SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJafar Abbas Safvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"chale jaaiyegaa miri anjuman se ye kyaa sun huun tumhaare dahan se bahaaron ko rangin banaayaa hai ham ne kahaan jaaein ahl-e-chaman ham chaman se kahein kis se ham kasmapursi kaa aalam vatan mein hain lekin gharib-ul-vatan se mohabbat ke tohfe samajh kar liye hain mile jis qadar ranj daar-e-mehan se ye hi hogaa aakhir taghaaful kaa haasil utar jaaoge ek din mere man se ye mahsus hotaa hai sahraa mein rah kar taalluq hi jaise nahin thaa chaman se sunaa kar ghazal aaj mahfil mein 'jaafar' mujhe daad leni hai ahl-e-sukhan se"
J
Jafar Abbas Safvi
Quote
"ranj se vaaqif khushi se aashnaa hone na de zindagi ko apne maqsad se judaa hone na de ishq jab tak tai na kar le manzilein isaar ki dard ki lazzat se dil ko aashnaa hone na de aur jo kuchh ho hamein manzur hai yaarab magar aadmi ko aadmi kaa aasraa hone na de dard-e-dil kahiye jise us ki to ye pahchaan hai bhuul kar jo haath siine se judaa hone na de ishq jis dil mein jaDein apni jamaa le ek baar umr-bhar nakhl-e-tamannaa ko haraa hone na de naakhudaa ki koshishein be-kaar tadbirein abas paar jab manjdhaar se beDaa khudaa hone na de raah-e-hasti mein jo 'jaafar' har qadam par moD hain har kas-o-naa-kas ko apnaa rahnumaa hone na de"
J
Jafar Abbas Safvi
Quote
"javaani ki umangon kaa yahi anjaam hai shaayad chale aao ki vaade ki suhaani shaam hai shaayad jo tishna thaa kabhi saaqi vo tishna-kaam hai shaayad usi baais to nazm-e-mai-kada badnaam hai shaayad hansi ke saath bhi aansu nikal aate hain aankhon se khushi to meri qismat mein baraae-naam hai shaayad jise mai-khvaar pi ke mai-kade mein raqs karte hain tiri aankhon ki masti saaqi-e-gulfaam hai shaayad uDaai shama ne jab khaak-e-parvaana to main samjhaa mohabbat karne vaalon kaa yahi anjaam hai shaayad jo ab tak mai-kashon ke paas muddat se nahin aai abhi gardish mein khud hi gardish-e-ayyaam hai shaayad main daanista ab un ke saamne khaamosh huun 'jaafar' khamoshi bhi miri ab morid-e-ilzaam hai shaayad"
J
Jafar Abbas Safvi
Quote
"donon-jahaan ko zinat-e-daamaan kiye hue baiThaa huun dil mein aap ko mehmaan kiye hue nazzaara-e-jamaal mayassar ho kis tarah aae hain aap zulf pareshaan kiye hue divaane jaa rahe hain tiri justuju mein aaj daaman ki dhajjiyon ko garebaan kiye hue aao janaab-e-shaikh chalo mai-kada chalein arsa huaa hai mai-kada viraan kiye hue kis samt jaa rahaa hai kidhar le chalaa mujhe kambakht dil tasavvur-e-jaanaan kiye hue 'jaafar' main un ki raah mein baiThaa huun muddaton daaghon se dil ke jashn-e-charaaghaan kiye hue"
J
Jafar Abbas Safvi
Quote
"dasht mein gulshan mein har jaa ki hai teri justuju ab kahaan le jaa rahaa hai ai fareb-e-rang-o-bu aap itnaa to bataa dein kab karam hogaa huzur kab muravvat mein badal jaaegi ye nafrat ki khu saadgi-e-dil pe apni rashk aataa hai mujhe ik vafaa naa-aashnaa se hai vafaa ki aarzu ishq ki manzil mein laakhon kaarvaan gum ho gae rahrav-e-raah-e-mohabbat kyaa kareinge justuju rah gae hain ab to le de kar dil-e-barbaad mein hasrat-e-didaar kaa gham aur teri aarzu de rahi hai apne daaman ki havaa baad-e-sahar teri zulf-e-ambarin hai ik jahaan-e-rang-o-bu jab kabhi saaqi ne 'jaafar' apni nazrein pher liin mai-kade mein pi liyaa hai main ne armaan kaa lahu"
J
Jafar Abbas Safvi
Quote
"jo hasin husn-e-taghaaful se guzar jaataa hai chaahne vaalon ke vo dil se utar jaataa hai jis taraf sehn-e-chaman se vo guzar jaataa hai rang phulon kaa kahin aur nikhar jaataa hai aa bhi jaao ki duaa maang rahaa huun kab se baat rah jaati hai aur vaqt guzar jaataa hai umr-bhar karvaTein letaa hai vo paikaan-e-nazar aankh ki raah se jo dil mein utar jaataa hai mere kahne se zaraa zulf sanvaaro to sahi log kahte hain muqaddar bhi sanvar jaataa hai bahr-e-gham mein teri yaadon kaa sahaaraa le kar gham kaa tufaan bhi mere sar se guzar jaataa hai yak-ba-yak kaise bhulaa duun unhein 'jaafar' dil se jaate jaate hi mohabbat kaa asar jaataa hai"
J
Jafar Abbas Safvi
Quote
"mohabbat kaa fasaana ham se dohraayaa nahin jaataa bas ab ham se fareb-e-aarzu khaayaa nahin jaataa yahaan tak to mujhe dast-e-karam par naaz hai un ke agar ab haath phailaaun to phailaayaa nahin jaataa tamaasha dekhne vaale tamaasha ban ke rah jaaein ba-qadr-e-dard tum se dil ko taDpaayaa nahin jaataa ye aalam hai qafas kaa dar khulaa hai sehn-e-gulshan mein magar sayyaad ko ab chhoD kar jaayaa nahin jaataa mujhe dekho ki ghairon ko bhi siine se lagaataa huun magar tum se to apnon ko bhi apnaayaa nahin jaataa jo aankhein dekh leti hain khizaan kaa daur phir un se bahaaron kaa fareb-e-rang-o-bu khaayaa nahin jaataa main un ko be-rukhi kaa kis liye ilzaam duun 'jaafar' andhere mein to apnaa do-qadam saayaa nahin jaataa"
J
Jafar Abbas Safvi
Quote
"chaman mein khaar hi kyaa gul bhi dil-figaar mile fareb-khurda-e-rangini-e-bahaar mile maza to jab hai ki vo aaftaab-e-subh-e-jamaal gale lipaT ke sar-e-shaam-e-intizaar mile nigaah-e-yaas se munh tak rahaa huun ik ik kaa koi to bazm-e-raqiban mein gham-gusaar mile jinhon ne apne lahu se chaman ko sinchaa thaa unhin ke jaib-o-garebaan taar taar mile main un ke vaadon kaa yuun bhi yaqin kartaa huun mile mile na mile lutf-e-intizaar mile qafas ke baad chaman mein ye dekhnaa hai mujhe khizaan mile ki vahaan mausam-e-bahaar mile vahi to fikr-e-sukhan aaj-kal kare 'jaafar' jise hayaat kaa maahaul khush-gavaar mile"
J
Jafar Abbas Safvi