SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJafar Shirazi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"arz-o-samaa pe rang thaa kaisaa utar gayaa aandhi chali to shaam kaa chehra utar gayaa tufaan ki zad na shor-e-talaatum mujhe bataao main mauj mein nahin huun ki dariyaa utar gayaa kyaa kyaa rahi kanaar-e-mohabbat ki dhun mujhe jin paaniyon mein us ne utaaraa utar gayaa ik kashmakash mein ab hain samundar paDe hue sahraa ki tah mein phir koi pyaasaa utar gayaa bikhraa paDaa hai khaak pe yuun chaandni kaa jism jaise miri hi ruuh mein tesha utar gayaa 'jaafar' kabhi na ye mere vahm-o-gumaan mein thaa main aur us ke dhyaan se aisaa utar gayaa"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"havaa kaa shor sadaa-e-sahaab mere liye jahaan-e-jabr kaa har iztiraab mere liye sulagtaa jaataa huun main aur paDhtaa jaataa huun khulaa paDaa hai zamaane kaa baab mere liye main muntazir thaa jahaan par gulaab khilne kaa vahin pareshaan thi bu-e-gulaab mere liye ye meri umr ki shab ye uDi hui nindein na koi khvaab na afsun-e-khvaab mere liye tabaah kar diyaa ahde-javaan ki baaton ne shabaab is ke liye thaa sharaab mere liye jahaan hai nashsha-e-khvaab-e-sahar mein khoyaa huaa hai sar pe aayaa huaa aaftaab mere liye rahaa hai dhyaan mein ik jism chaand saa 'jaafar' hui vahaan hai shab-e-maahtaab mere liye"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"aks jaa-ba-jaa apni zaat ke giraataa hai kaun aasmaanon se aaine giraataa hai main ne ruup dhaaraa hai us ki ruuh kaa aur vo mere naqsh hi mere saamne giraataa hai umr bhar uThaaegaa dukh mire bikharne kaa aankh ki bulandi se kyuun mujhe giraataa hai shoala-e-mohabbat aur aab-e-ashk ai naadaan raushni ko dariyaa mein kis liye giraataa hai vo havaa kaa jhonkaa bhi meraa sakht dushman hai shaakh se jo patte ko zor se giraataa hai jazb kar na le 'jaafar' soch lahr ki tujh ko tu kahaan samundar mein kankarein giraataa hai"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"apne ehsaas se baahar nahin hone detaa raaz zaahir bhi ye mujh par nahin hone detaa khauf-e-rusvaai se kar detaa hai hairaan aisaa meri aankhon ko samundar nahin hone detaa mom kar detaa hai jab lauT ke aa jaataa hai mujh ko furqat mein vo patthar nahin hone detaa dekhtaa huun to kabhi chaand kabhi phuul hai vo apni surat mujhe azbar nahin hone detaa ji mein hai uD ke chalaa jaaun jahaan rahtaa hai vo miraa ghar bhi miraa ghar nahin hone detaa jab bhi miltaa hai to bas TuuT ke miltaa hai mujhe apne gham kaa mujhe khugar nahin hone detaa ruuTh bhi jaate hain 'jaafar' to manaa lene mein mujh ko apne se vo behtar nahin hone detaa"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"jaan aise khvaabon se kis tarah chhuDaaun main shahr so gayaa saaraa ab kise jagaaun main paaemaal sabze par dekh kar gire patte ab zamin se khud ko kis tarah uThaaun main in akeli raaton mein in akele raston par kis ke saath aauun main kis ke saath jaaun main ek hi si tanhaai ek hi saa sannaaTaa dasht kyaa hai dil kyaa hai kyaa tujhe bataaun main dekh kaise din aae dekh main na kahtaa thaa tu qarib bhi aae aur tujhe bulaaun main aaj sab mein ghul-mil jaaun mujh ko kyaa khabar kal tak kis ko yaad aauun main kis ko bhuul jaaun main kitne kaam duniyaa ne de diye mujhe 'jaafar' ashk-e-gham giraaun main baar-e-gham uThaaun main"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"pata milaa hai vo thaa meraa ham-safar bahut der baad jaa kar kahaan kahaan se mili hai mujh ko khabar bahut der baad jaa kar main muddaton saqf-e-zindagi par khaDe khaDe tum ko dekh aayaa ye tum bhi kyaa ho ki aae mujh ko nazar bahut der baad jaa kar miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baad jaa kar mujhe bataao main kyuun na is uThti dhuul ke saath baiTh jaaun mujhe khabar hai vo aaegaa baam par bahut der baad jaa kar kharaab mausam mein har shajar se larazte patton ne kyaa kahaa thaa ki phuul aane lage hain ab shaakh par bahut der baad jaa kar qayaamaton ki tarah guzaareinge ye mah-o-saal hijraton ke tamaam hogaa judaaiyon kaa safar bahut der baad jaa kar miri ghazal mein jab aae 'jaafar' nazar unhein maarke hunar ke hue mire mo'tarif sab ahl-e-nazar bahut der baad jaa kar"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"bijli kaDki baadal garjaa main khaamosh rahaa is kohraam mein bhi ai duniyaa main khaamosh rahaa subh ki chaap ne mujh ko sadaa di main ne baat na ki shaam ki chup ne mujh ko pukaaraa main khaamosh rahaa kitne giit bikherte mausam mere saamne aae main thaa jaati rut kaa saayaa main khaamosh rahaa guzre mere paas se ho kar shor bhare mele sail-e-havaadis tu ne dekhaa main khaamosh rahaa kitne paani sar se guzre meri zabaan na khuli saahil saahil dariyaa dariyaa main khaamosh rahaa 'jaafar' dekh ke gham barsaati zindagiyon ke samay biit gai is dil par kyaa kyaa main khaamosh rahaa"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"ji laraztaa hai umaDti hui tanhaai se ab nikaalo mujhe us raat ki pahnaai se aai yaadon ki havaa ghulne lagaa kaan mein zahr bujh gai shaam bhi bajti hui shahnaai se puchhtaa phirtaa huun galiyon ke ujaDne kaa sabab har taraf jama hain kyaa log tamaashaai se saamne phailaa huaa dasht kaa sannaaTaa hai ab kahaan bach ke chalein ham dil-e-saudaai se ban gayaa ek qayaamat dar-e-dil tak aanaa aur guzarnaa hai abhi dhyaan ki angnaai se kis tarah apnaa banaaein use ham ai 'jaafar' baat aage na baDhi jis ki shanaasaai se"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"raaston mein Dher ho kar phuul se paikar gire barg kitne aandhiyon ke paanv mein aa kar gire ai junun ki saaato aamad bahaaron ki hui dekhnaa vo shaakhchon se titliyon ke par gire tum na sun paae sadaa dil TuTne ki aur yahaan shor vo uTThaa zamin par jis tarah ambar gire kaun jaane kitni yaadon se huaa dil zakhm zakhm chaandni barsi ki meri ruuh par khanjar gire muntazir huun gham ke is tufaan-e-abr-o-baad mein kab ghaTaa kaa shor kam ho kab havaa thak kar gire yuun huaa huun jazb 'jaafar' vaqt ke tufaan mein tah main gahre paaniyon ki jis tarah kankar gire"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"kahin fazaa mein koi abr tairnaa to chaahiye kahaan havaaein kho gai hain sochnaa to chaahiye ye aur baat baagh baagh kar gaiin tabiatein zaraa qarib se hansi ko dekhnaa to chaahiye ye maslahat bhi kyaa ki dil ki vusatein hon munjamid ragon mein zindagi kaa khuun dauDnaa to chaahiye main in udaasiyon ko in rafaaqaton ko kyaa karun kiran ko jaagnaa havaa ko bolnaa to chaahiye unhein bhi nok-e-sang se zaraa hilaa ke dekh luun ki paaniyon kaa ye sukut toDnaa to chaahiye ye kyaa huaa baDhaa ke silsile mujhe bhulaa diyaa kahin mile to 'jaafar' us se puchhnaa to chaahiye"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"dekhun to mire dil mein utartaa hai ziyaada shoala ki tah-e-aab nikhartaa hai ziyaada kyaa jaaniye kyaa baat hai ab dasht ki nisbat dil khaamushi-e-shahr se Dartaa hai ziyaada andar kaa vahi rog use bhi hai mujhe bhi bantaa hai ziyaada vo sanvartaa hai ziyaada jo aankh ke jalte hue sahraa se pare hai baadal usi raste se guzartaa hai ziyaada rukh shahr ki jaanib huaa jangal ki havaa kaa aur shor mire dil mein ubhartaa hai ziyaada 'jaafar' ye lagaa zakhm-e-mohabbat bhi ajab hai baDhtaa hai ziyaada jo na bhartaa hai ziyaada"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"tazkira itnaa miraa us ke fasaane mein huaa main junun ke naam par rusvaa zamaane mein huaa mujh ko duniyaa ne miTaane mein na kuchh taakhir ki kis qayaamat kaa tasaahul tere aane mein huaa aaj tak hain zindagi ki kirchiyaan bikhri huiin ik zaraa saa vaaqia aaina-khaane mein huaa ab bhi us ko yaad aataa hai to mar jaataa hai vo us kaa jo lamha basar mere bhulaane mein huaa saari duniyaa ke liye meraa havaala ban gae faaeda kyaa aap ko mere miTaane mein huaa dosto zaitun ki shaakhein liye phirtaa huun main tajraba mujh ko yahi to zakhm khaane mein huaa zindagi-bhar us se mil baiThe na 'jaafar' baat ki aur qissa khatm yunhi aane-jaane mein huaa"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"din dahakti dhuup ne mujh ko jalaayaa der tak raat tanhaai mein kaalaa abr barsaa der tak tu ye kahtaa hai ki tu kal raat mere saath thaa main ye kahtaa huun ki main ne tujh ko DhunDaa der tak paas rakh kar ujle ujle duudh se yaadon ke jism der se baiThaa huun mein baiThaa rahungaa der tak pahle teri chaahaton ke gham the ab furqat ke dukh mujh pe ab taari rahegaa ye bhi arsa der tak kaun Thahre aane vaale mausamon ke saamne kaun khaali rakh sake taaq-e-tamaashaa der tak ab vo baatein ab vo qisse kis tarah 'jaafar' bhulaaein aise sadmon kaa asar dil par rahegaa der tak"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"din nikaltaa hai to saamaan-e-safar DhunDte hain raat paDti hai to ham apni khabar DhunDte hain raabta kuchh to rahe ruuh kaa paataal ke saath aaj ham bhi tiri aankhon mein bhanvar DhunDte hain koi khushbu na yahaan anjum-o-mahtaab ki zau in gharon se bahut aage hai jo ghar DhunDte hain ishq se daad-talab hain ki ham aavaara-manash dar mein divaar na divaar mein dar DhunDte hain kyuun judaai ke mah-o-saal mein badle tu ne aa mohabbat ke vahi shaam-o-sahar DhunDte hain vo jo ab sarhad-e-imkaan se pare rahtaa hai kab vo 'jaafar' hamein miltaa hai magar DhunDte hain"
Jafar ShiraziJafar Shirazi
Quote
"husn aankhon mein rahe dil mein javaani to rahe zindagaani tere hone ki nishaani to rahe us ki khaatir to gavaaraa koi ban-baas bhi hai sab ke honTon pe miri raam-kahaani to rahe zabt mein ye bhi hai goyaai kaa apnaa andaaz lab hon khaamosh magar ashk-fishaani to rahe gar ujaalon se gurezaan hai dhundlakon mein to aa din ba-har-taur kaTaa shaam suhaani to rahe tu na shirin na main farhaad magar yuun to milein ham rahein yaa na rahein apni kahaani to rahe aao kuchh der karein pahle-pahal ki baatein yaad is pyaar ki vo rasm puraani to rahe teri aankhein to banein khushk jazire 'jaafar' ye jo dariyaa hain to dariyaaon mein paani to rahe"
Jafar ShiraziJafar Shirazi