SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJarrar Chhaulisi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kahin hai daagh-e-naakaami kahin hai khuun armaan kaa hamaaraa dil muraqqaa ban gayaa hai yaas-o-hirmaan kaa jahaan vaalon pe main ehsaan karke bhuul jaataa huun mire akhlaaq ko chamkaa rahaa hai naqsh nisyaan kaa alaaeq mein ulajh kar fursat-e-nazzaara kho baiThaa nihaayat diid ke qaabil thaa manzar bazm-e-imkaan kaa baDhi hai tishnagi sairaab kar do paanv ke chhaalo zaraa saa munh nikal aayaa hai har khaar-e-bayaabaan kaa nahin hain 'haali'-o-'iqbaal' se shaa'ir to kyaa gham hai abhi ik dam ghanimat hai to 'jarraar'-e-sukhan-daan kaa"
Jarrar ChhaulisiJarrar Chhaulisi
Quote
"sabab-e-dard-e-jigar yaad aayaa yaani vo tir-e-nazar yaad aayaa jhilmilaane lage palkon pe nujum phir koi rashk-e-qamar yaad aayaa apni manzil ke nishaan paate hi mujh ko aaghaaz-e-safar yaad aayaa dekh kar aaina kis soch mein ho kyaa koi ahl-e-nazar yaad aayaa bhulne vaale taDap uTThegaa main kisi vaqt agar yaad aayaa un ki paazeb udhar guunj uThi shor-e-zanjir idhar yaad aayaa kyon ye bikhraa liye gesu tum ne kyaa koi khaak-basar yaad aayaa ek haalat mein basar ho na saki shaam ko vaqt-e-sahar yaad aayaa hil gayaa qalb-e-do-aalam 'jarraar' kaun kartaa huaa fariyaad aayaa"
Jarrar ChhaulisiJarrar Chhaulisi
Quote
"duniyaa-e-dani hai matlab ki sab rishte naate toD diye ab khud pe bharosa karnaa hai jitne the sahaare chhoD diye ab dil se dil kaa milnaa kyaa bas haath milaanaa kaafi hai derina taur tariqon ne chalte chalte dam toD diye duniyaa-e-mohabbat ke andar nafrat kaa andheraa jin se baDhe us daur-e-taraqqi ke aise jitne hain uThaa kar toD diye jo aandhiyon se Takraa bhi sakein zulmat kaa fusun bhi toD sakein taaqon mein sajaa kar pahle hi to kuchh aise rakh chhoD diye kyaa milnaa-julnaa aapas mein ye sab kahne ki baatein hain ham dekh chuke is daur ne to dil toD diye sar joD diye jab zulm ke tufaan umDe hain jab yaas ke baadal chhaae hain duniyaa ko diyaa hai azm-e-javaan taarikh ko ham ne moD diye ai daur-e-siyaasat ahd-e-zabun 'jarraar' se ye ummid na rakh us dar pe jhukaa di peshaani haath us ke aage joD diye"
Jarrar ChhaulisiJarrar Chhaulisi
Quote
"vaapas jo nahin aaegaa mein vo safari huun ai dost gale lag ki charaagh-e-sahari huun ai husn ye andaaz-o-adaa tujh mein kahaan the main tere liye aaina-e-ishva-gari huun baDhti hui tahrik-e-siyaasat mujhe samjho elaan-e-baghaavat pae bedaad-gari huun duniyaa ke liye jo hai ujaalon kaa payambar zulmat-kada-e-shab mein vo najm-e-sahari huun rangini-o-khush-pairahni hai mire dam se gulshan mein kali tum mein nasim-e-sahari huun hairat se na kyuun dekhe mujhe saaraa zamaana parvarda-e-aaghosh-e-kamaal-e-bashari huun tum bhi ho adaaon ki kashaakash mein giraftaar kyaa fikr jo main qaidi-e-aashufta-sari huun"
Jarrar ChhaulisiJarrar Chhaulisi
Quote
"mire saath saath aao nayaa mai-kada banaao kabhi main tumhein pilaaun kabhi tum mujhe pilaao ye gharib kaa makaan hai yahaan farsh-e-gul kahaan hai jo ho baiThnaa to aao sar-e-khaak baiTh jaao abhi taab-e-imtihaan hai abhi hausla javaan hai abhi aur zulm toDo abhi aur zulm Dhaao kabhi gir rahe hain aansu kabhi uTh rahi hain aahein tumhein kis ne kah diyaa thaa mire she'r gungunaao miri zindagi yahi hai ki har ik ko faiz pahunche main charaagh-e-rah-guzar huun mujhe shauq se jalaao"
Jarrar ChhaulisiJarrar Chhaulisi
Quote
"sirf baiThe hue aahein na bharo ishrat-e-dil ke liye kuchh to karo valvalon ko na kahin niind aa jaae sitam-e-ahl-e-sitam se na Daro hai ye qismat ki shikaayat be-sud tum mein jauhar bhi hai kuchh be-hunro daagh hi daagh nazar aaeinge chaand mein bhi tumhein ai kam-nazro manzil-e-sabr bahut aage hai sarhad-e-zulm se bedaad-garo apne ghar-baar se rahnaa hoshyaar meraa ghar phunk ke shorida-saro khun-e-dil apnaa bahaa kar 'jarraar' rang-e-tasvir mohabbat mein bharo"
Jarrar ChhaulisiJarrar Chhaulisi
Quote
"bach ke vo nikalte hain jin se ru-shanaasi hai zindagi hamaari to ab ajal-numaa si hai jazb ho gai dil ki be-kali fazaaon mein is taraf hai sannaaTaa us taraf udaasi hai dilkashi ghazab ki hai husn-e-saada-kaari mein kis ke dast-e-rangin ne phuul ki qabaa si hai khushki-e-lab-e-saahil kah rahi hai pyaason se kyaa bisaat-e-dariyaa khud us ki ruuh pyaasi hai is qadar paDaa paani khet jal gayaa saaraa abr ki tabiat bhi barq-e-shoala-zaa si hai ruh-e-khud-shanaasi hai aadmi ki khuddaari khud-shanaasi-e-insaan asl-e-haq-shanaasi hai"
Jarrar ChhaulisiJarrar Chhaulisi
Quote
"chhup-chhup ke phir nigaah-e-karam kar rahaa hai kaun aankhon mein ashk baad-e-sitam bhar rahaa hai kaun marnaa rah-e-vafaa mein hai khud mustaqil hayaat marne ki aarzu thi magar mar rahaa hai kaun manzil pe aa ke khud mujhe honaa paDaa tabaah mahv-e-nazar farebi-e-rahbar rahaa hai kaun achchhaa huaa jo shahr-e-tamannaa ujaD gayaa khud is dayaar-e-shauq mein aa kar rahaa hai kaun 'jarraar' har qadam pe mile hain sukhan-farosh is daur-e-khud-gharaz mein sukhanvar rahaa hai kaun"
Jarrar ChhaulisiJarrar Chhaulisi
Quote
"ham shukr-e-jafaa shukr-e-sitam karte raheinge ye jaan ye dil nazr-e-sanam karte raheinge jin ko tiri aankhon ki haqiqat nahin maa'lum vo hasrat-e-paimaana-e-jam karte raheinge vo parvarish-e-lauh-o-qalam mein rahein masruf ham tarbiyat-e-lauh-o-qalam karte raheinge hogaa na koi qaafila aavaara-e-manzil ye kaam mire naqsh-e-qadam karte raheinge khuddaari-e-jamhur ko niind aai hui hai ham shikva-e-arbaab-e-qalam karte raheinge har shaakh-e-gulistaan pe banaaungaa nasheman har shaakh kahaan tak vo qalam karte raheinge 'jarraar' taDapne mein 'ajab lutf milaa hai hans hans ke vo kyaa pursish-e-gham karte raheinge"
Jarrar ChhaulisiJarrar Chhaulisi