane kaa justuju ne tiri ik jaa kahin rahne na diyaa mujh ko kaaba hi kaa rakkhaa na sanam-khaane kaa khaana-e-dil ko gham-e-yaar ne aabaad kiyaa kaun pursaan thaa is ujDe hue kaashaane kaa dil ko ho jaataa hai baavar ki vo sach kahte hain aisaa andaaz hai kuchh un ke qasam khaane kaa chupke pi lete hain inkaar nahin karte hain shaikh ji suniye adab hai yahi maikhaane kaa kyaa mazedaar thi ulfat ki kahaani meri sunne vaalaa na milaa koi is afsaane kaa manzil-e-ishq ye hai khuub samajh le ai dil aasraa hai yahaan apne kaa na begaane kaa fikr laahaq hai dam-e-marg ye vahshi ko tire jaa-nashin kis ko kiyaa jaaegaa viraane kaa taazgi ruuh mein chehre pe bashaashat aai vaah kyaa kahnaa chhalakte hue paimaane kaa roz raushan huaa duniyaa mein ujaalaa phailaa rang badlaa na magar mere siyah-khaane kaa laag ki aag hi kambakht buri hoti hai ek anjaam huaa shama kaa parvaane kaa josh vo baada-e-gulgun kaa vo qulqul ki sadaa lab tak aanaa vo chhalakte hue paimaane kaa un ki tasvir-e-junun-khez kaa kuchh zikr nahin naam badnaam zamaane mein hai divaane kaa subh tak jal chuke jaanbaaz-e-mohabbat donon shama ko roein ki maatam karein parvaane kaa umr itni to kaTi baada-kashi mein 'ishrat' ab kahaan jaaeinge dar chhoD ke maikhaane kaa"
I
Ishrat Safipuri