Quote
"mohabbat kashmakash mein rah gai sirr-e-nihaan ban kar mire dil kaa yaqin ho kar tire dil kaa gumaan ban kar kare shukr-e-mohabbat meraa har ruyaan zabaan ban kar agar tum biich mein aa jaao shart-e-imtihaan ban kar ye kis ki raah par sar de rahe hain mohsin-e-ulfat ajal khidmat ko aai hai hayaat-e-jaavedaan ban kar jhaTaktaa jaaegaa un ko zamaana apne daaman se jo kuchh bhi rah gae pichhe ghubaar-e-kaarvaan ban kar zamaane ki havaa kaa rukh badal jaanaa muqaddar hai yahi tinke qafas honge bisaat-e-aashiyaan ban kar na ho jab Thokarein khaane pe bhi ehsaas-e-bedaari na TuTein dil pe kyon naakaamiyaan barq-e-tapaan ban kar nahin jab naqsh-e-avval ki tarah rang-e-baqaa tujh mein zarurat kyaa hai rahne ki nishaana le nishaan ban kar fazaa pur-kaif ban kar chhaa gai ghunchon ki raanaai chaman mein kaun aataa hai bahaar be-khizaan ban kar zamin ki tarah jab haasil hai qudrat burdbaari ki rahun ai 'jurm' kyon gardish mein naahaq aasmaan ban kar"
J
Jurm Mohammadabadi






